exercise tips in urdu warzish in urdu

4
Exercise tips in Urdu Warzish in Urdu Presented by www.AllHealthHere.com

Upload: health-tips

Post on 21-May-2015

1.335 views

Category:

Health & Medicine


27 download

DESCRIPTION

Warzish in urdu Exercise tips in urdu. This Slide is about exercise . In this website you will find exercise tips (warzish in urdu), Hindi and Roman Urdu.

TRANSCRIPT

Page 1: Exercise tips in urdu Warzish in urdu

Exercise tips in UrduWarzish in Urdu

Presented bywww.AllHealthHere.com

Page 2: Exercise tips in urdu Warzish in urdu

Exercise Tips In Urdu

• Exercise (warzish) ki ahmiat jetni mardon ke liye hai utni khawateen ke liye bhi hai. Exercise jism ki fazil charbi khatam kar ke isay mutanasib aur khubsorat banati hai balke ye duniya ki behtareen khuwab awar dawa ka kaam bhi deti hai aur bay khuabi se nejat delati hai. Aap ke mood ko bhi khushgawar banati hai. Beshtar mahireen e qalb iss baat par mutafiq nazar aatay hain. ke agar koye khatoon haftay mein teen din adhay gantay tak achi exercise karay to usay dil ke doray ka khatra baqi nahi rehta, iss liye iss baat ki bohat ahmiat hai ke 40 baras ke umar tak phuch ne se pehle hi exercise (warzish) ka program tarteeb dailena chahiye.

Page 3: Exercise tips in urdu Warzish in urdu

Exercise Tips In Urdu• Yeh baat har shakhs bakhobi janta hai ke zindagi aur sehat ka

choli daman ka sath hai. Is baat ko sirf is had tak janna he kafi nahi, balke is ko samajhna bhi bohat zaroori hai. Is ko samajhne ke liye is ki gehrai mein ja kar yeh pata chalana hai ke wok on se usool hain jin ko apna kar hum sehat aur zindagi ka meyar aala kar sakte hain. Qudrat ne insaan ke jism ko aik machine ki manind banaya hai jo agar chalti rahe to apna kaam bakhobi karti hai aur agar maheeno band parhi rahe to beykar ho jati hai. Ya zang aalood ho jati hai. Sehatmand rehne ke liye rozana mushaqat ka kaam zaroori hai. Kyun ke aaj kal jismani mushaqqat se ziyada zehni mushaqqat hoti hai, is liye humen apne jism ko mazboot aur tawana banana ke liye warzish ka sahara lena parhta hai.