urdu kay rasam-ul-khat ki tabdili ka masla

34

Click here to load reader

Upload: maqsood-hasni

Post on 20-Mar-2017

373 views

Category:

Education


54 download

TRANSCRIPT

Page 1: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA

MASLA

Maqsood Hasni

Abuzar Barqi Kutab'khana

July 2016

Page 2: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI

KA

MASLA

Kal telephone par mairi aur Dr Riaz Majid ki Urdu

rasam-ul-Khat ki tabdili kay hawalah say baat ho rahi thi. Oon

ka kehna tha :

Urdu kay mojoda khat ko Roman khat main badalnay ki

sazashain chal rahi hain.

Yah koee aaj ki baat hai, yah to bohat pehlay say ho raha hai.

Mein soch main par giya kya aisa ho sakay ga aur yah behtar

Page 3: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

aqdam hoga?!

Is waqt Hindustani- hind'santani, hind'asthani(Urdu+Hindi) jo

donyan ki dosri bari aabadi kay rabtay ki zoban hai kay tein

rasam ul khat raej hain:

1- Nastaleeq, Arabic bara 'ay Urdu 2- Dav Nagri baray hindi

3-Roman

Roman her donoon, Urdu aur hindi alawa'azein dosray bolnay

aur samjhnay waloon kay liay mofeed hain.

Yah khat aaj say nahain, barsoon say mustamal chala aata hai.

Is mozo par guftagu say pehlay eak baat wazay kar doon kah

koee zoban os waqt tak mar nahain sakti jan tak:

Page 4: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

1- Os kay doo bolnay walay mojood rehtay hain ya eak bhi

sochnay wala baqi rehta hai.

2- Eak likhnay aur eak parnay wala mojood rehta hai.

3- Aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq tabadeel nahain

ho jatay.

In tein batoun kay hawalah say mein yah kehnay ki pozishan

main hoon kah Hindustani (Urdu+Hindi) ko kisi qisam ka koee

khatra la'haq nahain.

Urdu kay khat badalnay say kuch nahain ho ga aur na'hi aisa ho

sakay ga. Turki ki baat aur thi, is ka ta'aluq dou khitoon se hai

aur wo zidain ki intaha par hain. Zidain par kaenaat khari

hai. Zidain ka khatma goya kaenat kay khatam honay kay

motraduf hai.

Page 5: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

Roman khat main likhi janay wali zoban siraf kitabi zoban ho

gi. Kabi bhi bool chal ki zoban na ban sakay gi.

مثاٹ ہے وہ ج

را گھر کڈھر کو ہے ۔ٹمہ

Turki ka mojoda rasam-ul-khat bool chal ki zoban say laga

nahain rahta. Turki ka pehaly rasam-ul-khat say mota'alq

sarmaya zaya ho giya hai laikin Urdu kay sath yah nahain ho

sakay ga. Urdu walay oon say mukhtalif zehan kay log hain yah

pehlay ko Roman main tabdeel kar lain gay. Pehli baat yah kah

Roman khat ko bara'ay bool chal qabool hi nahain kiya ja'ay ga

ya kya ja sakta ya is hawala say bai'haad mushkal ka eak arsa tak

samna karma paray ga.

Urdu 37 bunyadi awazoon par ostawar hai jab'kah aa aur

Page 6: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

noon'ghona ko shamar main nahain rakha jata laikin yah

aawazain kasrat say istamal main aati hain.

In aawazoon kay elava 12 maha paran (bhay, phay thay waghera)

tarriban itni hi alamiti awazain (zabar, zair, shad waghera)

aur

163 say ziyada morakab awazain istamal main aati hain. Yah

surat kisi eak alaqay tak mehdood nahain. Eak aam aadmi

Roman khat kay zair-e-asar in aawazoon say kayoon'kar

dast'kash ho sakay ga. Za'ay farsi roman main likhnay kay liay

kya kary ga.

ں ژ: مژگ

Angraizi ko 1754 say omomi aur 1835 say khasusi toor par jabri

zoban ka darja hasal hai. Kya yah awami maqboliat hasal kar

Page 7: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

saki hai.

Jawab yaqinan nafi main ho ga.

Imtihanoon main na'kam honay waloon ki sab say ziyada tadad

angraizi main hamaisha say chali aati hai. .Fazal Din dokandar

ya manay pakoroon walay ko is say kya laina daina. Zindgi kay

kisi eak shobay main bhi ei ko koee moqam nahain mil saka. Log

apni zoban aur lehjay main baat karkay ziyada farhat mehsous

kartay hain. Roman rasam-ul-khat kay raej ho janay say logoon

kay aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq badal nahain jaein

gay. Lihaza is zimun main koee fikar ki baat nahain issay

sansikrat ki tara kitabi zoban say ziyada darja hasal na ho pa'ay

ga. Ta'hum Dav Nagri khat aur Hind'santani(Urdu+Hindi)

bolnay aur samjhnay waloon kay mabain rabatoon kay hawala

Page 8: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

say is rasam-ul-khat ki hosla afzaee bora amal nahain.

Is pehlou kay elawa bolnay kay zimun main koee khatar'naka

natija baramad na ho sakay ga aur yah main baray wasooq

say keh raha hoon aur is par her hawala say guftagu ki pozishan

main hoon. Roman rasam-ul-khat ka her hami jab chahay

mairay sath is ziman main kisi bhi waqt guftagu kar lay.

Sun Aug 31, 2008 6:45 pm

_________________

duaa

salam 2 all!

dr. sahb! first of all i wud like to say that it really feels good

Page 9: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

whenever pure urdu is used n i really admire ur "shusta aur

sakeel urdu" as for as this topic z concerned, i'd only say that

agar aisa ho jae k urdu rasm-ul-khat ko roman mae tabdeel kr

dia jae, to urdu k readers ko jitni mushkil ho gi uska andaza ap k

post kie hue topics ko parhne mae lagne wali der n mushkil se

lagaya ja sakta hae!!! Smile plz dnt take it negatively. i really have

this point k roman mae likhi hui urdu parhna bohat mushkil

kaam hae....

Mon Sep 01, 2008 12:08 am

_________________

Dr Maqsood Hasni

Senior Proud Pakistani

Page 10: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

punjab

aap ki khasusi tovajo k liay mumnoon hoon.

Allah sahib aap ko kush rakhy.

Mon Sep 01, 2008 12:52 pm

_________________

ahmet2910

Senior Member Pakistani

YES I AGREE WITH YOU PEOPLE

UNDER THE PRESENT RASM UL KHAT BOTH READING AND

WRITING URDU IS DIFFICULT

Page 11: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

BECAUSE MOST OF THE ALPHABETS CHANGES THEIR

FORM ACCORDING TO THEIR PLACE IN THE WORD

FOR EXAMPLE, ALIF, LAAM, FEY, BEY, ETC ETC

SO WHILE LEARNING TO READ OR WRITE ONE HAS TO

LEARN ALL THESE FORMS OF A SINGLE ALPHABET

AND THUS LEARNING BECOMES DIFFICULT

TURKISH IN ITS PREVIOUS FORM USED TO HAVE THE SAME

PROBLEM, WHICH HAD LED TO REDUCED LITERACY RATE

URDU CAN BE CONVERTED VERY EASILY TO ALPHABETS

LIKE TURKISH LANGUAGE HAVE NOW

ITS NOT A BIG TASK

I HAVE PERSONALLY DONE A BIT HOMEWORK ON THIS

Page 12: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

SUBJECT

I WOULD BE PLEASED TO SHARE WITH YOU LEARNED

PEOPLE THIS HOMEWORK OF MINE

Mon Sep 01, 2008 3:18 pm

_________________

ahmet2910

Senior Member Pakistani

[/quote]Turki ka pehaly rasam-ul-khat say mota alq sarmaya

zaya ho giya hai

UNFORTUNATELY I DONT AGREE WITH THIS

OBSERVATION OF YOURS

tHE TURKISH NATION DID TAKE PAIN TO REWRITE MOST

Page 13: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

OF THE OLD BOOKS, IF NOT ALL, IN THE NEW FORM

Mon Sep 01, 2008 3:22 pm

_________________

Dr Maqsood Hasni

Senior Proud Pakistani

punjab

ahmet2910 wrote:

Turki ka pehaly rasam-ul-khat say mota alq sarmaya zaya ho

giya hai

UNFORTUNATELY I DONT AGREE WITH THIS

OBSERVATION OF YOURS

tHE TURKISH NATION DID TAKE PAIN TO REWRITE MOST

Page 14: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

OF THE OLD BOOKS, IF NOT ALL, IN THE NEW FORM

ikhtalaf aap ka adbi aur asoli haq hai.

wo sab ossay tara say na'ay khat main muntaqil nahain howa

aur ya mumkin bhi nahin.

aap ko is hawala say mazeed tehqeeq karni chahiay ta'kah mujh

say mamoli talib-e-ilm ko bhi faeda ho say.

shukarreya janab

Mon Sep 01, 2008 7:49 pm

_________________

Note: ahmet

ظ اور آق کر یاحمد عرب ن ک ل ان پر ان حد درود و یزب یاردو رس الخط والے اسے اس ۔ہے یسا ک اس گرام

تھ بولتے ہ ظ کے س ا ۔ںیت ahmet اور احمد فر

Page 15: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

ن ل یخود ہ لکھ اور بوا ڈال ۔ں ہےیرومن دال نہ ۔ںیجئے گ دل ٹ ہےی ۔سے ج ں د ک تب ییتبد یرس الخط ک ۔ہ

ن ہوایسے ک ر‘ نقص ۔ےلگ ل یخود ہ یق

Dr Maqsood Hasni

Senior Proud Pakistani

punjab

ahmet2910 wrote:

YES I AGREE WITH YOU PEOPLE

UNDER THE PRESENT RASM UL KHAT BOTH READING AND

WRITING URDU IS DIFFICULT

BECAUSE MOST OF THE ALPHABETS CHANGES THEIR

Page 16: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

FORM ACCORDING TO THEIR PLACE IN THE WORD

FOR EXAMPLE, ALIF, LAAM, FEY, BEY, ETC ETC

SO WHILE LEARNING TO READ OR WRITE ONE HAS TO

LEARN ALL THESE FORMS OF A SINGLE ALPHABET

AND THUS LEARNING BECOMES DIFFICULT

TURKISH IN ITS PREVIOUS FORM USED TO HAVE THE SAME

PROBLEM, WHICH HAD LED TO REDUCED LITERACY RATE

URDU CAN BE CONVERTED VERY EASILY TO ALPHABETS

LIKE TURKISH LANGUAGE HAVE NOW

ITS NOT A BIG TASK

I HAVE PERSONALLY DONE A BIT HOMEWORK ON THIS

SUBJECT

Page 17: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

I WOULD BE PLEASED TO SHARE WITH YOU LEARNED

PEOPLE THIS HOMEWORK OF MINE

janab ki tovajo aur mohabat mairay liay bari maeniviat rakhti

hai.

mein arz yah karna chahata hoon kitaboon k hawala say aisa ho

bhi giya to is ki koee ehmiat nahain ho gi. yah seiaf aur siraf

sansikrat ki se zoban ho gi.

logoon k aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq jo qudrat ki

ata hain oon ko kis tara tabdeel kiya ja sakay ga.

Hind'santani (Urdu+Hindi) ki aawazoon ka apna nazam hai aur

yah yahaan ke logoon say wasta rakhta hai.

donyan ki koee zoban aawazoon k ehawala say Hind'santani

Page 18: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

ka moqabla nahain kar sakti aur mein apnay is biyan k hawala

say her tara ki guftagu ki pozishan main hoon.

aap nay tovajo farmae is k liay aap ka bohat bohat shukarreya.

Allah Sahib aap ko kush rakhay.

Mon Sep 01, 2008 8:00 pm

_________________

I K QAZI

Moderator

Germany

Humari majboori he ke hume Roman Urdu me iss Forum par

likhna parrtha he QK hume nahih mahloom ke kaise Urdu Rasm

Page 19: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

Ul Khat me likhte hain warna tho jo maza Urdu ko asli rasm ul

khat me parrne likhne ka he, wo roman me kahah.Hume konsi

aisi zaroorat parr gayi he ke hum Urdu ka Rasm ul khat tabdeel

kareh "Original Is Original".Meri Maadri zabaan Pashto he,me

Angrezi schooloh ka parra huwa hoon lehkin chunke mujhe

Urdu achi laghti thi iss liye Muthaleha kartha raha aur iss ko aisi

zabaan paya ke jiss me khud ko behter thor se, apne khayalaat

aur jazbaat ko bayaan (Express) kar sakthe hain.Har aik cheez

ke liye dilchaspi ka hona zaroori hotha he,aur jab aap ko kisi

cheez se lagao ho ga aap uss ke liye koshish kareh ge seekne ki

aur issi tarrah dilchaspi barrthi jaye gi.Siway Turkiyo ke mujhe

yaad nahih ke kissi aur Mulk ya Qaom ne Murawaj rasm ul Khat

tabdeel kiya ho.Jabke Turki me ye iss liye waqya pazeer huwa ke

"Zabardast Ka Jabbar" tha aur ussi ke yaani ATTA TURK ke

Page 20: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

complexes aur Arabioh se nafrat thi (Nahi nasal ke liye kohi

doosra raasta nahih tha ya uss se unn ko waqfiyat aur raghbat

he)no other way left & no alternative.Me samajhtha hoon ke

Urdu humare liye bahami raabthe aur apna "mahfi ul zameer"

wahzeh thor par bayaan karne ka zariya ban chuka he aur iss ki

saari khubsurati bhi iss ke Arabi rasm ul khat ki waja se he.Issi

se hum mahnoos bhi hain aur issi me hume lutf bhi aatha

he.Yahah Germany me har 20 Km par lahja aur dialect (Boli)

change ho jathi he (Aisa humare Pashto zabaan aur hilaqoh me

bhi he,siway Adabi Pashto ke) lehkin meri hat al wassa koshish

thi aur he ke humesha "Hoch Deutsch"(High German yaani

Adabi Germani) me ghuftagu karoo jis se taleem yaafta tabaqe

par aik musbat assar hotha he.Issi tarrah hume chahihe ke hum

apni Qomi zabaan ko ahmiat de,lagan se iss ko seekhe tab hi iss

Page 21: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

ki ahmiyat humare dilloh me barre ghi.Me tho iss cheez ka na

sirf qahil hoon balke iss par hamal bi karne ki koshish kartha

hoon ke aadmi apni asaliyat se pyar kare balke uss par fakhar

kare,usse issi tarah qabool aur maqbool kare jis se ke uss ki

infiradiyat aur ahmiyat barqarar rehthi

he.Ghalib,Iqbal,Faiz,Faraz Etc ko Roman me parrne mo lutf tho

nhih mille ga jo Asal rasm ul khat me he aur jis se apnahiyat ka

ahsaas bhi zinda rahtha he.Apni

cheezoh,asliyat,Tehzeeb,zaban,Aqdaar waghaira se pyar karreh.

Tue Sep 02, 2008 5:22 pm

_________________

Dr Maqsood Hasni

Page 22: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

Senior Proud Pakistani

punjab

Shukarreya janab, aap nay is hisas moamlay ki taraf puri

mohabat se tovajo farmae.

Mein seraf itna araz karma chahata hoon kah her cheez kay

apnay taqazay aur apni zarotin hoti hain ohain onhi kay

hawaloon say daikhna ziyada zarori faeda'mand hota hai. Oon

kay liay koee dosri ainak istamal main laein gay to masla olajhta

chala ja ay ga.

Mein qatan yah nahain kehna chahata kay roman rasm-ul-khat

khatam kar diya ja'ay yah sadyoon say raej chala aata hai. Is ki

zarorat hai is liay issay barqarar rehna chahiay. Aaj kay ehhad

Page 23: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

kay hawala say is ki teen zaroratain hain:

a- Net par word main ziyada tar likha jata hai.

b- Dev Nagri waloon say is kay hawala say rabta rehta hai jo

intahaee zarori hai.

c- Dusri zobanoon walay jo boltay aur samjhtay hai.n Yah oon

ki bhi zarorat hai.

Mazay ki baat yah kah donoon group (b, c) alfaz ki aawazoon ko

asal lehjay hi main bolain gay. Roman main toay aur tay kay liay

t mustamal hai. Tara ko toay say hi samjha ja'ay ga. Baat kay

liay t ko oski asa; aawaz say hi samjha aur bola ja'ay ga.

Japani main char tara kay lisani nazam raej hain (1- hiragana 2-

katakana 3- romji (romanji) 4- kanji) zoban par kya faraq par

raha hai?

Page 24: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

Kusch bhi to nahain.

Hind'santani (Urdu+Hindi) kay bhi 3 khat 3 hawaloon say

mojood rahain gay to kya qiyamat toot paray gi aur kya noqsan

ho raha hai jis ka azala na ho sakay ga?!. Yah 3noon hawalay se

apna vajood aur jawaz rakhtay hain.

Aap daikh lain Pakhto ki pasnch zati aawazain hain:

a1- seem

2- khein

3- ziem

b4- gay

5- nar

Roman main in ki mutradaf aawazain kahan say laein gay. Gher

Page 25: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

Pakhtonoon kay/say Rabtay kay liay roman khat ka istamal hota

hai to koee haraj nahain laikin pukhtonoon kay apnay

aalat-e-notaq aur moawan aalat-e-notaq hain is liay oon par yah

khat kayoon'kar impoz kiya ja sakta hai. Yah mumkin hi nahain

kah oon kay liay roman khat koee natija samnay la sakay ga.

Note:

Haan gher'push hazraat ke liay roman gher mofeed nahain.

likhaee ke liay tabadal awazaoon se kaam chalya ja sakta hai.

Tue Sep 02, 2008 9:19 pm

_________________

I K QAZI

Page 26: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

Moderator

Germany

Very right, thankfull to you for your work & concideration. Bus

Humari zabaan he, hume iss ko issi tarah qabool karna chahiye

aur iss ki iss ki apni mojhuda hahiyat me hi iss ki tarweej karni

chahiye.Pakhto (Pushto) ke muhtaliq aap ne teek kaha he, ab kal

ko loag hum se kahe ke Pashto ka Rasm ul khat bhi tabdeel kar

deh tho ye tho na munasib taqaza ho ga.Keep it up well

contributed.Wa Assalam Ramazan Mubbarak.

Thu Sep 04, 2008 6:16 pm

_________________

Page 27: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

Dr Maqsood Hasni

Senior Proud Pakistani

punjab

janab monasib ya na'monasib ki baat hi nahain, baat aawazoon

ki aadaegi ki hai.

urdu ki choti aawaz aur toay k liay siraf t hai. angraiz ki to

majbori hai laikin urdu bolanay walay ki kya majbori hai.

iesi tara pakhto ki 43 aawazoon main say baish'tar aawazain

kahan say aaein gi. morakbaat masla hal nahain kar saktay. wo

to eak haad tak sath daitay hain.

aap ki tovajo k liay mumnoon hoon.

Page 28: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

Allah Sahib aap ko kush rakhay.

Thu Sep 04, 2008 8:51 pm

_________________

Note:

احمد محمد

Yah dou isma arbi ke hain aur Aaqa Karim Oonn par un'haad

darood o salam ke naam hai roman main د ko d se likhna

mairi majbori ho gi laikin issay d se bolnay ka sawal hi paida

nahain kayoon'kah mein د bool sakta hoon. Bolnay ki

salahiat rakhtay howay nahain bolta to yah tohein ke zomray

main aa'ay ga.

I K QAZI

Page 29: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

Moderator

Germany

Dr.Sahab hum to huwe aam loag ye tho aap doctaroh ka kaam

he ke hamali taor par iss ke liye kaam kareh.Hum tho sirf Sara hi

sakhte hain beech ki gehrahiyoh ka idraak hume tho nahih ho

sakta aur na hi hum iss qabil hain ke adabi taor par iss me

contribute kar sakhe.Litrature aur thesis ka kaam tho uss zaban

par kaam karne walo ka hota he.Hum tho tehre "Pathro

Wale"(Gemology) be adab.Jin bareekiyoh ka zikar aap ne Pashto

ke mutahliq kiya he uss ka bhi Ilm mujhe ziyada nahih.Anyway

keep it up we can learn a lot from you.Wish you all the best.

Sat Sep 06, 2008 4:27 pm

Page 30: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

_________________

alisarwar

MAY BE THE WILL CALL IT UDRU NOW

Sat Sep 06, 2008 5:10 pm

_________________

Dr Maqsood Hasni

Senior Proud Pakistani

punjab

inayat khan qazi wrote:

Page 31: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

Dr. Sahab hum to huwe aam loag ye tho aap doctaroh ka kaam

he ke hamali taor par iss ke liye kaam kareh.Hum tho sirf Sara hi

sakhte hain beech ki gehrahiyoh ka idraak hume tho nahih ho

sakta aur na hi hum iss qabil hain ke adabi taor par iss me

contribute kar sakhe.Litrature aur thesis ka kaam tho uss zaban

par kaam karne walo ka hota he.Hum tho tehre "Pathro

Wale"(Gemology) be adab.Jin bareekiyoh ka zikar aap ne Pashto

ke mutahliq kiya he uss ka bhi Ilm mujhe ziyada nahih.Anyway

keep it up we can learn a lot from you.Wish you all the best.

aap nay is say pehlay khoob khoob likha hai.

aap ki shirkat say bari madad mili hai.

likhtay rahain.

shukarreya janab.

Page 32: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

Sat Sep 06, 2008 6:12 pm

_________________

Dr Maqsood Hasni

Senior Proud Pakistani

punjab

alisarwar wrote:

MAY BE THE WILL CALL IT UDRU NOW

kindly zara khul kar baat karain,

shukarreya.

Page 33: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

Read more:

http://www.forumpakistan.com/urdu-kay-rasam-ul-khat-ki-tab

dili-ka-masla-t14907.html#ixzz4Fh7lYiQ3

URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA

MASLA

Page 34: URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA

Maqsood Hasni

Abuzar Barqi Kutab'khana

July 2016