raddalbani

25
رہ ف غ م ہ و رکات ب ی و ل عا ت لہ ل ا مہ ح م و ر ک ی ل ع لام س ا ق ی ق ح ت ی ک د ج ت لہ ل ی ا ض ر ر م ع4 ن ب لہ ل د ا ی ع ا دن ی س ن می ع م ا ی ج ن@ پ ے ا ن ی رمد بام ن ام می ح ی ح ص ی ن@ پ ے ا ن اری ج تام ام ی :K ئ رما ف ہ دعا ے ت ن م سل ہ و ی ل ع ی ل عا ت لہ ل ی ا صل لہ ل ول ا س ی کہ ر ک ت ی ے روا س ما\ ہ عن ی ل عا ت4 ن م ی مارے\ ہ ےK لئ مارے\ ہ لہ ل دے ، اے ا ت کر ب ن می امk مارے س\ ہ ےK لئ مارے\ ہ لہ ل اے ا لہ ل اے ا ا رمان ف ر ھ@ پ ب اس ی\ ہ ب ن می د ج ت مارے\ ہ اور ا ی ک رض ع ے ن وں گ و ل ہ@ چ ک دے ت کر ب ن می ت کر ب ےK لئ مارے\ ہ ن می4 ن م ی مارے\ ہ لہ ل دے اے ا ت کر ب ےK لئ مارے\ ہ ن می امk مارے س\ ہ4 ماں گ ن می) ا\ ہ ک ے ن راوی( لہ ل ول ا س ار ن ن می د ج ت مارے\ ہ اور ا ی ک رض ع ے ن وں گ و ل4 دے اں ے گ ن لی ک ن رو ی ت ے ک4 طاں یk س ے س اں\ ن وہ ہ ے ئ ت ف ے اور ل ر ل اں ر\ ا رہ رمان ف ہ ار ت ری ن س ی ت وں کہ\ ہ ا رن ک ی ق رk س م مالk ش ی ور ھ پ ی سک ج ہ ہ وت ص ی ق رk س م کا رب ع4 ن می ر ر س راد م ے س د ج ت ن میk ت ی اس جد¥ ارک ی م د\ ہ ع ے ک م سل ہ و ی ل ع ی ل عا ت لہ ل ی ا صل دس ور اف ض ح ہ لاق ع ہ ت ہ ل ص ی م ے س راق ع رجد س ن ہ ے ک4 ن می ی ر@ چ ت ی او عن م وی غ ل ے ک د ج ت ہ ا لان\ ہ ک ی\ ہ د ج ت ی ھ پ4 ا·ج ھا پ ا لان\ ہ ک د ج ت ی ھ پ ن می د ج ت ام س کا ن ے اK لئ \ے اس ہ ا@ ج ت ن او ہ ے ہئ ک امہ\ ہ ب ے جس ے ک ے حص ی ئ ر مغ ت ب س ن ہ صہ ت ح ہ کہ ت ن و@ چ ا ی گ ا ی ل راد م ن ہ ب راق ع ر ک ول ب د ج ت ی ھ پ ی ھ کب¥ ک ت ج· ر ا ک ے ل ے س ت ل د رسا\ ہ ع ا ب

Upload: ahamad-raja

Post on 10-Sep-2015

222 views

Category:

Documents


2 download

DESCRIPTION

raddAlbani

TRANSCRIPT

:

( )

:

" " " "

" "

" "

Imam Bukhari aur Imam Tirmidhi Hazrat Syedna Abdullah bin Umer (Radi Allahu Anhu) se riwayat ki ke Rasool ne dua ki;

"Aye Allah! Hamaray liye Shaam mein barkat day. Aye Allah! Hamaray liye Yemen mein barkat day. Kuch logo ne arzz kya 'aur hamaray najd mein bhi'. Iss per phir farmaya, aye Allah! Hamaray liye Shaam mein barkat day. Aye Allah! Hamaray liye Yemen mein barkat day. Inn logo ne arzz kya 'aur hamaray Najd mein Ya Rasool Allah (Sallallahu Allaihe Wasallam)?' (rawi ne kaha) mein gumaan karta hon ke teesri baar ye farmaya (Najd ke liye kaisay dua karo?) Waha zalzalay aur fitnay hain, waha se shaitaan ke pairoo niklay gay.(Sahih Bukhari, Vol. 1, pg. 141Tirmidhi, Vol. 2, Pg. 234)

Ab aiye un dalail per ke jin se Najd se wohi Najd sabit hota hai ke jaha se Mardood Muhammad ibn Abdul Wahab nikla.

Pehli Daleel:

Najd ka lughwi maani "Onchi Zameen" hai, lekin Quran-o-Ahadiths mein alfaaz ke wohi maani muraad hotay hain jo urf mein shaya hon, matlab ke jo most common aur general hon. Jab "Najd" Arab ke aik makhsoos ilaqay ka naam hai (abhi se nahi, Zamana-e-Risalat se) aur ye sab ko maloom bhi tha to yaha "Najd" se yehi ilaqa muraad hai na ke iss ke lughwi maani. "Najd" Zamana-e-Risalat mein bhi "Najd" hi kehlata tha aur "Iraq" zamana-e-Risalat mein bhi "Iraq" hi kehlata iss ke gawah Bukhari-o-Muslim hain!

Doosri Daleel:

Iss hadiths mein, baghair kisi shakk-o-shubeh ke "Shaam" aur "Yemen" se muraad makhsoos mumalik hi hain, na ke lafz "Shaam" se dopeher ke baad wali "Shaam" muraad hai. Agar lughwi maani mein lakeer ka fakeer ban kar hi hi istimaal karna hai to phir in dono naamo ke saath bhi aap hazrat ko aisa hi khail khailna chahiye.

So qareena-e-qawiyya yehi hai ke yaha "Najd" se muraad Arab ka khitta "Najd" hi murad hai.

Ab aaiye deegar aqwaal ki taraf.

"Najd iss choori zameen ka naam hai jis ke ooper Tahama aur Yemen hai aur neechay Iraq aur Shaam."(Muajjam-al`baldan, Vol. 5, Pg. 262, by Yaqoot bin Abdullah al`Hamwi)

Geography ki kitaaboo mein intihai mustandd kitab hai ye.

"Suno! Bey`rehmi, sangdili.. kaashtkaaro aur auntoo ki dumoo ki jaroo ke paas hai, Rab`eya aur Mizr mein jaha se shaitan ke 2 pairoo niklaye gay."(Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 466)

Baaz riwayato mein ye bhi hai ke Umm-ul Momineen Hazrat Ayesha Siddiuqua (Radi Allahu Anha) ke hujra-e-mubarak ke paas kharay ho kar Mashriq ki taraf ishara kar ke farmaya ke fitna idher hai, jaha se shaitan ke pairo niklay gay.

Atlas uthaiye, Minbar-e-Aqdas se Hujra-e-Ayesha (Radi Allahu Anha) ki taraf khatt khainchiye Mashriq ki taraf, bilkul Najd ke beech se guzray ga.

Yaha se pehla fitna baramadd howa Musalyma Kazzab aur doosra issi Najd ke ilaqay Ainiya jaha Musalyma Kazzab paida howa wahi se nikla Muhammad ibn Abdul Wahab Najdi.

"Mashriq ki janib se kuch loog niklay gay jo Quran parhay gay magar unn ke halaq say agay nahi barhay ga. Deen se iss tarah nikal jaye gay jaisay teer nishaana paar kar ke nikal jata hai. Iss ke baad deen mein lootay gay nahi, yaha tak ke teer apnay chalay ki taraf lootay. Poocha gaya inn ki alamat kya deen hai? Farmaya, in ki alamat sarr mundana ya tasbeed (payshaani ka ghatta)."(Sahih Bukhari, vol. 2, Pg. 1128)

Wahabiyo se pehlay jitnay bad`mazhab aye kisi mein ye nishani nahi thi. Albatta najdi wahabiyo ne zaroor sarr mundanay ko apna tareeqa banaye rakha.

Sheikh Allama Syed Zaini Dahlan likhtay hain:

"Ye hadiths najdiyo ke baray mein sareeh hai........

Ibn Abdul Wahab in auratoo ko bhi sarr mundanay ka hukum deta jo uss ke mazhab mein dakhil hotien. Aik baar aik aurat nay iss per hujjat qayam kar di, ye aurat bil`jabr iss ke deen mein dakhil ki gai aur najdi ke za`m ke mutabiq iss ne tajdeed-e-islam kya.

To najdi ne iss ka sarr mundana ka hukum dya. Iss aurat ne kaha agar apnay mardo ki daarhiya mundanay ka hukum de to tujhay jayaz hoga? Ke auratoo ke sarr mundanay ka hukum de. Iss liye ke auratoo ke sarr ka baal, mardoo ke darhiyoo ke ba`manzil hai. Iss per woh kafir mabhoot ho gaya aur uss se koi jawab na ban para."(Ad`darr` al`sunniya, Pg. 42)

Wahabi Najdiyo se jab kuch nahi ban parta tu iss hadith se "Iraq" muraad lete hain aur uss per apni bay'sar-o-paa dalail de de kar jaan halkaan kartay hain. Aiye ab zara Iraq ke baray mein bhi parh letay hain.

Kanz-ul-Aamaal mein ba`hawala Masnad Imam Ahmed aur Ibn Asaakar issi qism ki hadiths mojoud hai jo kaafi tafseeli hai. Uss mein wa` fi Najdna ke bajaye wa` fi Mashriqna hai. Issi mein Hazrat Ibn Umer (Radi Allahu Anhu) ki hadiths mein wa` al-Iraq hai. Issi tarah Jame-al`Amkana mein Imam Hassan Basri (Radi Allahu Anhu) mein aisa hi hai.

Inhi riwayat ki bina per aap ghair`muqallideen apni poori quwwat se Iraq ko Najd sabit karnay ki na`kaam koshish kartay hain. Lekin apnay tamaam usoolo ko bhool jatay hain ke jin per aap ki iss Ghair`Muqallidi ki bunyaad qayam hai.

Ghair`Muqallideen ke mazhab ki bunyaad iss per qayam hai ke Bukhair aur Muslim ko choor kar Abu`Daud ki hadiths bhi ghair`mutabirr, to phir Bukhair aur Tirmidhi ki maariz, Ibn Asaakar ki hadith aap ke nazdeek kaisay mutabirr ho gai??

Khud Shah Waliullah (Rehmatullahe Allaihe) ne Abu Daud ko Tabqa-e-Sania mein aur Ibn Asaakar ko Tabqa-e-Raabiya mein rakha hai.

To ghair`muqallideen jin ke mazhab mein Bukhari-o-Muslim ke maariz Abu`Daud (Tabqa-e-Sania) ke hadiths ghair`mutabirr, jis ka darja-e-sehat Bukhari-o-Muslim ke baad baqiya Sihah`Sitta se muqaddam hai to Iraq ki baat per Bukhari-o-Tirmidhi ki Sahih Hadiths ko choor Ibn Asaakar (Tabqa-e-Rabiya) ki hadiths ko daleel banana to seedha seedha loota`pana hai janab.

Ghair`muqallideen ka iss baat per ijmaa hai ke Hadiths-e-Munqataa, Mursil, laik-e-istinaad nahi. Hazrat Imam Hassan Basri se marwi jo hadiths hai woh Mursil Munqataa hai, kyu ke Hassan Basri ki mulaqaat Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) say nahi howi. Iraq se dushmani mein apnay banaye howay usoolo ko aap khud hi toortay hain.

Iraq ka naam Iraq iss liye para ke who Najd se neechay samandar se kareeb hai.(Muajjam-al`baldan, Vol. 4, Pg. 95 by Yaqoot bin Abdullah al-Hamwi)

Muajjam-al`baldan, qadeem Geography ki intihai mustanadd kitaab hai, aur saaf gawahi de rahi hai ke Iraq, Najd se neechay hai. So agar lughwi maani bhi istimaal kiye jaye tab bhi Najd se muraad Iraq nahi balkay Najd hi sabit hota hai.

Her tareeqay se yehi sabit hota hai ke Ehd-e-Risalat se le kar aaj tak Najd, jazera-e-Arab ka aik Khitta hai jo iss ke Mashriq mein moujoud hai aaj kal Saudi Arabia ka hissa hai. Ab issay lughwi maani ka labada pehnana tehreef-e-maanwi hai aur kuch nahi. Aur hadiths mein tehreef karnay ka kya matlab iss se aap bakhoobi waqif hongay.

Ab aaiye aap ko mazeed ahadiths dikha don.

Imam Bukhari, Imam Muslim aur Imam Ahmed nay mukhtalif alfaazo mein Hazrat Abdullah bin Umer (Radi Allahu Anhu) se riwayat kiya:

Mein ne Rasool (Sallallahu Allaihe Wasallam) ko dekha ke mashriq ki janib ishara kar ke farmaya ke fitna waha hai, be`shakk fitna waha hai, waha se shaitan ke pairoo niklay gay.(Sahih Muslim, Vol. 4, Pg. 2228-2229, BeirutMasnad Imam Ahmed, Vol. 2, Pg. 18-40-91-111-121-140-143, Qurtuba, Misr.Masnad Imam Ahmed, Vol. 2, Pg. 73Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 463)

Imam Bukhari ne Sayedna Abu Huraira (Radi Allahu Anhu) se riwayat kiya:

Kufr ki jarr mashriq ki taraf hai. Takabburr aur ghamandd, ghooray aur aunt waloo kasht'karoo aur khaimay walo mein hai.(Sahih Bukhari, Vol. 3, Pg. 202, Dar` Ibn Kathir, BeirutSahih Muslim, Vol. 1, Pg. 72-73, Darul`Ihya at`Tiras al`Arabi, BeirutMasnad Imam Ahmed, Vol. 2, Pg. 202-418-506, Darul`Harmain, Qahira)

Imam Bukhari nay Hazrat Uqba bin Aamir aur Hazrat abu Masud Ansaari (Ridwan Allahe Allaihe Ajmain) se riwayat kiya ke Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne farmaya:

"Suno! Bey`rehmi, sangdili.. kaasht'kaaro aur auntoo ki dumoo ki jaroo ke paas hai, Rab'ia aur Mudar mein jaha se shaitan ke 2 pairoo niklaye gay."(Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 466Sahih Bukhari, Kitab Bid`al`Khalq, Hadith 3057Sahih Muslim, Kitab-ul-Imaan, Hadith 72) Ab aiye dalail ki taraf.

1. Medina Tayyaba se Mashriq Najd hai na ke Iraq. Iraq Shumal ki taraf hata howa Mashriq aur Shumal ke koonay per hai, matlab ke Shumal Mashriq.

2. Jaisay ke peechay bhi likh chuka, baaz riwayato mein ye bhi hai ke Umm-ul Momineen Hazrat Ayesha Siddiuqua (Radi Allahu Anha) ke hujra-e-mubarak ke paas kharay ho kar Mashriq ki taraf ishara kar ke farmaya ke fitna idher hai, jaha se shaitan ke pairo niklay gay.

Atlas uthaiye, Minbar-e-Aqdas se Hujra-e-Ayesha (Radi Allahu Anha) ki taraf khatt khainchiye Mashriq ki taraf, seedha Najd per guzray gay.

3. Hazrat Uqba aur Hazrat Abu Masud (Ridwan Allahe Allaihe Ajmain) ki hadiths meiun Rab'ia aur Mudar ka zikr hai jo uss Ehd mein Najd mein thay na ke Iraq mein. Rab'ia ke baray mein Najdi ki gawahi sun lijiye:

Rab'ia bin Nazaar, Najd se Yemen tak ke baadshah thay..

Issi ki hashiye mein likha hai;

Rab'ia ki shaakho ki bastiya Najd-o-Tahama, Yamama, Bahrain mein theen, Iraq TAK.(al`Wajd fi`nisaab, Mulook Najd, Pg. 31 by Rashid bin Musheer)

4. Hazrat Uqba aur Hazrat Abu Masud (Ridwan Allahe Allaihe Ajmain) ki hadiths mein Shaitan ke 2 pairoo ka zikr howa. Pehla to sari ummat jaanti hai ke Musaylma Kazzab, doosra uss ka hum'watan Ibn Abdul Wahab Najdi Maloon. Musaylma Kazzab bhi Mizr se tha aur Ibn Abdul Wahab bhi.

Aur sab se bari daleel jo qayamat tak tamaam Wahabi ke sarr per mandalati rahay gi.

Bukhari mein Syedna Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) se marwi hai ke Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne farmaya:

Mashriq ki janib se kuch loog niklay gay jo Quran parhay gay magar unn ke halaq se aagay nahi barhay ga. Deen se iss tarah nikal jaye gay jaisay teer nishana paar kar ke nikal jata hai. Iss ke baad deen mein lootay gay nahi, yaha tak ke teer apnay chalay ki taraf lootay.

Poocha gaya inn ki alamaat (nishani) kya deen hai? Farmaya, Inn ke alamaat (nishani) sarr mundana (ganja hona) hai ya tasbeed (payshaani ka ghatta)(Sahih Bukhari, Vol. 2, Pg. 1128Sahih Bukhar, Vol. 2, Pg. 2784, Dar Ibn Kathir, BeirutMasnad Imam Ahmed, Vol. 3, Pg. 64/464, Qurtaba, MisrSunan Ibn Majah, Vol. 1, Pg. 62, Darul`Fikr, Beirut)

Iss hadiths mein 2 batein wazeh hoti hain. Aik to mashriq se iss fitnay ka zahoor aur doosra inn ki sarr mundanay ki alamat. Wahabiyo se pehlay koi aik bad`mazhab firqa bata dijiye jis ki nishani sarr`mundana ho.

So in tamaam ahadiths aur aqwaal ko madd-e-nazar rakhtay howay to Wahabiyoo ki Najdiyatt sarr se paoo tak tapak rahi hai. Ab aaiye aap ko Iraq ki haisiyatt bhi dikhata chalo.

Syedna Zaid bin Sabit (Radi Allahu Anhu) se marwi hai ke;

Rasool (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne Yemen ki taraf deka aur ye dua farmai, Aye Allah! Inn ke dilo ko meri taraf mayal farma aur Iraq ki taraf dekha aur ye dua farmai, Aye Allah! Inn ke dilo mein meri taraf mayal farma, aur Shaam ki taraf dekha aur ye dua farmai, Aye Allah! Inn ke dilo mein meri taraf mayal farma, Aye Allah! Hamaray liye sa`aa aur hamaray madd mein barkat ataa farma.(Kanzul-ul-Aamaal, Vol. 9, Pg. 136Muajjam-ul-Sagheer, Vol. 1, Pg. 173, al`Maktabt-ul-Islami, BeirutMuajjam-ul-Kabeer, Vol. 5, Pg. 116, Maktabat-ul-Uloom wa`Hikm, Mousal)

Iss mein lafz Iraq nazar aaraha hoga aap ko yaqeenan.

Nabi (Salllallahu Allaihe Wasallam) ne Shaam ki taraf nazar ki aur ye dua ki, Aye Allah! Inn ke dilo ko apni ataa'at ki taraf mayal farma aur inn ke ird`girdd apni rehmat ghair de. Phir Yemen ki taraf nazar ki aur iss ki misl dua farmai, phir Iraq ki taraf nazar ki aur waisay hi dua farmai.(Majmoa`-al`Zawaid, Vol. 3, Pg. 304, Darul Riyan-ul-Tiraas, Qahira, Darul Kitab al`Arabi, Beirutal`Adb-ul-Mufarrid, Vol. 1, Pg. 169, Darul Bashair-ul-Islamiya, Beirut)

Umm-ul-Momineen Hazrat Umm-e-Salma (Radi Allahu Anha) nay farmaya;

Imam Mahdi ki khidmat mein Shaam ke abdaal aur Iraq ke loog giroh`dar`giroh hazir ho kar bayt karein gay.(Sunan Abu Duad, Vol. 4, Pg. 107, Darul`Fikr, BeirutSahih Ibn Hibban, Vol. 10, Pg. 59, Beirut)

Ab ye Iraqi saray ke saray kaun hon gay? Khawarij, Rawafiz, Mutazilla ya Ghair Muqallid??

Ghair'muqallideen ki aik aur chaal iss mouqay per ye bhi hoti hai ke Najd ke Banu Tamim ki tareef mein ahadith paish kartay hain. Abhi kuch arsay pehlay hi aik ghair'muqallid ne ye ahadith paish ki;

=============================================================Sahih Bukhari:

I have loved the people of the tribe of Banu Tamim, ever since I heard three things the Messenger of Allaah , sallallaahu alayhi wa sallam, said about them. I heard him saying, 'these people (of the tribe of Banu Tamim) would stand firm against the Dajjaal.' When the Saddaqat from that tribe came, the Messenger of Allaah , sallallaahu alayhi wa sallam, said, "these are the Saddaqat (charitable gifts) of our folk." Aa'ishah had a slave girl from that tribe, and the Prophet , sallallaahu alayhi wa sallam, said to Aa'ishah, 'manumit her as she is a descendant of Ismaa'eel, alayhis salaam.'

Musnad Ahmad ibn Hanbal:

"do not say of Bani Tameem anything but good, for indeed they are the severest of people in attacking the Dajjaal."=============================================================

Iss ka bhi paishgi jawab hazir hai;

Imam Bukhari nay Hazrat Imran bin Hassain (Radi Allahu Anhu) se riwayat ki hai ke;

Bani Tamim ke kuch loog Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ki khidmat mein aye to Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne inn se farmaya, Aye Bani Tamim, tumhay basharat ho. Unho ne kaha, Aap basharat to de chukay kuch (maal) dijiye. Iss per Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ka chehra badal gaya. Iss ke baad Ihl-e-Yemen hazir howay to farmaya, Aye Ihl-e-Yemen! Basharat qubool karo jab ke Bani Tamim nay issay qubool nahi kya. Unho ne arz kya, Hum ne qubool kya.(Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 453Sahih Bukhari, Vol 3/4, Pg. 1165/1594, Daar Ibn Kathir, YamamaSunan Tirmidhi, Vol. 5, Pg. 732, Darul`Ihya al`Tiraas al`Aarabi, BeirutMasnad Ahmed, Vol. 4, Pg. 432-433, Qurtaba, Qahira.)

Chaliye, ab saaf sabit hai ke Basharat to be'shakk Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne Banu Tamim ko di, lekin inn bad'bakhtoo ne ussay qubool na kya. Mazeed ye ke gustakh-e-Rasool (Sallallahu Allaihe Wasallam) Zul`Khuwaisra bhi Banu Tamim se hi tha.

Hazrat Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) farmayta hain ke;

Hum Rasool Allah (Sallallahu Allaihe Wasallam) ke khidmat mein hazir thay, aur Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) (juraana mein maal-e-ghaneemat) taqsem farma rahay thay. Itnay mein Zul`Khuwaisraa aaya aur ye Bani Tamim ka aik shakhs tha aur ye kaha, Ya Rasool Allah (Sallallahu Allaihe Wasallam) Insaaf karo.

Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) nay farmaya, agar mein insaaf na karo to kaun insaaf karay ga. Agar mein insaaf na karo to too khaib-o-khasir ho gaya.

Iss per Hazrat Umer (Radi Allahu Anhu) nay arz kya, Ijazat dijiye, mein iss ki gardan uraa don. Farmaya issay choor do, ke iss ki peeth say aik qoum paida hogi ke tum loog apni namazoo ko inn ki namazoo se aur apnay roozo ko inn ke roozo se haqeer janoo gay. Quran parhay gay magar halaq se agay na barhay ga. Deen say aisay nikal jaye gay jaisay teer nishanay se nikal jata hai.(Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 509)

Underlined farmaan-e-Rasool (Sallallahu Allaihe Wasallam) per ghour kijiye. Yehi alfaaz "Najd" wali hadiths mein Najdiyo ke liye bhi irshaad howay.

Mazeed iss zaman mein doosri ahadith, mukhtalif alfaaz ke saath Sahih Bukhari, Vol. 2, Pg. 624, Masnad Ahmed Vol. 4, Pg. 25-424 aur Sunan Nisaee, Vol. 2, Pg. 73-172 mein bhi mill jaye gi aap ko.

Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ki khidmat mein Zul`Khuwaisra aaya jo Bani Tamim ka fard tha, jis ke baray mein ye Ayat nazil howi. Munafiqeen mein se kuch woh hain jo sadqaat ke mamlay per Aap (Sallallahu Allaihe Wasallam) per taan kartay hain.(Marqaat-ul-Mufateh, Vol. 5, Pg. 456 by Ali bin Sultan Muhammad Qari)

Inn sab se zyada sareeh ye hai ke ye maghroor Muhammad bin Abdul Wahab Banu Tamim se hai, to ho sakta hai ye Zul`Khuwaisra Tamimi ki nasl se ho, jis ke baray mein hadiths aiee hai ke iss ki nasl se aik qoum paida hogi.(Ad`daar` al`sunniya, Pg. 51)

:

( 262 )

:

( 95 )

:

( 31 )

:

:

( 212 )