kyu nahi tum meri yado ko

1
Kyu nahi tum meri yado ko apni chadar banakar so jate ho, In rato me mujhe khwab banakar mujme hi tum kho jate ho. Janta hu tumhe mera milna lagta hai ek kisse jaisa Ujle akash me behta hua shyamal megh ke hisse jaisa Is kisse ko ek sach mankar kyu nahi mere apne ab tum ho jate ho, Mere gam bantkar meri khatir do boond palko se tum ro jate ho. Agar nahi tum khud se apni chahat puri kar sakti ho, To mujhe tumhare liye in khwabo ko pura kar jane do. Barso se ab tak jo tere man ki diware hai suni suni, Un diwaro ko mujhe naye rango se tum bhar jane do. Tumhari palko se tere bite kal ka kajal mujhko dho jane do, Apne sine ke kisi komal hisse me mujhe pyar ka ankur bo jane do. Par mai chahta hu in aarzuo ko tum koi anjam do, Is rishte ko hamare ab tum hi koi naam do. O sokh najnin hai tumse 'vinyas' ki gujarish, Ab is rehgujar ko, tum hi apne ishq ka mukam do... Ab is rehgujar ko...

Upload: swapnil-saurav

Post on 21-Dec-2015

214 views

Category:

Documents


1 download

DESCRIPTION

poem

TRANSCRIPT

Page 1: Kyu Nahi Tum Meri Yado Ko

Kyu nahi tum meri yado ko apni chadar banakar so jate ho,In rato me mujhe khwab banakar mujme hi tum kho jate ho.

Janta hu tumhe mera milna lagta hai ek kisse jaisaUjle akash me behta hua shyamal megh ke hisse jaisa

Is kisse ko ek sach mankar kyu nahi mere apne ab tum ho jate ho,Mere gam bantkar meri khatir do boond palko se tum ro jate ho.

Agar nahi tum khud se apni chahat puri kar sakti ho,To mujhe tumhare liye in khwabo ko pura kar jane do.

Barso se ab tak jo tere man ki diware hai suni suni,Un diwaro ko mujhe naye rango se tum bhar jane do.

Tumhari palko se tere bite kal ka kajal mujhko dho jane do,Apne sine ke kisi komal hisse me mujhe pyar ka ankur bo jane do.

Par mai chahta hu in aarzuo ko tum koi anjam do,Is rishte ko hamare ab tum hi koi naam do.

O sokh najnin hai tumse 'vinyas' ki gujarish,Ab is rehgujar ko, tum hi apne ishq ka mukam do...

Ab is rehgujar ko...