shabnam: kya tum ab bhi gaati ho - merikavita.infomerikavita.info/shabnamkyatumabbhigaatiho.pdf ·...

70

Upload: phamngoc

Post on 28-Jul-2018

286 views

Category:

Documents


7 download

TRANSCRIPT

Page 1: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye
Page 2: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 2

©Arun Bansal

Year 2012

Version 1.0

Arun Bansal,

#3110 GF, LIG Flats Sector 52

Chandigarh

09855443849 www.merikavita.info

[email protected]

Published By Saahb Informatics

www.saahbinformatics.com

Page 3: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 3

Meri baaton mein ab naya kya bacha hai 'saahb' Wohi mohabbat wohi dard wohi zindgi wohi tum ho

Humaara Har qissa ek zindgi ka marm liye tha

Unki dilchaspi kuchh chunida baaton mein thi

Karaar kahaan aashik e jaana ko 'saahb' kaho

Butkada ho ya masjid taskeen e wasal kahaan hai

Lagti hai jahaan jahaan bister ki silwatein 'saahb'

Azaar e mohabbat se tees o chees ek saath uthti hai

Adaa e yaar ki khubi dekhi humne ek aur

Uske waade per farishtey bhi laut gaye

Kaanton pe guzar karte karte, yeh aadat huyee

Neend ko gulaab milein to main so nahin paata

Masjid mein neend aa gayee, to shekh g naraaz ho gaye Kehte ki main jagaaye jaata hoon khuda, ab tera kya karoon

Neend bhari hai mujh per,

Tumne yeh kaisa waqt chuna

Khaab mein aane ka

Raahtein ishaq ki yun to aur bhi hein

Jo taskeen magar rone mein hai, aur kahaan

Page 4: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 4

Rona roya kiya saari duniya ne masla ishaq hai

Jo itna hi bura hai 'saahb' to chhod kyon nahin dete

Mohabbat yun to badi hi dilnawaz hoti hai magar

Is manzil se pehle raaste bade dushwaar hote hein

Chiraag e dil badi der se jal raha hai 'saahb'

Ab to bujha do ki tel khatam baati khatam jaan khatam

Khaab to waqt kati ko hein 'saahb' Inse nazar milti hai na nazaara

Chala jaata hoon zindgi ke raaston per yeh tammana liye

Qadam na rukein kabhi 'saahb', manzilein pukaarti reh jayein

Tarer kar aankhein usne mujhe dara liya

Haunsla jo kar ke gaye they, nakaafi tha

Meri bekhudi mujhe le aayee hai phir yahaan

Yaad nahin mujhe kaise nikala gaya tha main

Aakhiri dum chhod gaya, besahaara mujhe Asshik e dil mera bada maskeen nikla

Logon se kya kehte kissa hum wasal ka

Jise gunah samjhe wohi taskeen nikla

Main sakoon e yaar ki talaash mein 'saahb'

Dair o haram o maikada o mazaar ja chuka Nahin milta hai sakoon e dil aajkal kahin

Main dil o nazar o khaab o bazaar ja chuka

Page 5: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 5

Shajar e mohabbat ke saaye mein 'saahb'

Kyon mazhub o siyaasat nahin baith sakte

Parchaayiaan bhi ab to dagabaaz lagti hein

Tere jaane ke baad kissi per yakeen nahin hota

Ishaq ka sauda kar dijiye kissi tarah 'saahb'

Jo bike na to kuchh de ke jaan chhuda lijiye

Tere hone se khuda ka shukriya magar Mera hota to yakeenan sajda bhi karte

Umeed e wafa mere dost? Karo, zarur kiya karo Yun bhi ishaq zehan mein kharaabi daal deta hai

Faasle mit jaate hein muskurahat se bhi

Mod kaisa bhi ho, muskura ke mila karo

Shekh ji se maangte hein duayein pyaar ki

Hota jo inke haath mein, shekh kyon bante

Mohabbat mein itni bhi ana nahin rehti 'saahb' Bewafa ko bewafa kehna bhi gunaah samjha gaya hai

Page 6: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 6

Mohabbat ek silsila hai taveel utaar chadaav ka

Har mod khusbsurat hai agar haath, haath mein rahe

Umeed e wafa mein kuchh gunjaayish bhi chhod do

Kya para kal waqt kaisa mahaul kaisa yaar kaisa

Aahtein patton ki bhi ho sakti hein 'saahb'

Dil ko samjha lo ki tez dhadkana theek nahin

Kaagazon per likh kar paigaam e dil bhejte rahe Kya pata tha ki saboot ban jayenge ek din yahi

Sataye huye hein mohabbat ke woh 'saahb' Na haal puchhiye ki, bhadak jayenge woh

Parinde chhod nahin sake pinjre ki roti

Shajar todne waalon ne yeh kaum bebas kardi

Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska

Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

Hum tere intezaar se zinda hein Saanson ke mohtaaj nahin hein

Page 7: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 7

Chiraag e munsif jala bhi to, tere shehar mein

Ghar mazloomon ka hi jala, aaropi saaf bari hein

Kaabil e gaur baat yeh ki mohabbat hai mujhe

Tumhe inkaar hai to saaf kaho, yeh majma kyon

Lo bhula diya aakhir maine tumhe Kaise? bata nahin sakta!!

Lashein bol nahin sakti!!!

Bahaane se usne meri kalayee pakad li Din dihaade bijli se koee darta hai bhala

Khudkashi yun to hal nahin hoti kissi baat ka Magar jiye jaana woh bhi yun kya koee hal hai

Thum bhi jaati hai zindgi kabhi kabhi 'saahb'

Bayaan de rahe hein jo, abhi nasal e nau hein

Paya hai maine barson mein yeh haq

Mere daaman per ab woh daag nahin hein

Samander e ishaq mein doobe hein unginat log Jo tum gaye to kya gaye, kya baat ho gayee

Page 8: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 8

Mujhse kya zikar e gunaah e mohabbat 'saahb'

Main mazaar e aashik hoon, koee butkada dekho

Tumsa koee aur kahaan dhundhu main 'saahb'

Tum chale gaye yeh keh ke, aur mil jayenge

Sharaabi aankhein uski mujhe kaafir karti hein

Yun tum bhi jaante ho ki main peeta nahin hoon

Raaste khud b khud ban jayenge 'saahb' Kissi taraf bhi sahi, qadam badha de

Muskuraana bhul jao mere dost, sada ke liye Mohabbat ho gayee hai tumhe, ab roya karo

Saagar e ishaq mein haisiyat hi kya hai meri

Ek chhoti si machhli hoon ek paani ki boond

Na ashak behte na hoti shayri 'saahb'

Tere gamon ne mujhe mashoor kar diya

Shehar e mohabbat ke baashinde hein hum Hum sirf wafa aati hai, tumhe kyaa aata hai

Page 9: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 9

Tumhe aata hoga bahut kuchh 'saahb'

Humein aati hai sirf wafa aati hai

Tere aane se dil ko sakoon sa hai haasil Tum kyon aakar humesha jaane ki baat karte ho

Sehal hota nahin kissi tarah tere milna

Majboori e halaat bhi kuchh rahe honge

Yun jhutha nahin tha yakeenan woh 'saahb'

Pata mujhse mera hawayein puchhti hein Main khsuhbu ka jhonka hoon, har kahin

Tere shehar mein kya sabhi aise hi hein Khubsurat o dilkash o haseen o bewafa

Nahin munaasib mere dost tohmat unko

Sudhar jayenge woh jo hum sudhar jayein

Har baat pe uska kissi tarah mujhe hansa dena

Yaad aata hai 'saahb' rula deta hai 'saahb'

Phir ghar laut kar aa gaye 'saahb' Shehar ab ghumne ke layak nahin raha

Page 10: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 10

Mujhe mere humdardon ki sohbat raas nahin aati Tafteesh o maze lete hein, marhum ka pata nahin

Mere har haadse mein shaamil hai tu

Main jab bhi gira hoon bekhud gira hoon

Bithaya gaya hai unke mere saamne, nayee shuruaat hogi shayad

Main zameen dekhe jaata hoon, sharafat ka koee badal nahin

Aazma chuke hein yaar yeh baatein bhi

Ab mohabbat mein wafa ka dum na bharo

Teri aankhon se kya samjha humne, pata nahin Humaara dil na badlega, tum raho ya chale jao

Humne pa liya jo paana tha, in aankhon se Humaara dil na badlega, tum raho ya chale jao

Shikwa hai kis baat ka, kya tum nahin badle

Woh apni marzi chala gaya, tum apni marzi reh gaye

Hum mohabbat ki zad mein aa gaye hein jabse

Humein sach puchho to sirf khyaal aate hein

Hum mohabbat ki zad mein aa gaye hein jabse

Har shai mein tujhsa koee dhundha karte hein

Zikar e dushmani doston se tauba

Aazmayish ko yeh kya tareeka hai

Page 11: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 11

Woh dete hein tohfa samjh ke nazar humko

Mujhe bhi yahi meharbaani pasand hai unki

Kaabil e gaur hai byaan unka 'saahb'

Shekh ji mohabbat ke fayde bata rahe hein

Saaye se bhi dar lagta hai mujhe

Tere baad koee kaabil e yakeen nahin

Samjhota hai dono ke beech Dil o zehan tujh per sehmat hai

Doobta hoon 'saahb' ho sake to bacha lo Aankhein band kar lo, palkein jhuka lo

Tere khyaal ke baad kuchh khyaal kahaan

Duniya mujhe beparwah magroor samjhti hai

Main yahaan hota hoon magar kissi kaam ka nahin

Parchhawein dhal jaane shaam hundiya Saath eh chhut jaana, tera gum ki kariye

Page 12: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 12

Suraj naal hun kaun uthda hai

Ghadiyaan de ghulaam lokin ne

Shaam de pehre haith raat di aamad hai

Mujhe to fartishton ne bhi chhod diye yeh keh ke Tum is kaabil nahin 'saahb' ki tumhe maara bhi jaaye

Kuchh to kaho ki baat kya hai mere dost

Khamoshiyaan galatfehmiyaan bhi ban jaati hein

Woh rehte hein khushfehmi mein isi Darmiyaan mohabbat hai, sirf dosti nahin

Rahi chaar deewari mein qaid woh

Ek tammana kabhi dil se na gayee

Mere ehsaas mujhe jeene nahi dete

Aur meri bebasi mujhe marne nahin deti

Wehshat ka mahaul hai sar taraf

Tum mohabbat ki baatein bana rahe ho

Main aah bhi karoon to gunahgaar

Tum sitam bhi karo to meharbaani

Ab maafiyaan maangte ho kyon 'saahb' Pehle sochna tha inkaar kar dete

Page 13: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 13

Aashiq e but e maikada woh hein

Shekh ji magar itne bhi bure nahin

Nabaz pakad ke vaid g kehne lage 'saahb'

Main dawa karta hoon, tum unka zikar karo

Mehfilon mein zikar e mohabbat per paabandi lagi to

Ujad gayee masjid veeran sa zikar e khuda ho gaya

Utha diya mujhe mehfil se usne yeh keh ke Nahin kaam yahaan gustaakh nazaron ka adab chahiye

Utar gaya hai bukhaar e ishaq imtihaan ke baad Jeb kharchi band kardi baap ne cycle bhi chheen li

Mere bheetar tak kuchh jal sa raha hai

Tumhaara gair se baat karna, zaruri hai kya

Mere hosh chheen le mere hawaas chheen le

Mujhse teri shaan mein gustaakhi ho jayegi

Meri nazar ko nahin sahi galat ki samjh 'saahb'

Tumhe kahaan kahaan chhoo sakti hai, pehle bata do

Apni baari aayee to baat badal gaye

Mujhse raaz uglwa kar woh baat badal gaye

Page 14: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 14

Teri aur se nahin aati koee bhi sada

Mera yeh haal ki har awaaz pe chonkta hoon

Neend hi aa sakti agar kissi tarah 'saahb'

Tere khyaal se bach na jaata kissi tarah

Nazar mein unki jaane kaun 'saahb'

Mujhse puchhtey hein kahaan they

Haal mera puchhtey hein dekhte jaloos ko hein Main jal alag raha hoon tadap alag raha hoon

Woh mayus si shakal bana ke kehne lage Dawa o dua se ab kya hoga, tyaari karo

Humne kaha ki parda kijiye zara 'saahb'

Din mein chaand dekhkar koee ghabra jayega

Raah e chasham mein manzil e dil aayegi

'Saahb' qadamon se nahin khaahishon se chalo

Dekha gaya hoon aksar udaas mehfil mein Log wajah puchhtey hein, ab kya kahoon

Page 15: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 15

Haal e dil mera yeh hai ki tum wajah ho

Mere mehboob ab to kaut aao, lo keh diya

Tanhayee ka shauq to nahin mujhe lekin 'saahb'

Tere khyaal mein koee dekh le to wajah puchhta hai

Shehar e mohabbat hai yeh yahaan shikwa nahin

Jo dil toot bhi jaye to meharbaani kahi jaati hai

Unko dekha hai muskuraate huye jabse Muskura padta hoon yun bhi kabhi kabhi

Dil dhuaan sa hai jaane kis baat per 'saahb' aaj Tera khyaal teri yaad teri baat teri parchaayiyaan

Tarafdaari dil ki hai teri taraf saari

Tu khata bhi karde to achha hi lagta hai

Fislati hai jo roshani unke chehre se

Sach kahoon to chandni aur chamkati hai

Yun aaeeno ke aage sanwarna chhod de 'saahb' Meri aankhein se bhi kabhi yeh kaam liya kar

Page 16: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 16

Dil kissi tarah to sambhal jaye mera

Tera khyaal mujhe baar baar aata hai

Rehbar mujhe yeh kis mod per le aaye ho

Na aage jaate hein qadam, na peeche dil mudta hai

Zehan o dil jung aalooda hein mere

Mujhe bachayo kissi tarah ho sake to

Masle dil ke talkh bhi ho jaate hein Har chahne waala mil jaye, zaruri nahin

Raha na raahon mein koee saayedaar shajar Yeh kaisi manjilon per mohabbat le chali hai

Muskuraati ho tum to kuchh jaan padti hai

Main chhup ke sahi tumhe dekha karta hoon

Raah e ulfat per chalta hoon ghabra kar 'saahb'

Nange paanv pathreela raasta kaante hi kaante hein

Woh phir se kehne lage ki jayenge ab Jee phir se ghabraane laga hai 'saahb'

Page 17: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 17

Raahein ulfat ki abaad rahengi 'saahb'

Hum tum nahin to humaari dastaan hogi

Chandni se puchha humne ki baat kya hai

Kyon chaand se aakhir door bhagti ho tum

Pashemaan dil, baichain aakhein, iztraabi qadam

Kaun keh ke gaya hai tumhe, ki lautega 'saahb'

Mila karo 'saahb' gale bhi kabhi kabhi Haath to gair se aksar mila liye jaate hein

Woh pasat haathon ki jumbishein yaad karo Budhe baap ki umar gayee hai tumhaare liye

Main dard o dard mera

Tumhe kya, apna kaam karo

Falsafa yahi kehta hai zindgi ka

Jo mara hi nahin uska jeena kaisa

Bahaane se dard ke hum ro lete hein bus Koee humaare kaam aaya na hum kissi ke

Page 18: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 18

Zindgi ka tajurba hua sirf ek unhein

Tamaam umar bus wohi lamha ban gayee

Haadse aam hein is shehar mein Ab koee kissi ka haal nahin puchhta

Majboori e dil kahaan liye jaati hai mujhko

Ab is gali mein mera koee nahin rehta 'saahb'

Tamaam umar unki yaad mein gayee to samjhe 'saahb'

Mujhe bhi use wahin chhod ke badh jaana chahiye tha

Peer e mohabbat se yeh to puchh le koee Hijar ke din ro ro ke kyon kaate jaate hein

Rahe hum humesha hi yun pareshaan se

Kabhi tu yaad aa gaya kabhi tu chala gaya

Mere pashemaan hone se gar kuchh ho sakta

Main umar na hansta, msukuraana bhi chhod deta

Dareeche khule rakhna zara zara se dosti ke Dushmani ko kya hai, bus do pal lagte hein

Mujh per baras ja kissi bhi tarah Badal ban ya aandhi bus lipat ja

Mere sabar ka yeh imtihaan bhi guzar gaya 'saahb'

Woh chhat pe they main gali mein, chaar kandho per

Unke aane se mehka hai gulshan 'saahb' Ya gulshan ke mehkane se woh aaye hein

Page 19: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 19

Haal e jism to aur bhi puchh lete hein mujhse

Kam se kam aap to humse haal e dil puchhiye

Raha na phir mujhe koee aur kaam teri yaad ke siwa

Woh sanwarna gungunana intezaar sab tere saath gaya

Nahin ab umeed e mohabbat humko khud se

E bahaaro ab humein uksaane ki koshish na karo

Jaaya na jaaye waqt ka ek bhi lamha 'saahb' Aasmaan jhuka na sako to sar hi jhuka lo

Kyon bigad jaati hai baat banti banti 'saahb' Kya ho jaata hai mohabbat ko nikaah ki baat pe

Shehar ka naam bhi meetha lagta hai 'saahb'

Watan se door ho ke jab kabhi baat chalti hai

Humraaz mere humsafar mere humdard mere

Dard mera daastaan meri aur zikar sirf tera

Taaluk unse mera dil o dhadkan jaisa Uski yaad nahin saanse hein mujhe

Page 20: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 20

Mere sawaalon ke jawab ho sake to de ke jaana

Kya phir kissi ka haath yun pakad sakoge tum

Tere samjhote ki pehli shart mujhe manzoor nahin

Main ana maar sakta hoon apna zameer nahin

Tareef mein teri aur kya kahoon 'saahb'

Undekha unsuna anjaana unkaha bemisaal

Khuda ke ghar mein shekh ji farma rahe hein Mohabbat karne waale kaafir, saza ke haqdaar hein

Bhul jaate hein aksar guzare waqt ke lamhe Aajkal humein apne aaj se hi nijaat nahin

Woh laut aaye hein jaate ko saansein dene

Der ho gayee to ho gayee, shukar karo aa gaye

Meri saanson ka dhaaga bus tootne ko tha

Vaid g kehne lage ab zid chhod de woh aa gaya

Nazarein uski mujhse humesha kuchh kehti thi Jab pehle baar mili jab aakhiri baar mili

Page 21: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 21

Raha raahon mein hi dil mera, manzil ke bina

Is musaafir awaaragard ne mujhe safar mein rakha

Main chahti thi use dil se

Woh sirf jism ka talabgaar

Mahfil e dil mein woh haazir hein magar

Chhuapana hai mujhe unse tammana e dil

Dil mere pareshaan sa hai jaane kyon Teri aahtein hein sirf tu nahin hai

Mujhse mera dil le chale ho 'saahb' Aur kehte ho haadsa samjh ke bhul jao

Zid unki ki pehle main kahoon

Haya meri ki kahoon to kya kahoon

Unko yakeen hai dastaan per, mujh per nahin

Haal e dil manzoor hai, main manzoor nahin hoon

Main kya aur kis ginti mein 'saahb' Suna hai bade bade guzar gaye yahaan se

Page 22: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 22

Khaak e sehra hoon, katra e dariya 'saahb'

Tum nawaz rahe ho, tumhaari baat badi hai

Haadsa samjh ke bhula de 'saahb'

Mohabbat dobaara bhi ho sakti hai

Mere dil ko khaak jaan mujhe gubaar e tammana

Meri taraf se bekhabar ho ja, main tera hoon

Dum tha ki nikalte nikalte reh gaya unki awaaz aa gayee, aahat aa gayee

Bazaar e ishaq mein ab dil bikta hai 'saahb' Main aaj bhi magar kuchh bhi hoon bikau nahin

Nazar mein teri woh asar hai 'saahb'

Emaan dol jaye naseehat karne waale ka

Tarafdaariyaan dil ki teri taraf hein, zehan kahin aur

Main khud hi khud ko do taraf banta dekh sakta hoon

Saanwal ghata mujhe pareshaan karti hai Tera rang chura kar fizaan le aayee hai

Page 23: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 23

Rehnuma mere mujhe pareshaan na kar

Tere bagair bhi bhatak sakta hoon main

Teri nazaron se jo dekha hai barsata maine

Us saawan sa saawan o bijliyaan nahin dekhi

Ishaare se keh diya usne ki, tumhaare hein

Main intezaar karta reh gaya, ki haan kahenge

Khaayl e yaar kya aa gaya mujhko, bekhud sa ho chala Yeh bhi bhul gaya ki maroonga, to yaar faarig honge

Rangat aa gayee hai unke chehre per yun Maine puchh liya achanak, haseen itna kaise

Chehre badal jaate hein, fitratein wohi 'saahb'

Kab kaun kahaan kissi ko bardashat kar sakta hai

Aankhein chamak uthi hein unki mohabbat ki baat per

Yahi sar jhukaaye baithey they, zikar e khudaya per

Zulf teri ghani chaanv mujhko 'saahb' Mere raaste teri nazar mein gum hein

Page 24: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 24

Mujhe gustaakh na samjh, dil se majboor hoon

Main bhi sharafat bhara kirdaar rakhta hoon

Tere husn ki kuchh to saza tai honi chahiye

Ek gunahgaar se gale milna pade, 'saahb' tumhe

Jaate ko haath chhuda leta hai woh

Mujhe ander tak veeran kar deta hai woh

Tum tp peer e mohabbat ho, tumhi kaho 'Saahb' ki saza e hijar kam ho sakti hai kya

Beja tum pareshaan ho zara si baat per Naya la denge tumhe, dil hi to toota hai

Tumhe kya bataun ki kya haal e dil hai

Khabar e khaab kahaan neendein gum hein

Mere haunsle ki daad dijiyega kabhi

Woh inkaar kar gaya, menu dua di use

Ghabraaye jaata hai woh jaane kis khyaal se Main bhi wohi chahti hoon jo woh chahta hai

Page 25: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 25

Mere dil ka itna sa kasoor tha ki tumhaara ho gaya

Itni si baat per tumne mujhe ruswa e shehar kar diya

Mere saamne kya hai aakhir haisiyat kissi ki

Roz aaeene se woh yun baatein kiya karte hein

Mere haath mein berang tasweer aa gayee, ek puraani

Kitne rang zindgi ke meri aankhon se guzar gaye

Mujh nasamjh ko na samjhayo waaeez Tum samjho ki mohabbat ka maara hoon

Tinka tinka hoon aandhi ke zor se Mera kuchh nahin, parindo ka kya hoga

Jo tumhe ek-do wajah hai inkaar ki Mere dil ko sau wajah hai, pyaar ki

Tum mera zabat hi dekhna chahte ho na

Tumhe inkaar mujhse, baees per kuchh nahin

Main deewana hoon mujhe sau wajah malloom

Zamaane se kehte hein ki yaad nahin

Tanhayee mein aahein bhara karte hein

Yeh khaab o khyaalon ki duniya

Yeh jawab o sawaalon ki duniya

Page 26: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 26

Mere assool mujhe naam e khuda nahin lene dete Main use nahin maanta, jo tujhe mera na kar saka

Mere dard ka gawaah kaun 'saahb'

Dil tere khilaaf nahin bolega kabhi

Aahtein ab mere kissi kaam ki nahin

Mazaar se main uth nahin sakta

Mere byaan ab unhein kam samjh aate hein

Nikaah ke baad soch o samjha badal jaati hai

Badnaam ho gaye hein shaayar yun Woh puchhtey hein, kamaayee kitni

Usne jala di chulhe mein meri kavitayein, Yeh keh ke Aaj humaare bhi yeh namuraad, kissi kaam aa gayeeein

Ilzaam e wafa hai bhari aajkal

Bewafayee tagma hai, jhapat lo

Saleeka Yeh bhi maana gaya hai mohabbat mein

Iqraar se pehle kuchh saal peecha kiya karo

Bade ajeeb aadmi ho shekh ji, khuda ke bande Bando se nahin mohabbat tumko, aur muslmaan ho

Page 27: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 27

Uske jaane ki baat mujhe pareshaan karti hai

Use bhi pata hai, tabhi baar baar karta hai

Shaidayee sa ho gaye hein mohabbat ke asar mein

Baap se uljh baithey hein, jeb kharchi bhi gayee

Pade gaye hein dono ek saath ek hi kamre mein

Lihaaf o takiya 'saahb' silwaton mein kahaani bhi

Rahe na kissi aur ke kaabil yeh dil mera Samjha rahe ho tum, ki waapis le lo mujhse

Kaun dega tumhe tagme wafa ki baat per Sau khade honge saath bewfa gar ho gaye

Log haal kam puchhtey hein, teri baat zyaada

Kis kis ko kya kya bataun aur kaise kaise

Bujha diye gaye woh chiraag kal raat hi

Aag na lag jaye kahin roshni mita di gayee

Mere bute se baahar ki baat hai mohabbat E 'saahb' kissi tarah is rukhsat karo yahaan se

Page 28: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 28

Taveel safar hai paanv nange dhup tez Manzil jab mohabbat ho to behas kaisi

Talaash e wafa kahaan ja ke ruki hai 'saahb'

Aage na koee mod hai na manzil na raasta

Pareshaani e dil meri unhein samjh nahin aati

Woh yahi puchhe jaate hein, bhul kyon nahin jaate

Mohabbat woh ehsaas jo bekhud karde Yahaan bahaaron ka mausam nahin badalta

Mere aur tere beech mein yeh shikwa kaisa Mohabbat ki jagah per yeh kya rakh diya tumne

Saaye bhi tukde tukde ho ke bikhar gaye Dhup tez kya huyee, rang e asal saamne aa gaya

Bekadar se umeed e kadar kya

Mohabbat mein sakoon jaise

Kyon saabit karoon tumhe zabat e mohabbat

Jo tujhe pasand nahin hoon main, ja chala ja

Raah e adab se jaate jaate 'saahb' gustaakh ho gaye

Uksaya tumhaari nazar ne kasoor mera saza mujhe tera kya

Mil jaati hai mohabbat phir bhi aksar 'saahb'

Jo pehli baar hoti hai magar, bhulna mushkil hai

Page 29: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 29

Hai paigaam uska ki jaana zaruri hai 'saahb'

Dil ki dhadkano ko bata kaise samjhaun main

Mere bheetar tak mohabbat ka zamzama

Tere aankh tak mein wafa ki baat nahin

Teri nazar ka shaukeen hua hai dil

Tamasha bhi bane hein, tu dekhe to sahi

Intezaar ki ghadiyaan lambi hoti hein 'saahb' Wasal ki baat phir wohi lamha do lamha hoti hai

Humein nahin ehsaas e wafa o bewafayee kuchh Itna jaante hein ki tere mureed hein 'saahb'

Nahin aate woh to ji sa ghabraata hai

Keh rahe hein jaana hai, kaise jayenge

Woh jaate hein kahin door mujhse

Main yeh bhi nahin keh sakta, na jao

Deta hoon salaahein ki khyaal rakhna Dil mein yahi hai ki chakka toot jaye

Page 30: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 30

Haalat e dil kharaab hota hai, hijar ke zikar se

Woh kahe jaate hein, pehle wahaan phir wahaan jaana hai

Lamha lamha raat kat rahi hai 'saahb'

Sadiyaan guzar rahi hein ek ek lamhe mein

Unki nazar mein chaand hai mere halaat mein zameen

Kaise bata doon use, dil mein mere kya jazbaat hein

Shehar e mohabbat mein safar e hijar hai taveel Manzil e ishaq ke raaste mein teekhe mod hein

Rakhein woh kabhi shaane pe sar apna Mehka karoon main zulf ki khushbu se

Mujhe tarsaayo aur 'saahb'

Itna ki pyaas hi mit jaye

Raah e mohabbat mein ajeeb se mod hein yeh

Intezaar unka, jinse aashnayee tak nahin

Haath mere haathon mein mehsoos to karo Yeh raaste sakhat sahi, kaate ja sakte hein

Page 31: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 31

Bazaari ishaq se kahin uncha hai rutba mohabbat ka

Chand hawas pasand logon ki badchalni ne 'saahb' Ek paak mohabbat ko aashiqi bana ke rakh diya

Khyaal e mohabbat unka nahin malloom mujhe

Haan mujhe jab dekha hai teekhi nazar dekha hai

Mere yeh haal ki jee nahin sakta

Unki ana ki marne bhi nahin dete

Raahat hai dil ko itni si mulaakaat per Shukar hai khuda ka tumhe waqt pe waqt mila

Mere saamne hein woh aur main keh nahin sakta Yeh dil baat kahin mujhe zehar hi na ban jaye

Shehar mein haseen aur bhi hein magar

Dil ka kya karoon, samjhata nahin hai

Sahaare aur bhi hein zindgi mein tere siwa

Tere shaane sa magar kahin sakoon nahin hai

Peetal ke zewar pehan kar uske

Sone se uski chamak cheen li

Thukra diya mohabbat ko yeh keh ke usne

Ek hi gunaah baar baar hum nahin karte

Page 32: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 32

Seekh gaye hein chalan e duniya thoda thoda

Rahi hai aadat e aitbaar jo, kayam hai abhi

Paimaana e mohabbat toot gaya mujh per

Woh ukta gaye hein, siway mohabbat ke ismein kuchh nahin

Paimaana e mohabbat toot gaya mujh per

Siway mohabbat ke mujh mein kuchh nahin

Aa gayee phir jaane ke baat beech mein Phir reh gayee woh baat jo asal baat thi

Zindgi tumhaari talaash mein kahaan aa gayee

Log hans rahe hein pather maar ke deewana keh ke

Mere haunsle ki daad dijiye, dil na jalayiye

Mohabbat aapko hoti to bewafa ho gaye hote

Yaadein kissi kaam ki nahin mere

Dil ko baichain yeh alag karti hein

Raaste nazar ke tai karne asaan nahin hote

Dil ko paak seerat ko saaf aankh ko aab hoti hai

Zehan mein na jaane kitne khyaal aa ke guzar gaye Tera naam saamne aa gaya kissi puraani kitaab se

Page 33: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 33

Ladiyaan patakhon ki foot ti hein bahaar

Ander na jaane kitne gham diwali mana rahe hein

Nahin raha mera dil mere bus mein 'saahb'

Mujhe galat na samjh main bus deewana hoon

Meri mohabbat ek dastaan ban gayee hai jaise

Log baar baar puchhtey hein, shuru se sunayo zara

Maza leti hai bashar mere afsaane ka Hudard ban ke puchhti hai, hua kya o kaise

Charkh ke bade khaab dekhe humne 'saahb' Raas aayee hai khaak zameen ki aakhir

Fariyaad e mohabbat asardaar kahaan 'saahb'

Dil jal jaate hein, aab e nazar ke saaye mein

Sawal tere mera hone ka nahin 'saahb'

Baat itni si ki mera dil samjhata nahin hai

Mere ho ke reh jao, aisa nahin kehti main Itni is dua hai ki mere jeete ji gair na ho

Page 34: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 34

Murjha si gayee hein kaliyaan, mausam e bahaar mein bhi

Yeh kaisa gulistaan hai yeh kaisa gulcheen hindustaan waalo

Mujhe paane ke baad meri tammana chhod di usne

Yahi fariyaadi hua karta tha, ek din mera 'saahb'

Saleeka e mohabbat mujhko aaya nahin, ghabraata hoon

Dil pareshaan hai akal hairaan hai main kahaan hoon

Nahin milta dil kissi se phir is tarah Teri aadat ka maara tera saaya dhundhta hai

Mujhe ab bhi tere khyaal aate hein Tujhe mere ishaq ki raatein yaad nahin

Sawaal e dil ka jawab de zara

Haan kar haan ke siwa kuchh nahin

Asmaano ke khaab chhod de, zameen ki fikar kar

Aaj Zer e asmaan kal to zer e zameen rehna hai

Muddatein huyee ab khaab nahin dekha Gunaah e mohabbat ki saza taveel hai

Page 35: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 35

Janoon e mohabbat had se pare

Mujhe naseehat nahin samjh aati

Rutba mohabbat ka khuda ki ibaadat jaisa

Shekh ji phir mohabbat se aitraaz kyon hai

Pather ke buton se hai lagaawat kyon itni

Har roz sehar ko deta awaaz kyon hai

Dil ki khahishon ko parwaaz kaun deta hai

Mujhe puraani raahon se awaaz kaun deta hai

Jab tamasha e deewaane, bashar ka dil behlaaye Aise mauke per pather ko aitraaz kaun deta hai

Chaand jab apne yovan pe aaye poonam ki raat Dil ko harkat hawaon ko saaz kaun deta hai

Janaaze ki baat aur thi, gamzada yaar they

Aaj barson baad mazaar pe awaaz kaun deta hai

Mujhe mere dost chhod gaye hein yeh keh ke

Marta nahin hai intezaar mein, aa ke kya karein

Purzor hawa chali hai baarish ke baad

Saundhi khushbu ne zehan gulaab kar diya

Ek chingaari hai seene mein dabi huyee

Yun nazaron se ise 'saahb' hawa na de lehze

Tera gair ho jaana itna nahin chubhta

Jitna talkh lagta hai, tera gair ka ho jaana

Page 36: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 36

Peene kaun jaata hai sharaab wahaan Jaate hein ki saaki ka kaarobaar chale

Ishaq ban ke reh gaya hai muqadas lafz

Numayeesh ko dekhiye to ishtehaar chale

Paar kaise utrenge nakhuda se jhagad kar

Ana ke behkaawe mein jo sawaar chale Tumhe yaad rahe na rahe, humein rahega

Hum dil ke haathon ho ke beqaraar chale

Ek nahin ho sakte hein mazhub ke log

Mohabbat chale 'saahb' ya akhbaar chale

Dhundhe se mil jaata hai khuda bhi

Yeh baat suni thi shayad jhuth suni thi

Sang e marmar ka badan aur yeh raftaar qadmon ki Tajmehal chal raha hai ya khaab mein tum ho mere

Naazuki ki baatein unse na karo tauba Woh lehza talkh sun ke ghabra jaate hein

Jo mere halaat na kharaab hote 'saahb'

Kya us halat mein tum mere ho gaye hote ?

Mere ishaq ki dastaan ko sunta kaun hai 'saahb' dekhun

Yeh dar yeh deewar yeh aasmaan yeh zameen yeh tamashayee

Mere chand sikke zameen per bikhar gaye

Woh bachpan o jawani o mohabbat o bazurg

Mere hi zehan mein kuchh kharaabi aa gayee hogi E khuda ke bando yeh bekasur hein, inhein jaane do

Page 37: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 37

Rutba mohabbat ka bada uncha sunte hein

Shekh ji yun hi khuda ki haanke jaate hein

Khuda ne hashar ke roz kaha, shekh ji ghabra gaye

Jisko kadar e kaynaat nahin hai, masjid mein rahe

Unki ada thi aur main shikaar e mohabbat

Kasoor kissi ka nahin, saza sirf mujhe kyon

Der tak jab aahat nahin huyee koee Main samjha ki raat ab kategi nahin

Mujhe aaj bhi uski saadgi pasand hai Use aaj bhi meri yahi baat napasand hai

Raunak aa gayee chehre pe unke, mera haal behaal sun ke

Jawab e yaar mein kaasid paigaam laya, woh naach uthey

Kaun aayega vaid g jo pukaaro tum

Unse kaho kissi ko zara awaaz dein

Mere chahne waale badh gaye hein shayad Nahin yeh tumhaara asar hai, tum saath ho

Page 38: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 38

Shikwa kya hai tumhe aakhir yeh to kaho

Kya! gareeb hoon!! oh! achha!! baat sahi hai

Meri ana samjho ya samjho imaan

Main tumse fariyaad nahin kar sakta

Kya karoonga dair o haram jaakar 'saahb'

Na maanga jayega mujhse ek pather se pather

Chheda jaata hai phir bhi gareeb ki beti ko Ameer ki dukhtar jo humesha tyaara rehti hai

Mujhe khuda ke ghar mein woh sakoon mila Mohabbat mein bhi yeh lamhe aaye na they

Main banda hoon us parvardigaar ka

Jisne 'saahb' yeh kul kayanaat rachi

Shukaraana us khuda ka kijiye 'saahb'

Yeh mausam e mohabbat ki pehli baarish hai

Aa gayee hai hum dono ne beech phir ana Mohabbat betakaluf ho jaye to yeh bhi hota hai

Page 39: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 39

Saahil e samander tumhe kuchh nahin pata

Lehron per sawari ka maza tum nahin le sakte

Uljhaaye se baithein hein woh gaisu

Talkhiyaan zabee per bal bana rahi hein

Fenkte hein gusse mein kabhi uthaate hein Hai ek bal mein sau titliyaan fansi ja rahi hein

Mere zakham taaza dum ho jaate hein 'saahb' yun

Tumhaari hansi mujh per, gair ko saath, tasweer mein

Ek sawaliya nishaan aur yeh hum chale Mere baad duniya, mujhe kosa karegi

Nasal e nau ka zehan tez taraar 'saahb' Hum baap nahin goya bete hein bete ke

Farishtey Sambhalkar daura karte hein wahaan ka

Lauta nahin jaata unse 'saahb' jo tumhe dekh lein

Salaam e ishaq mere mehboob tumhe

Tauba khuda, maine akhir keh diya

Gum e hayat tumhe nahin bata sakte 'saahb' kissi tarah Sach tum sun nahin sakte, jhuth main keh nahin sakta

Page 40: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 40

Kaynaat se badhkar ho gaye humein tum

Tumhaare liye lo duniya saari chhod di

Mere sanam mujh per khafa kyon hote ho

Mohabbat mein mohabbat nahin to kya karoonga

Shehar mein dastaan mashoor hai unki Maangne per jinko bheekh bhi nahin milti

Mujhse humdardi na jatayo mere sanam Meri mohabbat ko mera gunaah mat banayo

Aarzoo e shauq mujh per bhaari hai 'saahb' Mera dil machal jaata hai, imaan na bhi dole to

Mere pass tujhe yaad karne ki wajah kya hai

Sirf itna ki dil ki dhadkan zindgi ko saans ho

Barbaad huye hein sailaab ke baad shehar ki tarah

Yeh barsaat gamon ki kya kissi tarah tham sakegi

Peena jaam e mai kahaan aur kab tak 'saahb'

Shekh g utho chalo masjid ka samay ho chala hai

Tere cheher ko taras gaye hein 'saahb'

Tum ada se bal per bal khaye ja rahe ho

Khaabon ke darmiyaan bhi faasle pad gaye Ab mujhe neend bhi 'saahb' roz nahin aati

Page 41: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 41

Wafa ki sirf baatein hein 'saahb'

Aaj Mohabbat mein bewafayee hai bus

Dooriyaan darmiyaan ban gayee hein 'saahb'

Yaadon se sirf waqt kat ta hai, zindgi nahin

Ab to maan bhi le ki hum ek nahin rahe

Guzri baaton per jeena, weham hai 'saahb'

Zaruri hai nazar ka aabdaar ho jaana Dil mein yahi katre zehar ban jaate hein

Khilone toot jaate hein, besabar ke haathon Mere mehboob mujhe mohabbat kar sabar ke saath

Chiraag e mohabbat ka jalna kya bujhna kya

Marzi e dil per munasar hai rona ya hansana

Khuda ka milna sehal khud ka milna mushkil

Talaashi e masjid se mushkil tafteesh e dil

Mujhe pather samjh ke thokar na maar Khuda ka darja hai mujhe masjid mein

Page 42: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 42

Shareek mere mujhe kamzor samjhate hein 'saahb'

Main kissi bhi baat ko kaabiil jawab nahin samjhta

Thokar hi sikhaati hai sambhal ke chalna

Yun apne qadamon per yakeen sab ko hota hai

Usne kaha ki ja, main chala gaya

Woh kehta hi reh gaya, duniya se nahin

Nahin kaabil e gaur bhi teri yeh iltiza Marna hai to kahin aur ja, meri gali chhod de

Mohabbat ko zubaan bhi chahiye 'saahb' Khamoshi ko pathron ki sohabbat karenge

Mujhe samjha rahe ho ab peeri mein tum

Mohabbat ki baatein 'saahb' kya samjhenge

Huye hein peer tere jaane ke baad 'saahb', yun paak daaman

Nasal e nau samjhti hai humein kya pata mohabbat kya hai

In zakhmon ki kya marhum

Mohabbat nasoor hoti hai

Mujhe daga de main dhokha chahta hoon Umeed hai ki is baar bhi tu ulta hi chalega

Page 43: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 43

Mere nishaan e pa dhund dhund kar aayenge woh

Farmaan suna rahe hein, meri gali se nikal jao

Uski sohbat ke asar mein dil baagi ho chala hai

Warna khub banti thi humaari, saath piya karte they

Tohfe mein aapko aur kya dein hum

Apna samjh ke jo chahein utha lein

Soonapan aur khala sa hai seene mein Yahin kahin ek dil bhi hua karta tha

Mere ahbaab ko zyaada fikar hai mujhe kam Kaandhe pe unke jaana hai mujhe, woh paidal honge

Vaid g dawa nahin dua karo dil se mere liye

Haal e dil zyaada bura hai, zakham to bhar jayengge

Parindon ko parwaaz mili hai pankhon se

Meri hasrton ko par lage hein mohabbat se

Daad dijiyega mere haunsle ki Mohabbat ke raaste chal pada hoon

Page 44: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 44

Dil se nikal gayee woh tammana 'saahb'

Tum humaare hote, yeh khaab toot gaya

Dosti kabool hai ki seerat pasand hoon

Itna khudgarz nahin ki kuchh umeed rakhoon

Mujhe kitaabi baatein na samjhayo 'saahb', sach kaho

Mohabbat pak hai to deewane khudhkashi kyon karte hein

Tere haath ki garamjoshi mujhe, pasand hai 'saahb' Milte waqt bus yun hi dil se mila karo humse

Haath milaya usne kuchh yun humse Simat ke gaya phir wohi josh jawani ka

Hein aashna woh humse e dil sambhal Besabar kyon hai, woh yahin aayenge

.......

Woh aaye baithey aur chale bhi gaye Hum samjhaate dil ko yahi reh gaye

Mere lafz kam pad gaye unke saamne

Woh humdardi jata rahe hein, haal dekhkar

Aana nahin hua unka kabhi is taraf 'saahb' Jo aa gaye kabhi to raasta bhul to na jayenge

Page 45: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 45

Vaid g ko rog pakad mein aagay magar

Ghabra ke haath chhod diya mohabbat ke ke

Narein aap sa koee apna talaash rahi thi

Aap mil gaye, chain aa gaya, mazaar aa gayee

Meri tarah tum kahin ukta na jao mohabbat se 'saahb'

E dil mere wafa per kayam rehna, yeh aadat chhod de

Haq ki cheez bhi mangni padi humein Mohabbat ne badshah fakeer kar diye

Chiraag e wasal ghadi do ghadi 'saahb' Mere dil hijar mein jalna bhi seekh le

Shohrat teri aasmaan tak 'saahb', dekh lo

Chaand o suraj ban ke farishtey aate hein

Teri saadgi mein woh hai jo dil dhadka de

Tu zyaada der aaeene mein sanwra na kar

Asoolan kitaabon ko zindgi banani chahiye 'saahb' Na jaane kyon hum zindgi ko kitaab bana lete hein

Page 46: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 46

Kehte hein shekh ji mohabbat badi cheez hai

Phir elaan bhi kar dete hein, kaafir yahi hai

Meri gamgeen aankhein na padh 'saahb'

Yeh zindgi tujhe bhi rulaye zaruri nahin

Nazdeekiyaan teri mere dil se theek nahin

Yeh aitbaar kar leta hai phir tadpata hai

Saraapa saaya hoon dard ka 'saahb' Yeh hansi jhuth hai mera yakeen karo

Bekaar hai zikar o tazkara iska 'saahb' Shekh g tum na suno tumhaare kaam ka nahin

Gaye chaaro taraf hum, manzil ki talaash mein

Khud ko phir wohin paaya, jahaan se chale they

Rubru yaar ke huye aise 'saahb'

Bekhudi ne umar bhar thaame rakha

Wasal e yaar ki aarzoo ne kamaal kiya Tasavur mein aa baithey

Page 47: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 47

Mere tabeeb aayein hein koee kursi la de

Bister se uth sakta gar 'saahb' khud laata

Shaam dhale teri tasweer banti hai 'saahb' asmaan per kuchh yunn

Wohi rang e zulf wohi rukhsaar e mehtaab wohi sitaare jadi odhni

Aftra tafri hai sub aur machi, har koee pareshaan hai

Had hoti hai kissi baat ki, koee mohabbat pe bhi hairaan hai

Dil ke fareb ab kissi aur ke liye rakh chhodein hein Tere liye 'saahb' sach kehta hoon sirf mohabbat hai

Nahin dekhte woh aajkal khaab mein bhi unhein Kehte hein jo chala gaya, samjho chala gaya

Zameen per dekh kar chalne waale

Aksar aasmaan chhoo liya karte hein

Jab mohabbat taskeen bhari hua karti thi

Woh zamaana aur tha woh baatein aur thi

Jo vaid g se kahoon ki karobaar chale Bad dua lagti hai, apne hi logon ko

Page 48: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 48

Chiraag e muflis ka jalna kya jalna

Ek amawas ki raat aur ghadi do ghadi

Rehbar e mohabbat ka chakka jaam kardo

Yahi bhatka ke le jaata masoom naujawan

Din raat ki majdoori hai ishaq bhi 'saahb'

Kabhi galiyon ke chakkar, kabhi chhaton ke

Beimaan hein shehar ke log 'saahb' Nazar se waada karke dil tod dete hein

Mere hosh mein yeh nahin hua 'saahb', sach hai Mujhe mohabbat se pehle madhosh kiya gaya hoga

Rahe na jaane kis khyaal mein 'saahb'

Log uljh pade namaloom si baat per

Mere saamne tera chehar hai aaj bhi

Aur wohi pal jab tu masoom laga tha

Nayee subah ka sanket hai raat ho jaana

'saahb' ise yun niraash ho ke na dekha karo

Tere aane ki mere dil ne dua maangi hai

Tu aayega agar sach mein khuda hota hai

Dil se badhkar koee bewafa nahin dekha

Barson saath rehkar pal mein juda hota hai

Reshmi katre Shabnam ke, maine sajaaye hein Aag lag sakti hai ashko se, yeh bhi hota hai Mujhe mehboob tujhe kasam hai gaur to kar Itna chahne waala, kya kahin aur hota hai

Page 49: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 49

Ana hai agar teri to le maine zid chhodi

Dono agar rooth gaye to ruswa ho jayegne

Shehar veeraan ho jaate hein is baat per

Badshaahon ko mohabbat raas nahin aati

Naseehat kisse doon 'saahb' koee bata de mujhe

Hume bachpan se bade huye, nasal e nau baap nikli

Humara yeh khyaal ki tum haseen ho

Aakhir tumhe bardashat kyon nahin

Parchayiyon se bhi dil behal jaate hein 'saahb'

Yeh zaruri nahin ki har waqt tera jism saath rahe

Khaabon per bhi kabza uska, neend per bhi

Meri aankhein gulaam uski, meri nazar uski

Reh gayee puraani baatein mohabbat ki maazi mein 'saahb' Aaj subah nazar dopehar dil raat jism phir nayee subah hai

Bahut khubsurat hai andaaz o ada aapki

Mujhe bus zamaane ki baaton se dar lagta hai

Main tumhaare bina reh to nahin sakta magar

Jaanta hoon halaat apne, tum khush nahin rahoge

Page 50: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 50

Umeedon ka pal mein dhuaan ho jaana Kaisa lagta hai kissi ka bewafa ho jaana

Muskura ke kaha maine koee badi baat nahin

Is gam ke baad zindgi haseen ho jaati hai

Haq e mohabbat ko zid se nahin chheena ja sakta

Maza hai jo dono taraf se ek hi baat kahi jaye

Dil ka khyaal rakh lena 'saahb'

Zid se chheenkar le ja rahe ho

Tod kar ise chubhan se bach na payoge Aaeene si hoti hai izzat gareeb ki

Main yun sabhi ko dua hi deta hoon Mujhse raabta badhaane ki zarurat nahin

Nazdeekiyon se betakaluf ho gaye jab

Aap se tum tak ka safar tai ho gaya

Shekh g samjha rahe hein karo sharaab se tauba

Puchhta hoon kyon, batate hein kausar ki milegi

Mujhse raabta hai logon ka teri wajah se Haal kam dastaan zyaada puchhtey hein woh

Page 51: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 51

Wajah kya hai dost ki nashaad baithe ho

Shukar karo ki mohabbat ke baad, baithey ho

Yeh jaan chhod de jiski, khushkismat hai Tum bhi muskrayo 'saahb', apni jaan baithey ho

Rog e mohabbat nahin chaska e ishaq kahiye

Har shaam tasweer e mehboob badal jaati hai

Kaise jhuthla doon haqeeqat e mohabbat

Kaise samjha loon dil ki ab tum woh nahin

Dil ko rakho taaqatwar gar mohabbat karni hai

Yeh bus ki baat nahin unke, jinke dil kamzor hein

Mere hisse mein aa gaya hai mohabbat bhara dil

Tumhaare seene mein kyon pather hai laga hua

Mujhse bichhad kar zindgi ke mayne seekh raha hai Ek shakhas dheere dheere bewafayee seekh raha hai

Aadatan hi mohabbat parasat hoon main

Mujhe aata hai muskura ke milna sabse

Rooh e jism ko khyaal hai jab talak tera

Mujhe yeh samjhaana fizool hai ki bhul jao

Mujhe aur na milte mujhe do ghadi jo Sach kehta hoon na hote hum zameen per aaj

Page 52: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 52

Shukaraana e mohabbat tera, mujhe aadam kiya

Fitrat e bashar hai ki, aadam nahin rehne deti

Mujhe teri khamoshiyaan achhi lagti hein

Nikaah ke baad yeh nazaara naseeb nahin

Laakhon haathon se haath milaya humne magar

Jo saparash tumhaare haath ka, aur kahaan, maan

Meree hosh chheen kar woh dilaase de raha hai Sab theek ho jayega, mohabbat jaan nahin leti

Bik jaate hein dil bhi aajkal Deewane guzri mohababt ko rote hein

Meri hasrton mein aaj bhi tum ho

Tumhaare zikar mein bhi main nahin

Nahin dil ki harkat bhi tere bina jayaz

Dhadkanon mein tu hai, ki main zinda hoon

Baahon mein meri dabe dabe se woh sulagate rahe Tere khaab o tasavur mein takiyon se lipat te rahe

Page 53: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 53

Silwatein bister ki kahaani kehti hein

Raat bhar kiske khyaal mein soye nahin

Khat e mehboob ko jawab kya doon

Bosa de ke lifafa waapis bheja hai

Jawab e yaar ka intezaar taveel nikla 'saahb'

Sawal puchha hota to shayad jaldi mila hota

Chiraag e mohabbat yeh kaisa jala Rishtey gharbaar dost o yaar jal gaye

Mere rishton mein yeh khataas kahaan se aa gayee Maine kabhi kissi ko inkaar e mohabbat nahin kiya

Tasweer e yaar le ke baithey hein kab se

Ab boli ki ab boli, sau raatein guzar chuki

Tamaasha sa kyon bana rakha hai mohabbat ko

Jo rona hai to mehfil mein bhi, kona dhundh lo

Samjhota hua hai dono ke beech yun Woh aayega nahin, mujhe nikalega nahin

Page 54: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 54

Mohbbat ke jaam bhar bhar ke peo mere dost

Yeh zindgi mujhe tumhe unhein phir nahin milegi

E zameen ab mera waasta chhod de

Main mohabbat ke aasmaan per rehta hoon

Mera khyaal yeh ki mohabbat aatish hai

Dil jalne ke baad ghar ki baari aati hai

Shhhhhh. dhadkano zara dheere se dhadko Uska khyaal kahin pareshaan na ho jaye

Barsi hai muddton baad sehra mein shabnam 'saahb' Meri zindgi mein tumhe dekhkar mohabbat jaagi hai

Neend to aakhir ko aa hi jaani hai 'saahb'

Do raatein jaag ke bhi to guzaarni chahiye

Main apni hi kissi wajah se pareshaan hoon

Mohabbat kya hai, mujhe kuchh pata nahin

Pukaarta hoon ki aao, waqt guzan na jaye kahin Lamhe aur lamhon ke beech wakfe bhaari par sakte hein

Page 55: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 55

Aadtan khaab saja leta hoon roz

Subah kirch kirch aankh hoti hai

Shaana yaaron ka mayasar hoga ki nahin 'saahb'

Mazaar ko apni maine wohin ghar kar liya hai

Kasam kha gayee mohabbat mere saamne kal Jisne pareshaan kiya hai tumhe, woh main nahin

Nahin laut te jaane waale aksar Hasrat o aarzoo reh jaati hai

Zikar e mehboob kar, to baith ta hoon E shekh ji khuda khuda kab tak suna jaye

Shaane e yaar se lage aise ki, bekhud ho gaye Mujhe na jaga e zindgi, yahin mar jaane de

Meri samjh mein yahi aati hai ishaq ki baat

Yaad jise karein wohi kaabil mohabbat hai

Muhalle mein kitne log hein mohabbat zada

Mair jisko dekhta hoon khudi mein dooba hai

Chaaragar huye mere rakeeb yaar Yeh sunke ki wajah tum ho rog ki

Page 56: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 56

Raahein ishaq ki mujhse dar kya hongi

Main dar raha hoon, tujhe dekhoon ki nahin

Saraapa saaye mohabbat ke 'saahb'

Mujhse meri yeh hasti cheen le koee

Tafteesh e mohabbat se parda kaise karoon

Nazar se sawal puchhti hai, jawab nahin jiska

Deewarein khokhli ho chuki hein siyasat ki Yeh shaan o shaukat mit jayegi jo janta jaagi

Nigaahon mein apne liye mohabbat dekhta hoon Dar lagta hai magar, maazi ke tajurbe hein

Shehar e wafa ke paasbaan koee hua karte they

Jinke saaye mein mohabbat paak daaman hua karti thi

Mere mehboob tera khyaal kya hai, mohabbat per

Main tyaar hoon, waade nibhaane ke liye 'saahb'

Mere mehboob tera khyaal kya hai, mohabbat per Mujhe teri zarurat bhi hai khawahish bhi 'saahb'

Page 57: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 57

Gairat e mohabbat ko bardashat nahin yeh

Teri ada teri ana teri zid teri magrooriyaan

Mujhe deewana kar de 'saahb' nazar ke waar se

Teri yeh khubsurat aankhein kissi kaam aayein

Mere bute se baahar ki baat hai istekbaal unka

E mere dosto unhein mere haal ki khabar na dena

Nazar e mehboob ki bebsi dekhi na gayee Hum bewafa hone ka ilzaam lekar chale gaye

Zindgi mein phir kissi se lagaav nahin rehta Ek shab e hijar jo deewana jee gaya

Ek shab e hijar jo guzaar li

Kissi se lagaav dil ka nahin raha

Majboori na ban jate kahin chahne waalon ki

Mohabbat mein itna haavi nahin hona chahiye

Mohabbat ka ehsaas hua kare usko bhi Haq se nahin ada se mohabbat maangiye

Page 58: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 58

Mohabbat dil ka woh jazba hai 'saahb'

Zarurton ki maari zindgi mein jagah nahin

Itna kamzor nikelga dil kya khabar thi

Ek nazar mein haar jaoge, kya pata tha

Mujhe mohabbat hai tumse magar

Kaise kahoon, yeh bata do zara

Rehna hai dil mein gar kissi ke to yeh jaan lo

Shareek e nazar hai woh mera

Mujhe uske dil ki baat pata hai

Dafan khaab kar lo seene mein, kissi ko khabar na ho Tamashayee duniya hai, koee mazaar koee kabar na ho

Haal e dil mera nahin kissi dastaan ke kaabil

Is shikasta shai per itna waqt barbaad na karo

Daastaan e dil wohi gam o bewafayee

Ishaq ke wark per mohabbat bhi likha karo

Pareshaani ban jaaye 'saahb' gar ishaq to

Ek mod samjh ke raasta chhod dena chahiye

Ab aur kab tak yahi dastaan dohraange hum Mehfil mein zikar kabhi kabhi koee aur bhi

Page 59: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 59

Yeh naqaab ulat do ab, parda jayaz nahin

Khud ko pehchaano, khud se daga jayaz nahin

Duniya karti hai mohabbat 'saahb' kya badi baat hai

Jo tum is raaste pe chal nikle ho, karwaan milega

Jee gaye hum tere bina bhi 'saahb'

Mohabbat ne magar pareshaan bahut kiya

Mera kya hai 'saahb' kuchh bhi nahin Karz lete hein saans bhi teri tasweer se

Tafteesh e pardesi hai ghadi do ghadi Sabko apne apne bahut kaam phir hote hein

Chauraahe per la ke usne samjhaya 'saahb' Yeh raahein mohabbat ki hein bina manzil ke

Har sati ki khaahish mile ek yati Dheemi dheemi kare gati, subah shaam rati

Gol gol ghumat hai jo aage peeche

Paya gaya hai ghar ghar, woh praani pati Saali ko pataane ke liye pehni puraani jeans

Pet magar samaye na belt mein, bikhar gaye beans

Hans hans dohri, kamsim nazneen ho chali

Khisiya ke chirori karein, aur khayo namkeens

Aatish e siyasat buri hai yaar

sabut bhi mita diye jaate hein

Page 60: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 60

Mohabbat per ilzaam laakhon hein 'saahb'

Zindgi ki bhaag daud mein woh sakoon kahaan

Zindgi ki bhaag daud mein woh sakoon bhari mohabbat kahaan

Aaj ke masle talkh hein siyaasat o mazhub ki charcha hai

Mera safar tanha shuru hua tha, tanha khatam hoga

Mujhe karwaan ki talaash nahin na fikar raaston ki

Mehtaab ki bus yeh baat samjh se pare lagi

Kyon odh liye they baadal usne tumhe dekhkar

Janoon e mohabbat ho ya mazhub o siyasat 'saahb'

Bhukh jab jism se dil ki ban jaye, takhta palat deti hai

Bina yaar ke mohabbat ka maza kya maza Khuda ho but 'saahb' saamne hona chahiye

Pareshaaniyaan mohabbat ki badh rahi hein 'saahb'

Zarurtein mehngayee raashan bache rishtedaariyaan

Tere gham nahin mujhe na pareshaani hai teri

Tu bewafa ho gaya hay, dil ko samjha chuka hoon

Rahi na bus mein mere, meri hi nazar Har waqt tumhi ko talaasha karti hai

Page 61: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 61

Pather phir pather hota hai 'saahb'

Yakeen o nazar e aadam use khuda karti hai

Dil ko haqeeqton se door hi rakha karo

Is masoom per zamaane ki nazar na pade

Mere zehan mein har waqt rehta hai khyaal tera

Duniya bekhud samjhti hai kabhi sharaabi mujhko

Mere zehan mein har waqt rehta hai khyaal tera Duniya bekhud kabhi shayar o sharaabi samjhati hai

Mere libaas per daag hein mohabbat ke Kabhi yahi sitaare samjh ke jadwaye they

Meri hoti hai tafteesh ki pata karo kaun hai

Shehar mein bemaqsad ek sharaabi ghumne waala

Sehra ki ret shabnam ko tarsa karti hai jaise

Mera wohi haal hai, tum agar samjh sako to

Milna bichhadna to ek zarurat e zindgi hai Sirf khushiyaan hon to bhi ukta jayenge hum

Page 62: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 62

Meri qabar ke saath bane qabar uski 'saahb'

Achha suno ho sake to mere saath dafna dena

Mere sabar ki intehaa dekhiye zara 'saahb'

Woh juda hote waqt muskurane ko kehte hein

Saba main aaj yeh kaise aahat e toofaan hai

Purzor kashish hai mujhe saahil pe chahti hai

Mera zikar hota hai mehfil mein mohabbat ki tarha Main ghadi do ghadi, hoon ki nahin, saba 'saahb'

Tarqeeb e mohabbat aazmata hoon dil per Asar ulta hota hai dar badhta hai hijar se

Mayasar nahin humko chiraagon ki roshni

Jo kahin jugnu bhi chamke to aankh jalti hai

Woh abhi kamsin hein, solaan baras ke

Mohabbat ke mayne aish samjhate hein

Daagdaar hai libaas mera teri harkaton se 'saahb' E bache meri god mein aa ke tujhe susu kyon aati hai

Page 63: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 63

Kaun aayega tumhe is gam e zindgi se nizaat ko

Khudkashi khud hi ki jaati hai, woh bhi tanha tanha

Hashar e mohabbat maaloom tha mujhe pehle se

Yeh raaste maine khud chune hein , afsos kaisa

Mere tabeeb aayye to sahi per laut gaye

Haal e mareez vaid d se bhi dekha na gaya

Khuda ka shukar hai ki yakeen kayam hai

Muqadama dair o haram ke beech hai jaari Naakus suna jayega ya azaan suni jayegi

Aasmaan phir aasmaan hai 'saahb'

Pather ki bisaat kya, thokar thokar

Lafz o taranum o saaz o geet banane padenge Mere nagamein apne hontho per sajaane padenge

Tumhe inkaar hai jo meri hasti se bhi 'saahb'

Ek din mere hi kisse mehfil ko sunane padenge

Fitrtan shikwabaaz nahin hoon 'saahb' Tere aage zubaan per gila aa hi jaata hai

Page 64: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 64

Mere sehan mein 'saahb' kuchh phul khilein hein

Tere chehre ki rangat o khushbu yaad aa rahi hai

Dashat e ishaq mein biyabaan pasra hai

Woh mohabbat ke rehbar 'saahb' kahaan gaye

Uski hasrton mein aasmaan aur mujhe zameen chahiye

Dekhte hein kahaan tak, saath yeh safar hota hai

Main kaisa hoon, mujhse na puchh Meri hasrton se khud andaaz kar le

Dooriyaan gar na hoti mohabbat mein 'saahb' Yeh nazdeekiyaan itni bhi bhali na lagti humein

Maza hai wasal ka aur bhi gehra

Jo hijar ke baad 'saahb' aaye

Masumiyat hai mohabbat ki 'saahb'

Kooe bhi gam ho ilzaam le leti hai

Qabar e aashik per kaun chhod gaya hai phul

Zindgi bhar kaanto ki raah chala hai deewaana

Kuchh yun padi hai aadat e khaar mujhko

Phul chhoo jate kabhi jalan hoti hai

Page 65: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 65

Samjhota karna waajib hoga hasrton se

Kehdo dil se kuchh maangein kam kare

Shatir samjhate hein woh khud ko bada

Koee milata nahin to kehte bekhud hoon

Aadat e ishaq dil ko kya lagi hai 'saahb'

Kaafir bana diya zamaane ki baaton ne

Rehbar se raasta puchh lo, kissi rahi ka saath le lo Yeh manzilein agar sakhat hein, qadam sakhat uthayo kuchh

Mujhe tum achhe lage ho, tumhaari baatein achhi lagti hein Tumhaara intezaar achha nahin lagta, der se aana achha nahin lagta

Samjhota dono ke beech hone ko tha 'saahb'

Bezaari ne dono ki dil, majboor kar diye

Mujhse pareshaan no ho e dil mere

Main faisla karne mein thoda waqt lunga

Dil mein mere samaaye jaate hein woh Main zehan ko samjha raha hoon 'saahb'

Page 66: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 66

Mera dil hairaan hai ki baat kya hai

Ek nazar hi dekha hai, aur dene chala hoon

Khudkashi asaan hai ki jeena ishaq mein

Dil se puchh kar 'saahb' jawan dena

Rahi thokar mein unke iltiza meri Main suno to sahi kehta reh gaya

Mohabbat mein ana ki baatein 'saahb' Woh puraani riwayatein kahaan gayee

Tamasha bana ke rakh diya hai mera tune E ishaq tere bade bade waade kahaan gaye

Mera haal usko puchhna padta hai 'saahb' Log baaki, bina puchhe tasalli de jaate hein

Na guzre waqt woh wasal ka

Hijar ko bad dua ki mar jaye

Tabayat yaaron ne puchhi ek do baar

Afsaana e ishaq suna ghanton baar baar

Waqt hi to nahin hai ek, baaki sab mayasar hai Tez taraar duniya hai 'saahb' dil ki baatein na karo

Page 67: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 67

Shah rukh hai woh, naazuk badan hai woh

Us se mohabbat ki baat karna, ek jurm hai

Khair maang lo jaan ki, 'saahb' jo dil nahin dete

Ek tasweer maang lo unki, jo saath nahin chal sakte

Raahtein dil ko kahaan ab mohabbat ki baat se

Koee dard bhara nagma chhed lo, shab e hijar kate

Ek khala sa hai ek shunya sa hai ek tanhaayee si Tere jaane ke baad byaan kaise karoon kya hai kya nahin

Tera jaana zaruri tha 'saahb' tere baad hum kya karein

hum duniya samjhaate they, humein log tasalli dete hein

Puchhtey hein woh, tere kalaam mein yeh 'saahb' kaun

Kya kahoon unse, kiska naam loon, kiski baat karoon

Raaz e dil woh puchhte hein, batao sach sach mujhe

Main unko dekhkar 'saahb' bus muskurata hi reh gaya

Mujhe namkeen aankhein achhi nahin lagti magar

Sirf woh nahin mil sakta ‘saahb’ jise hum chahte hein

Woh nahin sukhne deta meri aankh se nami 'saahb' Shayad use meri namkeen aankhein achhi lagti hein

Page 68: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 68

Intezaar ki had se pare woh le chala mujhko

Khud nahin marna, main marunga tumhe, keh ke

Sunte hein kissa unse 'saahb' dil ka naya

Is baar shayad kahaani mein koee mod aa jaye

Raahtein dil ko nahin aur kahin ab

Teri tasweer zinda rakhe hai tere liye

Mere dil ki ek tammana yeh bhi hai Ab iske baad koee tammana na ho

Hasrat e dil, dil se nikal mere Yeh khaana kissi kharaab na kar

Bahaarein phir aa jayegni jo khizaan ka mausam hai

Dil yun hi kharaab na kar, kuchh patte gir jaane se

Woh taras nahin karte kissi per 'saahb'

Jisko maarte hein ek tirshi nazar maarte hein

Muskura ke woh jeet jaata hai har behas Main dekhta reh jaata hoon uski hansi

Page 69: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 69

Raha na dil mein koee mere tere baad phir 'saahb'

Dastak zamaane bhar ki thi, mujhse utha na gaya

Mere saamne hein woh mukhtsar si baat liye 'saahb'

Main hazaar baatein kar baitha, unke aane se pehle

Uski tawajo ko main kya kya nahin kiya

Aakhiri koshish hai chaar kandhe pe chalna

Jo giraati ho latein do chehre pe sanwer kar Inhi zanjeeron se baandh lo kabhi tum mujhko

Yeh aankhon se kya kehna chahti ho tum Saaf saaf yeh baat zubaan bhi bata sakti hai

Tere saamne kuchh bhi kam pad jayega

Misaal ki zarurat nahin tujhe 'saahb'

Shafa hai tere haathon mein itni ki zindgi bana de

E dukhtar e aadam tujhe aajkal hua kya hai

Mera haasil e mohabbat puchhte ho, ruko Yahin kahin rakha hai main ek waada uska

Page 70: SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamKyaTumAbBhiGaatiHo.pdf · Shaida dil hai mera magar kya kasoor iska Tum ho hi aisi, ki imaan khud badal jaye

SHABNAM: Kya Tum Ab Bhi Gaati Ho

‘ S A A H B ’

Page 70

Koo e yaar se mujhe sada aati hai

Nikal jao nikal jao 'saahb' yahaan se

Na jaane kya baat hai zubaan per nahin aati

Woh jaane ko uth te hein, main badhawas hoon

Intezaar ki had hai mere 'saahb' aur unka aana

Yeh keh ke waapis jaate hein ki, galti ho gayee

Shukar khuda ka maane hein woh, 'saahbh' rooth kar Mera haal behaal ho chala tha, itni si baat per

Mer mehrbaan mujhe mohabbat bhari nazar de de Waqt aakhiri tammana to sabki poori ki jaati hai

Chiraag e wasal jala bhi to do ghadi

Na baati bachi na tel na roshni na main

Zikar e mohabbat taveel chala 'saahb'

Aakhir ko baat badalni padi, uthna pada

Meri aadton mein abhi tak tera zikar Tum chahte ho ki bhul jaun tumhe kabhi