holy quran in roman urdu - 13 parah

Upload: khansummy

Post on 08-Apr-2018

295 views

Category:

Documents


9 download

TRANSCRIPT

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    1/23

    Surat 12. Yusuf / Part 13 ~ ._1\/ r: }!.,.}I, ~f.'- If ..........~ _)_,...53. Mein apnay nafs ki paakeezgi bayaannahi karta. Bay-shak nafs to buraee perubhamay waala hi hai magar yeh kay meraperwerdigaar hi apna raham karay yaqeenanmera paalnaey waala badi bakhsish kamaywaala aur bahoat meharbaani farmaanaywaala hai.54. Badshah nay kaha issay meray pass laokay mein ussay apnay khas kaamoan kay liyemuqarrar kar loon phir jab uss say baat cheetki to kahnay laga kay aap humaray haan aajsay zee izzat aur amaantdaar hain.55. (Yousuf nay) kaha aap mujhay mulk kaykhazanoan per muqarrar kar dijiye meinhifaazat kamay waala aur ba khabar hoon.56. Issi tarah hum nay Yousuf (alaih-e-salaam) ko mulk ka qabza day diya. Kay wohjahaan kahein chahaein rahein sahein humjisay chahayein apni rahmat pahoncha daytayhain. Hum neko kaaroan ka sawaab zaya nahikartay.57. Yaqeenan emaan daroan aurperhezgaroan ka ukhrawi ajar bahoat hibehtar hai.58. Yousuf kay bhai aaey aur Yousuf kaypass gaey to uss nay unhein pahchaan liyaaur unhoan nay ussay na pahchaana.59. Jab unhein unn ka asbaab muhayya kardiya to kaha kay tum meray pass apnay ussbhai ko bhi lana jo tumharay baap say haikiya tum nay nahi dekha kay mein pooranaap kar deta hoon aur mein hoon bhibehtareen meizbaani kamay waloan mein.60. Pus agar tum ussay lay kar pass na aaeyto meri taraf say tumhein koi naap bhi namilay bulkay tum meray qareeb bhi naphatakna.61. Unhoan nay kaha achcha hum uss kaybaap ko uss ki baabat phuslayein gay aurpoori koshish karein gay.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    2/23

    Surat 12. Yusuf / Part 13 ~ ._1\/ r: }!.,.}I, ~f.'- If ..........~ _)_,...62. Apnay khidmat garoan say kaha kay unnki poonji unhi ki boriyoan mein rakh do kayjab laut kar apnay ahal-o-ayaal mein jayeinaur poonjiyoan ko pehchaan lein to bahoatmumkin hai kay yeh phir laut kar aayein.63. Jab yeh loag laut kar apnay walid kaypass gaey to kahnay lagay kay hum say toghallay ka naap rok liya gaya. Abb aaphumaray sath humaray bhai ko bhejiye kayhum paymana bhar kar layein hum uss kinigehbaani kay zimmay daar hain.64. (Yaqoob alaih-e-salaam) nay kahamujhay to iss ki baabat tumhara waisa hiaitbaar hai jaisa kay iss say pahlay iss kaybhai kay baaray mein tha bus Allah hibehtareen haafiz hai aur woh sab meharbaanosay bada meharbaan hai.65. Jab unhoan nay apna asbaab khola toapna sarmaya maujood paya jo unn ki janiblauta diya gaya tha. Kalmay lagay aeyhumaray baap humein aur kya chahiye.Dekhiye to yeh humara sarmaya bhi humeinwaapas lauta diya gaya hai. Hum apnaykhaandan ko rasad laa deingay aur apnaybhai ki nigraani bhi rakhein gay aur aik oontkay bojh ka ghalla zyada layeingay. Yehnaap to bahoat aasaan hai.66. Yaqoob (alaih-e-salaam) nay kaha! Meinto isay hergiz hergiz tumharay sath nahibhejoon ga jabtak tum Allah ko beech meinrakh kar mujhay qual-o-qarar na do kay tumisay meray pass pahoncha dogay siwaey ussaik soorat kay tum sab giraftaar kar liye jao.Jab unhoan nay paakka qaul-o-qarar dey diyato unhoan nay kaha kay hum jo kuchh kehtayhain Allah uss per nigehbaan hai.67. AUf (yaqoob alaih-e-salaam) nay kahaaey meray bachcho! Tum sab aik darwazaysay na jana bulkay kaee juda juda darwazoan

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    3/23

    Surat 12. Yusuf / Part 13 ~ ._1\/ r: }!.,.}I, ~f.'- If ..........~ _)_,...mein say dakhil hona. Mein Allah ki taraf sayaanay wali kissi cheez ko tum say nahi taalsakta. Hukm sirf Allah hi ka chalta hai. Merakaamil bharosa ussi per hai aur her aikbharosa kamay waalay ko ussi per bharosakama chahiye.68. Jab woh unhi raastoan say jin ka hukmunn kay waalid nay unhein diya tha gaeykuchh na tha kay Allah nay jo baat muqarrarkar di hai woh uss say unhein zara bhibachcha lay. Magar Yaqoob (alaih-e-salaam)kay dil mein aik khayaal (paida hua) jissayuss nay poora kar liya bila shuba wohhumaray sikhlaye huay ilm ka aalim tha lekinaksar loag nahi jaantay.69. Yeh sab jab Yousuf kay pass pahonchgaey to uss nay apnay bhai ko apnay passbitha liya aur kaha kay mein tera bhai(Yousuf) hoon pas yeh jo kuchh kartay rahayuss ka kuchh ranj nakar.70. Phir jab unhein unn ka saamaan asbaabtheek thaak kar kay diya to apnay bhai kayasbaab mein pani ka pyala rakh diya. Phir aikaawaz daynay waalay nay pukar kar kaha aeyqaafilay waalo! Tum loag to chor ho.71. Unhoan nay unn ki taraf munh pher karkaha kya tumhari cheez kho gaee hai?72. Jawaab diya kay shahi paymana gummhai jo ussay lay aaye ussay aik oont kay bojhka ghalla milay ga. Iss waaday ka meinzaamin hoon.73. Unhoan nay kaha Allah ki qasam! Tumko khoob ilm hai kay hum mulk mein fasaadphailanay kay liye nahi aaey aur na hum chorhain.74. Unhoan nay kaha achcha chor ki kya sazahai agar tumjhootay ho?75. Jawaab diya kay uss ki saza yehi hai kayjiss kay asbaab mein say paaya jaye wohi usska badla hai. (156) Hum to aisay zaalimoan koyehi saza diya kartay hain.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    4/23

    Surat 12. Yusuf / Part 13 ~ ._1\/ r: }!.,.}I, ~f.'- If ..........~ _)_,...76. Pus Yousuf nay unn kay saamaan kitalash kama shuroo ki apnay bhai kaysaamaan ki talashi say pehlay phir usspaymanay ko apnay bhai kay saamaan(zanbeel) say nikala. Hum nay Yousuf kayliye issi tarah yeh tadbeer ki. Uss baadshahkay qanoon ki roo say yeh apnay bhai ko nalay sakta tha (157) magar yeh kay Allah komanzoor ho. Hum jiss kay chahayein darjaybuland kar dein her zee ilm per fauqiyatrakhnay waala doosra zee ilm maujood hai.77. Unhoan nay kaha k agar iss nay chori ki(to koi tajjub ki baat nahi) iss ka bhai bhipahlay chori kar chuka hai. (158) Yousuf (alaih-e-salaam) nay iss baat ko apnay dil mein rakhliya aur unn kay sanmay bilkul zaahir nakiya. Kaha kay tum badtar jagah mein ho aurjo tum bayaan kartay ho ussay Allah hikhoob jaanta hai.78. Unhoan nay kaha aey aziz-e-misr! Iss kaywaalid bahoat badi umar kay bilkul boodhayshaks hain. Aap iss kay badlay hum mein saykissi ko lay lijiye. Hum dekhtay hain kay aapbaday nek nafs hain.79. Yousuf (alaih-e-salaam) nay kaha humnay jiss kay pass apni cheez paee hai uss kaysiwa doosray ki giraftaari kamay say Allah kipanah chahtay hain aisa kamay say to humyaqeenan na insaafi kamay waalayhojayeingay.80. Jab yeh uss say maayoos hogaey totanhaaee mein baith kar mashwara kamaylagay. Unn mein jo sab say bada tha uss naykaha tumhein maloom nahi kay tumharaywalid nay tum say Allah ki qasam lay karpukhta qaul-o-qarar liya hai aur iss saypehlay Yousuf kay baaray mein tum kotaahikar chukay ho. Pus mein to iss sarzameen sayna taloonga jabtak waalid shab khud mujhayijazat na dein ya Allah Taalaa meray issmuamlay ka faisla kar dein wohi behtareen

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    5/23

    Surat 12. Yusuf / Part 13 ~ ._1\/ r: }!.,.}I, ~f.'- If ..........~ _)_,...faisla kamay waala hai.81. Tum sab waalid shab ki khidmat meinwapas jao aur kaho kay abba ji! Aap kaysaahabzaaday nay chori ki aur hum nay wohigawahi di thi jo hum jaantay thay. Humkuchh ghaib ki hifaazat kamay waalay nathay.82. Aap uss shehar kay loagoan say daryaaftfarma lein jahaan hum thay aur uss qaafilaysay bhi pooch lein jiss kay saath hum aaeyhain aur yaqeenan hum bilkul sachchayhain.83. (Yaqoob alaih-e-salaam nay) kaha yeh tonahi bulkay tum nay apni taraf say baat banali pus abb sabar hi behtar hai. Qareeb hai kayAllah Taalaa unn sab ko meray pass hipahoncha day.Wohi ilm-o-hikmat waala hai.84. Phir unn say munh pher liya aur kahahaaye Yousuf! Unn ki aankhein ba wajahranj-o-ghum kay safaid ho chuki thein aurwoh ghum ko dabaaey huay thay.85. Betoan nay kaha wallah! Aap hameshaYousuf ki yaad mein hi lagay rahein gayyahaan tak kay ghul jayein ya khatam hi hojayein.86. Unhoan nay kaha mein to apnipareshaniyoan aur ranj ki faryaad Allah hisay kar raha hoon mujhay Allah ki taraf saywoh baatein maloom hain jo tum nahijaantay.87. Meray pyaray bachcho!Tum jao aurYousuf (alaih-e-salaam) ki aur uss kay bhaiki poori talaash karo aur Allah ki rahmat saynaa umeed naa ho. Yaqeenan rabb ki rahmatsay naa umeed wohi hotay hain jo kaafirhotay hain.88. Phir jab yeh loag Yousuf (alaih-e-salaam)kay pass pahonchay to kahnay lagay aeyaziz! Hum ko aur humaray khaandan ko dukhpahoncha hai. Hum haqeer poonji laaey hainpas aap humein pooray ghallay ka naap dijiyeaur hum per khaiyraat kijiye Allah Taalaa

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    6/23

    Surat 12. Yusuf / Part 13 ~ ._1\/ r: }!.,.}I, ~f.'- If ..........~ _)_,...khaiyraat kamay waloan ko badla dayta hai.89. Yousuf nay kaha kay jaantay bhi ho kaytum nay Yousuf aur uss kay bhai kay saathapni nadaani ki haalat mein kya kiya?90. Unhoan nay kaha kiya (waqaee) tu hiYousuf (alaih-e-salaam) hai. Jawaab diya kayhaan mein Yousuf (alaih-e-salaam) hoon auryeh mera bhai hai. Allah nay hum per fazal-o-karam kiya. Baat yeh hai kay jo bhiperhezgaari aur sabar karay to Allah Taalaakissi nekokaar ka ajar zaaya nahi karta.91. Unhoan nay kaha Allah ki qasam! AllahTaalaa nay tujhay hum per bartari di hai auryeh bhi bilkul sach hai kay hum khata kaarthay.92. Jawab diya aaj tum per koi malamat nahi.Allah tumhen bakhshay woh sab meharbanosay bara meharban hai.93. Mera yeh kurta tum lay jao aur issaymeray waalid kay munh per daal do k wohdekhnay lagein aur aajayein aur apnaytamaam khaandan ko meray pass lay aao.94. Jab yeh qafila juda hua to unn kay waalidnay kaha mujhay to Yousuf ki khushbooaarahi hai agar tum mujhay sathyaaya huaqaraar na do.95. Woh kalmay lagay kay wallah apnay ussipuraanay khabt mein mubtila hain.96. Jab khushkhabri denay waalay naypahonch kar unn kay munh per woh kurtadaala ussi waqt woh phir say beena hogaey.Kaha! Kiya mein tum say na kaha karta thakay mein Allah ki taraf say woh baatein jantahoonjo tum nahijaantay.97. Unhoan nay kaha abba ji! Aap humaarayliye gunahoan ki bakhsish talab kijiye bayshak hum qusoor waar hain.98. Kaha achcha mein jald hi tumharay liyeapnay perwerdigaar say bakhsish maangoonga woh bahoat bada bakhshnay waala aur

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    7/23

    Surat 12. Yusuf / Part 13 ~ ._1\/ r: }!.,.}I, ~f.'- If ..........~ _)_,...nihaayat meharbaani kamay waala hai.99. Jab yeh sara gharaana Yousuf kay passpahonch gaya to Yousuf nay apnay maanbaap ko apnay pass jagah e l i aUf kaha kayAllah ko manzoor hai to aap sab aman-o-amaan kay sath misr mein aao.100. AUf apnay takht per apnay maan baapko ooncha bithaya aur sab uss kay saamnaysajday mein girr gaey. Tab kaha kay abba ji!Yeh meray pahlay kay khwab ki tabeer haimeray rabb nay ussay sachcha kar dikhaaya(l59)USS nay meray saath bada ehsaan kiyajabkay mujhay jail khaanay say nikala aur aaploagoan ko sehra say lay aaya uss ikhtilaafkay baad jo shaitaan nay mujh mein aurmeray bhaiyoan mein daal diya tha. Merarabb jo chahay uss kay liye behtareen tadbeerkamay waala hai. AUf woh bahoat ilm-o-hikmat waala hai.101. Aey meray perwerdigaar! Tu naymujhay mulk ataa farmaya aur tu nay mujhaykhwab ki tabeer sikhlaee. Aey aasmaan-o-zameen kay paida kamay waalay! Tu hidunya aur aakhirat mein mera wali (dost) aurkaar saaz hai tu mujhay islam ki halat meinfaut kar aur nekoan mein mila day.102. Yeh ghaib ki khabroan mein say hai jisski hum aap ki taraf wahee kar rahay hain.Aap unn kay pass na thay jab kay unhoan nayapni baat thaan li thi aur woh fareb kamaylagay thay.103. Go aap laakh chahein lekin aksar loagemaandaar na hongay.104. Aap unn say iss per koi ujrat talab nahikar rahay hain. Yeh to tamaam dunya kay liyeniri naseehat hi naseehat hai.105. Aasmanoan aur zameen mein bahoat si

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    8/23

    Surat 12. Yusuf / Part 13 ~ ._1\/ r: }!.,.}I, ~f.'- If ..........~ _)_,...nishaniyaan hain. Jin say yeh munh modayguzar jaatay hain.106. Unn mein say aksar loag ba-wajoodAllah per emaan rakhnay kay bhi mushrik hihain. (160)107. Kya woh iss baat say bay khaf hogayehain kay unn kay pass Allah kay azaaboanmein say koi aam azaab aajaye ya unn perachchanak qayaamat toot paday aur woh baykhabar hi hoan.108. Aap keh dijiye kay meri raah yehi hai.Mein aur meray muttabeyeen Allah ki tarafbula rahay hain pooray yaqeen aur aetmaadkay saath. Aur Allah paak hai aur meinmushrikoan mein nahi.109. Aap say pahlay basti waloan mein humnay jitnay rasool bhejay hain sab mard hithay jinki taraf hum wahee naazil farmataygaye. Kya zameen mein chal phir kar unhoannay dekha nahi kay insay pehlay kay loagoanka kaisa kuchh anjaam hua? Yaqeenanaakhirat ka ghar perhezgaroan kay liyebahoat hi behtar hai kya phir bhi tum nahisamajhtay.110. Yahaan tak kay jab rasool naa umeedhonay lagay aur woh (qaum kay loag)khayaal kamay lagay kay unhein jhoot kahagaya fauran hi humari madad unn kay pass aapahonchi jissay hum nay chaha ussay nejat digaee. Baat yeh hai kay humaara azaabgunehgaroan say wapas nahi kiya jaata.111. Unn kay bayaan mein aqal waaloan kayliye yaqeenan naseehat aur ibrat hai yehquran jhoot banaee hui baat nahi bulkay yehtasdeeq hai unn kitaboan ki jo iss say pahlayki hain khol khol kar bayaan kamay waalahai her cheez ko aur hidayat ko aur rehmathai emaan daar loagon kay liye.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    9/23

    Surat 13.Ar-Ra'd / Part 13

    Surat Ar-Ra'd

    Allah ke naam se shuru jo bada meherbaannihayat hi rehem wala hai.

    01. Alif-Laam-Meem-Raa yeh quran kiaayatein hain aur jo kuchh aap ki taraf aapkay rabb ki janib say utaara jaata hai sab haqhai lekin aksar loag emaan nahi laatay.02. Allah woh hai jiss nay aasmanoan kobaghair sutonoan kay buland kar rakha haikay tum ussay dekh rahay ho. Phir woh arshper qaraar paakday huay hai ussi nay soorajaur chand ko ma-tehati mein laga rakha hai.Her aik miyaad-e-moayyen per gasht kar rahahai wohi kaam ki tadbeer karta hai wohapnay nishaanaat khol khol kar bayaan karraha hai kay tum apnay rabb ki mulaaqat kayaqeen karlo.03. Ussi nay zameen phaila kar bichha di haiaur uss mein pahad aur nehrein paida kar dihain. Aur uss mein her qisam kay phaloankay joday dohra dohray paida kar diye hainwoh raat ko din say chhupa dayta hai.Yaqeenan ghaur-o-fikar kamay waloan kayliye iss mein bahoat si nishaniyaan hain.04. Aur zameen mein mukhtalif tukday aikdoosray say lagtay lagatay hain aurangooroan kay baaghaat hain aur kheyt hainaur khujooroan kay darakht hain shaakh daaraur baaz aisay hain jo bay shaakh hain sabaik hi pani pilaye jaatay hain. Phir bhi humaik ko aik per phaloan mein bartari daytayhain iss mein aql madoan kay liye bahoat sinishaaniyaan hain.05. Agar tujhay tajjub ho to waqaee unn kayeh kehna ajeeb hai kay kya jab hum mitti

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    10/23

    Surat 13.Ar-Ra'd / Part 13hojayein gay to kya hum naee paidaesh meinhongay? Yehi woh loag hain jnhoan nayapnay perwerdigaar say kufr kiya. Yehi hainjin ki gardanoan mein tauq hongay. Aur yehihain jo jahannum kay rehnay waalay hain jouss mein hamesha hamesha rahein gay.06. Aur jo tujh say (sazaa ki talbi mein) jaldikar rahay hain rahat say pehlay hi yaqeenanunn say pahlay sazaayein (bataur misaal)guzar chuki hain aur bay-shak tera rabbalbatta bakhshnay waala hai loagon kay bayjaa zulm per bhi. Aur yeh bhi yaqeeni baathai k tera rabb badi sakht sazaa daynay waalabhi hai.07. Aur kaafir kahtay hain k iss per iss kayrabb ki taraf say koi nishaani (moajzza)kiyoan nahi utaari gaee. Baat yeh hai k aap tosirf aagah kar daynay waalay hain aur herqaum kay liye haadi hai.08. Maada apnay shikam mein jo kuchhrakhti hai ussay Allah bakhoobi jaanta hai aurpet ka ghatna badhna bhi her cheez uss kaypass andazay say hai.09. Zahir-o-posheeda ka woh aalim hai (sabsay) bada aur (sab say) buland-o-baala.

    10. Tum mein say kissi ka apni baat kochhupa kar kalma aur ba-aawaz-e-bulandussay kahna aur jo raat ko chhupa ho aur jodin mein chal raha ho sab Allah perbaraabbar-o-yaksaan hain.11. Uss kay pehray daar insaan kay aagaypeechay muqarrar hain jo Allah kay hukmsay uss ki nigehbaani kartay hain. Kissi qaumki halaat Allah Taalaa nahi badalta jabtak kwoh khud ussay na badlein jo unn kay diloanmein hai. Allah Taalaa jab kissi qaum kisazaa ka iraada kar leta hai to woh badlaanahi karta aur siwaey uss kay koi bhi unn kakaar saaz nahi.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    11/23

    Surat 13. Ar-Ra'd / Part 1312. Woh Allah hi hai jo tumhein bijli kichamak daranay aur umeed dilaanay kay liyedikhaata hai aur bhaari baadloan ko paidakarta hai.13. Garaj iss ki tasbeeh-o-tareef karti hai aurfarishtay bhi uss kay khauf say. Wohiaasmaan say bijliyaan giraata hai aur jiss perchahta hai uss per dalta hai kuffaar Allah kibabat ladd jhagad rahay hain aur Allah sakhtquwat waala hai.14. Ussi ko pukama haq hai. Jo loag auroanko uss kay siwa pukaartay hain woh unn (kipukaar) ka kuchh bhi jawaab nahi daytaymagar jaisay koi shaks apnay donoan hathpani ki taraf phailaaye huay ho kay uss kaymunh mein padd jaay halaankay woh paniuss kay munh mein pahonchnay waala nahiunn munkiroan ki jitni pukaar hai sabgumrahi mein hai.15. Allah hi kay liay zameen aur aasmanoanki sab makhlooq khushi aur na khushi saysajda karti hai aur unn kay saay bhi subha-o-shaam. (Sajda)

    16. Aap poochhiye kay asmanoan aur zameenka perwerdigaar kaun hai? Kah dijiye! Allah.Kah dijiye! Kya tum phir bhi uss kay siwaauroan ko himaayati bana rahay ho jo khudapni jaan kay bhi bhalay buray ka ikhtiyaarnahi rakhtay. Keh dijiye kay kiya andha aurbeena baraabar hosakta hai? Ya kyaandheriyaan aur raushni baraabar hosakti hai.Kya jinhein yeh Allah kay shareek thahrarahay hain unhoan nay bhi Allah ki tarahmakhlooq paida ki hai kay unn ki nazar meinpaidaesh mushtaba hogaee ho kah dijiye kaysirf Allah hi tamaam cheezoan ka khaliq haiwoh akela hai aur zabardast ghaalib hai.17. Ussi nay aasmaan say pani barsaaya phirapni apni wusat kay mutabiq naalay bahniklay. Phir pani kay railay nay ooppar

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    12/23

    Surat 13.Ar-Ra'd / Part 13chadhay jhaag ko utha liya aur uss cheezmein bhi jiss ko aag mein daal kar tapaatayhain zewar ya saaz-o-samaan kay liye ussitarah kay jhaag hain ussi tarah Allah Taalaahaq-o-batil ki misal bayaan farmata hai abbjhaag to nakara hokar chala jaata hai lekin joloagon ko nafa daynay waali cheez hai wohzameen mein thahri rahti hai Allah Taalaaissi tarah misalein bayaan farmaata hai.18. Jin loagoan nay apnay rabb kay hukm kibaja aawri ki unn kay liye bhalaaee hai aurjin loagoan nay uss ki hukm bardaari na kiagar unn kay liye zameen mein jo kuchh haisab kuchh ho aur issi kay saath wisa hi aurbhi ho to woh sab kuchh apnay badlay meinday dein. Yehi hain jin kay liye bura hisabhai aur jin ka thikaana jahannum hai jobahoat buri jagah hai.19. Kiya woh aik shaks jo yeh ilm rakhta hok aap ki taraf aap kay rabb ki janib say joutaara gaya hai woh haq hai uss shaks jaisaho sakta hai jo andha ho naseehat to wohqubool kartay hain jo aqal mand hoon.20. Jo Allah kay ahad (o-paymaan) ko poorakartay hain aur qaul-o-qarar ko todtay nahi.21. Aur Allah nay jin cheezoan kay jodnay kahukm diya hai woh ussay jodtay hain aurwoh apnay perwerdigaar say dartay hain aurhisab ki sakhti ka andesha rakhtay hain.22. Aur woh apnay rabb ki razamandi ki talabkay liye sabar kartay hain aur namaazoan kobaraabar qaem rakhtay hain aur jo kuchh humnay unhein day rakha hai ussay chhuppaykhulay kharach kartay hain aur buraee ko bhibhalee say taaltay hain unn hi kay liyeaaqibat ka ghar hai.23. Hamesha rehnay kay baaghaat jahaan yeh

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    13/23

    Surat 13.Ar-Ra'd / Part 13khud jayeingay aur unn kay baap dadoan aurbiwiyoan aur auladoan mein say bhi jo nekokaar hongay unn kay pass farishtay her herdarwaazay say aayein gay.24. Kahein gay tum per salaamti ho sabar kaybadlay kiya hi achcha (badla) hai uss daar-e-aakhirat ka.25. Aur jo Allah kay ahad ko uss ki mazbootikay baad tod daytay hain aur jin cheezoankay jodnay ka Allah nay hukm diya haiunhein todtay hain aur zameen mein fasaadphailatay hain unn kay liye laanatein hain aurunn kay liye bura ghar hai.26. Allah Taalaa jiss ki rozi chahaata haibadhata hai aur ghataata hai yeh to dunya kizindagi mein mast hogaey halaankay duniyaaakhirat kay muqaablay mein nihaayat(haqeer) poonji hai.27. Kafir kehtay hain k iss per koi nishaani(moajzza) kyoan nahi naazil nahi kiya gaya?Jawab day dijiye kay jisay Allah gumrahkama chahay kar deta hai aur jo uss ki tarafjhukay ussay raasta dikha deta hai.28. Jo loag emaan laay unn kay dil Allah kayzikr say itminaan haasil kartay hain. Yaadrakho Allah kay zikr say hi diloan ko tasallihasil hoti hai.29. Jo loag emaan laey aur jinhoan nay nekkaam bhi kiye unn kay liye khushhaali haiaur behtareen thikana.30. Issi tarah hum nay aap ko uss ummatmein bheja hai jiss say pahlay bahoat siummatein guzar chuki hain kay aap unheinhumari taraf say jo wahee aap per utri haipadh kar sunaaiye yeh Allah rehman kaymunkir hain aap kah dijiye kay mera paalnaywaala to wohi hai uss kay siwa dar-haqeeqatkoi bhi laeq-e-ibadat nahi ussi kay ooppermera bharosa hai aur ussi ki janib mera rujoo

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    14/23

    Surat 13. Ar-Ra'd / Part 13hai.31. Agar (bil farz) kissi quran (aasmani kitab)kay zariye pahad chala diye jaatay ya zameentukday tukday kar di jaati ya murdoan saybaatein karwa di jatein (phir bhi woh emaanna latay) baat yeh hai kay sab kaam Allahkay haath mein hain to kiya emaan waloan koiss baat per dil jamaee nahi kay agar AllahTaalaa chahay to tamam loagoan ko hidayatday day. Kuffaar ko to unn kay kufr kaybadlay hamesha hi koi na koi sakht sazapahonchti rahay gi ya unn kay makanoan kayqareeb naazil hoti rahay gi ta-waqt-e-kaywaada-e-elaahi aa pahonchay. YaqeenanAllah Taalaa waada khilafi nahi karta.32. Yaqeenan aap say pahlay kaypayghumber ka mazaaq udaya gaya tha aurmein nay bhi kaafiroan ko dheel di thi phirunhein paakad liya tha pur mera azaab kaisaraha?33. Aaya woh Allah jo nigehbaani kamaywaala hai her shaks ki uss kay kiye huayaemaal per unn loagoan nay Allah kayshareek thehraaye hain kah dijiye zara unnkay naam to 10 kya tum Allah ko woh bateinbatatay ho jo woh zameen meinjaanta hi nahiya sirf oopri oopri baatein bata rahay ho baatasal yeh hai kay kufr kamay waloan kay liyeunn kay makar saja diye gaey hain aur wohsahih raah say rok diye gaey hain aur jiss koAllah gumrah kar day uss ko raha dikhanaywaala koi nahi.34. Unn kay liye duniya ki zindagi mein bhiazaab hai aur aakhirat ka azaab to bahoat hizyada sakht hai unhein Allah kay ghazaabsay bachaanay waala koi bhi nahi.35. Uss jannat ki sift jiss ka waadaperhezgaroan ko diya gaya hai yeh hai k usskay neechay nahrein bah rahi hain. U ss ka

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    15/23

    Surat 13.Ar-Ra'd / Part 13mewa hameshgi waala hai aur uss ka saayabhi. Yeh hai anjaam perhezgaroan ka aurkafiroan ka anjaam kaar dozakh hai.36. Jinhein hum nay kitab di hai woh to jokuchh aap per utaara jaata hai uss say khushhotay hain aur doosray frqay iss ki baazbaatoan say munkir hain. Aap ailaan kardijiye kay mujhay to sirf yehi hukm diyagaya hai k mein Allah ki ibadat karoon auruss kay saath shareek na karoon mein ussi kitaraf bula raha hoon aur ussi ki janib meralautna hai.37. Issi tarah hum nay iss quran ko arabbizabaan ka farmaan utaara hai. Agar app nayinn ki khuwahishoan ki pairwi karli iss kaybaad kay aap kay pass ilm aa chuka hai toAllah (kay azaaboan) say aap ko koi himayatimilay ga aur na bachaanay waala.38. Hum aap say pahlay bhi bahoat say rasoolbhej chukay hain aur hum nay unn sab kobiwi bachoan waala banaya tha kissi rasoolsay nahi hosakta k koi nishaani baghair Allahki ijazat kay lay aaey her muqarrara waadayki aik likhat hai.39. Allah jo chahay mita day aur jo chahaysaabit rakhay lauh-e-mahfooz ussi kay passhai.40. Unn say kiye hay wadoan mein say koiagar hum aap ko dikha dein ya aap ko humfaut kar lein to aap per to sirf pahoncha denahi hai. Hisaab to humaray zimmay hi hai.41. Kiya woh nahi dekhtay? Kay humzameen ko uss kay kinaroan say ghataataychalay aarahay hain.(l61)Allah hukm karta haikoi uss kay ahkaam peechhay dalnay waalanahi woh jald hisab laynay waala hai.42. Unn say pahlay loagoan nay bhi apnimakkari mein kami na ki thi lekin tamaamtadbeerein Allah hi ki hain jo shaks jo kuchh

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    16/23

    Surat 14. Ibrahim / Part 13kar raha hai Allah kay ilm mein hai.Kaafiroan ko abhi maloom hojaeyga kay(uss) jahaan ki saza kiss kay liye hai?43. Yeh kaafir kehtay hain k aap Allah kayrasool nahi. Aap jawaab dijiye k mujh meinaur tum mein Allah gawahi daynay waalakafi hai aur woh jiss kay pass kitab ka ilmhai (162)

    Surat Ibrahim

    Allah ke naam se shuru jo bada meherbaannihayat hi rehem wala hai.

    01. Alif-laam-Raa! Yeh aali shaan kitab humnay aap ki taraf utaari hai k aap loagoan koandheroan say ujaalay ki taraf layein unn kayperwerdigaar kay hukm say zabardast aurtareefoan waalay Allah ki taraf.02. Jiss Allah ka hai jo kuchh aasmanoan aurzameen mein hai.aur kaafiroan kay liye tosakht azaab ki kharabbi hai.

    03. Jo aakhirat kay muqablay mein dunyawizindagi ko pasand rakhtay hain aur Allah kiraah say roktay hain aur uss mein tedh pannpaida kama chahatay hain. Yehi loag parlidarjay ki gumrahi mein hain.

    04. Hum nay her her nabi ko uss ki qaumizabaan mein hi bheja hai taakay unn kaysamnay wazahat say bayaan kar day. AbbAllah Taalaa jisay chahay gumraah kar dayaur jisay chahay raah dikha day woh ghalbaaur hikmat waala hai.05. (yaad rakho jabkay) hum nay Musa koapni nishaniyaan day kar bheja kay tu apni

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    17/23

    Surat 14. Ibrahim / Part 13qaum ko andheroan say raushni mein nikaalaur unhein Allah kay ehsanaat yaad dila. Issmein nishaniyan hain her aik sabar shukrkamay waalay kay liye.06. Jiss waqt Musa nay apni qaum say kahakay Allah kay woh ehsanaat yaad karo jo ussnay tum per kiye hain jabkay uss naytumhein firaoniyoan say nejat di jo tumheinbaday dukh pahonchaatay thay. Tumhaarayladkoan ko qatal kartay thay aut tumhariladkiyoan ko zinda chhodtay thay uss meintumhaaray rabb ki taraf say tum per bahoatbadi aazmaesh thi.07. AUf jab tumhaaray perwerdigaar naytumhein aagaah kardiya k agar tum shukrguzari karo gay to bay-shak mein tumheinzyaada doon ga aur agar tum naa shukri karogay to yaqeenan mera azaab bahoat sakht hai.08. Musa (alaih-e-salaam) nay kaha k agartum sab aur may-e-zameen kay tamaam insanAllah ki naa shukri karein to bhi Allah bayniyaaz aur tareefoan waala hai.09. Kya tumhaaray pass tum say pahlay kayloagoan ki khabrein nahi aaeen? Yani qaum-e-Nooh ki aur Aad-o-Samood ki aur unn kaybaad waaloan ki jinhein siwaey Allah Taalaakay aur koi nahi jaanta unn kay pass unn kayrasool moajzzay laaey lekin unhoan nayapnay haath apnay munh mein daba liye aursaaf kah diya kay jo kuchh tumhein day karbheja gaya hai hum uss kay munkir hain aurjiss cheez ki taraf tum humein bula rahay hohumein to uss mein bada bhari shuba hai.10. Unn kay rasooloan nay unhein kaha k kyahaq taalaa kay baaray mein tumhein shak haijo aasmanoan aur zameen ka banaanay waalahai woh to tumhein iss liye bula raha hai kaytumhaaray tamaam gunah muaf farma dayaur aik muqarrara waqt tak tumhen mohlat

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    18/23

    Surat 14. Ibrahim / Part 13ata fannaye unhon nay kaha kay tum to humjaisay hi insan ho tum chahatay ho k humeinunn khudaoan ki ibaadat say roak do jin kiibaadat humaaray baap dada kartay rahayachha to humaaray saamnay koi khuli daleelpaeshkaro.11. Unn kay payghumbaroan nay unn saykaha yeh to sach hai kay hum tum jaisay hiinsaan hain lekin Allah Taalaa apnaybandoan mein say jiss per chahta hai apnafazal karta hai. Allah kay hukm kay baghairhumaari majaal nahi kay hum koi moajzzatumhein laa dikhayein aur emaan waloan kosirf Allah Taalaa hi per bharosa rakhnachahiay.12. Aakhir kya wajah hai kay hum AllahTaalaa per bharosa na rakhein jabkay ussinay humein humari rahein sujhaee hain.Wallah jo azaayein tum humein do gay humunn per sabar hi karein gay. Tawakkal kamaywaloan ko yehi laeq hai kay Allah hi pertawakkal karein.13. Kafiroan nay apnay rasooloan say kaha khum tumhein mulk badar kar dein gay ya tumphir say humaaray mazhab mein laut aao. Tounn kay perwerdigaar nay unn ki taraf waheebheji k hum inn zaalimoan ko hi ghaarat kardeingay.14. Aur unn kay baad hum khud tumhein isszameen mein basayein gay. Yeh hai unn kayliye jo meray saamnay khaday honay ka darrrakhein aur meri waeed say khaufzada rahein.15. Aur unhoan nay faisla talab kiya aurtamaam sarkash ziddi loag naa muraadhogaey.16. Uss kay saamnay dozakh hai jahaan wohpeep ka pani pilayajaeyega.17. Jisay ba mushkil ghoont ghoont piayega.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    19/23

    Surat 14. Ibrahim / Part 13Phir bhi ussay galay say utaar na sakay ga aurussay her jagah say maut aati dikhaee day gilekin woh mamay waala nahi. Phir uss kaypeechay bhi sakhta azaab hai.18. Unn loagoan ki misaal jihoan nay apnaypaalnay waalay say kufr kiya unn kay aemaalmisil uss raakh kay hain jiss per tez hawaaandhi waalay din chalay. Jo bhi unhoan naykiya uss mein say kissi cheez per qadir nahongay yehi doorki gumraahi hai.19. Kya tunay nahi dekha k Allah Taalaa nayaasmanoan ko aur zameen ko behtareentadbeer kay saath paida kiya hai. Agar wohchahaey to tum sab ko fana kar day aur naeemakhlooq laey.20. Allah per yeh kaam kuchh bhi mushkilnahi.21. Sab kay sab Allah kay saamnay roo-baroo khaday hongay uss waqt kamzor loagbadaee waloan say kahein gay hum totumhaaray taabeydaar thay to kiys tum Allahkay azaaboan mein say kuchh azaab hum saydoor kar saknay waalay ho? Woh jawaabdein gay kay agar Allah humein hidayatdayta to hum bhi zaroor tumhaari rahnumaeekartay abb to hum per bay qarari kama aursabar kama dono hi baraabar hai humaarayliye koi chhutkara nahi.22. Jab aur kaam ka faisla kar diya hayega toshaitan kahey ga kay Allah nay to tumhensachcha wada diya tha aur mein nay tum sayjo waday kiye thay unn ka khilaf kiya meratum per koi dabao to tha hi nahi haan meinnay tumhein pukara aur tum nay meri maan lipus tum mujhay ilzaam na lagao bulkay khudapnay aap ko malaamat karo na meintumhaara faryaad ms aur na tum meri faryadko pahonchnay waalay mein to siray saymaanta hi nahi k tum mujhay iss say pahlayAllah ka shareek mantay rahay yaqeenan

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    20/23

    Surat 14. Ibrahim / Part 13zalimoan kay liye dardnaak azaab hai.23. Jo loag emaan laaey aur nek amal kiaywoh unn jannatoan mein daakhil kiye jayeingay jin kay neechay chasbmay jaari hainjahaan unhein hameshgi hogi apnay rabb kayhukm say. Jahan unn ka khair maqdamsalaam say hoga.24. Kya aap nay nahi dekha kay Allah Taalaanay paakeeza baat ki misal kiss tarah bayaanfarmaee misl aik paakeeza darakht kay jiss kijadd mazboot hai aur jiss ki tehniyaanaasmaan mein hain (163)25. Jo apnay perwerdigaar kay hukm say herwaqt apnay phal laata hai aur Allah Taalaaloagoan kay saamnay misaalein bayaanfarmaata hai taakay woh nasheehat haasilkarein.26. AUf naa paak baat ki misaal gandaydarakht jaisi hai jo zameen kay kuchh hioopper say ukhaad liya gaya. Ussay kuchhsabaat to hai hi nahi. (164)27. Emaan waloan ko Allah Taalaa paakkibaat kay saath mazboot rakhta hai dunya kizindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi haannaainsaf loagoan ko Allah babka dayta haiaur Allahjo chahay kar guzray.28. Kya aap nay unn ki taraf nazar nahi daalijinhoan nay Allah ki nemat kay badlay naashukri ki aur apni qaum ko halaakat kay gharmein laa utaara.29. Yaani dozakh mein jiss mien yeh sabjayein gay jo badtareen thikaana hai.30. Unhoan nay Allah kay humsar bana liyekay loagoan ko Allah ki raah say babkayein.Aap kah dijiye kay khair mazay karlatumhari baazgasht to aakhir jahannum hi hai.31. Meray emaan waalay bandoan say kahdijiye kay namazoan ko qaem rakhein aur jokuchh hum nay day rakha hai uss mein say

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    21/23

    Surat 14. Ibrahim / Part 13kuchh na kuchh posheeda aur zaahir kharchkartay rahein iss say pahlay kay woh dinaajae jiss mein na kharid-o-farokht hogi nadosti aur mohabbat.32. Allah woh hai jiss nay aasmanoan aurzameen ko paida kiya hai aur aasmaanoansay baarish baarsa kar uss kay zariye tumharirozi kay liye phal nikaalay hain aurkashtiyoan ko tumharay bus mein kar diyahai kay daryaaoan mein uss kay hukm saychalein phirein. Ussi nay nadiyan aur nehreintumhaaray ikhtiyaar mein kar di hain.33. Ussi nay tumhaaray liye sooraj chand komusakhar kardiya hai k baraabar hi chalrahay hain aur raat din ko bhi tumhaaraykaam mein laga rakha hai.34. Ussi nay tumhein tumhari munh maangikul cheezoan mein say day rakha hai. Agartum Allah kay ehsaan ginna chaho to unheinpooray ginn bhi nahi saktay. Yaqeenaninsaan bada hi bay insaaf aur naa shukra hai.35. (Ibraheem ki yeh dua bhi yaad karo) jabunhoan nay kaha kay aey merayperwerdigaar! Iss shehar ko aman waala banaday aur mujhay aur meri aulad ko butt parastisay panah day.36. Aey meray paalnay waalay mabood!Unhoan nay bahoat say loagoan ko raah saybhatka diya hai. Pus meri taabeydaari kamaywaala mera hai aur jo meri naa farrnani karayto tu bahoat hi muaf aur karam kamay waalahai.37. Aey humaray perwerdigaar! Mein nayapni kuchh aulaad iss bay kheti ki waadimein teray hurmat waalay ghar kay passbasaee hai. Aey humaaray perwerdigaar! Yehiss liye kay woh namaz qaem rakhein pus tokuchh loagoan kay diloan ko inn ki taraf

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    22/23

    Surat 14. Ibrahim / Part 13mael kar day. Aur enhein phaloan kiroizryaan inaayat farma taakay yehshukrguzari karein.38. Aey humaray perwerdigaar! Tu khoobjaanta hai jo hum chupayein aur jo zaahirkarein. Zameen-o-aasmaan ki koi cheezAllah per posheeda nahi.39. Allah ka shukar hai jiss nay mujhay issburhapay mein ismail (alaih-e-salaam) aurishaq (alaih-e-salaam) ataa farmaey. Kuchhshak nahi kay mera palanhaar Allah duaoanka sunnaywaala hai.40. Aey meray paalnay waalay! Mujhaynamaz ka paaband rakh aur meri aulaad saybhi aey humaaray rabb meri dua quboolfarma.41. Aey humaray perwerdigaar! Mujhaybakhsh day aur meray maan baap ko bhibakhsh aur digar mominoan ko bhi bakhshjiss din hisab honay lagay.42. Na insafoan kay aemaal say Allah koghafil na samajh woh to unhein uss din takmohlat diye huay hai jiss din aankhein phatiki phati reh jayein gi.43. Woh apnay sir oopper uthaey daud bhaagkar rahay hongay khud apni taraf bhi unn kinigahein na lautein gi aur unn kay dil khaliaur adday huay hongay.44. Loagoan ko uss din say hoshiyaar kar dayjab kay unn k pass azaab aajaye ga aur zaalimkahein gay aey humaray rabb humein bahoatthoday qareeb kay waqt tak ki hi moblat daykay hum teri tableegh maan lein aur teraypayghumbaron ki taabeydaari mein laggjayein. Kya tum iss say pablay bhi qasmeinnahi kha rahay thay? K tumharay liye dunyasay talna hi nahi.45. Aur kya tum inn loagoan kay gharoanmein rahtay sahtay na thay jinhoan nay apnijanoan per zulm kiya aur kya tum per woh

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 13 Parah

    23/23

    Surat 15. Al-Hijr / Part 13muamla khula nahi kay hum nay unn kaysath kaisa kuehh kiya. Hum nay (to tumharaysamjhanay ko) bahoat si misalein bayaan kardi thein.46. Yeh apni apni ehalein ehal rahay hain aurAllah ko unn ki tamaam ehaloan ka ilm haiaur unn ki ehalein aisi na thin k unn saypahad apni jagah say tal jayein.47. Aap hergiz yeh khayaal na karein k Allahapnay nabiyoan say waada khilafi karay gaAllah bada hi ghaalib aur badla laynay waalahai.48. Jiss din zameen iss zameen kay siwa aurhi badal dijaeygi aur aasman bhi aur sab kaysab Allah waahid ghalbay waalay kay roo-baroo hongay.49. Aap uss din gunehgaroan ko dekhein gayk zanjeeroan mein milay julay aik jagahjakray huay hongay.50. Unn kay libaas gandhak kay hongay auraag unn kay ehehroan per bhi ehadhi huihogi.51. Yeh iss liye kay Allah Taalaa her shaksko uss kay kiye huay aemaal ka badla deybay-shak Allah Taalaa ko hisab layta kuehhder nahi lagnay ki.52. Yeh quran tamaam loagoan kay liyeitelaa naama hai kay iss kay zariye say wohhoshiyaar kar diye jayein aur bakhoobhimaloom karlein kay Allah aik hi mabood haiaur taakay aqal mand loag soeh samajh lein.

    Surat AI-HijrAllah ke naam se shuru jo bada meherbaan

    nihayat hi rehem wala hai.01. Alif-Laam-Raa yeh kitab-e-elahi kiaayatein hain aur khullay aur raushan quranki.