mir hasan mir 2014 - 2015

Upload: fazaileahlulbait

Post on 09-Oct-2015

573 views

Category:

Documents


0 download

DESCRIPTION

Lyrics of latest nauhas of famous nauhakhwan Mir Hasan Mir 2014 - 2015

TRANSCRIPT

  • 1

    Mir Hasan Mir

    Nauhas 2014 2015 For Lyrics Of Nauhas Of Famous Nauhakhwans Visit:

    ww.nauhalyrics.com

  • 2

    Contents 1. ALIYUN WALIULLAH ................................................................................................................ 3

    2. Main Khaak-E-Karbala Hun ................................................................................................... 6

    3. Ab Mein So Jaungi .................................................................................................................... 8

    4. De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS) .................................................................................. 10

    5. Khiza Ne Loot Li Sari Bahar ............................................................................................... 12

    6. Hay QASIM (AS) ....................................................................................................................... 14

    7. Chadryn Mangi To ................................................................................................................... 16

    7. Zuljana ......................................................................................................................................... 18

    8. Zia E Khoon E Shaheeda ..................................................................................................... 21

  • 3

    1. ALIYUN WALIULLAH

    Ya ALI (AS)

    Ya ALI (AS).....4

    Hay ALI (AS) .....4

    ZEHRA (SA) Se Poocho Kya Hai ALIYUN WALIULLAH

    Is Ke Liye BATOOL (SA) Ka Do Bar Ghar Jala

    Baghdad, Sham O Kufa, Khurashan O Karbala

    Ummat Ne Fatema (SA) Ko Kahan Dukh Nahi Diya

    Su Kutch Lutaya Deen Ki Hifazat Ke Waste

    ZEHRA (SA) Ujad Gai Hai Wilayat Ke Waste

    Darbar Mein Bacha Ne.....2 .....Gai FATEMA ZEHRA (SA)

    ALIYUN WALIULLAH.....4

    Sunta Na Tha Madine Mein ZEHRA (SA) Ki Koi Baat,

    Le Kar HASAN (AS) HUSAIN (AS) Ko Har Subha Apne Sath

    Ghar Ghar Pe Yaad Jaa Ke ......2..... Dilati Thi SAIYAD (SA)

    ALIYUN WALIULLAH.....4

    Gam Mein ABUTURAB (AS) Ke Ghut Ghut Ke Mar Gai

    Dar Parda FATEMA (SA) Ki Wasiyat Yahi To Thi

    Aaie Na Woh Janaze Par......2..... Jisne Nahi Padha

    ALIYUN WALIULLAH.....4

    Tooti Hui Thi Paslilyan, Dam Tha Ruka Hua

  • 4

    Tha SAIYADA (SA) Pe Jalta Hua Dar Gira Hua

    Phir Bhi Lab E BATOOL (SA) Pe ......2...... Jari Thi Yeh Sada

    ALIYUN WALIULLAH.....4

    ZAINAB (SA) Pukari Aaie Mere Mazloom Be Watan

    Wada Tumhari Lash Pe Karti Hai Yeh Bahan

    Ek Din Zaroor Shaam Ki......2...... Gali on Mein Goonjenga

    ALIYUN WALIULLAH.....4

    Aaie Najaf Se Shaam E Ghariba Mein Jub ALI (AS)

    ZAINAB (SA) Se Yeh Keh Ke Apne Padar Se Lipat Gai

    Khanjar Tale Bhi Bhai Ke Zakhmi Labon Pe Tha

    ALIYUN WALIULLAH.....4

    Boli SAKINA (SA) Aaya Jo Zindan Mein SHEH (AS) Ka Sar

    Kaise Batau Shaam Ka Kaise Kiya Safar

    Gir Gir Ke Khoon Kano Se......2...... Deta Raha Sada

    ALIYUN WALIULLAH.....4

    Zindan Mein Ek Kabr Banane Ke Waste

    Humsheer Ka Janaza Uthane Ke Waste

    Nade ALI (AS) Ki Shakl Mein......2...... SAJJAD (AS) Ne Padha

    ALIYUN WALIULLAH.....4

    Namehramon Ki Bhid Thi Darbar E Shaam Mein

  • 5

    ZAINAB (SA) Ne Deke Khudba Zabane IMAM (AS) Mein

    Be Waqt Ki Azan.....2...... Dab Ne Nahi Diya

    ALIYUN WALIULLAH.....4

    Maan Ki Lahad Pe Bain Takallum The Beti Ke

    Pehlu Pe Zakhm Kha Ke Bachaya Tha Aap Ne

    Main Ne Rida Luta Ke.....2..... Bacha Ya Hai Ba Khuda

    ALIYUN WALIULLAH.....4

  • 6

    2. Main Khaak-E-Karbala Hun

    Karbala.....8

    Main Khaak-E-Karbala Hu, Rutbaa Mera Juda Hai.....3

    BINTE ALI (SA) Ne Mujhko Chadar Bana Liya Hai,

    Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai.....2

    Karte Hain Rashk Mujh Par Kausar Ke Bhi Kinaare,

    ZAINAB (SA) Ke Sar Mein Maine Do Saal Hai Guzaare,

    Mera Har Ek Zarra Har Zulm Ka Gawaah Hai,

    Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai.....2

    AKBAR (AS) Jawaan QASIM (AS) GHAZIi (AS) Se Chaand Taare,

    Zainul Imaan Meri Aagosh Mein Utaare,

    Yaani Lahoo Nabi Ka Mujh Mein Mila Hua Hai,

    Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai.....2

    Roti Hu Yaad Kar Ke Woh Bekasi Ka Manzar

    MAULA (AS) Chhupa Rhe The Mujh Mein Woh Laashe ASGAR (AS)

    Uss Din Se Aaj Tak Na Mujhko Sukoo'n Mila Hai

    Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai.....2

  • 7

    Shohdaa-E-Karbala Ke Zakhmo'n Ko Maine Chooma,

    ZEHRA (SA) Ki Betiyo'n Ke Kadmo Ko Maine Chooma,

    Iss Waaste Hi Meri Taaseer Mein Shifa Hai,

    Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai.....2

    AKBAR (AS) Ki Laash Par Jab SHABBIR (AS) Jaa Rhe The,

    Uthte The Baithte The Aur Ladhkhada Rhe The,

    Manzar Woh Abh Bhi Meri Aankhon Mein Phir Rha Hai

    Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai.....2

    Aye Zaaereen-E-Maula Chalna Yahan Sambhal Kar,

    Quraan FATEMA (SA) Ka Bikhra Hua Hai Mujhpar

    Naa Jaane Kis Jagah Par Kiska Lahoo Gira Hai

    Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai.....2

    Tauqeer Tu Bhi Karle Aale Aba Ka Matam,

    Jo Shaam Mein Gayi Thi Uss Berida Ka Matam,

    Mamnoon Maatami Ki Makhdoom FATEMA (SA) Hai.....

    Main Khaak-E-Karbala Hun, Rutbaa Mera Juda Hai.....2

  • 8

    3. Ab Mein So Jaungi

    Baba Mere Baba....2

    Ab Mein So Jaungi Baba....3

    Baba Mere Baba.....2

    Baap Ke Sar Se Lipat Kar, Ye SAKINA (SA) Boli Ab Mein So Jaungi...2

    Band Ho Jayengi, Band Ho Jayengi Kuch Der Me Aakhe Meri, Ab Mein So Jaungi

    Baap Ke Sar Se Lipat Kar, Ye SAKINA (SA) Boli Ab Mein So Jaungi

    Chalte Nake Se Jo Zalim Ne Giraya Tha Mujhe

    Ek Bibi Ne Gale Aake Lagaya Tha Mujhe

    Apni Aagosh Me Ek Bar Sulaya Tha Mujhe

    Saat Baba Ke Mere Aayi Hai Fir Wo Bibi, Ab Mein So Jaungi

    Baap Ke Sar Se Lipat Kar, Ye SAKINA (SA) Boli Ab Mein So Jaungi

    Qaid Ye Khatm Hai Zindan Ki Kuch Der Ke Baad

    Pas Asgar Ke Chali Jaungi Kuch Der Ke Baad

    Band Ho Jyengi Aakhe Meri Kuch Der Ke Baad

    Payse Hote Se...2.... Sunayenge Jo Baba Lori Ab Mein So Jaungi

    Baap Ke Sar Se Lipat Kar, Ye SAKINA (SA) Boli Ab Mein So Jaungi

    Sar Jukaye Hue Be Aas Kahde Hai Amma

    Karbala Wale Pass Mere Khade Hai Amma

    Yaha AKBAR (AS) Waha ABBAS (AS) Kahde Hai Amma

  • 9

    Aagaye Sab Mai Jinhe Yaad Kiya Karti Thi, Ab Mein So Jaungi

    Baap Ke Sar Se Lipat Kar, Ye SAKINA (SA) Boli Ab Mein So Jaungi

    Maa Ke Nazro Se SAKINA (SA) Ko Chupa Lo Bhaiya

    Han Mujh Ko Quran Masayeb To Suna Do Bhaiya

    Qibla Ruh Haat Pe Dhukiya Ko Lita Do Bahiya

    Tum Se Wada Rha...2,,, Doharate Hue Nade ALI (AS), Ab Mein So Jaungi

    Baap Ke Sar Se Lipat Kar, Ye SAKINA (SA) Boli Ab Mein So Jaungi

    Fir Nigayo Me Meri Teero Bahra Hai Lasha

    Haat Failaye Hue Hai Mere Pyare Baba

    Ghunjiti Hai Wo Elaiya Ya Bunaya Ki Sada

    Aaj Aawaz Wahi Aati Hai Maqtal Wali, Ab Mein So Jaungi

    Baap Ke Sar S e Lipat Kar, Ye SAKINA (SA) Boli Ab Mein So Jaungi

    Jab Se Darbar Me Ghurbat Ka Wo Manzar Dekha

    Shah Ki Tanhayi Ne Ek Paal Mujhe Sone Na Diya

    Kahtm Ye Khauf Hua Ye Aaj SeAkbar Mera

    Koi Ab Baba Ke....2...... Hote Pe Na Marenga Chadi, Ab Mein So Jaungi

    Baap Ke Sar Se Lipat Kar, Ye SAKINA (SA) Boli Ab Mein So Jaungi

  • 10

    4. De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS)

    Haye AKBAR (AS) Haye AKBAR (AS).....2

    Baba Mere Baba

    Haye AKBAR (AS) Haye AKBAR (AS)

    De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS) , Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

    Lalkhadte Hue Jo Aa Bhi Gaye, Haye Mere Lasha Uthnge Kaise

    De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS), Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

    Hur Ke Bate Ki Lash Par Hur Se , Khe Rhe The Abhi Yahi Baba

    Baap Lashe Javan Uthata Nhi, Iska Lasha Me Khud Uthaunga

    Ab Wahi Marhala Hai Baba Par, Mere Lasha Uthange Kaise

    De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS), Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

    Ek Meshar Bapa Tha Khame Me, Maa Se Jis Dam Gaya Tha Me Milne

    Aake Bapa Ne Us Gadhi Daman, Khud Chudaya Tha Meri Baheno Se

    Mera Daman Chudana Aasa Tha, Dil Se Barshi Chudange Kaise

    De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS), Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

    Fiqr Barshi Thi Kuch Nhi Mujko, Dil Me Bas Ye Kahyal Aata Hai

    Apne Karral Jawan Ke Lashe Par, Jeete Jee Baap-Mar Jata Hai

    Iss Zahifi Me Ek Saat Pidar Do Janaze Uthange Kaise,

  • 11

    De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS) , Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

    Abme Samja Ke Kis Liye Baba , Mere Seene Ko Chuma Karte The

    Haye Yaad Aati Thi Unko Jab SUGHRA (SA) , Mere Aakho Me Dekha Karte The

    Gham Hai Ab Mera Meri Aakho Me, Mujse Nazre Milayenge Kaise

    De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS), Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

    Aayna-Aayna Ali-Ul AKBAR (AS) Ki, Ran Me Awaz Jab Wo Dete Hai

    Haye Ghurbat Garibe ZEHRA (SA) Ki, Dekh Ke Sham Wale Haste Hai

    Rasta Un Ko Mujh Tak Aane Ka, Fir Ye Katil Batenge Kaise

    De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS) , Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

    Katle SHABBIR (AS) Ki Hai Tayrari, Ran Me Chamka Rhe Hai Sab Khanjar

    Haye Barshi Seene Mai Hai Mere Lekin , Itna Majbur Bhi Nhi AKBAR (AS)

    Sham Ke Log Mere Hote Hue , SHEH (AS) Pe Khanjar Chalenge Kaise

    De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS) , Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

    Aakhn Me Askh Lab Nauha Tha , Aaie Takallum Ajib Manzar Tha

    Haye Dil Me Wo Bar Bar Kahta Tha , Aane Wala Hai Qaside SUGHRA (SA)

    Bhai Ki Lash Par Mere Baba, Khat Bahen Ka Sunayenge Kaise

    De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS) , Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

  • 12

    5. Khiza Ne Loot Li Sari Bahar

    Hay Garib Hay HUSAIN (AS)...4

    Khiza Ne Loot Li Sari Bahar Ek Din Me...3

    HUSAIN (AS) Katl Hue...2.... Kitni Bar Ek Din Me

    Khiza Ne Loot Li Sari Bahar Ek Din Me...3

    Kaha Chale Gaye AABID (AS) Phuphi Se Kahte The...2

    Akela Chod Ke...2.... Sab Ja Nishar Ek Din Me

    Khiza Ne Loot Li Sari Bahar Ek Din Me...2

    Ye Baat Puche To AABID (AS) Ke Bekasi Koi....2

    Banaya Kaise...2... Bahattar Mazahr Ek Din Me

    Khiza Ne Loot Li Sari Bahar Ek Din Me...2

    Abhi To Sham Talak Hai Safar SAKINA (SA) Ka...2

    Tamache Itne ....2... Na Bacchi Ko Mar Ek Din Me

    Khiza Ne Loot Li Sari Bahar Ek Din Me...2

    Anguthi Koi Aba Koi Le Gaya Kurta...2

    Luti Yu Lashe Garibud Dayar Ek Din Me

    Khiza Ne Loot Li Sari Bahar Ek Din Me...2

    Jawan Bete Ki Mayyat Pe Keh Rahe The HUSAIN (AS)...2

  • 13

    Me Lut Gaya...2.... Mere Parwadigar Ek Din Me

    Khiza Ne Loot Li Sari Bahar Ek Din Me...2

    Thumhare Baba Ke Zakhmo Me Zakhm Hai BIBI (SA).....2

    Ye Zakhm Kaise Karongi Shumar Ek Din Me

    Khiza Ne Loot Li Sari Bahar Ek Din Me...2

    Dile Mariz Ne Jhele Hai Itne Gham Akhtar...2

    Kalam Se Hona Sakenge Shumar Ek Din Me

    Khiza Ne Loot Li Sari Bahar Ek Din Me...2

  • 14

    6. Hay QASIM (AS)

    Haye QASIM (AS) Haye QASIM (AS)..3

    Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

    Ek Gathri Me Faqat...2...QASIM (AS) Ka Lasha Aagaya

    Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

    Char Kahndo Par Janaza Ghar Me Aata Hai Magar...2

    Ek Hi Kahnde Pe Ye Iska Janaza Aagaya

    Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

    Jis Tarha Chunta Hai Mali Phool Apne Bagh Se..2

    Tukde Yu QASIM (AS) Ke Chune Mera MAULA (AS) Aagaya

    Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

    Chum Kar Tawiz SARWAR (ASa) Der Tak Rote Rahe...2

    Bhai Ke Lafzo Me Jane Yaad Kya Kya Aagaya

    Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

    Aagayi Barat Ran Se Ro Ke Fizza Ne Kaha...2

    Bibi O Tazim Ko Uth Jao Dhula Aagaya

    Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

    Lash Ko Tartib Jab Dene Laga ZEHRA (SA) Ka Lal....2

  • 15

    Barha MAULA (AS) Ki Aakho Me Andhera Aagaya

    Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

    Baap Ka Tawiz Tha Bete Ke Bazu Par Bandha...2

    Isliye Pechan Me QASIM (AS) Ka Lasha Aagaya

    Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

    Matami Ke Ghar Me Akbar Jab Koi Dhula Bana...2

    Yaad Sab Ko Karbala Wale Ka Sahra Aagaya

    Dasht Me IBNE HASAN (AS) Par Waqt Kaisa Aagaya...2

  • 16

    7. Chadryn Mangi To

    Hay ZAINAB (SA) Hay Bazar....4

    Chadryn Mangi To Har Shaher Se Aaye Patthar...3

    Binte ZEHRA (SA) Ne Kaha..2.. Pal Nhi Kahye Patthar

    Chadryn Mangi To Har Shaher Se Aaye Patthar...3

    Saar Jukaye Hue Roti Hai ALI (AS) Ki Beti...2

    Aur Layi Haste Hai Haato Me Uthaye Patthar

    Binte ZEHRA (SA) Ne Kaha Pal Nhi Kahye Patthar

    Chadryn Mangi To Har Shaher Se Aaye Patthar...3

    Kya Karimi Hai Ke Bazar Me Chalte Chalte...2

    Khoon e SAJJAD (AS) Ne Yaquod Banaye Patthar

    Binte ZEHRA (SA) Ne Kaha Pal Nhi Kahye Patthar

    Chadryn Mangi To Har Shaher Se Aaye Patthar...3

    Haat To Tere Pase Pusht Bandhe The ZAINAB (SA)...2

    Kaise Fir Bhai Ke Lashe Se Hataye Patthar

    Binte ZEHRA (SA) Ne Kaha Pal Nhi Kahye Patthar

    Chadryn Mangi To Har Shaher Se Aaye Patthar...3

    Ye To Insaf Nhi Jisne Bachaya Islam...2

    Uski Beti Bhare...2..... Bazar Me Kahye Patthar

  • 17

    Binte ZEHRA (SA) Ne Kaha Pal Nhi Kahye Patthar

    Chadryn Mangi To Har Shaher Se Aaye Patthar...3

    Tane De-De Kiya Zakhmi Kiya Dile ZAINAB (SA) Ko...2

    Hay Kuch Musalmano Ke Jab Haat Na Aaye Patther

    Binte ZEHRA (SA) Ne Kaha Pal Nhi Kahye Patthar

    Chadryn Mangi To Har Shaher Se Aaye Patthar...3

    Tera Bhai Na Raha Binte ALI (AS) Haye Gazab...2

    Warna Mumkin Tha Koi Tuhje Pe Uthaye Patthar

    Binte ZEHRA (SA) Ne Kaha Pal Nhi Kahye Patthar

    Chadryn Mangi To Har Shaher Se Aaye Patthar...3

    Khoon Tap Ka Tha Sare SHAH (AS) Us Par SAJJAD (AS).....2

    Khoon Fir Kaise Halab Me Na Bahaya Patthar

    Binte ZEHRA (SA) Ne Kaha Pal Nhi Kahye Patthar

    Chadryn Mangi To Har Shaher Se Aaye Patthar...3

  • 18

    7. Zuljana

    Zuljana, Zuljana, Zuljana.....2

    Zuljana, Zuljana.....2

    Zuljana, Zuljana

    Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2

    Zuljana, Zuljana, Zuljana

    Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2

    Zeen Khali, Aur Rakabon Se Tapak Ta Hai Lahu

    Tujh Se Aati Hai, Hai Garibe Karbla Ke Khoon Ke Bu

    Kya SAKINA (SA) Ke Yatimi Ki Khabar Laya Hai Tu

    Khoon Hai Mathe Pe Yeh, Kiska Mala

    Zuljana, Zuljana, Zuljana

    Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2

    Haal Aaqa Ki Musibat Ka Suna De Zuljana

    Ek Bahan Ko Uske Bhai Se Mila De Zuljana

    Rah E Makhtal Binte Zehra Ko Dikhade Zuljana

    Dhoond Ne Jaaie Kahan SHEH (AS) Ko Bhala

    Zuljana, Zuljana, Zuljana

    Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2

    Wa Husaina Ki Sadae Hai Fiza Mein Kisliye

  • 19

    Surkh Andhi Chal Rahi Hai Karbala Mein Kisliye

    Baj Rahe Hai Shadhiyane Ashkiya Mein Kis Liye

    Shamiyon Mein Shor Hai Kaisa Bata

    Zuljana, Zuljana, Zuljana

    Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2

    Dil Bahut Betab Tha Aaya Hai Jub Se Naama Bhar

    Yaad SUGHRA (SA) Aa Gaie Kya Nau Jawan Ki Lash Par

    Ladte Ladte Pad Gai Kya Zakhmi Sene Par Nazar

    Laash Par AKBAR (AS) Ki Kya Gash Aa Gaya

    Zuljana, Zuljana, Zuljana

    Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2

    Chain Kaise Bhai Ke Bin, Ghar Mein Paiengi Bahan

    Teerro Naizo Barchio Ke Zakhm Khaiengi Bahan

    Apne Bhai Ko Utha Kar Ran Se Laiengi Bahan

    Yeh Bata Tashna Dahan Kis Jaan Gira

    Zuljana, Zuljana, Zuljana

    Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2

    Laut Ke Woh Ghar Na Aaya Aaj Maktal Jo Gaya

    FATEMA (SA) Ka Chand Bhi Kya Nai Nawa Mein Kho Gaya

    Shaam Se Phehle Takallum Kyun Andhera Ho Gaya

    Kya Diya Kabre Nabi Ka Bujh Gaya

    Zuljana, Zuljana, Zuljana

  • 20

    Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2

  • 21

    8. Zia E Khoon E Shaheeda

    Zia E Khoon E Shaheeda Ki Dilkashi ZAINAB (SA).....2

    Husainiyat Ke Charagon Ki Raushni ZAINAB (SA)

    Zia E Khoon E Shaheeda Ki Dilkashi ZAINAB (SA).....2

    Kiya Woh Rah Mein Bartaw Kalma Goyo Ne.....2

    Ke Jaise Thee Na Nawasi RASOOL (SAWW) Ki ZAINAB (SA)

    Aza E SHAH (AS) Mein Hi Zindagi Tamam Hui.....2

    Na Apne AUN (AS) O MOHAMMAD (AS) Ko Ro Saki ZAINAB (SA)

    ALI (as) Ke Lal Ka Lasha Tadap Utha Us Dam.....2

    Tumhare Bazu Mein Jis Dam Rasan Bandhi ZAINAB (SA)

    Kisi Ne Mara Jo Patthar To Chup Rahi Lekin....2

    Kaha Jo Baghi Kisi Ne To Ro Padi ZAINAB (SA)

    Lahu Me Dobi Hui Bediya Wo Bete Ki.....2

    Safar Mein Tham Ke Dil Dekhti Rahi ZAINAB (SA)

    HUSAIN (AS) Choor The Zakhmon Se Phir Bhi Uth Baithe....2

    Kaha Jo Shimr Ne Khaime Se Aa Gai ZAINAB (SA)

  • 22

    Hijab Mein Bhi Jahan Se Guzar Na Mushkil Tha.....2

    Wahan Pe Kaise Khule Sar Khadi Rahi ZAINAB (SA)

    Husainiyat Ko Baqa Is Liye Nisar Mili.....2

    Yazidiyat Ke Mukabil Nahi Jhuki ZAINAB (SA)

    Husainiyat Ke Charagon Ki Raushni ZAINAB (SA)