icfj news letter june 2014(1)

62
 JUNE News Letter 

Upload: vibhuti-dabral

Post on 13-Oct-2015

979 views

Category:

Documents


2 download

DESCRIPTION

News letter about Indian comic books.

TRANSCRIPT

  • JUNE

    News Letter

  • 2

    Edited By

    Amitabh Kar

    Co-Editor

    Nishant Parashar

    Content Advisers

    Rahul R Sharma

    Utkarsh Sikriwal

    Cover Damien Wayne

    Cover Layout Nishant Parashar

    Page Layout - Nishant Parashar

    Index Amitabh Kar

    Index Design Damien Wayne

    Special Thanks To:

    Lokesh Gautam, Sumit Kunwar,

    Ajay Thapa, Tadam Gyadu,

    Harish Atharv Thakur, Aadesh Sharma,

    Krishna Kumar, Gaurav Kumar Singh,

    Sunny Boss, Avinash Tiwari

    Facebook group: https://www.facebook.com/groups/icfjn/

    Contact us: [email protected]

    All rights reserved (Indian Comics Fans Junction)

  • 3

  • 4

    ! Indian Comics Fans Junction

    .

    .

    ,

    , , ,

    !!

    , ,

    ! , ,

    !

    ,

    . , !

    , , , .

    , ,

    ,

    , . ,

    ICFJ News Letter Team

  • 5

    MILESTONES OF NAGRAJ

    By rahul r sharma

    : : '' ,

    1. - '' ,

    2. , ! - , ! ! 3. - ' ' ' ' '' ! : , , , ! 4. , - ' ' ' ' , '' ! !

  • 6

    5. , ' ' - ' ' ' ' , , ! , , , ! 6. - ' ' , , 7. , , , - ' ' , , , , ! 8. - , , !! ' ' , !! ' ' , 9. , - , , , 10. , , , , - , '' , , ! , , ,

  • 7

    11. - , , :, : 12. : - ' ' , C T Scan !! 13. - ' ' ' ' ! , 14. - '' ' ' , , , 15. - '' , ' ' ! , , ! ' ' '' 16. - , , !! !! , : '' 17. , ! - , , , !

    18. , ! - , ,

  • 8

    ! , , !

    19. , ! - , , ! , !! , 20. ! - , ? , , , ! , , ' ' , 21. , - '' ! , , ! 22. , ! - ' ' '' ! '' , , , : !

  • 9

    Milestones of Super Commando Dhruv

    Collector Lokesh Gautam

    Yu to Dhruv ki har Comics ek milestone hai, kyunki uska koi chhadam roop na hone ke

    karan aksar baahar ki ladai uske vyaktigat jeevan par chahe anchahe prabhav daal hi deti hai.

    Isliye Ho sakta hai ki kuchh incidents rah gaye ho... jo mujhe yaad tha wo mene likhne ki koshish ki hai...agar kuchh rah gaya hai ya koi mistake hui

    hai to aapke Sujhav ka swagat hai Thanks in advance for reading, liking &

    Comments.

    1. Pratishodh kind jwala - Dhruv ke Mata Pita

    aur uske sabhi apno ki hatya..sath me Jupiter circus ko jala dena jiski wazah se usne apradh se ladne ki

    Pratigya ki Mehra pariwar me Shaamil hona

    2. Roman Hatyara - Commando force ka gathan, Renu Peetar & Kareem ka Aagman

    3. Swarg ki Tabahi - Chandika ke roop me shweta ka Dhruvko madad dena...Dhyan rahe ki isi series me chandika pahli baar aayi

    4.Mahamanav - Mahamanav jaise sashakt aur maha-shaktishaali Villain ka padarpan isi Comics

    se hua 5. Barf ki Chita : Zingaloo jaise abhinn mitra ka milna, jo kai dafa Dhruv ke liye apni jaan par

    khel gaya

    6. Grand master Robo : GMR jaisa khatarnak villain, Natasha ke roop me Dhruv ki ekaki zindagi me bahar ka aana... aur Dhananjay jaise Dost ka milna... Swarn-Nagri ki khoz isi Comics se hui. Halanki Robo ka jikr is se pahle aayi Comics Maut ka Olympic & ek din ki maut me ho

    chuka tha

    7. Udantastari ke Bandhak : Is Comics me Dhruv pahli baat time travel karta hai.. jaha hu uski mulakat apne hi ek Vanshaj se hoti hai... magar Dushman ke roop me na ki dost... Shayad ye RC ki pahli comic thi Jisme kisi ne Time travel ( Samay yatra ) ki.

  • 10

    8.Nagraj& Super Commando Dhruv : Ye RC ki pahli Special(Vusheshank) hai...isme Dhruv ko Nagraj , Parmanu jaise dost diye wahi misskiller jaise dushman bhi

    9. Vinaash ke Vriksh : Vanputra jaise powerful character ki entry isi Comics se hui... halanki Dhruv aur Vanputra ki pahli Mulakat dosto ki tarah nahi hui...

    10. Aawaz ki tanahi : Professor kale urf Dhwaniraj ka aagman yahi se hua... jiske kutsit irado

    ko Dhruv ne nakam kar ek bahut bade khatre ko tala... aur isi wazah se dhwaniraaz ne Dhruv ki maut ko apna lakshya banaya

    11. Khooni khilaune : Jiske baare me prasidhh hai ki wo hamesha apni ek na ek trick bacha kar rakhta hai " Bauna Waman" jaise Shatir dimaag wale apradhi ka Aagman Isi Comics se hua

    12. Kirigi ka kahar : Yatiyo ke poojya Ninja Dev kirigi ka aagman... Raksh jaati ke aalhiri rakshas Chandakaal isi comics ki den hain, Is comics ne jaha Dhruv ke dosto me kirigi ka izafa

    hua wahi..Chandkal jaise khatrnaak Villain bhi mila

    13. Chumba ka Chakravyuah : Chmabakeeya takat ke dam par apne dushmano ko raundne wale 'Chumba Samrat' ki entry hui jo aaj Dhruv mukhya khalnayako me se ek hai

    14. Pagal katilon ki toli : Dr. Shastri jaise Sanki khalnayak se samna isi comic me hua

    15. Dr. Virus : Dr. Virus jaise kaabil jeev vaigyanik ka padarpan isi comic me hua...Sath hi Dr. Vargees jaisa ek mitra bhi Mila

    16. Samri ki jwala : Chandkaal aur Mahamanv jaise villain is comic me wapas laute... ek nayi duniya jwala-lok me Dhruv ka jana aur Samri jaise Shaktishali Dost ki gatha kahti ye comic apne

    aap me ek be-misaal hai 17. Black Cat & Robo ka Pratishodh : In Comics me Dhruv ki best friends Richa aka Black

    Cat ka aagman hua... aur Robo ki wapsi bhi

    18.Vampire :Lori jaisee maha tantrika dost ka aagman isi comic me hua aur Dhruv ka samna pahli baar vampires se isi comic me hua

    19. Maine Mara Dhruv ko & Hatyara kaun : Ye do Comics ki wo series hai jiski jitnee tareef ki jaye kam hogi... Dhruv ke dhokhe me hui ek masoom ki hatya se parda uthane ko racha gaya

    ek aisa makadjaal jisme Dhruv ke lagbhag sabhi Mukhya khalnayak ulajh kar rah gaye 20.Circus : Richa dwara Dhruv ko Prem-Izhaar, Star Fish jaisa khalnayak isee comics me aaya...

    Isi comic se shuruat huiDhruv - Natasha ki lovelife me darar jo aage ki kai Comics tak barkarar rahi

    21. Raaj Nagar ki Tabahi : Rajnagar par hua ek behad unnat evam genius alien peazati ka hamla jise Dhruv ne Nagraj , Chandika aur Black Cat ke sath milkar nakam kiya

    22. Khooni Khandan : ise series me Dhruv ke asli pita par Shyam par lage ilzaam ki sachhai

    jan'ne ke Dhruv ko jana pada France jaha par khule kai raaz ...sath hi use pata chala apna ateet aur mila ek praiwar.. Uske apno Rakt-sambandhiyon ka Pariwar

  • 11

    23.Dhruv Shakti : Ek Parashakti se grasit Natasha par var karna Dhruv ko tab bhari pad gaya,

    Jab naari ki karun pukar par uski raksha hetu samne aayi ek Devi... Shakti Isi Comics me Dhruv ko naye Bracelets , Utility belt, Shoes mile uski bahan shweta dwara...

    24.Jung : Ab tak Dhruv sirf aise aoradhiyo se takraya tha... jinka maksad ya to daulat thi ya Duniya par hukumat.par is Comic me mila Dhruv ko aisa Pratidwandi jo bilkul usi ke jaisa..

    Circus me pala badha, pashu pakshiyion ki boli samjh sakta tha aur uska dimaag bhi Dhruv jitna Tez tha Nakshatra. Halanki wo baad me kisi Comics me nahi dikha par fans aaj bhi use kisi sashakt bhoomika me dekhna chahte hain.

    25.Dushman : ek majakiya magar shatir khalnayak "Vidushak jisne Shweta ko kidnap kar liya

    aur Dhruv ko apne isharo par nachana chaha...aise me use rokne aayi 'Chandika' 26.Nishachar : ye Comics Dhruv aur Doga ke Takrav ke hamesha jani jati rahegi

    27.Kaliyug : is comic me Nagraj ki madad se Dhruv ne na sirf Dev Shrishti ko bachaya balki

    poore brahmand ki bhi raksha ki 28. Quiz Master : Quiz Master teeto jaise pecheeda villain ka aagman

    29. Robot & Super Commando Dhruv : ye do comics ki series me Dhruv ne ek baar fir time

    travel kiya... aur vishva se ek bhayankar khatre ko tala 30. Gupt : Alchemist jaise Rahasyamayi aur khatarnak Villain ka aagman is comic me Dhruv ko

    apna gupt Roop na rakhna bhari pada... par uske Vilakshan dimaag ki badaulat usne is khatre ko bhi tala

    31.Dhruvishya : is baar sudur bhavishya se aaya ek bhayanak khatra... aur sath hi aaya use rokne Dhruvishya jo Dhruv ka vanshaj tha par apne atyadhunik vaigyanik gadgets ki wazah se khud ko

    Dhruv se shresth samjhta tha.... par Dhruv ne uska dambh choor karne ke sath sath bhavishya aur vartmam dono ki raksha ki

    32. City Without a Hero : is series ke baare jitna kaha jaye kam hai... Ye Dhruv ki wo kaaljayi series hai jisne Dhruv ke vyaktigat jeevan ko uthal puthal kar diya hai....

    ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ ~

    Milestones of Super Commando Dhruv Writer: Sumit Kunwar

    KHOONI KHANDAN- ( )

    GRANDMASTER ROBO- ()

    DHRUV SHAKTI- ()

  • 12

    Fan Made Artwork

    Ajay Thapa A small artwork of SCD and his Female Sidekicks-Lori, Chandika and Black Cat

    Gaurav Kumar Singh Batty's car

  • 13

    Tadam Gyadu

  • 14

    Harish Atharv Thakur

  • 15

    Forthcoming Issues/Ads Raj Comics

  • 16

    Holy Cow Entertainment Aghori - Bloodlines moves forward with issue 11

    As the mysterious assassin, Essan Selhem stalks Krona, we're taken back to ancient Persia where we learn of the

    origins of the cult of assassins and how Essan Selhem came to be the immortal hunter that we see. Meanwhile Krona

    struggles with the nature of his powers and contemplates how monsters are created and understands that perhaps

    the nature of good and evil are not as simple as they seem.

    With guest artist Harsho Mohan Chattoraj continuing his Persia sequences, he teams up with Vivek Goel for the

    regular timeline story. Holy Cow's rising star Prasad Patnaik makes his debut as full fledged co Lorist of Aghori

    franchise from this issue onwards.

  • 17

    Cover art: Vivek Goel & Yogesh Pugaonkar.

  • 18

    Campfire Graphic Novels

    Duryodhana Concept Art for Kauravas

  • 19

    Jasoos balram is upcoming T.V. series based on comic book character by Fenil Comics

    JASOOS BALRAM. Coming soon in 2015 on satellite channels

  • 20

    INTERVIEW Nitin Mishra Ji

    by Nishant Parashar Compiled and with Comments Rahul R Sharma

    Nishant Parashar ji ke dwaara liya gaya Nitin

    Mishra ji ka interview post kar raha hu

    To lijiye pesh hai:

    Nishant ke sawaal aur Nitin ji ke jawaab, aur har

    jawaab par Rahul R Sharmake personal

    comments

    Nishant Parashar:

    Aapki Life mai Comics ne dustak kis tarah di? Aapki zindgi mai comics se judi kuchh aisi baatein jo aap

    hamko batana chahein..

    Jaise Aapka bachpan, kis tarah yaad karte hain aap un dino ko?

    Nitin Mishra:

    Ji mere jeevan me comics tabse hai jabse maine hosh sambhaala, mere papa bhi comics ke bahut bade

    fan rahe hain, us samay vo indrajaal comics laya karte the. Betaal, Mandrek, Flash Gordon aadi sabse

    mera parichay tab hua jab main padhna bhi nahin jaanta tha bas unke manmohak chehre meri aakhon se

    hote hue mere dil me hamesha ke liye bas gaye.

    My Comments: Kitne lucky ho yaar aap!! Hamaare parents to comics ke naam se bhi chidh jaate hai

    Nishant Parashar:

    Unhi manmohak chehro ki wajah se aaj kai chehro par muskan hai. Aapne jo pehli comics padhi ya

    bachpan ki aisi comics jo abhi tak aapke dil mai ho, uske baare mai kuchh ?kyuki har kisi comics fan ki

    zindgi mai kam se kam ek comics to aisi hoti hi hai jo sadaa ke liye dil main bas jati hai.

    Nitin Mishra:

    Meri pehli comics (joki main chhota hone ke kaaran padh nahin pata tha, sirf artwork dekhta tha aur papa

    uske dialogue padh kar sunaate the) indrajaal me published betaal ki ek comics thi Tempany ka

    nagaadavaadak jisme Phantom pahli baar ek nagaadevaadak ke nagaade ki dhunon ke aage bebas ho

    jaata hai aur mantrmughd hokar naachta hai, par apni haar se na darte hue vo dobara vaapas laut.ta hai

    aur us nagaadevaadak ko maat deta hai. Yah kahaani mujhe jeevan me har mod par prerit karti aayi hai

    hamesha naakamiyon ka saamna himmat se kar unhe paraast karne ki seekh deti aayi hai.aaj bhi mere

    paas vo rare indrajaal comics surakshit hai, jab bhi kisi pareshaani se hataash hota hoon, use zaroor

    padhta hoon...himmat milti hai.

    My Comments: Arey ye 'Tempany ka Nagaadavaadak ' bada ajeeb sa naam hai yaar

  • 21

    Nishant Parashar:

    Ye comics har peedhi ke readers ko bhi prerit karti hai, wo samay comics ka swarnim yug tha. har comics

    apne aap mai kuchh na kuchh samete hue thi. Khair us samay aap kis sahar mai the, jis sahar mai aapka

    bachpan beeta, aur aapne apni padhai kis tarah puri ki.

    Nitin Mishra:

    Ji us samay main apne hometown Varanasi me tha, meri schooling Varanasi ke hi reputed convent

    school W.H. Smith memorial me hui. English aur hindi dono hi literature me bachpan se dilchaspi thi.

    Plays me bhi bachpan se hi participate karta tha. School ke baad maine fine arts (illustration n

    vizualization) me graduation and post graduation benaras hindu university se kiya.

    My Comments: Matlab bachpan se hi ek itna accha comic writer/artist taiyaar ho raha tha

    Nishant Parashar:

    BHU se MFA puri karne ke baad aapko pehli JOB ki talash kaha jake samapt hui ?

    Nitin Mishra:

    Maine BFA final year ke baad MFA ka entrance diya tha aur result aane ka wait kar rha tha, us dauraan

    maine apni final year project ke kuch works orkut par upload kiye the jinhe mere online friend Rahul

    Shashank ne dekha aur mujhe RC me try karne ko kha, bas ji fir kya main to bachpan se hi RC join

    karne ke sapne dekh raha tha aur mujhe zindgi me pahla mauka mila bhi to apne us sapne ko saakaar

    karne ka...bhala mujhe aur kya chaahiye tha.

    My Comments: Waah!! Kaun kehta hai sapne sach nahi hote??

    Nishant Parashar:

    Bachpan se comics ki jindgi jeene wale fan ko agar comics company mai kaam karne ka mauka mil jata

    hai to us anubhooti ko koi bhi shabdo mai bayaan nahi kar sakta.

    Wo kaun sa saal/mahina tha jab aap pehli baar Raj Comics se jude, aur kya kya hua us pehle din, jab

    aap Sanjay ji se mile.

    Nitin Mishra:

    May 2007 me main pahli baar RC studio pahuncha, isse pahle aksar socha karta tha ki kaisa lagta hoga

    saare diggaj creatives jahaan ek hi chhat ke neeche kaam karte honge. Subah ki gaadi se 8 baje delhi

    pahuncha aur 9:30 par RC studio me haazir ho gya. Chaaron or apne favourite superheroes ke posters

    dekh kar mann balliyon uchhlne lga tha....jis samay main pahuncha tha us waqt studio me sirf ek hi

    Shakhseeyat maujood thi 'The Baap' of all Superheroes.... 'The Sanjay Gupta' sach kahoon to ye sirf

    Sanjay sir ki Azeem shakhsiyat unki personality aur unke saagar jitne bade dil ka hi jaadu hai ki main aaj

    is industry se juda hua hoon.

    Khair, Sanjay Sir ne dekhte hi bola, 'aa gaya bete...thoda thanda-vanda pee thoda fruit-shruit kha fir baat

    karte hain'

    Mujhe mere pahle Super hero character Yoddha ke liye new look design karne ko kaha gya main aek

    separate bane cabin me baith kar 2-3 ghante tak look finaL karta raha. Jab apni ore se best look final kar

    ke main Snajay Sir ke cabin me pahuncha to dekhta hoon unke saamne waali chair pe 'The master of

    Fantasy' Anupam Sinha Sir baithe hain.....kasam se school me exams dete waqt kabhi utna nervous

    nahin hua tha jitna us waqt tha. Anupam Sir aur Sanjay Sir ne mere design kiye characters ki kamiyaan

    mujhe samjhaayin jo ki is field me mera pahla guru mantra tha....main pichhle designs ko dustbin me daal

    kar fir se yoddha ka new look design karne me jut gya.

    My Comments: No Comments!! Absolutely Speechless!!

  • 22

    Nishant Parashar:

    He he Kafi rochak ghatnayein samne aa rahi hain. Khairr aapne RC ke liye jo first comics draw ki uske

    bare mai kuchh ankahe pehlu..

    Nitin Mishra:

    Maine RC ke liye sabse pahli comics Yoddha series ki Aarambh draw ki thi, us samay main BHU se apna

    MFA complete kar rha tha. Maine artwork shuru hi kiya tha ki mere father ki tabiyat achaanak kaafi critical

    ho gayi, deadlines paas thi, final terms ke exams the aur papa bhi hospital me the...kaafi mushkil din the

    wo.

    Maine in sabke beech hi Aarambh ka artwork complete kiya, issue publish hua aur artwork ki koti -koti

    bhartsna hui, mujhe yaad hai RC forum par kuch fans ne to artist ko Ban karne ki bhi maang ki thi.

    Kalakaar chahe vo Actor ho, Singer ho, Musician ho, Painter ho ya koi Sportsman hi kyon na ho...vo kin

    paristhitiyon me perform kar rha hai yah duniya ke liye koi maayne nahin rakhta, maayne rakhta hai to sirf

    uska performance.........

    Apne pahle hi kaam me asafal hokar manobal kahin na kahin zaroor toota tha par jo nahi toota tha vo tha

    mere parivaar aur Sanjay Sir ka mujh par vishwaas.

    My Comments: Yaar itna criticism jhelne ke liye bada jigar chaahiye!! Hats Off!!

    Nishant Parashar:

    Is tarah ki bhartsna ka karan kya tha ye to mujhe nahi pata, na us bare mai kuchh keh sakta hu. lekin itna

    jarur keh sakta hu ki pitaji ka swasthya sahi na hone ke bawjood aapne apna kaam samay par pura kiya

    ye baat khud sarahniy hai.

    Nitin Mishra:

    Ji

    My Comments: Totally agree with Nishant! Fans sirf end product dekh kar criticize kar dete hai, lekin us

    kaam ko karne me kya kya mushkile aayi wo sirf wo artist hi samajh sakta hai!!

    Nishant Parashar:

    Jaisa ki abhi tak pata hai aapne RC mai apni shuruaat ek artist ke taur par ki, fir achanak se ek artist ka

    writer ban jana, ye kis tarah sambhav hua ?

    Nitin Mishra:

    Kahaniyaan likhne aur unpar artwork karke comics bnaane ka shauk bhi bachpan se hi tha. ek din Sanjay

    Sir ne mera aisa hi ek artwork dekhkar poochha 'iski kahani kisne likhi hai' ? Maine kaha 'maine likhi hai'

    unhone fauran kaha 'kuch hamaare liye bhi likho' bas ji maine fatafat 3 kahaaniyaan suna di, is tarah

    shuru hui meri pahli teen scripts 'Gadadhaari Baankelal', 'Sone ki leedh' aur 'Doodh ghaas'.

    My Comments: Aur is tarah shuru hua wo safar jo aaj 'Sarvnaayak', 'Aatankharta Nagraj' aur 'Narak

    Nashak' jaisi shandaar rachnaao ke sath jaari hai

    Nishant Parashar:

    Doodh Ghaas ne to mujhe bahut hasaya tha, maine aur bhi bankelal ki kahaniya padhi thi Bedi ji ke jane

    ke baad, unmai sabse jyada yahi pasand aayi thi mujhe.

    Nitin Mishra:

    hehehe dhanywaad Ji...

    My Comments: Doodh Ghaas was awesome!! Agar aapne nahi padhi to zaroor padhiye

    Nishant Parashar:

    Bankelal ke baad aapne RC ke liye sabse pehle kis superhero ke liye story likhi ?

  • 23

    Nitin Mishra:

    Baankelal ke baad maine sabse pahli script NNN ke liye likhi thi, 'Infected' aur 'Mrityujeevi'

    iske alaava Doga ki pahli online comics 8:36 likhi.

    My Commets: NNN par inke kaam ka to kaayal hu mai

    Nishant Parashar:

    Yani ye kafi pehle hi likhi ja chuki thi, iske likhne aur publish hone ke beech aapki likhi aur bhi comics

    dekhne mili thi, jaise Doga ki MatrBhoomi aur Ham Honge Kamyab aur bhi jinka mai naam bhool raha

    hu.

    Nitin Mishra:

    Ji, Infected aur Mrityujeevi sabse pahle likhi gayi thi. 8:36, Mtrabhoomi, HHK, I-spy, CC2C ye sab baad

    me likhi gayi thi.

    My Comments: Hadd hai yaar Nishant tum baki naam kaise bhool gaye?

    Nishant Parashar:

    Ji aur RajComics ke liye aapke aagami project kya-kya hain sir ?

    Nitin Mishra:

    Mera abtak ka sabse bada project...mera dream project jahan main poore RC universe ko aek saath la

    sakoon...Sarvanayak........

    Nishant Parashar:

    Ji bilkul. sarvnayak kafi charcha mai hai shuru se hi, fans aapse bahut ummeed lagaye hain is project se.

    sarvnayak ka vichar aapke man mai kaise aaya, kyuki indian comics industry ka apni tarah ka ye pehla

    project hai, aur kya kya khaas baat hai ismai.

    Nitin Mishra

    Main hamesha se hi multi-starrers ka bahut bada fan raha hoon. Kohraam khareedne ke liye main

    release date ke 1 hafta pahle se hi din raat book stall par hi samay bitaya karta tha ki set aate hi sabse

    pahli copy mujhe mile....

    Main kaafi time se plan kar rha tha ki ek aisa multi-starrer likha jaaye joki in true sense entire RC universe

    ko ek universe ke roop me define kare.

    Sarvanayak me koshish yahi hai ki puraatan kaal ke sanrakshakon aur new generation ke super heroes

    ke beech vo invisible link saamne aaye jo unhe aek-doosre se jodta hai...

    My Comments: Sarvnaayak se to sabhi fans ki bahut ummeede judi hai, meri bhi

    Nishant Parashar:

    Ji, promos dekhne ke baad lagta hai 'Past vs Present' hone wala hai, aur shayad 'vs Future' bhi ho sakta

    hai, kisi bhi sambhavna se inkaar nahi kiya ja sakta.

    Khair sarvnayak se aapka koi favorite dialogue, jo aap batana chahein.

    Nitin Mishra

    Aap shayad padh chuke honge....Sanjay Sir ne post kiya tha, Yeh samajh lo Mr Dhruv ki sampoorn

    samaychakr yugam ka personal computer hai, jis se yugam jab chahe tab kisi bhi samay kaal ki file par

    permanent shift delete ka button daba sakta hai !!'

    My Comments: Badhiya dialogue

  • 24

    Nishant Parashar:

    JI haan ye sanjay sir post kar chuke hai. Achha ye batayiye sir ki aapke indian comics se favorite

    superhero/characters kon kon hain, aur favorite kyu hai ?

    Nitin Mishra:

    Mere sabse pasandeeda superhero Bhokaal, Nagraj(aatankharta) aur Doga hain.....teeno hi bahut

    intense characters hain... Bhokal har lihaaz se aek aadarsh character hai, Nagraj ultimate superhero (in

    my opinion best super hero ever created) and Doga is Doga ...Doga ki taareef me shabd kam padenge.

    aaj hamari society ko vaakai ek Doga aur ek Aatankharta Nagraj ki hi zaroorat hai.

    My Comments: Same Pinch Nitin ji

    Nishant Parashar:

    Superheroes to ho gaye, ab kuchh creatives ke bare mai bhi batayiye, jinka naam aap sirf comics mai

    padhte aaye the unke saath kaam karte hue kaisa laga aapko, ye to pakka hai ki achha hi laga hoga, par

    kuchh khas pal jo aapke jehan mai samayein ho unke saath kaam karne ke dauran

    Nitin Mishra:

    Sabhi creatives jitne shaandaar apne kaam me hain utne hi zabardast actual me bhi hain. Sanjay Sir se

    mulakaat se bhi pahle main Dilip chaubey Sir se mil chuka tha jab vo BHU aaye the uske baad Delhi me

    bhi unse mulakaat hui bahut hi inspiring aur zinda dil insaan hain....unka positive attitude aur hamesha

    pahle se behtar karne ki instinct kaabil-e-taareef hai. Sanjay Sir creatives me hamesha mere aadarsh

    rahe hain aur hamesha rahenge.....main jo kuch bhi hoon bas unhi ki seekh ke kaaran hoon, aaj bhi unse

    seekh rha hoon. Aisa koi sawaal nahin jiska Sanjay Sir ke paas jawaab nahin. Sanjay Sir ke saath

    Sundays ko poore din bhar ke brain storming sessions hote the...sirf main aur Sanjay Sir. Nagraj ki world

    War series, 10 deadliest, Don ye sab unhi brain storming sessions ka nateeja hain...

    My Comments: Wooooooooo!!!

    Nishant Parashar:

    He he ummeed karte hai nikat bhavisya mai aise brain storming sessions aur bhi hote rahenge, taki aur

    bhi achhi achhi series milti rahein Ek baat aur mujhe lagta hai ki fans ko pata chalna chahiye, wo ye ki

    last year aayi comics 'samudri lutere' ka 2nd part, Belmunda ka Khazana ka jaldi na aane ka jo nanha

    munha kaaran hai, uske baare mai kuchh bata dijiye.

    Nitin Mishra:

    Hahaha......Nanha munna bahut hi zyada sharaarti hai.....1 minute bhi shaant nahi rahta, na hi kisi ko

    rehne deta hai....Stuti ji poori koshish me hain ki chaaron Toads, Naagraaj, Dhruv aur nanhe-munne

    sabhi ko equal time de saken.........

    My Comments: Ab to aa hi gayi "Belmunda ka Khazana", mast comic thi Nanhe Munne ko hamaara

    pyaar

    Nishant Parashar:

    He he kaafi kuhh bataya aapne comics aur apne bare main, ye bhi batayiye sir ki raj comics mai aisi kon

    si cheej hai jise aap change karna chahte ho, par kar nahi pa rahe. kya hai koi aise cheej.

    Nitin Mishra:

    Raj comics apne aap me paripoorn hai-sampoorn hai, samay ke saath chalti hai....main ise sdaa aise hi

    dekhna chaahoonga.......

  • 25

    Nishant Parashar:

    Chaturta se bhara hua jawab,, he he

    aakhir mai ham fans se kya kehna chahenge sir. Koi sandesh, koi salaah..Koi maargdarshan.

    Nitin Mishra:

    Fans se yahi kahna chaahoonga ki jaise hamesha aap logon ne RC par apna pyaar aur vishwaas banaye

    rakha hai vaise hi aage bhi banaye rakhiyega, aab sabhi RC ki shakti hain...hamesha comics padhte

    rahiye aur piracy se door rahiye....

    My Comments: Ji sir Bilkul

    Nishant Parashar:

    Apne amoolya samay mai se kuchh samay dene ke liye aapka koti koti dhanywaad sir .

    ~~*~~

    ? #- .

    ' ' ; '

  • 26

    INTERVIEW - Jagdish Kumar Ji By: Nishant Parashar

    HERE WE GO!!

    Aaj hamare saath moujood hein Shri Jagdish Kumar ji, prastut hein unse hui baatcheet ke kuchh ansh

    -Nishant Parashar: Pehle prashn ki shuruaat karte hein sir, Aapne ab tak

    kis kis company ke liye INK Work ki he?

    Jagdish Kumar: Hi Nishant, maine ab tak Diamond Comics, Raj Comics,

    Zenescope Publication, Top Cow Comics, Holy Cow Entertainment,

    Campfire Graphic Novels, Rovolt comics ke liye Inking work kiya hai.

    -Nishant Parashar: Thats great!! Diamond Comics mein aapke dwara kiye

    gaye kaam ke baare mei jaan na chahunga. Ye shuruaati dino ka kaam

    raha hoga shayad!

    Jagdish Kumar: Comics jagat main kaam karne ki meri shuruaat Diamond

    Comics se hi hui thi, Diamond Comics ke liye maine Shaktimaan series ki lagbag 11 comics main Inking

    ki (2003-2004) jiski pencil ki bagdor mere mitraLalit Kumar Sharma ji ke hathon main thi, Shaktimaan

    comics character per kaam karne ka anubhav bhi behad adbhut raha, Shaktimaan superhero jo ki us

    samay television per broadcast hone ki wajah se behad prasidhi prapt character ban chuka tha!

    Us per kaam karna kisi chunouti se kam nahin tha, aur sath hi shuruaati kuch comics ink karne ke

    darmiyan main full time job (Glass designing artist) bhi karta tha, ye mera comics ke liye prem aur comics

    ke liye kuch karne ki chahat hi thi ki main apni 8-10 hrs. ki job ke baad bhi comics ke pages karne main

    samarth raha.

    -Nishant Parashar: 8-10 ghante kaam karne ke baad ink karna beshak bada muskil ho jata he, aur wo bhi

    shaktimaan jaisi comics par!

    Hum aage aapke aur Lalit ji ke baare mein bhi charcha karenge.

    Filhaal aapse sawaal yah he ki comics ke liye prem bachpan se aapke mann mei kaise jaaga? Wo kon

    the jisne comics ka parichay aapse karaya? Kya comics se judne ke baad hi aapne apna bhavishya bhi

    isi field mei soch liya tha ya iss sabke pichhe koi aur kahani he?

    Jagdish Kumar: Ye un dino ki baat hai jab main 3rd standard main padh raha tha, meri class ke kuch

    bachche Magazine type ki cheej class main padha karte thhey, ek din maine unhi main se kisi ek dost se

    ek comics lekar usse padhna shuru kiya lunch ka time tha main dhoop main baitha sab kuch bhoolkar us

    comics ko padhta raha, mujhe wo comics behad achhhi lagi, us comics ka naam tha Pralayankari Mani

    (Nargraj series).

    Un dino comics ka itna prachalan tha ki jagah jagah chhoti badi comics ki dukane thi,mujhe ghar se 50

    paise mila karte thhey cheej wagairaah khane ke liye per maine us paise se comics rent per lekar

    padhana shuru kar diye, ye silsila kuch samay tak hi chala kyonki jab mere papa ji ko pata chala ki mujhe

    comics padhana behad pasand hai toh unhone mere liye comics laker dena shuru kar diya taki main

    comics ke liye idhar udhar na bhatku..

    Phir jab tak main 8th standard main pahucha tab tak comics ke liye mera junoon is kadar badh gaya ki ab

    mujhe padhne ke sath sath comics collect karne aur unke chitro ko banane ka bhoot bhi chad gaya,

  • 27

    maine apne paas jitni bhi comics thi unhe rent per dena shuru kar diya aur ye silsila chalta raha aur mera

    collection aur meri deewangi badhati aur badhati gai itni ki jab bhi koi new set release hota toh main little

    Milkha singh ban jata tha aur mere kadam seedhe comics ki shop per jakar hi rukte they..

    Isi douraan maine comics ke bahut se chitra banaye jinhe dekhar log thodi tarif kar dete toh main bhi aur

    josh main aa jata tha aur tabhi se mere dil main bhi ye tamanna jagne lagi ki main bhi comics main apna

    yogdaan doon,maine kuch comics school time main bhi banai aur aaj bhi bana raha hoon.

    -Nishant Parashar: Bachpan ki comics se judi koi bhi ghatna ho wo adbhud hi hoti he.

    Usko sochne maatr se hi sharir mein ek sirhan ki lahar paida ho jati hai.

    Aapke Comics janoon ko RC ne bhi apne ek Green Page mein sammaan diya tha.

    Diamond Comics me aapke kaam karne se pehle ki ghatnaao par aate hein, Aapki Lalit ji se pehli

    mulakaat ke baare mein batayiye!!

    Jagdish Kumar: Ek din jab main tuition se ghar louta toh mujhe ek rukka prapt hua jis per likha hua tha

    LALIT KUMAR SHARMA. Mere ek param mitra hai unka naam hai Hemant sharma jo ki mere sath tution

    bhi jate thhey to maine sahaj hi soch liye ki ye rukka koi unka jankaar hi ghar chhod kar gaya hai , maine

    is babat unse pata kiya toh woh bhi nahin jante thhey ki Lalit kumar Sharma koun hai!

    Is ghatna ke kafi dino baad ek din main park main cricket khel raha tha toh park main ek shaksh mujhse

    milne aaye unhone apna parichay mujhe Lalit kumar sharma ke roop main diya. Unhone muje bataya ki

    mere bare main unhe mere ek college friend Sandeep (jo ki Lalit ke ghar ke paas hi rahte hai aur lalit ke

    bade bhai ke bhi mitra hai )ne bataya.

    Darasal year 2001 main pahli baar Raj comics gaya tha aur kuch din wahan baith kar thoda bahut kaam

    Mini Fang ke liye aur kuch artist ke page ki correction ka kaam bhi kiya tha is babat mere friend

    Sandeep ko pata tha toh unhone Lalit ko yah kah kar mere paas bheja ki main Raj Comics main kaam

    kar chuka hoon toh agar Lalit comics main kaam karna chahte hai toh mujh se mil le, toh is tarah Lalit

    kumar sharma se meri pahli mulakaat hui

    -Nishant Parashar: Ye to bahut hi rochak ghatna hai!

    Lalit Sharma ji ka RC mein aana aapki wajah se sambhav ho paaya, yahaan Lalit ji ka to pata chal gaya

    parantu aap apna batayiye aap kis prakaar RC pahunche? Kya mehsoos kiya RC jaate samay, aur jin

    Sanjay Gupta aur Manish Gupta ko aap Comics letter likha karte the unse apni mulaakaat ke baare mein

    bhi batayiye

    Jagdish Kumar: Ye sach hai ki Lalit sharma ji ka mujhse milna (2003) isi karanvash hua ki main Raj

    comics mein kuch samay ke liye kaam kar chuka tha parantu unka Raj comics mein pahuchana meri

    wajah se sambhav hua is prakaar ki koi baat nahin hai.

    Darasal jab main college mein tha toh main apni kuch drawings lekar (2001) Raj comics pahuncha tha

    aur wahan maine apna artwork Vivek mohan sir ko dikhaya, unhe wo pasand aaya aur unhone mujhe

    Fang comics ka koi issue draw karne ke liye diya.

    Kuch 10-12 dino ke baad main usse complete karke Vivek sir ke paas laya per comics banane ke tariko

    se anbhigya main unhe behtar na bana saka.

    Tab Vivek sir me mujhe usi issue per Toufiq sir ka artwork dikhaya aur comics banane ka sahi tarike

    seekhne ke liye aur artists se bhi milne ka mouka diya. Phir kafi din maine Raj comics ke office main baith

    kar hi practice ki aur sath hi mini Fang comic ke liye aur kuch comics artworks per correction work bhi

    kiya. Tularam Azad ji ne mujhe behad sahyog diya. Par wahan main kuch din hi kam kar saka aur Vivek

    sir ne mujhe ghar par or practice ka sujhav diya, is prakar 2001 mein mera RC jana na jana ek brabar hi

    raha.

    Iske baad May 13, 2004 ke lucky day Lalit sharma aur main ek sath Raj comics pahunche (tab tak hum

    Daimond comics ke liye Shaktimaan ki 11 comics bana chuke thhey).

    Hamara artwork Tularam ji ke sahyog se Sanjay sir ke cabin mein pahucha aur unhe behad pasand bhi

    aaya aur sath hi hamhe RC se judne ka sobhagya prapt hua .

  • 28

    Raj comics se judne ka anubhav behad harsh wala raha , Parantu shuruaat mein kafi lambe samay tak

    Sanjay sir ke sammukh milna sambhav na ho saka, sirf jab Sanjay sir office me entry karte thhey toh

    mera unhe namastey kahna aur unka mujhe ek mohak muskan dena. Ye silsila hi chala.

    Par kafi dino baad ek din woh bhi aaya jab unhone apne cabin main mujhe bulaya aur mere Ink work ki

    sarahana ki, Wo behad khusi ke pal thhey jab unhone kaha tha ki "Aao bete ,achchhi ink kar rahe ho aise

    hi achchha kaam karte raho"

    Ye behad prernadayak shabd rahe jo aaj tak achchha kaam karne ke liye prerit karte aa rahe hai aur

    hamesha karte rahenge.Sanjay sir ko behad Dhanyawaad .

    Usi din jab maine apne comics fan hone ki babat Sanjay sir ko bataya toh unhone bhi apna Dil kholkar

    unke fan hone ke bare mein bataya aur kafi kisse bhi sunaye. Manish sir se milne ka sobhagya kafi saal

    prapt na ho saka kyonki un dino woh India main nahin thhey per jab pahli baar mile toh unhone bhi mere

    kaam ko saraha aur khule dil se mujhse mile. Love you Sanjay sir,Manoj sir and Manish sir.

    -Nishant Parashar: Aanandit kar dene wale pal rahe honge wo jab aapka milna sabhi comics diggajo se

    huaa.

    Ye mauke bahut hi kam logo ko mile hein jinme se aap ek hein. Aur agar main kahu ki Jagdish Kumar bhi

    aaj inhi naamo mei se ek hein to koi badi baat nahi hogi.

    Agla sawaal sir, Raj Comics mein permanent entry ke baad ab tak kuchh na kuchh aise mahtawpoorn pal

    jarur rahe honge jinko aap bhula nahi paye honge.

    Jagdish Kumar: Raj comics main kam karte hue mujhe 10 saal ho gaye hai aur in 10 salon mein kafi kuch

    hua jise main kabhi nahin bhula sakta. Mujhe yaad hai jab maine Raj comics ka pahla ad page Karkotak

    (Kobi aur Bheriya) kiya tha toh Vivek sir ne us page ko Anupam sir ko dikhane ke liye kaha, main bahut

    utsahit tha.

    Page ki pencil Lalit sharma ji ne ki thi, toh Lalit ji aur main Anupam sir ke paas pahunche hum thode

    nervous they per hamne unhe inked page dikhaya, Anupam sir ne kuch der dhyan se page ko dekha aur

    kaha "Achchha banaya, mujhe composition ka style pasand aaya aur ink bhi achchhi hui hai"

    Hum khush ho gaye ki Swayam Comic God ko hamara kaam pasand aaya.

    Par tabhi achanak Anupam sir ne page mein Jane(kirdaar)ke triceps per use ki gai kuch lines ko dekhar

    mujhse pochchha ki "Ye lines yahan kyun mari hai?"

    Maine unnhe jawab main kaha ki "Sir page mein maine jo light sorce use kiya hai woh Left side hai aur

    right side se aati reflected light ki wajah se hath par shade ban rahi hai usse dikhane ke liye maine in

    lines ko use ki hai"

    Anupam sir ne apni khusi jahir ki aur kaha "Bahut badhiya"

    Anupam sir ke sawal ne mujhe aur bhi prerit kiya ki kuch bhi kaam karo uska ek matlab hona chahiye!!

    Aur bhi bahut se mahtawpoorn pal rahe jinme se Sanjay sir se meri pahli mulakaat unka beta kahkar

    sambodhit karke samman dena aur sahyog dena bhi main kya koi bhi nahin bhoola sakta.

    Kafi alag alag character per kaam karne ke baad Ek reguler superhero series Super Indian per kaam

    karna, AUR fir woh yaadgaar pal, jab Sanjay sir ne kaha ki woh Nagraj ki ek new series nikalna chahte

    hai aur uske artwork ka mahtwapoorn kaam Lalit- Jagdish ko dena chahte hai woh pal hamesha yadgaar

    hai.

    WTS per ki gai mehnat ka samay kabhi nahin bhool sakta ,aur sabse mahlvpoorn wo pal rahe jab Nagraj

    janmotsav main sabhi pathako ke pyar ne mujhe Kalapnalok Awards main Best Inker ke kabil samjha

    Sabhi ko dhanyawaad

    -Nishant Parashar: Ji sir, sahi kaha aapne Nagraj ki WTS series ne kai naye kirtimaan banaye Rajcomics

    aur Fans ke beech. Meri bhi kai yaad judi hui hein iss series se.

    Halanki jarurat to nahi fir bhi Main batana chahunga ki maine 2008-09 se pehle kuchh hi RC padhi thi

    jisme kuchh Comics Mahanagar Nagraj ki bhi thi. Aur sach kahu to Mujhe RC ke kisi bhi character ke

    baare mein koi khaas jaankaari nahi thi.

    2008-09 ki baat hai, main garmiyo ki chutti mei Naani Ji ke yahaan gaya hua tha, aur ek din achaanak

  • 29

    market mei kisi dukaan par mujhe kuchh comics latki hui dikh gayi. Main bas apne aapko us dukaan tak

    jaane se rok nahi paaya. Mama ji saath the, Mujhe nahi pata tha ki kya khareedna he kya nahi. Bas bol

    diya ki comics de do bhaiya. Usne 15-20 comics nikaal ke rakh di ye kehkar ki inme se dekh lo..Un

    comics mei purani comics rakhi hui thi lekin 3 comics nayi bhi thi. Ye thi WTS Nagraj ki Jehreela Baarood,

    Mamber aur Numero Uno.Ye teeno hi comics main apne saath le aaya. Saath laane ka kaaran tha in

    comics ke pages aur Artwork.

    Main ghar pahunchne tak achambhit tha ki aakhir Rajcomics mei aisa hua kya jo RC ka roop puri tarah se

    badal chuka he!! Mujhe andar hi andar International level ka feel aa raha tha. Comics padhne ke baad

    to jaise main paagal hi ho gaya.

    Mujhe samajh nahi aa raha tha ki Nagraj ne mahanagr kyon chhod diya, aur ye ekdam se alag tarah se

    desh videsh kyon ghoom raha he!!

    Oopar se back par Sharan Kand ka ad, 2-2 Nagraj wala chakkar samajh nahi aa raha tha. Jo bhi sawaal

    ho sakte the wo mere dimaag mei bhatakte rahe jab tak ki main Forum se na jud gaya. Aur fir RC se juda

    to aisa juda ki mere jaisa koi jud hi nahi paya. (atishyokti alankaar)

    Itni lambi kahani kehne ka matlab itna he ki Lalit ji aur aapki jodi ne mujh jaise kai logo ko unke bachpan

    ke pyaar tak wapas pahunchne mei ek anokhi bhoomika nibhayi he.

    Agla sawaal.Ek page ink karne mein amooman kitna samay lag jata he?

    Jagdish Kumar: Waise toh main page ink karte waqt ye kabhi dhyaan nahin rakhta ki kitna time laga,

    kyoki har page alag hota hai har artist ka pencil ka apna ek style hota hai, ek detailing level hota hai, toh

    page apna time khud hi tay karta hai.. Per phir bhi 3-4.5 ghante ka samay lagta hai ek page ke sath pora

    insaaf karne main..

    -Nishant Parashar: Ye bilkul sach kaha sir aapne!! Is field mei samay se jyada insaaf ki jarurat hai!!

    Mehnat ki he to nateeje bhi achhe aayenge

    Interview samaapti ki or he, vaarta samaapt karne se pehle kuchh aisa jo aap apne fans se k ehna

    chaahein??

    Jagdish Kumar: Apne sabhi fans ko unke prem ke liye dhanyawaad dena chahunga aur unhe kahna

    chahunga ki high technology ki aur badhati is duniya main comics bhi ek aisa madhyam rahi hai jisne

    hamesha hamara manoranjan kiya hai toh hamhe bhi comics industry ko bachane ki jarurat hai aur jyada

    comics se judne ki jarurat hai aur un logo se door rahne ki jarurat bhi hai jo ise nuksaan(piracy ke jariye)

    pahuncha rahe hai..

    Toh aap apna prem comics ko aise hi dete rahiye,sada jude rahiye. Thanks

    Nishant Parashar: Bahut bahut dhanywaad sir, apne keemti samay mein se kuchh samay nukalne ke liye.

    Aapse baatein karke achha laga

  • 30

    Story Samay- CNC series ke 2 sal bad.

    Jagah- Nagpasha ka gupt adda.

    Gurudev- Akhirkaar! Akhirkaar me safal raha.Meri panch salo ki mehnat safal rahi. Mene machine ka

    design bana liya hai jisme koi khami nahi hogi. Ab wo machine me 2 dino me bana loonga.

    Tabhi Nagpasha vaha pravesh karta hai.

    Nagpasha- Apki kaunsi mehnat safal rahi Gurudev?

    Gurudev-(Ye Nagpasha kaha se aa gya? Ab ise to me sach bata nahi sakta)

    Gurudev- Dekh Nagpasha.Tujhme shaktiyan to bahut hain par dimag ki kami hai.Bina meri madad ke tu

    ek kaam dhang se nahi kar pata. Tune 3 saal pehle akele hi sabhi villains ko chuda liye taki tu heroes ko

    hara sake. Par tum log har gaye. Vo villains to tujhe chodkar bhag gaye par tu pakda gaya. Vo to mene

    tujh bacha liya. Isliye mene ek machine banayi hai jisse hum dono jud sake. Mera dimag aur teri shaktiya

    milkar sabhi ko hara sakte hain.

    Nagpasha- Ye to acha idea hai. Thik hai me jata hu.

    Do din baad-

    Gurudev- Nagpasha idhar aa. Machine ban gayi hai.

    Nagpasha- Kya karna hai mujhe?

    Gurudev- Tujhe is chamber me khada hona hai aur mujhe us chamber me. Machine on hone ke baad

    humare sharir jud jayenge.

    Kuch der baad-

    Nagpasha- Hum jud gaye hain Gurudev. Mujhe apne sharir par apke hath dikhayi de rahe hain.

    Gurudev- Sirf hath hi nahi mera pura sharir tujhe dikhayi dega kyuki humare sharir badal gaye hain. Isi ke

    sath GurudevNagpasha(jo uske sharir me hai) ke chidate uda deta hai.

    Gurudev- Akhirkar ab me hazaro shaktiyo ka malik hu. Ab bas mujhe apni yantrik shaktiyon ko bhi jodna

    hoga aur fir me prithvi ka sabse shaktishali insaan ban jaunga.

    Jagah- Gurudev ki lab.

    Samay- Pichli ghatna ke 3 din baad.

    Gurudev- Ho gaya. Ab mene apni shaktiyo ke sath yantik shaktiya bhi jod li hain.Ab duniya ka har yantra

    mera gulam hoga.

    Jagah- B.R. Headquarters

    Nagraj(Jiski vinom wali shaktiya ab khatm ho chuki hain)- Dosto, humne panch saal pehle sabhi villains

    ko pakad liya tha par Nagpasha ki vajah se wo sab bhag nikle. Dhruv ne ek bar maximum security zone

    banane ki koshish ki thi par wo nasht ho gaya tha. Hum is bar aisa zone banayenge jisme aisi suraksha

    hogi ki koi tod na sake.

    Tabhi Gurudev vaha aa jata hai.

    Gurudev- Vo to tu tab bana paega jab tu jinda rahega.

    Nagraj- Nagpasha? Aaj tum kuch alag tarike se kyu bat kar rahe ho? Aur tum akele hi hum sab se

    takrane aa gaye.

    Gurudev-Mai Nagpasha nahi hu Nagraj mai Gurudev hu, Nagpasha ke amar shareer me.Nagpasha mara

    ja chuka hai.

    Nagraj- Par tum phir bhi hum sabko ek sath nahi hara paoge.

    Gurudev- Mujhe tum sab ko ek ek karke harana hai Nagraj. Ek sath nahi.

  • 31

    GurudevNagraj par ek vaar karta aur phir vaha se gayab ho jata hai. Tabhi Gurudev ki awaz goonjne lagti

    hai.Gurudev- Aur pehli baari teri hai Nagraj. Maine apne vaar se tere sharir me chip ke roop me bomb

    pravesh kara diya hai. Ye chip teri harkat ko mehsoos karegi. Jaise hi tu kuch karna band karega uske 1

    minute baad hi ye bomb fat jaega. Aur us chip ke charo taraf ek kavach hai jise tere shookshm sarp tod

    nahi sakte. Ab tu ya to hamesha kuch na kuch karta reh ya phir sthir reh kar phat jaa. Aur mene tere liye

    ek asaani kar di hai.Tujhe khud koi kaam nahi karna padega me tere liye kaam ka intzaam karoonga.

    Tabhi vaha aata hai khud koNagraj ka janmdata kehne wala Nagmani.

    Nagmani- Kafi dino baad mil rahe hain Nagraj.

    Gurudev- Aur ha superheroes! Agar tumne Nagraj ki koi madadk ki to Nagraj thodi der ke liye rukega aur

    phat jaega. Isliye use hi ladne dena.

    Parmanu- Agar Nagraj ke sarp us chip ko khatm nahi kar sakte to hume kuch karna hoga. Mai Probot se

    baat karta hu. Idhar NagrajNagmani ke vaaro se bach raha tha.

    Nagmani- Mujhe sirf tujhe thakna hai Nagraj.Aur uske liye mera paas sabse acha hathiyar hai. Ye gun

    jisme tere jahar ki kaat bhari hui hai. Tu iski goli se bachta rahega aur tere har vaar se bachne ki mai

    taiyari kar ke aaya hu.

    Probot-Parmanu mene Nagraj ke shareer ko scan karna kiya hai. Uske sharir me...

    Parmanu- Kya hua Probot?

    Gurudev- Maine kaha tha har yantra mera gulam hai.Probotko mene band kar diya hai. Ab tu kya

    karega?

    Ins. Steel- JAROOR PROBOT KO US CHIP ME KOI AISI CHEEJ DIKHI HOGI JO USKI KAMJORI HO.

    MAI CHIP KO SCAN KARKE DEKHTA HU.

    Gurudev- Tum log bahut bewakoof ho. Jab mene Probotko band kar diya to kya tujhe nahi kar sakta?

    Ins.steel ke sharir se chingariya nikalne lagti hain.

    Gurudev- Iske andar to short circuit kar diya.Koi aur baki hai?NagrajNagmani par vish funkaar ka vaar

    karta hai par us par koi asar nahi hota.

    Nagmani- Mai naak me filter laga kar aaya hu Nagraj.

    Isi ke sath me aisi dress pehen kar aaya hu jisme current daudta hai. Tu apne ichadhari sarpo ko madad

    ke liye nikal nahi sakta. Meri dress blastproof hai aur jamin ke niche hue dhamake se bhi is par koi asar

    nahi hota.

    Nagraj- Ye to meri sabhi shaktiyo se bach sakta hai par ek shakti aisi hai jisse mai ise hara sakta hu.

    Nagmani- Tu mujhe sammohit karega?Tujhe kya laga mai isse bachne ka tarika soch kar nahi aaya

    hu.Mere chehre par aisa mask hai jisse me sammohit hone se bach jaunga.

    Tabhi Nagmani ke niche ki jameen hat jati hai aur wo ek ghadde me gir jata hai.

    Nagmani- Isse tujhe kya lagta hai Nagraj mai har jaunga?

    Tabhi Nagmani ke upar ki chat bhi gir jati hai aur Nagmani dab jata hai aur behosh ho jata hai.

    Nagraj- 1 minute hone hi wala hai

    Tabhi Nagmani gayab ho jata hai aur Nagraj ke samne aati hain uski do sabse badi dushman- Miss Killer

    aur Nagina. NagrajMiss Killer aur Nagina ke varo se bachta hua soch raha tha. (Is chip ko khatm karna hi

    hoga. Kyuki kabhi na kabhi to mai thakuga hi)

    Idhar apni lab me Gurudev- "Mujhe ab apna kam karna hoga. Meri machine apne aap villains ko Nagraj

    ke pas bhejti rahegi."

    Aur Gurudev vaha se chala jata hai.

    Nagraj-(Har bar ek hi vaar kam nahi karega. Mujhe kuch aur karna hoga.)

    Dhruv- Hum chah kar bhi Nagraj ki madad nahi kar sakte. Kyuki agar humne uski madad ki to ho sakta

    hai ki Gurudev phir koi villain hi na bheje.

    Nagrajun dono ke vaaro se bachte hue un dono ke beech me pahuch jata hai.

    Nagina- Tu kya sochta hai Nagraj hum itne bewakoof hain ki tere is jaal me phans jayenge?

    Nagraj- Tum log sach me phans chuke ho. Agar tum me se koi mujh par vaar karta hai to mai ichadhari

    kano me badalkar bach jaunga aur vaar tumhe hi lagenge. Aur agar koi vaar nahi kiya to mere sath tum

    bhi path jaoge.

  • 32

    Isi ke sath Nagina aur Miss Killer gayab ho jati hain aur phir ek ke baad ek aate hain Nagraj ke kai aur

    dushman par Nagraj unhe bhi hara deta hai. Ab tak Gurudev vapas aa chuka tha. Nagraj bahut buri tarah

    se thak chuka tha par apni ichashakti ki vajah se kisi tarah jameen par khada tha.

    Nagraj- Ab to mere sare dushman har chuke hain. Ab tu kya karega Gurudev?

    Gurudev- Ye tujhse kisne kaha ki sirf tere hi dushman tujhse takrayenge?

    Tabhi vaha aata hai Dhruv ka sabse bada dushman Grand Master Robo. Grand Master Robo Nagraj par

    laser beam ka var karta hai aur isi se Nagraj gir jata hai. GMR gayab ho jata hai. Sabhi superheroes

    Nagraj ke paas aate hain aur use uthane ki koshish karte hain.

    Doga- Tum uth sakte ho Nagraj. Itni jalid har mat mano.

    Ek minute hone ko tha. Par ascharya ki baat hai ki Gurudev bhi Nagrajko uthne ke liye keh raha tha.

    Gurudev- Tu uth sakta hai Nagraj.

    Tabhi Nagraj khada ho jata hai. Ek minute hone me sirf kuch seconds reh gaye the.

    Gurudev- Bachna chahta hai to bhag Nagraj.

    Nagraj turant hi bhagne lagta hai aur headquarters se bahar nikal jata hai.

    Gurudev- Ye jagah tere bhagne ke liye thik nahi hai Nagraj.

    Tabhi Nagraj ek sunsan jagah par pahuch jata hai.

    Gurudev- Ab tu bhag Nagraj.

    Nagraj kafi der tak bhagta rehta hai.Itni thakavat ke baad bhi bhagkar Nagraj apni jabardast ichashakti ka

    udaharan de raha tha.

    Gurudev- Ab tu bhagte hue bore ho gaya hoga. Chal ab fir se kuch ladayi kar.

    Tabhi vaha aata hai bauna waman.Bauna waman Nagraj par apni khilone wali gun se vaar karta hai. Itni

    thakavat ke baad Nagraj bach nahi pata aur behosh ho jata hai. Bauna waman chala jata hai. Tab tak

    heroes Nagraj ki location dekhkar vaha pahuch jate hain. Vo Nagraj ke kuch door tak pahuch pate hain ki

    ek bada dhamaka hota hai.Vo jab vaha pahuchte hain to vo jameen khoon se lal hoti hai aur us par

    Nagraj ke shareer ke chitade pade hote hain.

    Gurudev- Agli bari kiski hai?

    Gurudev ab superheroes ke samne aa chuka tha.

    Parmanu- Tune Nagrajko markar acha nahi kiya Gurudev. Tujhe iski bhari keemat chukani padegi.

    Gurudev- Tera munh bahut chalta hai Parmanu.Jabki tu janta hai ki tu yantrik shaktiyon par kaam karta

    hai aur yantrik shaktiyan meri gulam hain.Ab tu kuch bol nahi paega.

    Tabhi Parmanu ka shareer udna shuru kar deta hai.

    Parmanu- Ye kya ho raha hai? Meri shaktiyan mere control me nahi hain.

    Gurudev- Ab Parmanu to aasman me udta rahega. Ab me tum sab ko khatm karunga.

    Dhruv- Aur vo tum kaise karoge?

    Gurudev- Tumhare sabhi dushmano ko ek sath yaha lakar.

    Dhruv- Tumhari yaddasht kamjor hai Gurudev. Humne pichli bar sabhi villains ko ek sath haraya tha.

    Gurudev- To mere pas ek aur tarika hai. Tabhi vaha Parmanu ka dushman Itihaas aa jata hai.

    Gurudev- Mai itihaas ki madad se tum sab ko tumhare bachpan me hi mar dunga.

    Dhruv- Jyada shaktiyan aane se tumhare dimag par asar pada hai.Tum agar hum sabko bachpan me

    maroge to tum jab lautkar aoge to tumhe prithvi nahi milegi.

    Gurudev- Kyu? Dhruv- Wo isliye kyuki hum logo ne kai bar prithvi ko nasht hone se bachaya hai. Agar

    tum hume khatm kar doge to phir prithvi bachegi hi nahi.

    Gurudev- To mere pas sabse acha tarika hai.

    Gurudev- Ab me tum sab ke pariwar walo ya dosto ko apni lab me bula leta hu. Agar tum logo ne haar

    nahi mani to me un sabko khatm kar dunga. Aur Gurudev chala jata hai(itihaas ke sath).

    Dhruv-(Mere pas yahi ek mauka hai.)

    Dhruv- Gurudev unhe kuch mat karna. Mai har manta hu.

    Gurudev vaha aa jata hai.

    Gurudev- Acha hai Dhruv ki tu har man gaya. Yahi to tum logo ki kamjori hoti hai. Apno ke liye khud ko

    danv par laga dete ho.

    Dhruv- Ye hamari kamjori nahi takat hai Gurudev. Par tum ye baat nahi samjhoge.

  • 33

    Gurudev- "Tum" nahi "Aap" bolo.Ab mai prithvi par sashan karunga.

    Sabhi heroes Dhruv ki bate sunkar ascharyachakit to the par unhe Dhruv par pura vishwas tha.

    Dhruv- Theek hai. Par aap Parmanuko to vapas le aiye. Ap prithvi ke samrat ban jaiye. Par hume

    superhero to rehne dijiye jo chote mote apradho se ladenge aur apki raksha karenge.

    Gurudev- Thik hai. Agar tum log superheroes bane rahoge to koi aur mujh jitna takatvar nahi ban paega.

    Mai Parmanuko vapas le ata hu. Aur Parmanu vaha aa jata hai.

    Dhruv- Aap Parmanu ki dress hamare upar apki jeet ke yadgar ke roop me rakhiye.

    Parmanu- Ye tum kya keh rahe ho Dhruv?

    Gurudev- Vo sahi keh raha hai. Parmanu ki dress uske sharir se utarne ke baad Gurudev ke sharir par aa

    jati hai. Gurudev- To tu ek police wala hai.

    Dhruv- Parmanu shrink.

    Parmanu- Matlab? Oh samajh gaya. "SHRINK".

    Aur voice command activate ho jata hai aur Gurudev chota ho jata hai. Tabhi ParmanuGurudev ke chote

    sharir se apni belt nikal leta hai.

    Gurudev- Tum kya samajhte ho mai har gaya?

    Dhruv- Tum bas harne hi wale ho. Shakti iske charo taraf aur iske upar ek majboot lohe ki diwar bana do.

    Parmanu tum mere sath mahanagar chalo.

    Kuch der baad Parmanu aur Dhruv vapas lautte hain.

    Dhruv- Mai Gurudevko harane ka tarika le aaya hu. Shakti Gurudevko ajaad kar do.

    Gurudev ke ajaad hote hi Dhruv use uthakar ek bottle me rakh deta hai aur use band kar deta hai.

    Gurudev- Bottle me band karne se kya hoga? Kya mai is bottle ko tod nahi sakta?

    Dhruv- Ye khas bottle hai jo mene vedacharya se banvayi hai. Iske andar kisi ki koi shakti kaam nahi

    karti. Aur mujhe naye zone ko banane ka idea bhi mil gaya hai. Hum sabhi villains ko aise ho pakdenge.

    Parmanu- Par is zone ka idea dene wala to khatm ho gaya.

    Dhruv- Ha wo to hai. Gurudevko harane ki keemat bahut mehengi padi.

    Tabhi ek awaz aati hai jisse sabhi chaunk jate hain."Mujhe harana itna asaan nahi hai superheroes."

    Ye tha Nagraj.

    Dhruv- Tum bach gayeNagraj! Par kaise?

    Nagraj- Mai to bauna waman ka var khakar behosh ho gaya tha. Jab meri aankhe khuli to mene apne

    apko Gurudev ki lab me paya.

    Dhruv- Tab to iska jabav Gurudev hi de sakta hai. Batao Gurudev.

    Nagraj- Ye tumne Gurudevko kaise haraya Dhruv?

    Dhruv- Bad me bataunga Nagraj.Tum batao Gurudev.

    Gurudev- Ye mera plan tha. Maine Nagraj ke sharir me koi chip nahi dali thi. Sirf natak kiya tha. Aaj tak

    hazaro bar tum logo par kai villains ye koshish kar chuke hain par tum log hamesha koi na koi hal nikal

    lete ho. Isliye maine socha ki jab koi chip hi nahi hogi to tum khatm kise karoge? Meri bato me aakar tum

    logo ne man liya ki Nagraj ke andar koi chip hai aur Probot aur steel ne jab sach pata laga liya to maine

    unhe band kar diya. Mera asli maksad to Nagrajko itna thakana tha ki wo kuch karne ke layak hi na reh

    jaye. Fir jab Nagraj behosh ho gaya to mene use apne paas bula liya apna gulam banane ke liye.

    Dhruv- Nagraj. Ab hume jaldi se maximum security zone banana hoga.

    Kuch dino baad..... Sabhi brahmand rakshak ek jagah par khade the. Unke samne thi ek vishal imarat jo

    abhi abhi bani thi.

    Dhruv- Maximum Security Zone 2 bana liya gaya hai. Humne ise har tarah ki suraksha di hai.Yaha par

    kuch swarn nagri aur nagdweep vasi suraksha denge.Humne vigyan tantra mantra tilism sabki madad li

    hai.Probot ka gyan, ISRO ki technology, Lori aur Kapal Kundla ki madad se humne ise banaya hai.Aur ye

    poori tarah se Vedacharya ke tilism se surakshit hai.

    Idhar Gurudev ki lab me... Gurudev ke na hone ki wajah se sannata phaila hua hai. Adhi machines on

    hain. Par Nagpasha ke chitade vaha nahi hain. Kuch choti moti awaaze aa rahi hain. Tabhi ek tej aawaz

    aati hai jaise kisi ne diwar par takkar mari ho. Aawaz dheere dheere aur tej hoti ja rahi hai. Tabhi ek

  • 34

    kaanch tootne ki awaz poori lab me goonj jati hai. "Me ajaad ho hi gaya. Aur ab me Gurudev se badla

    lunga."

    Dhruv- Ab hume sabhi villains ko jald se jald pakadna hoga.

    Tabhi... Nagraj- Ek mansik sandesh aa raha hai.

    Mahatma Kaaldoot- Vishank kai dino se gayab hai Nagraj. Pehle humne socha ki wo laut aega par jab wo

    nahi laota to hume chinta hui. Humne pure nagdweep me aur mahanagar me bhi dhoonda par wo nahi

    mila.

    Nagraj- Ap chinta mat kariye. Mai use dhoondta hu.

    Dhruv- Kya hua Nagraj?

    Nagraj- Vishank gayab hai Dhruv. Mujhe use dhoondna hoga.

    Dhruv- Mai bhi tumhare sath chalta hu.

    Nagraj- Nahi Dhruv. Tum heroes ko yaha ke bare me batao.

    Aur Nagraj nikal jata hai.

    Idhar Gurudev ki lab me- Bahar jane ke sabhi raste band the. Nagraj vaha se ichadhari kano me badalkar

    nikla tha. Darwaza bahut majboot tha aur diware bhi. Par "use" kisi bhi tarah se bahar nikalna tha. Kuch

    hi der me darwaze ke tukde tukde ho gaye. "Mujhe Gurudevko dhoondna hoga" "Mil gaya. Ab mujhe jaldi

    waha jana hoga."

    Idhar Dhruv aur baki superheroes zone se bahar aa gaye the.

    Dhruv- Is zone me do hi tarike ke log ja sakte hain. Ek to wo jinhe ye tilism pehechanta ho aur doosre wo

    jo sabhi suraksha ko tod sake. Aur aisa koi nahi hai.

    "Koi nahi hai?Ye to ho hi nahi sakta."

    Dhruv- Tum?

    Dhruvko ek vaar lagta hai aur vo zone se takra jata hai. Sabhi heroes savdhan ho jate hain aur "us" par

    hamla shuru ho jata hai. Par uspar to koi asar hi nahi ho raha tha.

    Doga- Aise varo se kam nahi chalega. Hume ise khatm karna hoga.

    Doga us par ek bomb phekta hai jo uske pas pahuchte hi phat jata hai. Khuch der ke liye dhua phail jata

    hai.Wo dhua jab hat ta hai tab superheroes ko dikhayi dete hai uske tukde jo ek dusre ke pas aa rahe

    the.

    Shakti- Ye kya ho raha hai?

    Dheere dheere wo tukde judne logo aur uska shareer vapas ban gaya. "Mai amar hu.Amar. Tum log

    mujhe mar nahi sakte."

    Tabhi Nagraj vaha aa jata hai. "(Ye Nagraj kaha se aa gaya? Abhi mujhe jana hoga)". Aur wo gayab ho

    jata hai. Tab tak Dhruv vaha aa jata hai.

    Dhruv- Sar chakra raha hai. Bahut jor se takraya hu.

    Nagraj- Mahatma Kaaldoot ne mujhe bataya tha ki Vishank mahanagar aur nagdweep me nahi hai. Isliye

    mujhe un dono jagah use nahi dhoondna tha. Fir mujhe Gurudev ka khyal aaya kyuki Gurudev ne hi

    Vishankko banaya tha. Mai Gurudev ki lab me ja pahucha aur fir mene dekha ki waha cameras lage hue

    the. Mujhe sabhi machines me dekhna ki recordings kaha hain. Par wo mujhe pehli machine me hi mil

    gayi. Aur fir mene ye dekha ki jis din Gurudev ne mujh par hamla kiya tha usi din usne Vishankko pakad

    liya tha. Jab Gurudev ne Vishank ko apne pas bulaya tab usne Vishank ke shareer me Nagpasha ki

    koskikaon ko dala aur uske shareer se jahar nikal diya jiski vajah se uske pita ki koshikaye lagbhag

    samapt ho gayi aur Nagpasha ki koshikae uske poore sharir me phail gayi, jiski vajah se wo amar ho

    gaya aur usme burai aa gayi. Gurudev ne ye sab Vishankko bataya aur Vishank se uski madad karne ko

    kaha. Par Vishank ne inkaar kar diya. Tab Gurudev ne Vishankko behosh karke use ek kanch se bane

    box me band kar diya apna gulam banane ke liye. Par usse pehle hi maine apne sabhi villains ko hara

    diya aur Gurudev ko mujhe harane ke liye GMR ko bhejna pada. Uske bad Gurudev kaid ho gaya aur

    Vishank ko gulam nahi bana paya.

    Tiranga- Par Vishankko theek kaise karenge?

  • 35

    Nagraj- Use theek karne ke liye hume use jahar dena hoga jisse uske sharir me bachi maniraj ki kuch

    koshikaen fir se dwigunit ho sake aur Nagpasha ki koshikao ko fir se khatm karna hoga jo vedacharya

    karenge par pehle use mera jeher milna jaroori hai. Uske shareer me to bahut hi kam jahar bacha hai par

    agar mera jahar use diya jaye to vo theek ho sakta hai. Aur kisi ichadhari nag ka jahar mere jitna takatvar

    nahi hai isliye us par sirf mere jahar ka asar hoga.

    Dhruv- Ye to bahut hi achi bat hai. Matlab agar tum khatm to Vishank ke theek hone ki sambhavanye bhi

    khatm.

    Nagraj- Ye tum kya keh rahe ho Dhruv?

    DhruvNagraj par ek vaar karta hai jisse Nagraj behosh ho jata hai. Fir DhruvVishank me badal jata hai.

    Vishank- Tum log kitni asani se bewakoof ban gaye. Dhruv to abhi bhi behosh hai. Mai Nagrajko mar nahi

    sakta tha isliye mene uski aisi halat kar di hai ki wo ab kabhi hosh me nahi aa paega. Usko hosh me sirf

    mai la sakta hu. Aur agar kisi ne uska jeher nikalne ki koshish ki to wo mar jaega. Ab mujhe koi nahi hara

    sakta, na hi koi thik kar sakta hai.(Are nahi ye me kaise bhool gaya? Use khatm karna hoga.)

    Vishank- Mai vapas aunga heroes. Aur Gurudev se badla lunga.

    Kuch superheroes Dhruv ki taraf daude.Dhruv ab bhi behosh tha.

    Doga- Hume dono ko hospital le jana hoga.

    Parmanu- Sirf Dhruvko. Nagrajko to hosh me laya nahi ja sakta.

    Doga- Aisi hi bato se hum do bar phans chuke hain. Ho sakta hai wo jooth bol raha ho.

    Parmanu- Lekin Nagraj ka ilaj hospital me to hoga nahi. Hume bharti se bat karni hogi.

    Kuch der baad Dhruv hospital me tha.

    Doctor- Koi haddi to nahi tooti hai par 2 dino ke liye ye lad nahi sakte. Aur Nagraj snake park me tha.

    Dr. Karunakaran- Nagrajko hosh nahi aa raha hai. Aur hum to iske vish ko test bhi nahi kar sakte kyuki

    isse Nagraj ki jan bhi ja sakti hai.

    Idhar MS Zone me Surakshakarmiyo ko andaza nahi tha ki us wakt koi hamla kar sakta hai. Isliye wo

    nischint the. Par ye unke liye ek badi bhool sabit hone wali thi. Kyuki Vishank waha pahuch gaya tha.

    Sabse pehle Nagdweep ke ichadhari nag khade the.

    Vishank- Hat jao mere raste se.

    Rakshak- Kumar Vishank aap?

    Iske bad aur kuch nahi bol paya wo. Vishank ke war se wo behosh ho gaya tha.

    Vishank- Mai tum logo ko mar nahi sakta par phir bhi tum log mujhe nahi rok paoge.

    Isi tarah Vishank apne raste se har nag ko hatate hue ja pahucha vaha, jaha surksha dene ke liye khade

    the swarn nagri vasi.

    Vishank- Abhi abhi kai nago ko hara kar aa raha hu. Tum log mujhse jeet nahi sakte. Hat jao mere raste

    se. Rakshak- Hum hatte nahi hai balki hum tum jaise logo ko khatm kar dete hain.

    Aur Vishank par hamle shuru ho jate hain.

    Vishank- Hahaha. Jis Vishank ka sabhi heroes milkar kuch nahi bigad paye uska tum log kya bigadoge.

    Sabhi rakshak ek sath vaha aa gaye the aur Vishank ne ek sath hi unhe behosh kar diya. Vishank aage

    badha par uske kadam tham gaye. Vajah thi ek adrishya diwar jiske aage Vishank badh nahi pa raha tha.

    Vishank- Ye kya ho raha hai? Mujhe dekhna hoga ki mai kyu aage nahi badh pa rha.

    Vishank- Oh! Ye jagah kai tariko se surakshit ki gayi hai. Mai andar nahi ja sakta. Kuch aur karna padega.

    Agle din.. Idhar Dhruvko hosh aa gaya tha. Sath me Dhananjay khada tha.

    Dhananjay- Acha ab mai chalta hu Dhruv.

    Tabhi vaha Vishankaa jata hai.

    Vishank- Kaha ja rahe ho? Pehle mujhse se to mil lo.Ye jagah thik nahi hai.Chalo kahi aur chalte hain.

    Kuch hi der me Vishank aur Dhananjay ek khali jagah par pahuch jate hain.

    Vishank- Akele tere sath maja nahi aega. Aur logo ko bhi bulana hoga. Aur ha Dhruv. Tu bore na ho isliye

    maine intzaam kar diya hai ki tu sab kuch dekh sake.

    Vishank ke hath upar uthte hain aur dheere dheere sabhi superheroes aur unke dost vaha aa jate hain.

    Kaaldoot- Ye tum kya kar rahe ho Vishank?

  • 36

    Vishank- Abhi batata hu. Maine tum sab logo ko mujhse ladne ke liye bulaya hai.

    Vishank ke shareer par ek kavach chad jata hai.

    Vishank- Ab mai tum sab ko chunauti deta hu ki koi bhi is kavach ko todkar dekhaye.

    Dhruv-(Ye Vishankkisi maksad ke liye hi kar raha hoga. Par kya?)

    Vishank ka kavach sabhi var jhel raha tha.Kehte hai ki atiatmvishwas se hani hoti hai par Vishank ke

    mamle me aisa kuch nahi tha.Sabhi log milkar bhi uska kuch nahi bigad pa rahe the.

    Vishank- Jitna khatarnak var kar sakte ho kar lo.Mai tum par koi var nahi karunga.

    Kafi der tak ye sab chalta raha.

    Dhruv-(Is par kisi var ka asar kyu nahi ho raha? Jaroor iske kavach me koi bat hai. Oh samajh gaya. Acha

    hua ki Dhananjay ne mujhe wo suit de diya tha jo mene pehle pehna tha(raj me). Iski madad se mai

    mahatma kaaldoot se bat kar sakta hu.

    Dhruv- Mahatma Kaaldoot mai Dhruv hu.Darasal Vishank ka kavach ek kavach se kahi badhkar hai. Ye

    apne upar hue hamle ko sokh leta hai aur dobara us hamle ka fir is kavach par koi asar nahi hota. Apko

    us par aisa var karna hoga jo itna takatvar ho ki kavach ko tod sake aur jo abhi tak prayog na kiya gaya

    ho. Mahatma Kaaldoot- Thik hai Dhruv. Ab me prayog karta hu apne sabse takatvar shastra ka. Jo bana

    hai Kalsarpi,Kaltrishool aur Cheerchala ki sanyukt shakti se. Ab tu "Trikal" se nahi bach paega Vishank.

    Mahatma Kaaldoot trikal koVishank ki taraf phenkte hai jo jakar kavach se takrata hai. Kavach itna

    takatvar nahi tha ki is vaar ko jhel sake. Trikal kavach ko todta hua Vishank ke shareer ke aar par ho

    gaya aur fir kavach ko doosri taraf se todkar vapas mahatma kaldoot ke hath me pahuch gaya.

    Vishank- Aaaaaaaah!

    Mahatma Kaaldoot- Is var se Vishank marega to nahi par behosh jaroor ho jaega.

    Vishank- Nahi mahatma kaldoot. Tumhare is hathiyar me itni takat nahi ki mujhe behosh bhi kar sake.

    Sabhi chaunk jate hai aur ek dum se gayab ho jate hain.

    Vishank- Inki mujhe itni hi jarurat thi.

    Vishank ke shareer par kavach phir se chad jata hai aur wo chala jata hai MS Zone ki taraf. Vishank MS

    Zone ke darwaze tak pahuch jata hai.Koi suraksha karmi vaha nahi tha. Kyuki Vishank ke kavach par

    sabhi tarah ki shaktiyon ka vaar ho chuka tha aur un shaktiyon ko dubara us par asar nahi karna tha isliye

    Vishank bina kisi mushkil ke andar pahuch gaya.

    Vishank- Gurudev. Ab tujhe mujhse koi nahi bacha sakta.Mai tujhe maut se bhi badi saja dunga.Aur uske

    baad puri duniya par raj karunga.

    Tabhi... "Tum aisa nahi karoge." Us shakhs ko dekhkar Vishank ascharyachakit ho jata hai

    Vishank- Guru tum? Tum andar kaise aaye?

    Sillu- Mene bhi ye zone banane me madad ki thi. Isliye ye tilism mujhe pehchanta hai.

    Vishank- Fir bhi tum mera kya bigad sakte ho?

    Sillu- Kuch bigad nahi sakta par tumhe thik to kar sakta hu.

    Sillu ek gun nikalta hai.

    Vishank- Ye kya? Mene to ise nasht kar diya tha.

    Sillu- Mujhe wo din yaad tha. Isliye mene waha par ek dusri gun rakhi thi.

    Vishank- Par phir bhi me tumhe ye gun chalane hi nahi dunga.

    Par usse pehle hi sillu gun chala deta hai. Gun ki goli Vishank ki taraf badhti hai aur Vishank bhi us goli

    ko rokne ke liye kai var karta hai. Par Vishank ka koi var us goli par asar nahi karta. Goli uske kavach ko

    todte hue Vishank ke shareer me chali jati hai aur Vishank behosh ho jata hai. Kuch der baad..... Sillu

    Vishankko utha raha tha.

    Sillu- Tu thik to hai na?

    Vishank- Ha mai theek hu.

    Agle din....

    Sabhi brahmand rakshak Vishank aur sillu ke samne khade the.Vishank ne Nagrajko theek kar diya tha

    aur Dhruv bhi thik ho chuka tha.

    Dhruv- Ab tum ye batao sillu ki tumne Vishankko theek kaise kiya?

    Sillu- Ye kai sal pehle ki ghatna hai. Tab hum dono chote the aur Vishank roj apni nayi powers test karta

  • 37

    rehta tha.

    Ek din-

    Vishank- Guru dekho mujhe ek nai power mili hai. Mai kuch der ke liye aankhe band karta hu aur ye

    power use karta hu.

    Vishank- Mene dekha ki hum dono kamre me baithe hain aur Nagraj aakar humse puchta hai ki hum kya

    kar rahe hain?

    Sillu- Kahi ye sapne dekhne ki shakti to nahi hai? Hahaha.

    Tabhi Nagraj kamre ke andar aata hai.

    Nagraj- Tum dono yaha kya kar rahe ho?

    Sillu- Kuch nahi bas baaten.Nagraj ke jane ke bad..

    Sillu- Ye to kamal ki power hai.

    Vishank- Ab me kai sal baad ki ghatna dekhta hu.

    Kuch der baad ek dum se Vishank gir jata hai.

    Sillu- Chele! Ye tujhe kya hua?

    Vishank- Sir me bahut tej dard ho raha hai. Shayad mene us shakti ka kuch jyada hi upyog kar liya.

    Sillu- Tune kya dekha?

    Vishank- Vaha par me nahi tha. Sare brahmand rakshak the. Aur Nagraj sabko bata raha tha ki Gurudev

    ne mujhe bura bana diya hai aur mujhe sirf jeher se hi thik kiya ja sakta hai. Iske bad mujhe chakkar aa

    gaya. Ab mai us shakti ka istemaal kabhi nahi karunga.

    Sillu- Ye to bahut hi khatarnak baat hai ki tu bura ban jaega. Hume kuch karna hoga.

    Agle din..

    Vishank- Guru mene apni shaktiyon ko is tarah badal liya hai ki agar me kisi bhi insaan ya nag ko marta

    hu to meri sari shaktiyan chali jaengi. Aur me tumhe ye gun de raha hu jiski goli me mera jeher bhara hua

    hai jisse me thik ho jaunga. Aur is gun ki goli ko meri koi bhi shakti nahi rok paegi.

    Sillu- Fir jab Gurudev ne Vishankko gulam bana liya tab Vishank is gun ko nasht karne aaya. Maine us

    gun jaise hi ek aur gun vaha rakh di jise Vishank ne nasht kar diya. Aur mene asli gun ki madad se

    Vishankko theek kar diya.

    Vishank- Aur mere pas MS Zone se bhi acha tarika hai villains ke liye.

    Nagraj- Kya?

    Vishank- N.I.M. Machine.

    Dhruv- Vo machine jo skada le kar aaya tha.

    Vishank- Ha.Par uske liye mujhe jeev dhatu chaiye.

    Nagraj- N.I.M. Machine to bharti ke ghar par rakhi hai jo mene office se vaha le jakar rakhi thi. Par wo

    machine ab kaam nahi karti. Par tum us machine ke bare me kaise jante ho?

    Vishank- Maine hi tab tum logo ki madad ki thi. Mujhe wo machine banani aati hai. Mai use fir se bana

    dunga. Aur sabse pehle uska test hum Gurudev par hi karenge.

    Kuch dino baad-

    Dhruv ke hath me wo bottle thi jisme Gurudev band tha. Dhruv ne wo bottle kholi aur Gurudev bahar aa

    gaya. Uske bad Parmanu ne use apni belt di jiski madad se wo bada ho gaya.

    Gurudev- Mujhe ajad karke tum kya karna chahte ho?

    Dhruv- Abhi pata chal jaega.

    Dhruv machine on kar deta hai aur Gurudevko uske niche khada kar deta hai.

    Nagraj- Ab tum ek superhero ban gaye ho Gurudev.

    Gurudev- Ban gaye ho? Mai to hamesha se hi ek superhero tha.

    Vishank- Isi tarah hum sabhi villains ko superhero banayenge jo burai ko khatm karne me hamara sath

    denge. Isi ke sath burai khatm ho jaegi.

    Dhruv- Sahi kaha. Phir burai hamesha ke liye ho jaegi...

    Samapt.

  • 38

    Story

    (The Last Rebels)

    Basic Idea:

    These are the times when India is literally ruling the world both in terms of Power and Economics,

    times when Indians are excelling in every single field you can imagine, Science, commerce, arts,

    movies, war, games, you name it!

    All it has been possible because of the 'Project Perfection'!! India is running on literally 'a perfect system'!!

    But these 5 people dont buy it! They believe its all a part of a bigger, a nasty plan of World

    Domination!!

    So they stand against the System, against the whole Nation!!

    The call themselves 'The Rebels, the last line of defense for the Nation'!!

    Part 1:

    Date: 15 August 2050

    : , ! : 1. 2040 , 10 , ' '

    2. ' ' , ' ' , , ,

    3. ' ' '' 4. ' ' ' '

  • 39

    , ' ', , , ' ' , , ,

    5. , 10 ' ' ,

    6. , ' ' , ' '

    7. - , , ! ! , , !

    : : :'5 ! 5 , , !! !! '

    : , , 5 !

    : ! , ' ' , 5 , 50 ! - ! , !

    : , , ' ' , :

  • 40

    DOWN WITH PROJECT PERFECTION!!

    WE ARE THE REBELS, THE LAST LINE OF DEFENSE FOR THE NATION!!

    ? : ,

    : , , !

    :) , , 5 , !! ! ! ? 5? ?

    Part 2:

    : ! ' ' ! ! , ' ' ' ' , ' ' , ' ' ! , ' ' , ! , , , ' ' ,

    ? , , , , , , , ' ' , , Controlled Hypnosis) 15 , , ' '

  • 41

    , ! ' ' ! , , !

    , 2 , ' ', ' '! , .

    To be continued.

    ~~*~~

    ?

    #- (copies) ?

    - 1 , .

  • 42

    INTERVIEW Abhishek Sagar By: Krishna Kumar Edited By: Rahul R Sharma , , : , Genius, Dead Or Alive, Alter Ego, AXE :

    INTERVIEW: Krishna Kumar:

    To sir mera apse pehla sawal:

    Hum sab ki jindagi me comics se judna ek yadgar pal ban jata he jise hum sanjo kr rakhte hain. To aap comics se kis prakar jude? Wo pal kesa tha? Us pal k bare me thoda vistar purwak apne shabdo me prakash dale.

    Abhishek Sagar:

    Keh sakte hai ki comics prem mujhe mere dono bade bhaiyo dwara virasat mei mila hai.

    Mai 3-5 saal ka raha hounga jab mere hath "Khooni Khoj" comics lagi. Tab mujhe padhna nahi aata tha par us comics ke chitro ko dekhkar dimag mei ek kahani banti gayi, aur tab se nagraj mera fav hero ban gaya. Khooni khoj series aaj bhi meri fav series hai. Mere is shauk ko mere

    pados ke ek bhaiya ne bhi khoob badhawa diya, unke paas RC ki aaj tak prakashit sabhi comics hai, unke ghar jaakar mai ghanto tak comics padhta rehta tha. Achha daur tha jab har 10 kadam par comics ko khareeda ya rent par liya jaa sakta tha. Umeed karta hu wo din fir se laut aaye. :)

    Krishna Kumar

    Ji ha us daur ki bt hi kuch aur thi, aur aap to bade lucky he jo apko free me itni cmx mili!

    Mere sath bhi lagbhag aisa hi hua tha. Mai pidhi dar pidhi nae mitro se milta aur ham apne cmx share krte the, par cmx trend ki shuruat mere papa ne kiya tha jo mere shuruati daur me mujhe roj cmx lakr dete the :)

    Mera agla sawal hai, ki comics se judi koi mazedar ya hasyaspad ghatna jo apko yaad ho to jara hame bhi us ghatna se rubaru krae!

    Abhishek Sagar:

  • 43

    Waise toh comics se judi kai hasyaspad aur yaadgaar ghatnaye hui hai, jaise ki comics ko kitabo ke beech rakhkar padhte hue pakde jaana etc, par ek kissa mujhe khaaskar yaad hai jab

    KOHRAM release hui thi. wo Rs 40 ki thi aur usmei sabhi hero pehli baar aa rahe they, mujhe woh comics kisi bhi soorat mei apne paas chahiye thi par mere paas paise nahi they, gharwale comics ke virodhi toh nahi they par uspe paise kharcha karne ke khilaaf zaroor they aur bhaiyo

    ka shauk bhi tab tak kam ho gaya tha. mai comics lata tha toh padhte they wo bhi SCD ki warna nahi. toh maine apne aap ko bathroom mei band kar liya. Jab kaafi der baad sabko pata chala toh

    poochne lage ki kya hua hai, aur karan sunte hi sabhi ki hasi chhoot gayi :D Jab KOHRAM mere hath lagi woh khushi mai bayaan nahi kar sakta hu. uska cover bhi alag sa tha chamakta hua, aur uski kahani bhi, uske barein mei jitna kahe woh kam hai :)

    Krishna Kumar

    Ji ha. Kohram k vishay me jitna kaha jae utna kam hai. Uska Haru prani hamesha hum sab ke dil me rahega :)

    Ha to mera agla sawal, apke man me aisa kya aya jo apne dhruv ko dark chawi de di?

    Is kahani ka idea apke man me kis prakar aya? Yeh kis ghatna se inspired hai?

    Abhishek Sagar:

    Yeh sawal mujhse kai baar poochha gaya hai :D

    Dark ya light ka funda mujhe pata nahi, par jo badlaw maine kiye uske kai karan they.. Un dino anupam sir bohot busy chal rahe they aur scd ki comics bohot kam aa rahi thi, saath hi log achanak se dhruva ki purani kahaniyo ko miss kar rahe they, Old is Gold waali feeling!!

    Dhruva ka aur Anupam sir ka purana fan hone ke naate maine bhi socha ki pehle ki kuchh chize

    waapas aani chahiye jaise ki continuity, matlab ki kahaniya bhale hi series mei na ho lekin ek dusre se judi honi chahiye. jaisa ki aap dekhenge ki Axe mei bhi Dhruva Genius series me hui ghatnao se pareshaan dikhaya gaya hai, saath hi Natasha, Richa aur Dhruva ke love triangle ki

    waapsi jise ki Code Name Comet mei bhi Mandaar bhai ne bakhoobi continue rakha hai. Par itihaas ko follow karte hue lekhak apni chhap bhi chhodna chahta hai kahani mei, jiske karan

    maine Dhruva ki ek aisi kahani sochi jismei jaroori nahi ki hamara hero har baar kamyaab hi ho, kyunki out toh sachin bhi hota hi hai!! Dhruva ki yeh vulnerable chhavi aapko meri kahaniyo mei dekhne ko mili, jisse yeh guarrenty

    khatam ho gayi ki hero har ladayi jeetega aur yeh excitement shuru hui ki kya yeh wali ladayi jeetega Dhruva?

    Annt mei toh achhayi ki hi jeet hoti hai, use badla nahi jaa sakta par kai baar jung jeetne se pehle sena chhoti ladaiya haar bhi jati hai . Ab jab Dhruva ko normal insaan ki bhoomika de di gayi thi toh use normal insaan ki pareshaaniyo se bhi juda hua dikhana tha, joh ki Axe me usey apni

    insani jaan na lene ki kasam ke barein mei dobara majboor kar deta hai, aur jab tak uske dimag mei yeh anterdwand chalta jai uska vyavahar normal se alag dikhaya gaya hai. Uske ander ke

    "guilt" ki bhaavna use sochne par majboor karti hai aur hamara perfect Dhruva apne emotions ko poori tarah control nahi kar pata, Jo ki swabhavik si chiz hai. Isi ko kuchh log dark chawi kehte hai, par woh bas ek daur aata hai uski life mei, yeh koi

    permanent change nahi tha. Aise halat sabhi ki jindagi mei aate hai aur superhero bhi isse achhote nahi reh sakte, aisa mera manna hai.

    Krishna Kumar

  • 44

    Agla sawal:

    Kaisa laga tha jab ap RC studio pahunche the? Sanjay ji, Anupam ji aur baki RC ki team se milkar apko kaisa laga?

    Kya ap bhavishya me kavi wapis RC k liye kam karna chahenge?

    Abhishek Sagar:

    Mai jab pehli baar RC gaya tha toh kaafi sharma raha tha, Sanjay sir ne mujhe comfortable mehsoos karane ki kaafi koshish ki par woh yeh samajh nahi paye ki jin logo se milne ki meri bachpan ki ichha thi un sabhi se mai ek saath mil raha tha na sirf mil raha tha balki unhe apni kahani suna raha tha jinki kahaniya padhkar hi mujhmei likhne ki ichha ne janm liya!!!!

    RC ka office us samay mere liye kisi mandir se kam nahi tha, aaj bhi nahi hai!

    Aisa laga tha ki koi sapna hai, bohot sundar sapna! Jab maine Anupam sir ko kahani sunayi, toh mai ander se kaamp raha tha :P

    Sanjay sir ne kaafi himmat badhayi, aur jaha bhi mai atak raha hota tha waha sahara de dete they :)

    Anupam sir jyada nahi bole, par jitna bole sateek bole, jo mujhe tab toh utna samajh nahi aaya, par baad mei usse kaafi kuchh seekhne ko mila :)

    Bhavishya mei kaam karne ki baat toh tab aayegi jab mai RC chhodunga :P

    Junoon kuchh aisa hai ki na toh mai RC se door ho sakta hu, na kabhi RC ko khud se door hone dunga :)

    Aajkal dusri jagah vyast hone ke karan comics nahi likh raha hu, umeed karta hu jald hi kisi roop mei waapsi karu, jaisa ki ek unpublished comics ka dialogue hai "Sambhavnaye aseemit hai " :)

    Krishna Kumar:

    Acha Anupam ji ne apse kya kaha tha us waqt?

    Abhishek Sagar:

    Anupam sir ne protsahan diya, kahani se judi baatein poochi, poocha ki suspence kaise banaoge, aur kahani mei joh kamiya thi unhe theek karne ki salah di thi, kuchh apni taraf se bhi chize jodi kahani mei :)

    Mai 3 kahaniya le gaya tha jisme se 2 chhapi nahi aur teesri ka mai bas ek page ka introduction

    le gaya tha, woh unhe achhi lagi thi, unhone kaha tha ki mai uspe kaam karu use kuchh saal baad use kar sakte hai, kyunki tabhi unki Dhurvishya aane wali thi. woh kahani maine kaafi saalo baad likhi. woh kahani AXE ki thi :)

  • 45

    Krishna Kumar

    Accha aap naye writers ke liye me kya kehna chahenge jo RC jana chahte hai?

    Ha. Meri vyaktigat rup se ek jigyasa thi ki dead or alive k antim page me dhrv password dhundta

    he use mil kese jata he aur wo password kya tha.

    Abhishek Sagar:

    Bas man lagakar likhte raho, sabse zaroori baat "likhte raho" .

    Krishna Kumar

    Aakhiri Sawaal:

    Aap naye comics fans ko kya sujhaw dena chahenge jo vartman ki aadhunikta k karan comics se

    door ho rahe hai?

    Abhishek Sagar:

    Sabhi naye comic fans ko sabse pehli baat joh mai kehna chahunga woh yeh ki bhale hi aaj unke paas kai naye aadhunik options hai lekin padhne ki aadat unke mansik vikas mei sabse ahem bhumika nibhati hai

    Sirf comics hi nahi newspaper, magazines, novels sabhi kuchh padhna chahiye. Comics manoranjan ka sadhan jaroor hai lekin saath hi yeh hamare ander moral values ko janam deti hai, aur kai nayi jaankariya bhi deti hai joh aapko aapke baki ke saathiyo se ek kadam aage rakhegi.

    comics sirf entertainment nahi infotainment hai!!

    Log comics padhe, apne sujhav de taaki aur behtar kahaniya aa sake, lekin sirf kuchh average comics padhkar nirash hokar isse duur na bhage. Ek comics se Jude creative ke liye 2 pyaar bhari

    baato ya sujhavo se badi koi daulat nahi hoti hai, samay samay par unhe apne in 2 shabdo se avgat karaye taaki wo dogune josh se aapko aur behtar comics de paye :)

    Krishna Kumar

    Bada hi umda ewam unique jwab diya apne!

    Isi k sath intrview samapt hue :)

    Apna samay dene eke liye aapka bahut bahut dhanyawaad :)

    Abhishek Sagar

    Itne achhe achhe sawal poochhne ke liye aapko bhi dhanyawaad

  • 46

    Story REIGN GHOST

    .

    - , .

    , . .

    . , .

    , .

    , .

    ,

    .

    , .

    , . ,

    , .

    .

    ,- -

    . ,

    , . . ,

    . , ?

    . .

    , .

    ,

    . , ,

    .

    . ,

    . ,

    .

    .

  • 47

    , .

    . .... .

    . .

    .

    ... , . ...

    . ,

    - . - , ,

    .

    ?

    . . .

    . .

    , . .

    . ! ?

    . ? .

    . . ,

    .

    .

    . - .

    25 .

    .

    To be continued. - Ghost Writer.

    #-

    .

    .

  • 48

    MEME

    By - Amitabh Kar

    Utkarsh Sikriwal

    By - Amitabh Kar

  • 49

    . : .

    . glorify .

    fighter toads . , toads

    . .

    . toads . Toads

    , , ( )

    toads . ,

    ,

    .

    ~~*~~

    , ,

    .

    ,

  • 50

    Fan Made Superhero

    Guardman: The Avenger Creator: Sunny Boss

    Guardman: The Guardian mere banaya

    1st superhero hai,jo ki ek sci-fi hai What

    is new? Iski costume jo na he kapde,

    fiber,metal ki nahi balki...photon se bani

    hai yani solid light se..kum light ko chhu

    nahi sakte par iski costume me lage ek

    device k madhyam se light k molequels

    paas aa jate hai jise ye solid banta hai

    Khoobiyan Uski costume ek button

    dawate hi aapne aap pehen jati hai.. Wo

    fly kar sakta hai Wo apne hatho se

    electric ball or fire ball fake sakta hai

    Uski costume solar energy or thunder

    bolt se charge hoti hai..matlab,eco

    frndly Iske mask me lage super lence

    divay drashti ka kaam,karte hai wo kisi v

    fil ko direct intetnet se check kar sakta

    hai Iski costume me force field v hai jo

    ise 5mm ki goli se lekar hand granet tak

    se bach sakta hai Kamjori

    Family..Country

    TITLE- Guardman: The Avenger

    GENER- Action, Sci-Fi, Fantasy, Drama

    CAST- Sunny (Guardman), Sandy (friend), Geeta (mother), Max (father), Dr. Vector crown (villain)

  • 51

    STORY- Ye kahani he ek ese 16 saal ke ladke ki jo apni maa ke sath Mumbai me rehata he wo padane me bahut he intelligent he.

    Ek din school me kuchh bachcho ne use ye keh kar chidaya ki tumahare pita tumhari maa ko chhod kar bhaag gaye. Yese sunkar use bahut dukh huaa kyuki use pata tha ki uske pita car accident me mare gaye the.

    Wo ghar jakar apni maase iska sach janna chaha,uski maa ne bataya ki uske pita DRDO me scientist the par unke hi ek saathi ne unhe desh drohike jurm me jail bhijwa diya or uske pita ko

    jail me he marwa diya.YE sukar sunny ko bahut dukh hota he or wo kasamkhata hai ki wo apne pita ko insaaf dilayega or apne pita ki mout ka badala lega ,par wo ye nahi janta tha kese ?lekin crime kabhinahi chupta.

    Ek din Sunny ko apne pita ki secret lab ka pata chalata he jahan par uske pita new research kiya karte the,us lab me ek suite tha jo uke pita bana rahe the par wo ise complete karne se pehele hi mare gaye,par ab unka beeta apnee mehnat ise complete karta he or ban gata he ek super hero lab

    se mile aneko gadgets uski shaktee bada dete he.Is prkar duniyan ko milta he ek naya hero GUARDMAN.

    Uske jeewan ka ab ek hi laksh he or wo he apne pita ko insaaf dilana,or unki moot ka badala

    lena.

    Eske baad wo apne pita ke katilo ko khojane lagta he.Edhar ukke pita ka kaatil (Dr. victor) ab ek bada scientist ke saath saath ek

    Ek bada industrialist he wo kai kale dhande bhi karta he wo,aaj Indian government ke liye

    Robots, Missiles, Weapons,etc

    banata he or unhe Indian gov Ke saath-saath hathiyaro ko Terrorist ko bhi supply karta gisse wo carodo kamata.

    Edhar Guardman ek Bank daketi ko hone se bachata hai or wo Duniyan ki najar me aata he uske kai dusman he kyoki

    Wo kai ese kaam karta he jo Police ke bas me nahi,par uske dushmano ki sankhiya bhi din pe din badti jaa rahi thi.

    Ek din Dr, victor ke aadmi hathiyaro ko terrorists ko supply kar ra rahe the tabhi wahan Guardman pahuchta he or unhe

    Range hatho pakad leta he magar pakke sabot na hone ke karan police bhi ko bhi unhe majburan

    chhdana padata he,

    Lekin is baat se Dr. vector ko bahut gussa aata he wo use marne ka plane banata he or Guardman bhi Dr. vector ke khilap

    Sabut ekhatte karne lagta he.Dr.Vector aneko super villan banata he Guarman ko mar ne ke liye

    par har baar Guardman

    Jeet jata tab kya hota he jab wo janta he ki uske pita ka katil Dr. vector hi he, phir shuru hota he comic ki duniyan ka sab se

  • 52

    bada sangrm jo duniyan hila deta he ek esa yuddh jis me kai kurbaniy