301. haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun aur ... poem roman part - 2.pdfhindustan hai...

44
301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur yaaden na hon to jee kar main kya karun. Dubti hai kashti to dekhe hai aasmaan, Dekhe hai jahan mujhko khudaya main kya karun. Haafiz khuda tumhara to saath main bhi chal chalun, Miley na manzil mujhko to bhala main kya karun. Ibadat ki hai main ne dua ka asar to hoga, Na miley taskin jahan mein to main kya karun. Tanha rehi hai raat meri guzarne ka naam na le, Chalti rahey baad e saba to main kya karun. Jeene ka ab jee nahin khwahishen hain mit chukin, Qaza ko mera dar na miley to main kya karun. Rah woh dikhao mujhko jis pe main gar chalun Pahunch un main terey ghar elahi jo bhi main karun 302. Ghazab kiya aitbaar kiya tujh pe raat Aftab na nikalta to hum kya karte. Lutf o taskin hai zarur teri baahon mein, Neend teri na khulti to hum kya karte. Inayat hai teri ke tu aa jaati hai, Teri zulmat na hoti to hum kya karte. Zinda hai insaan to badaulat, Gar khwab na hote to hum kya karte. Kyun din se adavat raat yeh to bata Tum hotey na alag to hum kya karte. Din raat ka maajra aamad o raft ka hai 'ashok'. Yeh fitrat na hoti to hum kya karte 303. Jal raha hai jahan mera fikr hai kisey, Kehte hain muamala hai siyasi fikr hai kisey. Hindu aur musalman woh zamana hai kahan, Mulk ke baasihnade hain sab fikr hai kisey. Tamaashaye kashmir jaari hai fikr hai kisey, Na woh vaadiyan na aman o chain fikr hai kisey. Bachpan mera guzra wahin gulon ka woh maarg ' ashok ', Kis ne maarg banaya marg fikr hai kisey. Jannat ko yun ukhard kar jahannum bana diya, Vadiyaan woh bahisht theen fikr hai kisey.

Upload: hathuan

Post on 07-Mar-2018

264 views

Category:

Documents


5 download

TRANSCRIPT

Page 1: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur yaaden na hon to jee kar main kya karun. Dubti hai kashti to dekhe hai aasmaan, Dekhe hai jahan mujhko khudaya main kya karun. Haafiz khuda tumhara to saath main bhi chal chalun, Miley na manzil mujhko to bhala main kya karun. Ibadat ki hai main ne dua ka asar to hoga, Na miley taskin jahan mein to main kya karun. Tanha rehi hai raat meri guzarne ka naam na le, Chalti rahey baad e saba to main kya karun. Jeene ka ab jee nahin khwahishen hain mit chukin, Qaza ko mera dar na miley to main kya karun. Rah woh dikhao mujhko jis pe main gar chalun Pahunch un main terey ghar elahi jo bhi main karun 302. Ghazab kiya aitbaar kiya tujh pe raat Aftab na nikalta to hum kya karte. Lutf o taskin hai zarur teri baahon mein, Neend teri na khulti to hum kya karte. Inayat hai teri ke tu aa jaati hai, Teri zulmat na hoti to hum kya karte. Zinda hai insaan to badaulat, Gar khwab na hote to hum kya karte. Kyun din se adavat raat yeh to bata Tum hotey na alag to hum kya karte. Din raat ka maajra aamad o raft ka hai 'ashok'. Yeh fitrat na hoti to hum kya karte 303. Jal raha hai jahan mera fikr hai kisey, Kehte hain muamala hai siyasi fikr hai kisey. Hindu aur musalman woh zamana hai kahan, Mulk ke baasihnade hain sab fikr hai kisey. Tamaashaye kashmir jaari hai fikr hai kisey, Na woh vaadiyan na aman o chain fikr hai kisey. Bachpan mera guzra wahin gulon ka woh maarg ' ashok ', Kis ne maarg banaya marg fikr hai kisey. Jannat ko yun ukhard kar jahannum bana diya, Vadiyaan woh bahisht theen fikr hai kisey.

Page 2: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

304. Chirag e dil hai bujh chuka, Na main ro saka na ranj hua, Woh na sun saka jo dard mera, Jahan mera khamosh hua. Sada main dun to kis liye, Khushi meri ko kya hua, Sunega kaun siskian meri, Mere jahan ko kya hua. Raushan jahan ko kya karun Andhera mujh pe haavi hai, Kashti meri tanha hui, Sahil ghairon ka jo hua. Dua bhi mangun to kis liye , Tere karam ko kya hua, Hasti meri mit chuki, Mere yaar tujhko kya hua. Tujhe yaar kahun ya na kahun, Mere yakin ko yeh kya hua, Khuda mera to tu hi hai, Mere khuda tujhe kya hua. 305. Rone do yaaron gham halka hoga Daaman per girey ansoo shabham samajh lena, Bojh itna hai dil per, dil na samajh saka, Yaqin dila do usko nasamajh use samajh lena Kis kis ki sunun yaaron ghamkhwar hain itne, Mere dard ko apna hamdard samajh lena. Aao ro len mil kar ashk mil kar baha len, Khabar mil chuki hai khizan ko khizan hi samajh lena, Baadal hain aasmaan mein ranjish hai wahan bhi, Baarish pade zamin per ansoo samajh lena, Sahara miley na tumko tanha hi chalte rehna Neend aaye jahan bhi tumko aashian samajh lena Chain paaye na ' ashok' to khuda ko yaad kar lena Jo bhi ho farman sukun usi mein.

Page 3: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

306. Mahjabeenon ko be naqab na karo yaaron, Daagdar dil pe daag aur lag jaayenge, Zakhm hain taaza inhen na chherdo yaaron Ashk bhi khud bakhud sookh jaayenge So gayi hai shama na jagaao yaaron Jale huay dil aur kya jalaaye jaayenge Duba chukin hain maujen sahil ko yaaron, Kashti dhunde hai kinara musafir kahan jaayenge. Gungunayen hain naghme guzishta kal ke yaaron Ja chukin hain bahaaren baghban kahan jaayenge Kuchh badal sa gaya hun ajnabi hun yaaron, Aashnaayi na rahi khud se qadam kahan jaayenge. 307. Kis se kya darna yaaron dar to khud dar raha hai, Gar chal rahe ho sach ki rah per dar ko bhala dar kyun na ho. Chand sitare baadal bijli aasman mein hote hain, Raat ko to dhalna hai, shams falak mein kyun na ho Zulmat ki aag mita do tum andhera ho to is tarah, Dilon mein jalti ho shama, raushan jahan phir kyun na ho. Khush numa jahan mein yaaron musarraten hum chhord chale, Gulshan mein jo gul khiley, us gul ko fakhr kyun na ho. Ai Raat guzar to ja, din ke nazare bhi dekh lun, Haq uska utna hi hai jahan mein raunaq kyun na ho, Kya mera hai kya tera, dil to apna hai nahin, Dil se chaha jab kisi ko, dil phir uska kyun na ho. Tujhe dhunda tu na mila sukun dil mein hai nahin, Tu hi bata mere maula rukhsat yahan se kyun na ho. Likho padho dil se yaaron samjho bhi usi tarah, Ghazal parast bano tum yaaron ghalib paida kyun na ho. 308. Dekhen hain haseen chehre beshumar , Husn to hota hai husn e ikhlak yaaron, Na ki ho mohabbat to kar ke dekho Qayamat se peshtar qayamat hai yaaron, Jhelen hain dukh hazaar kuchh apne kuchh auron ke , Kisi ke kaam to aa sakey, sila yehi hai yaaron,

Page 4: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Waqt badalta hai kab kyun aur kaise , Kis ne jaana, kis ne samjha, kisey khabar hai yaaron, Dana hain bahut jahan mein yaro, Kya vajah phir is nadaangi ki yaaron, Itna nasamajh kyun hai insaan dosto Yaqin khuda per kyun na hai yaaron, Samjha tha hum ne dard samajh jaaoge, Dawa nahin dua chahiye thi yaaron, Taajub ke kaha na kisi ne tumse raaz e zindagi Ek din ek raat ek subah aur yaaron, Dhal chuki hai sham raat aane ko hai baqi, Subah ka intezaar hai sabko beqarar hai jahan yaaron, Qarar aata jahan ko gar na hoti raat na din , Na hota intezar kisi ka na umeeden hoti yaaron, Panah mili to kis jahan mein dosto, Muhafiz honge khudparast sochana na tha yaaron, Itna qarib bhi na aao sambhal jaao dosto, Ke chhorda na jaaye tumko na zindagi ko yaaron. 309. Maange do char rang yaaron, qismat ke khazana se, Kam na hota woh khazana, kyun na aisa hua yaaron. Tammanaayen mit chukin hain, hasraten ab hain na baqi Kyun uthte hain valvale sukun dil mein kyun na yaaron. Bahut ab ja chuka hun talaashe manzil mein, Jaane kya naseeb hain mere nishan e manzil kyun na yaaron. Samajh na aayi tamiz humko gulshan ke dasturon ki Rang hain tujh mein , rang hain us mein, rang mujh mein kyun na yaaron. Khizan aati jaati hai vaqfa bahaar ka bhi hota hai Bahaar ka daur ho mustaqil, mumkin kyun na hai yeh yaaron. Abid main yaqinan hun ibadat bhi mukammal yaaro, Bhatak rahi hai dua kyun maula, tum hi rah dikhla do yaaro. 310. Socha tha tujhe milte chalun, ai dost, Ghazab kiya, ai qismat, tere iradon pe aitbaar kiya . Vaada kiya tha tumne rukhsat na yun karoge, Ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya.

Page 5: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Husn hota hai aarizi yeh khabar to thi hamen, Ghazab kiya humne ke umr e daraz pe aitbaar kiya. Dil hota hai na apna na kisi aur ka, Ghazab kiya ik ajnabi pe aitbaar kiya. Dekhe se chehre pe haya to nazar aayi , Ghazab kiya hum ne ke nigahon pe aitbaar kya. Khula dekha maikada, rah e khuld se bhatak gaya, Ghazab kiya ai saqi aarizi surur pe aitbaar kiya. Aitbaar kiya hum ne to sab pe aitbaar kiya, Ghazab kiya zamane ke tujh pe aitbaar kiya. 311. Mohabbat ki hai so ruswa na karo , Ibadat mein abid ka lihaz karo , Uftaadaon ko kya girao ge , Tah e zamin se neeche kya le jaaoge , Bhula chuka hun jahan ko yaad kya dilaoge , Jali kati na sunao ab kya jalaoge , Jee li hai zindagi tamannayen baqi kuch abhi, Tumhin samjhao yeh hasraten hai kaisi, Ashkon ka vazan hai na qabile bardasht , Naadim ko roney do dil halka hota hai yaaro, Gunah kiye hain itne gunahgaar main hargiz, Rahm mangun bhi to kis andaz mein yaaro, Karam ho bhi uska to kya faaida , Qaza hi meraj khuda se milne ki yaaro 312. Fikr hai na jaan ki na jahan ki, Jitni dur ho manzil khabar ho bhi to kya, Fikr kar bhi lun jaan ki kya faida, Na badle taqdir meri jahan ka hoga kya, Tere kehne pe jee to lun vaaiz, Gunah jo ho chuke hain unka hoga kya, Ghalatian muaf na karo hum kahan jaayenge Khataayen hum se na hon to parsa ka hoga kya, Mausam hon yaksaan to mazaa hi kya, Aur na ho khizan to bahaar ka hoga kya, Barsen na baadal na chhaaon miley, Pi jao gham apna to ashkon ka hoga kya,

Page 6: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Chand na ho falak mein mahjabeen hoga kaun, Aur aftab na ho jahan mein jahan ka hoga kya, 313. Naqsh e pa mita gaya zalim woh is qadar, Waqt bhi kya cheez hai yaaro nishan saath woh le gaya. Aayi sada kis liye saqi e maikhane se Zahid main ban chuka rind woh kahan gaya Unglian na uthao tohmat na lagao, Daghdar dil bhi mujhko bebas, tanha, chhord gaya. Kis rah se aya kaun musafir, kis rah woh chal diya, Tu hi bata ai waqt mujhe, jo na raha woh kahan gaya. Dastur e jahan hai yaaro jo chala gaya so mit gaya, Tadapte dilon ko chhord kar, khwab ban kar rah gaya. 314. Ja balaa kahin aur ja Kahin aur ja kar ghar basaa, Pareshan hain donon tu aur main Bas yun na tu mujhko sataa. Kahin aur ja nasheman banaa, Zindagi meri hai na mustaqil , Tujhe chah hai mujh se kyun bhala, Main saanson ka hun ik bulbula. Main so sakun mujhko chain miley Vaasta neend se phir jurd sakey, Kya taqaaza umr ka bhala, To qaza hai behtar tujh se balaa. 315. Udna hai tere saath uqaab, bandishen nahin gurez, Pinjra tord, ud chalen, ji mein aaye so karen. Udaas kyun hai mere yaar, maayus kyun baitha hai tu, Kis ne qaid kiya tujhko, mujhko bhi to bataa, Mil ke naghme gaayenge, naale bhi sunayenge Kitna kis mein hai ghurur, dekhna hai mujhko zarur, Rokega kaun hamen dost, yeh majaal kiski hai, Gar bande hum hain khuda ke kaun, chal usi ko sunayen gham.

Page 7: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

316. Daagdar ho daaman to daaman ka kya qusur Dil aaya ho kisi per to gila dil ka kya qusur, Phool kitne tere gulshan mein ai baghban, Be khabar hai aasman sitare kitne hain wahan, Badhti maujon ke shor se kya darna Mahrum rahengi kab tak suqut e samandar se, Hisaab kya rakhna giley shikwon ka , Umr kitni hai lambi khabar kisey hai yaaro,, Din guzre hain jitne dinon ka shukriya Shama jalti hai raat bhar khabar kisey hai yaaro, Farq hai na insaan mein maan le tu 'ashok', Intekhab kis liye bande sab khuda ke yaroo, 317. Na pi hai tu ne vaaiz, naseehat kya mujh ko de, Asar dua mein kitna, surur tu mera dekh. Chhord aya hun jaam khali bhar li hai zindagi, Kya khabar tujhe ai naaseh, sharabi tu ban ke dekh. Jaan di hai to kisko qadrdan woh kahan, Be rukhi uski hai isqadar, zalim tu ban ke dekh. Gulshan mein hai jo ghuncha, khwab uske bhi hain , Zindagi hai uski kitni, phool tu ban ke dekh. Sitare hain aasmaan mein, andheri meri raat Raushan jahan tera, mujh jaisa bhi ban kar dekh. Qismat mein na teri maikade ki raunaq, Rind na ban na sahi takhaiyul karke dekh. 318. Hindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan hai mera, Phool rang rang ka, Baghban har bashinda Ise bachaa lo dosto . Kis baat se hai nafrat Jhagde kyun hain dosto, Rishte hain purane, Sadiyon ke dosto ,

Page 8: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Khizan na banao Nau bahaar tum lao, Jahan bhar ko dikhla do Is ki shaan dosto. Vada karo khud se Samjha lo khud ko , Auron ko kya naseehat Insaan khud bano dosto , Yaqin hai mukammal Amn rahega qaaim, Dosti ka haath badhao Sukun sar zamin mein laao. 319. Chere ka noor raushan karta hai dil ko Yeh batao humdum andhera kise achha lagta hai. 320. Baitha hun tanha akela na hun, Doston ka haafiza aur khuda hai mere saath,

321. Kahan hain woh qafile chalte chalte jo gaye, Naam o nishan na naqsh e pa woh yar dost kahan gaye Aaye ho jis rah se yaaron anaa tumhare saath chale Chhord aao anaa kahin, dosti phir saath chale. Raunaq e sham dekh kar sitare bhi jhumte chale, Sada na mujhko de tu yaara hum to teri mehfil se chale. Hamdard rah mein kayi miley kuchh aaye kuchh chale Humdum mera wahi hai yaaron jo mere saath chale. 322. Poochte ho mere dost pehlun mein kaun hai paas, Kis baat ka shak tumhen yeh fikr kyun hai tujhe. Tum wahin ho baithe jahan jagah hai tumhari, Dil mein basey ho dost pehlu ki fikr kyun tujhe . Na ro mere dost waqt baqi hai abhi Ansoo sambhaal ke rakh woh mauqa bhi dunga tujhe Kehte they hum tum se yun chaha na karo, Zindagi ka kya bharosa qaza ki kyun fikr tujhe 323. Aao sitaro meri jholi bharo, Chamke ga daaman pinhan honge daagh, Kya cheez hai jahan mein jo mujh mein nahin, Daagh mere bhi vaise jaise uske hain daagh.

Page 9: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Raushan jahan mein andhera hai daagh Mit jaaye neki rah jaate hain daagh, Taaban hai mah ayaan phir bhi hain daagh, Chhupa lo tum jitna chamakte hain daagh, Dil mein hon daagh to chehre pe daagh, Chhupte nahin dost kambakht yeh daagh. Keh do in daaghon se keh do 'ashok' Dhund len ghar aisa jahan na hon daagh. 324. Meri khataon ko muaf karna, Muaf karne se pehle insaaf karna, Yaad rahe dosto jaana hai jahan, Insaaf na karoge na pahunchoge wahan, Kya kar logey mera gar insaaf na karoge, Tumhara kya hoga khuda ka khauf na karoge, Allah woh sabka woh sabka rakhwala, Meharban kya banogey meharban woh aalaa. 325. Josh ne sabr se kaha Sabr mujhko hai nahin Khud per tujhko qaabu hai To mujhko tanha chhord de. Jo main na raha tu karegi kya Mit jaayegi tu teri hasti bhi Jhagda kyun mujh se yaara Raahat to sabko chahiye. Zinda dili hai zindagi Sabr se r faayeda kya, Rehna pademujhko muntazir Josh ka phir matlab kya. Josh to be hosh hai Sabr kar tu ai sabr, Soch le aur ghaur kar Hamsafar hum yaar hain. 326. Kya rona kya hansna kya dil ka lagana, Yad hai na ab mujhko woh guzra zamana. Gulshan mein woh ghunche baaghon mein bahaar, Yad hai na ab mujhko main hun kis paar. Dekha hai savera qabl dekha kayi baar, Guzri kayi raaten dil ab bezaar.

Page 10: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Jalti bujhti hai shama hawaaon ke saath, Taqdeer ne bandhe hain ab mere haath. Kuchh keh na saka kuchh kar na saka , Kitna bebas hai insaan kitna kamzor 'ashok'.

327. Kab aa rahi ho yeh batta, Qayamat ka intezzar mujhe, Khuda se kahun waqt aur chahiye, Apne khuda se to mil lun zara.

328. Pyar itna na kar mujh se sanam

Pyar hota hai aakhir sirf ik bharam Bharam tut jaaye zakhm bharta nahin Naasur zindagi bhi gavara nahin. Kisi ne na samjha hai dard mera Koi hamdard na bana hamrahi mera, Main yun hi tadapta raha umr bhar Duaen na pahunchi kya tujh tak khuda.

329. Saahil ab qarib hai Doobegi na kashti meri, Maujon se ab kya khauf mujhe, Samandar paar to kar liya.

Awaaz na suni hum ne Zameer pukaarta reh gaya Chalte rahe be khabar hum yaara, Safar yun guzarta gaya.

Ham rahi jab na mila, Tanha main chalta gaya, Talaash phir na thi kisi ki, Khud se main milta gaya

330. Kuchh dur chalna hai aur Mujh pe hai uska haath, Mehrban woh sabka maula, Ghanimat hai uska saath.

Aao yaro khum khana aao, Tanha, maayus, hai saqi, Abid hote hain sabko pasand , Chale to aao rind na sahi. Mai ke surur ki khabar kisey, Bada nosh gar na miley, Husn hota hai betab yaaro, Aashiq usey gar na miley.

Page 11: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Baghban dekhe murjhate huay Gar phool na khilen, Tashna rah jaati hai zamin, Gar asmaan na khuley. Manzil ki taraf badhta gaya, Nishan manzil ka na mila, Kya karunga kab tak chalunga, Mera khuda jo na mila.

331. Jo ranj o gham na samajh saka, Samjhega woh raaz e khushi kya, Jahan se jo mahrum rahe, Kya khabar usey bahaar kya, Jo saaya na pehchaan sakey Hamrahi woh baney ga kya, Aainey mein nazar aaye ghair jisey, Us shakhs ka bhala hoga kya, Hardum jo rahe muztarib Itminan woh paayega kya, Khud se jo na mil saka, Khuda se woh miley ga kya.

332. Yaad rakh jaan le tu 'ashok'

Ik paheli hai zindagi aur hai kya.

333. Jisey kehte they apna woh na raha, Haafiza hai bacha woh rahega na. Dil toot chuka hai yaaro aur mat behlao, Soorat e haal hai aisi mat rulao,

334. Ja haqeeqat kahin aur ja

Kahin aur ja kar gungunaa, Khwabon mein mast hai zindagi, Mujhko tu yun na utha.

335. Kya adavat hai dosto sawaal hain kya,

Gar muamalen hai siyasi siyasat karo fanaa, Khelo na humse na jazbon se hamare, Baashinde yahan ke hindustan hai hamara, Rokna hai yeh toofan is mein shak hai kya Varna kashti na saahil na samandar rahega, Na Ram na Mohammed na Isa ne kaha hai Mazhab mera hai behtar mazhab tera ho fanaa, Rishte hain purane yeh toot na sakenge, Khuda mera na tera khuda sabka hai yaaro.

Page 12: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

336. Darta hun saans lete huay, Aakhiri na ho humdum darta hun Dar soney ka hai mujhe, Aankh band na rah jaaye darta hun, Be dar na ban jaaun Khauf e khuda na rahe humdum darta hun, Na hai aitbar zuban per apni, Alfaaz kya keh jaayen darta hun, Fikr e jahan na kar Haal tera kya hoga dost darta hun. Yaad rakh 'ashok' insaan se kya darna Woh khud darta hai khuda se, us se kya darna. 337. Jis rah se main guzar gaya, Us rah pe tum chaloge ab, Tu hi bata sahib e ilm, Taareekh se mera vaasta kya Kya sab kuchh ittefaq hai, Parde pe naqsh o nigaar, Jis ki samajh mujhko nahin, Aur tum uske ho paidavar. Rishton mein rishta kya hua, Samajh kisey hai yar, Kuchh der ka saath ittefaq hua, Samandar ke hain do paar. Bahr ke sahil hamesha do Maujen hain beshumar, Karo tum job hi karo, Kashti lagana hai paar Us paar jaane kya miley, Anjana hai woh paar, Qismat miley so bhes mein Bhes kaun jaane hai yar. Waqt jo bhi ho inayat Aitbaar usi per ho, Kal na dekha main ne yaaro, Kal pe aitbar kyun kar ho. Alvida is paar ko ab, Umeed us paar mein hai, Kya mila hai kya milega, Baat khizan o bahaar ki hai.

Page 13: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

338. Sajde kiye jaate hain khamosh dilon se, Sukun mein hararat kisey chahiye. 339. Zamane ko chahiyen khel khilone Dil to behlana hai sab ko yar Hans lo mujh per mazaq uda lo, Tum kya bachoge kis se yaar. 340. Murshid kaun kaun gunahgar, Na jaane murshid na gunahgar, Yaqin is baat yaro Donon kabhi is kabhi us paar. Na samajhe mein aaye baat meri, Dikhlao murshid jo gunahgar na ho , Aur main dikhlaun gunahgar tumko Murshid jis ka yar ho. 341. Kuchh kar na paaun, Kuchh rah na jaaye, Jaldi karo yaaro, Kuchh rah na jaaye. Waqt ki hai kami mujhe, Waqt to rukega na, Kuchh rah gaya to kya karunga, Kuchh rah na jaaye. Raftaar badha ker chalun, Jaan ki fikr na karun, Dum bhale nikal hi jaaye, Kuchh rah na jaaye. Jaldi hai mujhko bahot, Sukun ka waqt na hai mujhe, Isi baat ka khauf hai yaaro, Kuchh rah na jaaye. Kuchh rah gaya to kya karunga, Khuda se main kya kahunga, Tere jahan ka hoga kya, Mere baghair chalega kya , Adavat mujhko khud se hai, Baais mera ghurur hai, Kam na hongin hasraten, Armaan mitenge na, Kuchh rah na jaaye.

Page 14: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

342. Tumhen yad ho ya no yad ho Mujhe yad hai woh lamha, Jab chal raha tha aasmaan, Ruk gaya mera jahan, Tumhen yaad ho yad na yaad ho Mujhe yad hai woh lamha. Woh pal bhi kuchh aisa hi tha, Waqt bhi tham sa gaya , Alfaaz ki zarurat na padi, Ruh se jab ruh mili, Tumhen yad ho ya na yad ho Mujhe yad hai woh lamha. Is qadar zinda the hum Saanson ki zarurat na padi, Dil mein valvale uthe, Maujon ko sharm aane lagi, Tumhen yad ho ya na yad ho Mujhe yad hai woh lamha. Labon pe naam tera hi tha, Zulfon ki girift mein ulajh gaya, Ab bhi taaza hai haafiza Haseen junun kidhar gaya, Tumhen yad ho ya na yad ho Mujhe yad hai woh lamha. Ishq bhi kya cheez hai yaro , Khud ko khud se dur kare, Isi ka naam hai ibadat, Jaan jab tumko majbur kare Tumhen yad ho ya no yad ho Mujhe yad hai woh lamha. 343. Be hosh hun main Hosh mandon se kya vaasta, Deewangi hai pesha, But milte rahenge. Momin hun mukammal yad rahe yaro, Nazaren hon hum jaisi kafir banenge momin, Jhut hai jahan mein sach bhi yaqinnan, Gulshan mein khar aur phool bhi milenge. Khud gharaz hai yeh duniya, Khud mukhtar bano tum, Auron se kya poochhna Woh kya kahenge . Munafiqana hai insaan Sabko yaksan na tolna, Humsafar humnawa Yar dost bhi milenge,

Page 15: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

344. Kho jaaye gar jahan mein maayus na hona 'ashok', Naam khuda ka ho zubaan per rah milte rahenge. 345. Be zuban hai bechara Uske saath tum chalo, Zameer hai tumhara, Humsafar tum bano. Chaurahe pe pahuncho, Rah mile na tumko, Kar lo tum us se, Uske kahe per chalo. Nuqsan na hoga, Fayada ho na ho , Khuda woh tumhara. Sajde tum karo. Dost woh tumhara, Yad rahe tumko, Mukhalfat na karna, Rahnuma woh tumhara. 346. Na Kehna kabhi mujhse tum ne yad na kiya, Subah hoti juda sham se gar aisa hota sanam. Chaha hai tumko itna chaha hai jaanam Teri yad hi ke sahare zinda rehte hain hum. 347. Kya ginte ho yaro kya bakhsha hai auron ko, Jo bakhsha ho tumko qismat vahi tumhari, Milta nahin jahan mein mukammal jahan kisi ko, Hissay mein ho tumhare jahan usi ko jaano. 348. Mohabbat ki baaten karti ho yaara, Nibhana to seekh lo, Khamosh zuban manzur hai janam, Dil se to yad karo. 349. Dil aa jaayeye kisi per to kya kijiye Majhdar ho safina to kya kijiye, Bahut dur hai sahil tu jan le 'ashok' Maujon ke khilaf na chal dub jaayega 350. Kis qism ka dard hai yeh, Ranj mujhko hai nahin, Dur itna ja chuka hun, Ehsas e dard bhi na raha.

Page 16: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

351. Aa ke chale jao raazi hain, Alvida na keh ke jao raazi hain, Tark e taaluq ke dastur hain yaara, Na nibhao to bhi raazi hain. 352. Kisi se milne ka khwab dekha , Khwab mein kisi ka hijab dekha , Woh tumhin theen kya jaanam chehra dikhao, Varna vahm dur na hoga hum ne kisey dekha 353. Is qadar be rukhi ho sakti hai andaz na tha, Na milo na sahi kuchh keh kar jao, Waqt ka kya bharosa kab chhin jaaye, Naadim na rehna dost kuch keh kar jao. Bin kahe chal diye shak yaqinan shak rahega, Dosti pe tauhmat mat lagao kuchh to hum se keh kar jao. Kuchh na kaho na sahi alvida maan hi lenge Khuda haafiz tum ko rakhe khuda haafiz gunguna ke jao. 354. Na woh lughat rahi na woh daur raha, Na woh hum nawa na humsafar raha. Na woh dil raha na vada raha Na us dil mein ab woh fughan raha, Na woh dard raha na humdard raha, Tanha main tanha raha. 355. Jo dard e gham de ker chale diye Un se ab hum kya kahen Khush raho kuchh to baanta Kuchh to de kar hi gaye. 356. Aao paas to dabe paon aana, Aahat se dil machal na jaaye, Nigahen milao to haya saath lana, Shokhion se kahin dil machal na jaaye. 357. Kaho tum ko apna bana kar dikha dun, Teri ruh ko ruh se mila kar dikha dun, Tum jaanti ho mujhko chand dinon se jaana, Hum jaante hain tujhko sadiyon se dikha dun. Falak se sitare chura kar dikha dun, Biyaban ko raushan main kar ke dikha dun, Toofanon ko majhdar se vapas kara dun, Teri kashti ko main sahil pe laga dun, Kaho tumko apna bana kar dikha dun .. 358. Kis khuda se kya kahoge, Dua maang kar kya karoge, Yaqin jo tum ko hai nahin, Mandir ja kar kya karoge.

Page 17: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Khauf e khuda gar dil mein ho , Ram aur mohammed ek hi ho, Yasu masi aur granth sahib bhi Bahmi mohabbat kyun na ho, Kis daur se guzar raha hai tu, Be khabar be sahara musafir hai tu, Jazbaaton ka shikar yun ban kar, Insan kitna tanha hai tu. 359. Hum chale jaayenge to kya karogi Itna bhi na chaho jaanam ke phir chah na sakogi. Daaire mein raho hadud se kya gila Zindagi bhi to qaza tak hi hoti hai . 360. Gar Din ka dhalna lazim hai To raat ka maqaam uska apna hai Hosh mando ko hoti hai fikr e jaan Be khabar hai junun sang kis ne utha rakha hai. 361. Dukh jheley so woh bhi akele, Sukh bhi tujhko miley akele, Manzil sab ki ek hi hai, Chalta hai phir kyun akele. 362. Khwab, kya cheez hain khwab, Khwahish ho dil mein to khwab hi khwab, Tasavvur se badh kar na hai koi khwab, Jee lo jaise chaho jaanam haqeeqat bane khwab. Khwab zahn mein nahin dil mein baste hain, Armaan har dum sila taraste hain, Yad rahe jaana dhadkan hi sab kuchh hai, Varna kya haqeeqat kya khwab ansoo baraste hain. 363. Darta hain kyon ‘firaq’, Darna kis liye, Takhayul tere apne hain Awaaz na laga. 364. Rab ki hai talaash, tavassul dhudhta hai kyun Khuda hai dil mein aur himmat bhi, Azmat ki hai justaju to sar jhuka ke chal Arsh pe nighain kadam zamin per bhi, Yaad rakh maula ko per khud ko na bhul, Rahm ka hai tu talib to mursheed bhi Neki badi doonon hai insaan ki fitrat Shaitan hain jahan mein , jahan mein khuda bhi

Page 18: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Khuda ki rehmat pe jeeta hai insaan Phir kyon raazi be raaza na rehta hai insaan Aarzoo O armaan ki kashish yeh kaisi Ke sab jaante huay bhi pareshan hai insaan. 365. Maikhane ka surur ya kaabe ki vajad Qismat ka khel hai ‘ ashok’ dast e qaza Mubarak ho qaza tumko yahan se wahan Dil walon ko hi milta hai sukun e jahan 366. Ghunche se poochh phool woh banana chahta hai kya Do qadam chalta hai phool aur aati hai qaza. 367. Kal tak qaim tha bharam mohabbat ka Ai raat yun guzarna kya lazim tha, Shama jalti rehti kuchh der aur, Tere andhere mein lipte rehte kuchh der aur. 368. Udaas reh kar kuchh na kar paoge Muskura kar dekho dost, dost milega 369. Gunjti aawaz sun kar laga hum nawa mila Tanhai mein dosto humko apna yaar mila Na suni hoti yeh gunj to yun lagta 'Ashok" Ke tanhai mein na sukun na koi ghamkhwar mila. 370. Talaasha tujhe har jagah dil mein bhi jhaanka kiye Na tu na nishan tera mujhko kahin mila kiye Kuchh aisa kar de rab jis rah pe bhi chalun, Har su ehsaas tera hi hamesha hua kiye. 371. Yad aate rahoge umr bhar yeh to lazim hai, Yad aao gar us jahan mein dost to kya hoga, Na kehna jo hoga manzur e khuda hoga, Chaha hai tumko jitna khuda ne bhi na chaha hoga. 372. Khudgarz hai insaan yeh to fitrat hai dosto Gar woh apna na ban sake auron ka kya banega Hairangi kis baat ki umeed kis baat ki dosto Waqt kitna hai mukaarar, yeh na tum jante ho na hum dosto 373. Jab bhi bhul jata hun fikr e sukun karna, Sukun milta hai mukammal Ajeeb majra hai dosto, Ajeeb yeh tamaashai bekhudi 374. Na Khabar mujhe andhera kab hoga, Na zuban khamosh na savera kab hoga, Kisi shai per jab koi haq hi nahin, Kya jaane aasman mein sitara kab hoga,

Page 19: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Uthte hain toofan samandar mein, Taskin na miley safiney ka kinara kab hoga, Himmat na haar insaan khuda hai tere saath, Tere baghair uska bhi guzara kya hoga. Saans aate hain ab so ruk ruk ke 'ashok' Ai zeest tera sahara kab tak hoga, 375. Na sunao yaro ghalib kya kehta hai Hamen to woh sunao jo tumhara dil kehta hai, Alfaaz hon tumhare to kya kehne, Saqi ho ya vaaiz kahe jo kehta hai, Sun lenge tumhari kuchh keh kar dekho Shor o ghul ke is aalam mein dil kya kehta hai, Sher to woh hai yaro jo dil ko chhu jaaye, Takhallus asad ho ya ashok kuchh na kehta hai. 376. Jal ke khaak hua shama ka deewana, Bujhti shama ke saath jal gaya parvana, Dhal chuki hai raat rote rote, Mil gaya ab sahr ko aane ka bahana, Naghma e soz e dil sunana , Ghazal sara hun mujhko bhi rulana, Kahan gayi ab woh fusun gar ki muskaan Ho sakey tumse uska dil tum behlana, Kaun apna kaun begana 'ashok', Hisab ho jaaye to mujhko bhi batana. 377. Kahan se aa rahi hai sada Kiski gor bulaa rahi hai Miti se miti jab mil chuki Tujhe zamin tassalli na aa rahi hai? 378. Kisey bataun kya sochta hun, Anjaane mein khayal kya aate hain, Darta hun kya karoge yaro, Fikr tumhari hi to karta hun. 379. Firdaus ki kyun fikr tujhe kya milega 'ashok' Sukun gar yahan na mila wahan milega kya. Khuda tere saath hai, jannat bhi yahan, Dozakh bhi yahin hai mere yar, intikhab bhi yahin kar.

Page 20: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

380. Vaaiz se poochh daanish hai woh, rind ko kya miley, Jo maikada ho uski jannat, kya jannat usey miley ? Jaam tere haath mein hai, ibadat se bhar ke dekh Mai se tujhko kya milega, surur ibadat ka dekh.

381. Aisa dukh na dena khudaya, Jo hausile se zyada ho, Teri mehr pe yaqin hai mukammal, Kahin uth na jaaye kabhi.

382. Hote hain rishte gham ke mazboot

Khushiyan aati jaati hain, Khizan na ho gar duniya mein, Bahaaron ki umeed kaun karey.

383. Dhadakte dil se kya kahun khamosh ho jaaye,

Valvale na uthen toofan na aaye, Majhdar mein kashti paar na hogi Gar toofan aur samandar ko chain aa jaaye.

Kis ko kya sunaaun yaro hungama to kum ho jaaye, Dil ki aawaaz mujh tak to pahunche mujhko to chhu jaaye,

Khud ki na sunta hun main tum se kya kahun Zubaan meri hai kuchh alag bayan main kya karun.

Manzar dikhao yaro jo hum ne na dekhen hon,

Kahani bhi woh sunaao jahan ranj o gham na hon.

Haafiza na raha jo khud ka kisi aur ko kya yaad karun, Chain milta nahin hai mujhko sukun auron ko kya dun.

Pukar rahi hai aawaaz kiski pechaan le tu 'ashok', Yeh rang, yeh khushbu, yeh gulshan tere, inhen jaan le tu 'ashok'.

384. Ai baad e saba tu laut ke aa,

Teri khushbu to jaan lun zara, Andheri hai raat intezar sehar ka, Dil tujh se laga lun zara.

Ai baad e saba mujhko yun na sataa Tere aane ka hun muntazir, Chehra to dikha phir aa ke chali ja, Umeed qaaim to rahey kafir.

385. Yaadein chhordte jao yaro, Milne ki gavahi deti hain,

Barqarar rehti hai umeed, Khwahishen jaagti rehti hain.

Page 21: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

386. Jab bhi main fikr e ibraq karta hun raqqasa

Tere payal ki jhankar se darta hun, Bijlian kya girengi aasmaan se yaro Jalte dilon se kya poochna raakh kya hai.

387. Baithe baithe so jaata hun main,

Ik ajab sukun ke daaire mein, Na koi aas na koi pas na shor o ghul, Sirf main tanha khwabon ki duniya mein.

Soney do yaro dhund lo khwab apne, Shareek na ho sakoge mere khwabon mein, Mukhtalif hoti hai neend ki duniya, Chain apna, khwab bhi apne, khaali haath so woh bhi apne.

388. Ek ajeeb rishta hai raat ka saba se,

Jaise toofan ka hai sukun se, Ruh milti hai jab ruh se Us manzar ka ehsas kisey.

389. Do qadam chal liye to kya hua,

Do qadam safar kiye to kya hua, Pahunchna hai tujhko manzil tak 'ashok' Do qadam baqi hain yar to kya hua.

390. Khisak gaye alfaaz zuban se,

Zahn ne unka saath na diya, Dil ne pukara sach hai yaara, Maghsum thi zuban qusur tha mera.

391. Yeh sada kahan se aa rahi hai,

Kiski gor yun mujhko bulaa rahi , Miti se miti jab mil chuki Tujhko ai zamin tassalli kyun na aa rahi hai.

392. Uthte Uthte khwab dekha, Khwabon mein kisey dekha, Tumhen to hum pehchante nahin, So kya batayen kisey dekha. 393. Raat ko kis cheez ka intezzar hai,

Saba ho jaaye mustaqil to sukun mil jaaye 394. Woh bhi zamana tha yaro Saans liya karta tha be dhadak, Kam rah gaya hai waqt yaro Lamhe bachate phirta hun . 395. Dubti kashti ko bacha kar dekho Hausile ko aazma kar dekho

Page 22: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Tundiye toofan se kya darna yaro, Phook phook kar kya chalna Jaan hatheli pe rakh ke dekho. 396. Mere dil mein hai armaan, Mere chehre pe hai muskaan Zaahir hai meri khushi, To pinhan meri jaan. 397. Andhere ki raftaar ne pareshan kiya

Raat guzri hai meri tare ginte huay Kitna chaha hai tujhko tu na jaane saba, Ai falak aftab ayaan kyon na hua.

398. Apne hi dil ko na chhoo saka

Sunaaun main naghme kisi aur ko kya Sukun na mila umr bhar mujhe, Safina lage us paar to hoga kya.

399. Jis raat ki saba na ho woh aaj ki raat to nahin Phir mulaqat ho ya no ho yeh raaz ki baat to nahin. 400. Do char ghunt pila de saqi, mausiqi mein duba de saqi, Naghma e dil sun chukka hun, Apni kahani suna de saqi. 401. Gar dubti ho kashti tumhari mallah badal dalo Nakhuda se na rakho umeed sochne ka andaz badal dalo, Rahnuma jo miley tumko navazish bhi usi ki hai, Sholon pe chal, chhaale paden, woh gunah ki rah badal dalo. 402. Shama na bujhao jalne do yaro,

Raat ke andhere mein ujala kya hoga, Na hamen dekhoge na khud ko pehchanoge. Dost mil bhi jaayen to kaise jaanoge.

403. Ghairon se haath milate chale Apnon ko hum bhulate chale, Qissa hai yeh raaz ka yaro, Kitni aarizi hai duniya yaad dilate chale. 404. Nazakat hamari zara dekhiye

Nigahen milin aur hum chal diye, Nazron ke isharon pe chalte rahe, Saadgi hamari zara dekhiye.

405. Na mila koi tujhse ai mere khudaya

Na dekha kisi ne ghar tera khudaya Na shakl na surat na aur koi nishan,

Yaqin ke bharose maana hai khudaya.

Page 23: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

406. Din hamen yaad aaye na Raat se hum ghabraye na, Tere aane ki intezzar mein yaara, Jaan chali bhi jaaye to sattaye na. 407. Sitare iqbal hon to kya hua Girte dekhe na tumne

Hausile buland huay to kya hua Past hote na dekhe tumne

Aasmaan mein aftab ho to kya hua Kaale baadal na dekhe tumne, Mehr e khuda to hoti hai har dum Uska qahr na dekha tumne. 408. Sajde kiye hain tu ne hazaar

Gunah bhi tujh se kum na huay Zuban tere dil ki baat maanti hai ‘ashok’ Kaun tujhe kya samjhayega.

409. Zindagi mein saba har raat guzarti nahin Kis ki kismet mein kya hai har raat jaanti nahin. 410. Sitaro kuchh to batao

Nazar aata hai tumko kya, Kya likha hai muqaddar mere Anjaam to batao. Raushan hai jahan tumhara

Nazar aata hai mujhe Kya andhera bhi hai us jahan mein, Qismat apni bhi batao. Jo yahan na aa sako Bula lo tum mujhko wahan Main apne jahan ko bhi dekhun Aa kar tumhara paas. Gar yeh bhi na ho tum se To chamakte ho kis liye, Rah dikhate ho sitaro, To dikhate ho kis liye.

411. Woh sahr na dekhi hum ne jis ki raat khatam na hui ho, Mushkilen hoti hain asaan yara gar yaqin barabar ho.

412. Itni be sabri bhi achhi nahin ai saba,

Shama bujhne ka intezar to kar. Raat guzar jaaye khwab to dekh lun Haqeeqat se mujhko lagey hai dar.

Page 24: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

413. Na neend aa rahi hai na khwab hain aas paas, Tu hi bata ai raat main kya karun,

Rah dikha de shama jalna hai tera kaam, Parchhain hai mere saath main kya karun, Aaina main dekh chuka hun haqeeqat hai samne, Anjaan yeh chehra dosto main kya karun, Na mil saka main khud se na naseh mujhe mila, Rahnuma mila so saqi main kya karun,

Haath uthaye ghutne teke sajde bhi kiye yaro, Gar manzil na miley dua ko main kya karun, Tumhin batao yaro tumhin rah dikhlao, Nazar e khuda na mujh pe hai, main kya karun.

414. Tujhko dekha na jis ne us ne raat kya guzari Tere intezar mein sahr hum ne umr hai guzari. Khafa kyon ho mujhse ayaan kyon na ho, Badi lambi guzri hai raat raushan kyon na ho,

415. Gar yaqin hai mukammal khuda per tujhe

Kyon darta hai tu insan se ‘ashok’ Kya kafi nahin uska dar tha khula, Jo dhunde hai tu maikada dar ba dar.

416. Ehsaas e zindagi qaim hai, dhadkane main gin raha hun, Neend aa rahi hai mujhko, ab kaun sunega inko yaro, Kya bharosa neend ka sahr hogi ke na, Khuda hafiz hum keh chale, dil ka kya yaqin hai yaro.

417. Ik saba ki baat hai,

Ik deewani raat ki baat hai, Andhere mein gum huay hum, Bujhti shama ki baat hai, Un sitaron ki baat hai , Us aasman ki baat hai, Dubte mahtab ka hai yeh qissa, Nikalte aftab ki baat hai. Tumhari meri guftagu ki baat hai, Sadiyon purani mulaqaat ki baat hai, Kisi cheez se na hai iska rishta, Do ajnabi musafiron ki baat hai. Kuchh umeedon ki baat hai, Kuchh chahaton ki baat hai, Safar tai ho manzil mil jaaye, Bas nazar milaane ki baat hai.

Page 25: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

418. Woh khwab na dikhao jinhen chhu na sakun Woh alfaaz na sikhao jinhen keh na sakun, Pinhan hai mohabbat sharmsar nigahen, Be naqaab na karo ke tumhen dekh na sakun. 419. Sufi ban na saka yaro baada khwar jo tha,

Nasha apna apna surur bhi apna yaro,

Kisey kya khabar kis mod miley khuda, Hum ne to har dost ko khuda maana hai yaro,

Dekh chuka hun mehr e khuda mukammal main Maikada o saqi bhi usi ki den hain yaro,

Peeta hun be hisab nemat bhi usi ki hai, Hisab bhi ho jaayega qayamat ke roz yaro,

Uska insaf hai kaisa na rind samjhe na vaiz, Bhatke kaun, dagh kis pe lage, kaun jaane hai yaro.

Jo milta hai mujhko, hissa muqaddar wahi mera, Gar hun main gunahgar, pak bhi to hun main yaro .

420. Hum nava na hua jo saqi maangunga kisi aur se kya

Dil ki baat dil hi na samjhe kisi aur ko samjhaunga kya,

Musafiron ka farz hai itna rahguzar chalte chalen, Manzilon ki justaju mein naqsh e pa ginte chalen,

Miley sila ya na miley silsila yehi hai yaro Kya hai jaaiz, kya na jaaiz, zindagi ittefaq hai yaro

Main deewana tum ho vaaiz, junoon kiska zyada hai Kaun banega iska saalis, hosh bhi kya cheez hai yaro,

Kya kahun, kya na kahun, kya zaahir ya pinhan karun, Khuda to sabka ek hi hai, tum jo karo, main jo karun.

421. Milti hai mai to woh bhi jaam mein yaara, Hum ne to jaan hatheli pe rakh ke di, Kis qurbani ki baat karte ho dost, Hum to aakhiri saans bhi havale kiye jaate hain. 422. Tundiye ibraq se kyon khaufzada hai tu ‘ashok’ Yeh to girti hain tujhe rah dikhlane ke liye. 423. Kuchh aisa shughal de khudaya udas dil ko behla sakun,

Ranj o gham bhula sakun teri yad use dila sakun.

Page 26: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

424. Mat poochh mujhse vaiz main rind kyon bana Jawab hoga na tujhpe gar main poochh baitha,

Mai ka jadu hai aisa surur milta hai yaklakht Tashnagi rehti hai na meri qayamat ke roz tak.

Yaqinan milega tujhko saaton jahan ka maula Mera khuda hai zamin per shakl saqi ki di hai main ne

Mai hai aab e kauser maikhana bagh e rizwan Ab tu hi bata ai vaiz khuda tera hai ya mera,

Basta hai woh dilon mein aur dil hai sabka ek Phir farq kya, hum mein tum mein, gar ibadat hai barabar

Chaha hai hum ne jisko puja bhi hai usiko Haal tera bhi yehi hai, khabar tujhko hai kya vaiz.

425. Do char ghunt pila de saqi

Junoon ko aag laga de , Bhadak chuka hai dil mera, Deewangi aur bard ha de saqi.

Do char ghunt pila de saqi Umeeden jaga de Jee sakun main zindagi apni Jahan ko aisa bana de baqi.

Do char ghunt pila de saqi Dil e muztarib ko sukun dila de Hulchul kam na hogi, valvale uthte rahenge Maujon ki talatum se bacha le saqi.

Do char ghunt pila de saqi Tamanayen jaga de saqi, Chhord aya hun zindagi main kahin, Chehra dobara dikha de saqi.

Do char ghunt pila de saqi Mehfil mein chal kar aayi hai umeed Taaza kar de haafiza mera, Taqaaza e waqt hai badal jaate hain saqi bhi kabhi.

Do char ghunt pila de saqi Yaron se mila de saqi Sahr ke hone ka hai intezar Bas tu raat kinare laga de saqi.

426. Waqt chalta gaya main rok na saka,

Saath chalna bhi mera mumkin na hua, Badal jaata hai daur kis raftaar se yaro Umr jaati rahi qadam dagmagate rahe.

Page 27: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

427. Socha na tha soch se soch milegi,

Hum nawa milega zuban se zuban milegi Dil se miley dil to kya hai, Ruh se ruh milegi socha na tha

Socha na tha tere baare mein, ai zeest Tere bhi hain hadud socha na tha, Kitni lambi tu kyon na ho Dubna hai qaza mein tujhko , socha na tha.

Socha na tha ishq yun bhi hota hai Nigahon se nigahen na milen to bhi hota hai, Naqab na uthao to kya hua, Bin dekhe bhi hota hai , socha na tha.

Socha na tha pyaas yun bhi bujhti hai Had se guzar jaaye tashnagi to bhi bujhti hai, Armaan baqi hain abhi to kya hua. Yun bujhte jaayenge armaan, socha na tha.

Socha na tha yun chali aaogi , Qarib itni theen pehle aur qarib aaogi, Dilon ko rahguzar na miley ko to kya hua, Andaz e dil hote hain alag, socha na tha.

Socha na tha yun dub jaunga, Teri rahmaton mein khudaya dub jaunga, Gunahgar hun tera to kya hua, Itna rahm dil hai tu, socha na tha.

Socha na tha yeh din bhi dekhunga, Rukte saanson ki ghadiyan dekhunga, Waqt thahar bhi jaaye to kya hai, Kanpte haathon ki jhurian bhi dekhunga, socha na tha.

Socha na tha yun guzar jayegi, Raushan shama yun bujh jayegi, Dubta hai chand aftab dekh kar, Pheeka padta hai husn ghurur dekh kar, socha na tha.

Socha na tha yun kuchal jayenge, Iman ko yaro log bech khayenge, Kya zamana hai yeh socho nau jawanon, Haal hoga yun mulk ka, socha na tha.

Socha na tha raat yun aayegi, Kaali ghata ranj o gham layegi, Subah hogi ya na khabar hai kisey, Aayi qaza kis rah jayegi, socha na tha.

Aati jaati hain baharen yeh maalum tha hamen,

Yun rote hain phool yeh khabar na thi , Behte lahu ki laali pheeki pare, Murjhaye yun baghban yeh, socha na tha.

Page 28: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

428. Dubti kashti ko bachayega kaun,

Bekhabar nakhuda ko samjhayega kaun, Lehren uthti hain samandar, dilon mein bhi, Behke dil ki addaon se bachayega kaun.

429. Rah chalton ko humsafar bana lo safar kat jayega,

Kabhi meri kabhi apni mano safar kat jayega, Jo sarai na miley tumko to phir chalte chalo, Sitaron ko rahnuma bana lo safar kat jayega.

Jhut bolo ya sach safar kat jayega, Talaash e manzil ho ya na ho, safar kat jayega, Imaan bech khao to tumhara hoga kya, Zindagi khud safar hai safar to kat jayega.

430. Fikr na karo yaro ke hum tumhen chhord jayenge,

Khuda tumhare paas hain hum usi ke pass jayenge , Allah taala ka hai yeh dastur sabko jaana usi ke pass, Is se badh kar kya nemat ke muntazir hai khuda

431. Rone do yaro mujhko rone do,

Udas hai dil halka hone do , Tassalli na do gham nasur reh jayega, Khul ke ro lun to zakhm bhar jayega, Rone do yaro mujhko rone do.

432. Ghazal woh sunao jis se yad taaza ho,

Zamana woh dikhao haseen chehra ayaan ho, Woh halki muskan sharmsar nigahen, Bheegi palken dikhao ghazal woh suna,

Ghalib o Momin ki ghazal sunao, Ranj o gham ki baaten dil ke naghme sunao, Ghazalsara hun main shauq mujhko hai yaro, Ashq main bhi baha lun woh ghazal sunao,

Kuchh nayi kuchh purani kahani sunao, Mohabbat ke qisse ghazal mein sunao, Mohabbat hai ruh ghazal ki yaro, Jalte dilon ki dastan ghazal woh sunao.

433. Kis daur se guzar raha hun, mujhe batao,

Khabar hai tumhen sitaro to mujhe batao, Toofanon se ghir chuka hun, rah mujhe dikhao, Tanha meri kashti use paar lagao.

434. Kitne imtehan lega,

Kuchh to bata mere maula, Sabr mujh mein hai so la mahdud, Aur teri rehmat pe yaqin bhi mukammal, Kitne imtehan lega.

Page 29: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

435. Dil mein jo hai so kaho, Asliat to hai khuda ke samne, Uske bandon se mubalgha kaisa.

Kya badloge tum haqeeqat ko, haqeeat ki khabar kisey, Zindagi to khud ik ramz hai, Zamana saz kya banoge dosto.

Kuchh to lihaz karo , Auron ka na sahi apna hi sahi, Hisaab tumhara to hoga zarur, Khauf bhi isi ka karo.

436. Zindagi se kya gila dosto ,

Zindagi hai be sahara, Qismat hai apni apni, Aur khuda bhi hamara.

Zindagi ne kya bigada, Shikayat hai us se kya, Yahan kaun apna kaun paraya, Khabar kisey hai kya,

Jo aaye tumhare hissey, Haq usi pe hai tumhara, Jitne log utne qissey, Kaun khush qismat kaun bechara,

Is baat per jo yaqin ho, Rahoge pur sukun, Jiyo tum aaj ya kal fanaa Aur kahun to kya .

437. Andhere se nikal aao raushan hai dil tumhara,

Bujhti shama na jalaao aftab hai dost tumhara, Parchhain mein chalna kaisa, na milenga naqsh e pa, Guzar jaati hai raat sabki, sabka hota hai savera.

438. Mujhe bataa tu ai gil saaz, haath kaanpe they tere kya, Dhaala hai tu ne mujhko, banaya hai tu ne kya,

Mitti tha main haathon mein tere, shakl bhi tu ne di, Gunah phir mujhse jo huay, zimmedaari ka hoga kya ?

439. Jis rah pe chal raha hai tu us rah se kya puchhna,

Le ja rahi hai kahan tujhe yeh rah se kya puchhna, Be khabar hai tu manzil se 'ashok' bhatakti dua ki tarah, Khuda miley ya na miley ghairon se kya puchhna.

Page 30: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

440. Jis gham ko tum chhupa na sako,

Un ansoo on ko pi dalo, Kisey waqt hai dost tere ghamon ke liye Kaandha na mila ashq ponche ga kaun.

441. Jis jaam se pilaao saqi bosa usi hi ko miley,

Jo tashna rahe nazar teri meri khata hai kya, Manzil miley ya na miley dua ki kya khata, Gar dil se na maango dua khuda kaise miley.

442. Bhul jaaoge ik din mujhko tum yaro,

Pukaarunga jab kya karoge yaro, Yaadon mein tumhari yad hi na rahi to, Anjani aawaz se kya kahoge yaro.

443. Pehchaan lo khud ko auron ko bhi,

Haq sabke hain barabar zimmedaarian bhi, Naazuk hotey hain rishte yeh bhi pehchaano, Ghair hotey hain acche, bure apne bhi.

444. Meri qabar pe na rona yaro,

Sookha hai daaman bheeg jayega, Muskurate huay tum phul chadhana, Alvida keh kar tum chale jaana.

Yaad tumhari hamesha aati rahegi

Halke halke mujhe yeh satati rahegi, Tadapti ruh ko aur na satana, Taskin use phir kaise milegi.

Muskura ker jo jao chain usko milega

Andheri uski raaten savera milega, Bhatakti ruh aur muztarib na hogi, Tumhari tabassum ka sahara milega,

Yaad rakhna tum yaro yeh hidayat meri,

Chain mujhko milega aur tumko bhi, Bant jaayega dukh aane jaane ka, Kuchh main le chaluga, kuchh chhord jaunga.

445. Dil jalaane ki baaten na karo yaro,

Na dekha hai tum ne udti aayi hai yaro, Raqibon ki sohbat ke charche sunen hain, Kya shaitan ko na dekha khuda ke pas yaro

446. Bechaini hai zaruri tarraqi ke liye,

Zaruri hai khwahish khuda ko pane ke liye Armaan na hon to zindagi kya , Kya sukun zaruri hai jeeney ke liye.

447. Kya bigada qismat ne tera kyon kosey hai tu ‘ashok”,

Raat andheri, raushan raahen, taare saath hi hain, Badalon se kya ghabrana chhaon dete hain tujhe, Bahaa ke ansoo zaar zaar, teri tashnagi mitate hain.

Page 31: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

448. Mahalon mein rehne walo bulandian tum dekho,

Zamin per hain jo taare unhen bhi to dekho, Jahan bhar ki khushian tumhen hon mubarak, Ranj o gham ke maaron ki duniya ko bhi dekho.

Har shai milti nahin hai hasb e tamanna kisi ko,

Mehr e khuda na bhulo karamat uski bhi dekho, Qismat ne jo diya hai maula ki hai woh den,

Hisse mein jo mila hai shukriya kar ke dekho.

Jaan per haq hai kisi ka to usi ka hai dosto, Aarizi hai yeh duniya duniyawalon ko hi dekho, Saans hain tumhare so woh bhi muqarrar, Tasalli milegi tumko khuda ko yaad kar ke dekho.

Tumhare liye hai zinda parvardigar tumhara, Sambhaale hai who tumko har dum, khud ko sambhaal ke dekho, Khuda ki hi hai yeh duniya subut kya doge dosto, Yaqin hi khuda hai yaqin tum kar ke dekho.

449. Halanke de chuka tha main begunahi ke subut,

Yaqin unhen jab na hua main khwamkhah ruswa hua,

Badgumani kya cheez hai yaaro shak se zara dekhiye, Tarazoo mein gar tul bhi jaaye insaf phir bhi na hua,

Chal diye hain rah ab apni muqqadar haath mein liye, Yad rahega milna tumse milna phir jo na hua,

Husn sabko ho mubarak, shakl bhi apni dekhiye, Gar seerat milti na hui, haseen chehra kya hua,

Is qadar maayus kyon, is qadar pareshan 'ashok', Khuda to tere paas hi hai, zahir na sahi ehsaas to hua,

Yad karoge mujhko yaro jab main chala jaunga, Umr guzaari saath tumhare na raha to kya hua.

450. Raat ko raushan kiye hai shama,

lau dhund le aisi jo din ujala kare, Nur e khuda pe na hai bandish koi, Na din ki na raat ki na kisi cheez ki ‘ashok’.

451. Chand raushan na sahi sitare to hain,

Dararen hoti hain ghaney zulfon mein bhi, Andheri raaton mein dosto milengi baharen , Har gham ke pehlu mein baithti hai khushi.

Koi ranj na hai jo taskin se ho alag, Ashq behte rehen aur sukun na miley, Murjhate phool bhi to muskurate hain , Shab e hijr ke alam ka mazaa bhi alag.

Page 32: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

452. Chirag e mohabat kahin bujh na jaaye,

Teri yad mujh ko yun hi sataye, Shauq e junoon bhi kya cheez hai jaana, Na tum samajh paaye na hum samajh paaye.

Samajhnin hain tumko kuchh majboorian, Samajhna hai mujhko yeh bechainian, Dhadkan ho dil ki ya qadmon ki aahat, Deewaangi e furqat ki naadaanian,

Guzra zamana na laut kar aayega, Haafiza wahan tak na pahunch paayega, Chhuoge tum kisko zara socho 'ashok', Khwaab bhi khwaab ban ke reh jaayega.

453. Ghazal woh sunao jo dil ko raakh kar de,

Jal rahi shama andheri raat kar de Mussaraton ki bahaar dekh li hai main ne, Zakhm e soz e gham ko ayaan kar de .

Naghma pardaz kuchh aisa jaadu kar de, Main ro sakun dil bhaari kar de, Behte ashkon mein hai dastan e zindagi, Naghma woh sunao jo ansoo ansoo kar de,

Be zubaan mohabbat ko zubaan kar de, Ankahi baat ko bayan kar de, Dukh jhele hain main ne itne ya rab, Ab tere dar ki rah numayaan kar de.

454. Paon taley khiske zamin, gar yaqin na ho tujh pe maula,

Jahan tera hai zalzala, kahin hil na jaaye mere maula, Sambhaal ke rakhe tu isey, shukriya karun ada, Aql de insan ko maula, sambhaale khud ko bhi zara.

Is qadar haiwaan hai insaan, zakhmi dil phadhaaey hai, Samjha le isko mere maula, samjha le ab insan ko tu, Khizaan ki aandhiyana bhi teri, kahin ud na jaayen parinde tere.

Baghban hai tu gul hain tere, gulistan bacha le tu Deen o iman sikhlade maula, zaat paat mita de tu, Rang o bu hain is jahan mein, har qism ka phool khiley, Teri duniya tu hi jaane, rahnuma bhi tu hi ban, Rah dikhla de apne dar ki, kya dair o kya haram.

Page 33: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

455. Soz e dil mein lipta hua hun,

Naghme main sunaaun kya, Baitha hun main pehlu e saqi , Dair o haram main jaaun kya,

Puchh na itne sawaal tu vaaiz, Makhmur hun main bedaar hai tu, Junoon bhi sabka apna apna, Tujhe main samjhaun kya,

Qudrat ne hi tujhe banaya, Mujhko farq banaya kyun, Kaarnaame hain yeh sab usi ke, Khuda se puchh main batlaun kya,

Puja paristish ki hai tu ne, Sajde kiye hain main ne bhi, Raaz hain tere main na puchhun, Daagh apne dikhlaun kya ,

Rah hai sabki apni apni, Maikhaane aur kaabe ki, Alag duniya ke taur tariqe Tujhko main sikhlaaun kya.

456. Dil jalon ke darmian sukun mujhe milega kya,

Jo khud ko na samjha saka tassalli mujhko dega kya,

Kaun momin, kaun kafir, kaun karega intikhab, Jo khud se na mil saka khuda tak woh pachunchaaye kya

Kehte ho tum lakiren dekh, bechara aur faqir jisey, Qismat ka woh mara hua, bigadi woh banaye kya,

Gham ka ehsaas na ho jisey, kya shai hai khushi kya khabar use Jo hanste hanste ro pade ashk woh bahaaye kya,

Apne liye jeeta hai jo hamdard woh banega kya, Libaas ho jiska khud gharaz, bhala woh karega kya,

Daanish hai naseh, sun le uski, jaan le tu khud ko 'ashok' Samajhdar hai duniya, bedaar hain log, kis kis ko tu samjhaye kya

Maana hai jis ne maula ko, daulatmand wohi hai yaro Hai koi johri, ya khazana, jo uski rah bataye kya.

457. Dar dar ke milte they daur e mohabbat,

Kahin ulfat ka naam ruswa na ho,

Kitna zakhmi tha dil khabar thi na unhen, Umeed kya rakhun us se jis ka dil hi ho,

Page 34: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Hum to samjhe they din guzar jaayenge aasaan, Jigar na maana ke behta khun na ho,

Kitna gehra hai rishta tujhse ai zindagi Saath chhorde na baney saath guzara na ho,

Maut ka aana laazim hai hargiz 'ashok', Dushwaar ho jeena gar jeene ka bahaana na ho

458. Na jazbat rahe, na valvale, haaye ranj o gham ke aasaar,

Jaan se hum alag huay, kya khizan kya bahaar Na samaj sake tujhe hum jaana, na jaana tu ne humko, Chal diye rah apni apni khushi mili to kisko.

Jawab mujh pe nahi hai iska saba kya tu hai jaane, Hoti hai raat tamaam kab, kab iska savera, Jalti hai shama raat bhar ujaale ki kyon arzoo, Falak mein aftab ayaan , din mein andhera kyon.

459. Khwab hai ya saraab hai yeh,

Hur hai ya lajawab hai tu, Dubey hai kashti bezarar maujon mein, Hum to toofan se guzare aur saahil paaya.

Kitna chaaha hai tumko khuda jaane, Khuda jaane kitna roka tha khud ko, Phul khilte hain gulshan mein be shak, Hum ne tumko hi maana tha gulshan.

Chamakte hain sitare aasmaan mein, Us jahan ki hamen khabar nahin, Chamakte hain sitare is jahan mein bhi , Kuchh hum ne paaye kuchh hum ne haare.

460. Itni lambi hai yeh raat,

Shama jalti hai abhi, Kya karunga ujale ka, Bataa, tu hi bataa saba.

Yaqin tujh pe main karun kya, Tu aa bhi jaaye to faayeda na Raat hi gar guzar na ho, Bataa tu hi bataa saba.

Tanhai ka dar nahin mujhe Raat hai meri hamsafar, Subah mujhe milega kaun Bataa tu hi bataa saba

Chahta hun main milna tujhe, Raat ki arzoo hai yehi Mah o mahv mein farq hai na, Aftab na ho to chand kya Bataa saba tu hi bataa.

Page 35: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

461. Dil ko paasban na banao,

Muhafiz woh banega kya, Jo khud ko na sambhaal sake, Auron ko sambhaale kya,

Gar sholon se khelte ho tum, Har dam raho bedaar, Aatish e dil mein jhulas gaye, Ghilazat khor karegen vaar,

Naghme sunao aise, Jo dil ko den surur, Andalib tum na sahi, Gungunao tum zarur

Barsegi baarish aaj kal, Barsegi woh zarur, Maayus hai shakl asmaan ki , Badal bhi hain majbur.

Khushi miley to baandh lo, Jholi mein tum usey, Gham jab kabhi bhi aan padey, Ashkon ko sahara miley.

Sach ka haath thame huay, Rahguzar chalte chale Aaye jab mor pe 'ashok', Yaqin phir tere saath chal.

462. Bhar aya hai dil, Jagah dun to kisey, Behte ashkon ki dastaan, Bayaan karun kisey,

Hamdard hai kaun, Hamdam kahun kisey, Samaan utha ke chal diye, Chhord aya hun kisey,

Baghon mein log ghumte phiren, Gul dikhen kisey, Jhankte hain sab dil ki janib, Khuda dikhe kisey,

Poochho na yaro, Jaane hai kaun kisey, Jo khud ko na hai jaan saka, Woh jaane hai kisey,

Page 36: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Ainey mein surat dekhen sab, Seerat dikhey kisey, Haseen hain chehrey dil joi log, Daanai dikhey kisey.

463. Ai chand sa Chaman gar tu na hota , Hum sitaron ka bhala hota kya, Tujhse karte hain hum beinteha mohobbat, Raushan hain to woh bhi teri badaulat. Jeeti hain hum tere paon taley Tere hi saaye mein hum sab paley, 162 hai number us gulistaan ka , Jis chaman ka baghban tu hi tha, Tere hone se hai us chaman mein khushbu, Phul tha kamal ka tere ru be ru, Aap donon hi they us chaman ki bahaar, Jis chaman se guzar kar humne paaya hai pyaar, Naaz humko hai yaro ke phul hum baney, Jis chaman ka baghban, ai Chaman, tu hi hai, Salamat rahe tu, khushbu aati rahe, Na koi gauhar na khazana, chaman, teri tarah. Aashiq hun chaman ka, chaman ke gulon ka, Bin tere, ai Chaman, biyaban mera chaman, Khizan se tu hatkar bahaar hai Chaman, Mubarak hon sabko aise gulshan , Chaman. 464- Jab bhi main fikr e qaza karta hun,

Tujhse ai zindagi main bichadne se darta hun. Naqsh e pa tere hain dilkash, Tere qadmon ki ahat goonje hai dil mein.

465. Jalti faanus kya rah dikhalayegi tumko,

Parchhain chalti hai barabar uske saath, Rah raushan kiye hai nur e khuda, Dil mein jhaank, zuban pe Allah, jab andheri ho teri raat.

466. Saans na aaye to kya hoga,

Jaan nikal bhi jaaye kya hoga, Daur e jahan chalta rahega, Kaar e - nek kar 'ashok' varna tera hoga kya

467. Hum ne dekha har shai ko chalte,

Ai waqt tu ruk ke dikha de, Kya apna kya paraya is jahan mein, Ai khudaya, apne dar ki tu rah dikha de,

468. Andheri kitni hai yeh raat

Ai chand, tu chehra apna dikha de, Ashk behte nahin ab kisi ke, Ai falak, tu baras ke dikha de,

Page 37: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Raushan karte hain jahan ko sitare, Ai shama, tu arman jala kar dikha de, Bikhre phoolon se banti hai mala, Baghban, zakhm dil ke tu bhar ke dikha de.

469. Jis raat ki saba na ho woh raat hi kya Jis aankh mein haya na ho woh aankh hi kya, Kehti hai jo zuban kehti rahe, Jis sada mein dil na ho woh sada hi kya.

470. Na bharam raha na gila raha,

Yaqin hai tujh pe mukammal khuda Jo falak se girtin hain bijlian, Hum ne unko bhi tera nur kaha.

471. Puchhe hai mujhse vaaiz gumnam hun main kyon,

Jahan tera tu hi bataa khuda mila hai kya, Jo tujhko na mila hai maula, naseehat mujhko kya, Khuda ko jaante hain sab zarur, tujhe woh jaanta hai kya?

472. Haseen kitna hai jahan chashm apni se dekho,

Kitna iqbal hai insan khuda se puchh ke dekho, Kaaynaat ka hai woh maalik banaya sabko usne, Bande hain hum usi ke, usi ki nazron se dekho.

473. Jigar bhi tera khun bhi tera hum bhi tere kamzarf sahi,

Jo bhi hain so tere maula kamtarin hum tere hi hain, Aankhon ne meri dekha na tujhko dil ne kyunkar jaan liya, Yaqin mukammal, yaqin hi sab kuchh, yaqin hi teri pehchaan khudaya.

474. Kuchh na chaha, na hi maanga, sukun kyunkar mila khudaya,

Khabar tujhe thi ya meri qismat, ke main ne tujhko yaqin banaya.

475. Na dikha paimana saqi nazron se tu pila, Behte ansoo jaam mein tapken, tilism woh bhi dikhla, Phir main manun tera jadu, teri ankhon ka kamaal, Jab se main ne dekha tujhko, deewana hun main be misaal.

476. Barasti mai, tarasta insaan, hur aur bagh e rizwan,

Bana dun jannat maikade ko, gar saath tera mujhe miley, Ranj o gham kis rah gaye, us rah se be khabar hun main, Dagmagate, haath thame, main ne saqi sajde kiye.

477. Aise lamhat bhi aaye yaro aa kar chal diye,

Na hum ne roka, na woh rukey, bin saans liye woh chal diye, Afsos hai laazim, gila nahin, andaz sabke mukhtalif, Humsafar jo bhi bana usi ke saath hum chal diye.

478. Dua maangi khuda se hum ne,

Dar ba dar bhatakti rahi, lltija hai tujh se saqi rahm dil ban ke dikha, Na hoga khaali jaam tera na karegi mehfil alvida, Tere bhi sajde karke dekhun yaqin mujhko tu dila

Page 38: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

479. Maikade mein taskin miley, Dair o haram main jaaun kya, Ghoont ghoont jo miley surur, Vaaiz ko main bataun kya,

Shama jaley gar raat bhar, Sahr ko main bulaun kya, Kya hai raushan kya andhera, Soton ko main jagaaun kya.

480. Lahore- Ek Yaadgar, Sochta Hun

Socha na tha, ai Lahore, bahega lahu tera is tarah, Zamana woh bhi yaad hai mujhko, khun tha qurban tere liye, Watan parast qurban they tujh pe, jaan haazir tere liye, No koi hindu na musalman, jahan aashiq tha tera, Maashuq se yeh be rukhi, be hayaai yeh kaisi, Socha na tha.

Watan ki jaan tu hi tha, manhus din woh aya kyunkar aaya, Amn o chain tha barqarar, chehre pe laali lahu na thi, Aali shan thi teri soorat, kyon aisa zulm hua? Sochta hun.

Sham e hijr mustaqil banegi, rishte yun honge tark , Bichharega tujhse tera farzand, guzrengi sadiyan guzrengi yun, Socha na tha.

Sochta hun, Milen ab ajnabi to kya? Pehchan un mein hogi kya? Juda huey they kis liye? Waqt na mila tha sambhalne ke liye?

Dekhunga kya jhurion ke saath? Kuchh meri hain kuchh teri hongi , Kya hadiyon ka dher milega? Kis se kaun kya kahega? Sochta hun.

Hamsafar Asad aur Ashok , Roz ka aana jaana tha, Milna julna, saath padhna Rona bhi to woh bhi saath, Yeh hangama kya hua? Guzar gaye ab woh girami, Jin ki jaan tu hi tha, Aisa hua to kyon hua ? Sochta hun.

Hasraten ban rah gaya tu, Lahore kabhi begana hoga, Socha na tha.

Page 39: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Yaad aati jiski har dam mujhe Rukh uska anjana hoga, Socha na tha?

Humzuban mein guftagu na , Dhadkanen alag rahen, Shak o shubah ka nazariya , Ruh se jism alahida ho, Ek vatan ka batwara , Socha na tha, yeh bhi hoga.

Badlenge rishte is tarah, Dost mil na paayenge, Bagh ujad ke reh gaya, Lahore tu kidher gaya,

Kaun Muhafiz hai tera ? Kisey sunaun dastan? Baghban woh kahan gaya, Sochta hun.

Awaaz main na de sakun, Pyar main na kar sakun, Ai Lahore, tu kahan gaya? Tere nishan hai mere pass, Milayega kaun, karun kis ki aas, Sochta hun.

Jo ab hai tu woh Lahore nahin, Main bhi woh jawan nahin, Mohabbat ki thi main ne tujh se, Ishq woh na yad mujhe, Taarikh ban reh jaunga. Yaaden saath le jaunga Sochta hun.

Mera bachpan teri jawani, Ho sakey mujhe yad karna, Amar rahe yeh kahani,

Qismat ne chaha phir milenge, Na milen alvida kahenge, Sochta hun.

481. Itna gir chuka hai insan, Kya girega yahan se aur, Baant diye mazhab mein bande, Baari teri hai khuda,

Isa kya aur, kya mohammed, Krishna aur Gobind bhi kya, Paighambaron ki kaun sunega, Tu hi aa kar samjha,

Na mane yeh jo teri bhi, Miley phir use puri saza,

Page 40: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Kuchh to aakar, kar tu maula, Jahan ki hai yeh iltija.

Barbaadi ki rah chalte huay, Peechhe mud kar dekhe na Ghurur hai itna zahn mein iske, Tujh ko bhi yeh bhulega.

482. Ashk tapken chashm se, us roney se kya faayeda, Dil na roye aah na nikle, ashk kyunkar banen dua.

Bheegen daaman ashkon se, ruswai ho to ashkon ki, Na pahunche gar dua khuda tak, ruswai bhi dua ki ho,

Sabaq inhi ashkon mein yaro,' jo karo dil se karo, Na pahunche sada tumhare dil tak, khuda se tum dua karo

483. Log bhale jo bhi karen,

Tum to bhala karte jao, Mushkilen ho rah mein jo bhi, Sabr se tum chalte jao,

Na koi apna na paraya, Bande sab khuda ke hain, Miley jo bhi rah mein tumko, Dost use banante jao,

Dubey gar nao kisi ki, Aur tumhen bulaya jaaye, Jaan hatheli pe bhi rakh kar, Nao tum bachaane jao,

Milengi khushian tumko bhi, Tumhare hisse ki zarur, Sar jhuka kar sajde kar ke, Shukriya tum karte jao,

Ghurur na karna, khuda se darna, Varna yad rahe tumhen, Qahr hai uska mehr barabar , Hifazat se tum chalte jao,

Har saans hai uski,

Qadam bhi uska, Tum to bas sirf chalte jao, As salaam ul lekum karke, muskara ke chalte jao,

Rakkhega haafiz tumko maula, Fikr bhi usi ko hai, Yaqin rakho mehr pe uski, Yaqin ke saath chalte jao,

484. Kya ghalib kya momin kya ahmed faraz, Batta mujhko 'ashok' tere likhne ka raaz,

Page 41: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Jaan jao gar raaz iska to kya banega mera, Dubey gi kashti meri toofan ho na ho,

Tah e dil se likhta hun yaro ghazal sara ho na ho,

Jeena to hai zindagi ko humsafar ho na ho.

485. Kehte hain log so kehte rahen, Hum to yaara bas tere huay, Bismil tum, dard mujhko hua, Muddat hui yaara dil diye huay,

Sambhaale tum rakhna haafiza mein apne,

Zamana hai guzra tumko chhuay huay, Jaayenge jis din yeh basti chhord kar, Samajh lena yaara hum kyon rukhsat huay,

486. Waqt bhi kya cheez hai yaaro

Waqt hi jaane usey, Chal diye hum raah pe apni, Bina waqt jaane huay,

Likh chuka hun qismat apni, Yaqin tujh pe kiye huay, Mehr ho teri gumnaam main achha, Naam tera liye huay.

Naam na hota phir kya hota,

Khuda ka banda phir bhi hota, Kaun hai naami kaun badnaam, Khuda na hota phir kya hota,

Rahm kis se maangta phirta,

Kis se ja kar kahan milta, Insaaf milta to kis ke dar pe, Saari umr phir rota phirta,

Nahin ho momin to tum kya ho,

Kya tum khuda ke bande na ho, Hasti kya jahan mein teri, Khuda na ho to dil mein kya ho,

Haafiz kaun banega tera,

Kisey kahega tu apna dera, Raahen sab khuda ke ghar ko, Ghar tera kis raah pe hoga.

487. Aisa naghma suna guldam,

Ke ghuncha bhi khil uthe, Gulshan mein baghban na ho , Bahaar gulchin baney,

Aaye ghata gungunate huay,

Gungunate hi chale, Na ghata rahe na chaman rahe, Bas andalib jaavidaan rahe.

Page 42: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

488. Kya giley sitaron se tumko yeh to hum ko batao yaro,

Woh to chamakte hain tumhen, rah dikhane ke liye.

489. Rang hon piley ya hon niley, Bahaaren rangon se nahin , Dil mein naghma, zuban per khuda, Khizan ka naam o nishan nahin.

Murjhate gulon se kya kahun

Khushbu to woh chhordey jaayen Yaadon ke kaafile hain zahn mein Itna to kiye jaayen.

Mumkin na ho sakey,

Kahin aur ja kar murjhayen, Aur yeh bhi na ho sakey, Hamen saath liye jaayen,

490. Numan hotey hain sitarey raat ki zulmat mein,

Kab chamkegi teri qismat kisey khabar hai raahi.

491. Na main khud se mila na khuda mila, Jo mila mujhe ajnabi mila, Muqaddar bhi kya cheez hai yaro, Humsafar mila, humnawa na mila.

492. Dastan e gham na sunao,

Khud ko udas na banao, Fursat kisey kahan hai yaro, Gham sabko hai tum bhulate jao.

493. Ik din baithe nadi kinare, Behta pani behta jaaye, Chaal uski aisi thi, Rang jeevan ke nazar sab aaye.

Ghussa dekha sukun bhi dekha, Valvale uthte girte dekhe, Phir bhi hum ne kuchh na dekha, Behta pani behta jaaye.

Nadi ki ravani dekhi, Us mein apni jawani dekhi, Dheema pani chalte dekha, Chalne ka andaz bhi dekha.

Nadi main baarish padti dekhi, Raftar uski badhti dekhi, Shor o ghul ke aalam mein, Nadi ki humne masti dekhi.

Ansoo mere ruk na paaye Nadi ka paani behta jaaye,

Page 43: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Baithe baithe so gaya main, Nadi kinare kho gaya main.

494. Kya nasihat kya iltija, Kis kis ki main sunun, Khaamiyan hain to sab mein yaro, Naseh hai to sirf khuda .

495. Jigar na ho to lahu kyonkar bahey,

Aur iman na ho to dua kya karey.

496. Jis rah se bhi main guzra hun,

Us rah pe mujhe khuda mila, Hairan kis baat pe hai tu raahi, Har raah pe humsafar hai khuda.

497. Jaane kahan gayi sada,

Jaane kyon na usne suni, Meharban woh sabka hai, Jaane kahan dua gayi,

Kya usey woh na mili?

Bhatak gayi rah mein kahin, Kami thi mujh mein dua mein bhi, Jaane kahan dua gayi,

Rahguzar mein raahi sab,

Poochun main to kis se kya, Kya unke saath bhi yun hua, Kahan gayi unki dua,

Khabar nahin kisi ko yaaro,

Kam aql ya woh daana ho, Kahan gayi dua kisi ki, Kahan kho gayi dua.

498. Kashtiye zeest tere havale khudaya,

Na toofanon ka dar na lehron ka lutf, Na khauf hai kisi ka na ab is jahaan ka, Fikr na hai ab mujhko apni bhi jaan ka.

499. Kai rang dekhen hain maula rangon ke darmian, Tere jahan ka insan woh bhi nirala, Gar sach hai jahan mein to woh tu hai khudaya Jisne samjhi na yeh baat us ne jahan kya paaya.

Yaad karte hain log tujhko musibat mein khudaya,

Yaad aati hai kisey teri, terey mehr ke dauran Fursat na hai kisi ko yahan marne ki khudaya,

Kya yaad karenge tujhko kya pahunchenge tere paas.

Kya faash karunga tujhko kya ayaan mein khudaya, Dekhna chahta hai jo bhi tujhko tu basa usi ke dil mein,

Page 44: 301. Haafiza gar chhin na jaaye to main jee na sakun Aur ... POEM ROMAN PART - 2.pdfHindustan hai jahan ka, Watan mera hai dosto Jahan hindu na musalman Sirf insaan hai dosto, Gulshan

Na kaaba na masjid na dair o haram, Naqsh e pa tere har su hain sanam,

500. Fikr kis baat ki yaro, Fikr ki fikr na karo, Jo bhi hoga khuda karega, Tum kya karoge, fikr na karo.

Na rind hun na hun main zahid,

Kya maikhana kya hai masjid, Kaun hai saqi is jahan ka, Pila de saqi jo bhi ho,

Jaam bhi tera iman bhi tera,

Hum bhi tere jo bhi ho, Na hum poochhen na poochenge, Yaqin mukammal, jo bhi ho,

Sajde kiye baitha hun main,

Pila de maula jo bhi ho. Lub pe naam tera hai, Ladkhadaaye zuban ya jo bhi ho,

Mai pila ya zahr ho,

Jo pila piyenge hum, Tere haathon jo milega, Akseer e hayat samjhenge hum.