apple benefits in urdu saib ke faide

8
Apple| Saib Ke Faide| Apple Benefits In Urdu Saib ke faide urdu Zuban Mae Made By Khurram Shahzad(Naturopath Specialist) Web: www.ALLhealthHERE.com

Upload: health-tips

Post on 20-Jun-2015

5.438 views

Category:

Health & Medicine


8 download

DESCRIPTION

Apple Benefits In Urdu. Apple ke faide. Saib ke faide. Health benefits of apple. Saib ke faide sehat ke lie. Saib Health benefits in urdu.

TRANSCRIPT

Page 1: Apple Benefits In Urdu Saib ke Faide

Apple| Saib Ke Faide| Apple Benefits In UrduSaib ke faide urdu Zuban Mae

Made By Khurram Shahzad(Naturopath Specialist)

Web: www.ALLhealthHERE.com

Page 2: Apple Benefits In Urdu Saib ke Faide

Apple ( Saib) Apple (saib) is a fruit. It is very nutritious and

healthy fruit. Apple is one of the best, healthy and tasty fruit in whole World. The famous

saying about Apple, an Apple in a day keeps the Doctor away. Apple has many more kinds.

Fresh apple has 84 % Water. Apple has phosphorus more than all fruits and

vegetables. It is the best tonic for face skin. In this page you will find Apple benefits In

Urdu (Saib Ke Faide) In Roman Hindi.

Page 3: Apple Benefits In Urdu Saib ke Faide

Fruit Se Ilaj (Phalon Se Ilaj) ALLAH TA’ALA ne insane ko barhi azeem

neymaton se nawaza hai. In he neymaton mein phal (fruit) aik numayan hesiyat ke hamil hain, jo na sirf ghizai ajzaa se bharpor hain, bal ke ALLAH PAK ne in mein sehat o tandrusti ke liye aesi aesi khusosiyat ataa farmai hain ke in ke samne barhi barhi medicines bhi kuch nahi hain. Yehi wajah hai ke maghrib mein fruits mein ghizaon, fruit se ilaj (phalon se ilaj) to baqaiyda tibbi science ki shakal ikhteyar kar chukka hai.

Page 4: Apple Benefits In Urdu Saib ke Faide

Apple Benefits In Urdu Fruits mein saib (apple) ko sab se ziyada sehat o tawanai bakhsh,

lazeez tareen phal qarar diya gaya hai. Apple aik khush zaiyqa, khush rang aur khush shakal fruit hai. Is ki senkaron iqsam hai. Saib (Apple) mein nisf hissa thos hota hai aur is mein ziyada protein aur khaand hota hai. Apple apni ghizaiyat ke lihaz se duniya bhar ka maroof fruit hai. Bache, borhey, naujawan, bimar aur tandurust sab he shuaq se khate hain. Fresh apple mein 84 % water hota hai. Saib (Apple) mein phosphorus sare fruits aur vegetables se ziyada hota hai. Aur peels mein hiyateen aur vitamin C bhi bohat ziyada paya jata hai. Is lihaz se apple ka jhilka waste kar dena sahi nahi. Apple peel ko aik qeemti chez samajh kar istemal karna chahiye. Apple (saib) na sirf aik behtreen sehat bakhsh ghiza hai, bal ke is ke istemal se khoon saaf hota hai. Face ki skin ke liye apple se acha koi tonic nahi. Is ke istemal se face color, jild mulaiym aur rukhsar surkhi se bharpor ho jate hain. Rozana niharmou aik se 2 apple ka istemal sehat ko qabil e rashk bana deta hai.

Page 5: Apple Benefits In Urdu Saib ke Faide

Apple Ke Faide Apple (Saib) meyde mein pohanch kar pepsin

ko tez karta hai. Jis se hazme mein madad milti hai. Bhook barhti hai, lever ka feyl bhi tez ho jata hai. Jis ke natijey mein khoon ki peydaiysh bhi barhti hai. Apple mein phosphorus ka qudrati khazana hai. Is liye khoon ki kami wale patients ke liye to apple aik meymat hai au raise hazrat ke liye to is azeem neymat KHUDAWANDI se mustafeed na hona kufran e neymat ke mutaradif hai.

Page 6: Apple Benefits In Urdu Saib ke Faide

Saib Ke Faide Apple (saib) ke peels ko hamare han aam taur

par waste kar diya jata hai. Jab ke apple ke jhilke se nihayat khush zaiyqa lazeez tea tayyar hoti hai, jo aam istemal hone wali tea, coffee, qehwa ki tarha muzir rasa’an nahi, bal ke sehat o quwwat bakhsh hai aur is mein lemon juice aur honey ka izafa kar liya jae to is ke fawaiyd do chand ho jateh hain. Yeh tea pechish aur bukhar muhraqa ki kamzori ko door karne ke liye mashoor aalam Maqwi mashroob Oval teen ka kaam deti hai.

Page 7: Apple Benefits In Urdu Saib ke Faide

Saib Ke Faide Saib (Apple) aik aala, nafees, khush zaiyqa ghiza hone ke sath sath apni

dawai shifa bakhsh asraat ke aitebar se dosre fruits se mumtaz hai. Salaha saal se aazmoda hai, is ke chand aik tibbi ausaf darj zeyl hain.

* Mote Mote apple le kar in ke andar se seeds nikal dain aur knife se peel off kar ke pani mein halka josh den, neem pukhta hone par sugar ki chashni daal kar thori dair pakaen, qawam pakne par utar kar mehfooz kar len aur bawaqt subha bataur nashta apple warq naqrah mein lappet kar istemal karna, maqwi qalb aur maqwi dimagh hai.

* Fresh apple juice mein qadre kali mirch ( Pisi hui ) zeera aur salt mila kar piyen, is se bhook mein izafa hoga, ghiza juzo badan milne mein madad milegi aur meyda taqatwar hoga.

* Har roz subha ke waqt Bahi dana 3 mashey potli bandh kar 3 chitank pukhta apple ke juice mein josh den aur thanda kar ke pilaen. Chand yaum ke istemal se be khuwabi ka marz khatam ho jaega.

Page 8: Apple Benefits In Urdu Saib ke Faide

Urdu Helpline is Helping YOU

Visit for more fruits benefits in complete Urdu fonts

Maziad Phalon ke fawaid Parhne ke lie Visit Karien

Urdu Helpline