bad naseeb

3
" Badnaseeb " Ek Dafa Hakeem Apne navjawan Bete Ko Fajr Ki Namaz Keliye Jagata Hai Jab Woh Masjid Ki Taraf Nikalte Hain Toh Saare Alam Par Ek Ajeeb Sannata Chaya Hua Hota Hai Beta Apne Baap Ke Sath Jamat se Namaz Padhta hai Jamat Me Namaziyoun Ki Tedaad Naa Ke Barabar Hoti Hai Namaz Ke Baad Dono Ibadat Aur Zikr Allah Me Waqt Guzarte Hain Ishraaq Ki Namaz Padhkar Baap Bete Dono Masjid Se Bahar Nikalte Hain Toh Duniya Saari Jaag Rahi Hoti Hai Har Taraf Har Shaqs Apne Aap me Masroof Nazar Aata Hai Yeh Manzar Dekh Kar Navjawan Ko Bohut Dukh Hota Hai Aur Woh Kehta Hai Abbu Jaan Dekhein Kitne Badnaseeb Hain Yeh Log

Upload: shoaibraja

Post on 20-Jul-2015

379 views

Category:

Spiritual


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: Bad Naseeb

" Badnaseeb "

Ek Dafa Hakeem Apne navjawan Bete Ko Fajr Ki

Namaz Keliye Jagata Hai Jab Woh Masjid Ki Taraf Nikalte Hain Toh Saare Alam Par Ek Ajeeb Sannata Chaya Hua

Hota Hai

Beta Apne Baap Ke Sath Jamat se Namaz Padhta hai

Jamat Me Namaziyoun Ki Tedaad Naa Ke Barabar Hoti Hai

Namaz Ke Baad Dono Ibadat Aur Zikr Allah Me Waqt Guzarte Hain

Ishraaq Ki Namaz Padhkar Baap Bete Dono Masjid Se Bahar Nikalte Hain

Toh Duniya Saari Jaag Rahi Hoti Hai

Har Taraf Har Shaqs Apne Aap me Masroof Nazar Aata Hai

Yeh Manzar Dekh Kar Navjawan Ko Bohut Dukh Hota Hai

Aur Woh Kehta Hai Abbu Jaan

Dekhein Kitne Badnaseeb Hain Yeh Log

Page 2: Bad Naseeb

Duniya Ki badi Fikr Hai Magar Aaqirat Ki Koi Fikr Nahi Namaz Ke Waqt Neend Nahi Chord Sakte

Magar Ek Ghante Baad Duniya Kamane Kaise Gharoun Se Nikal Aaye Hain

Yeh Sunn Hakeem Ne Apne Bete Se Kaha

Tu Inn Tamaam Logoun Se Zyada Badnaseeb Hai

Is Se Behtar Tha Ki Tu Namaz Hi Naa Padta

Tu Ne Namaz Padhkar Allah Ki maqlooq Ki Gheebat Ki Hai Aur Usski Maqlooq Par Maghroor Hua Aur Unn

Tamaam Ko Apne Se Kamtarr Samjha

Tera Kya Qiyaal Hai Allah Aisi Ibadat Qabool Karega

Jisko Karke Tu Usski Maqlooq Par Maghroor Bane Aur Unko Apne Se Kamtar Samjhe

Allah Jisko Chahe Jannat Me Daqil Karde

Chahe Ek Mamooli Neiki Hi Kyun Naa Ho

Page 3: Bad Naseeb

Allah Chahe Toh ussko Bhi Jannat Me Daqqool Ka Sabab Bana De

Aur Chahe Umr Bhar Ki Kamayi Kyun Naa Ho

Agar Dil Me Khushpasandi Aur Doosroun Par

Nafs Ki bartari hai Toh Woh Insaan Ko Wahan Pohencha Sakti Hai Jiski Koi Tawaqo Nahi Rakhta

Hum Kisi Ko Nadnaseeb Ya Badbaqt Kaise Keh Sakte Hain

Hosakta Hai Usski Mamooli Neiki

Allah Ke Haan Maqbool Ho

Yeh Bhi Hosakta Hai Mout Se Pehle Woh Touba karke Hum Se Zyada Muttaqi Bann Jaye

Har Bure Aur Galat Alfaaz Se Parhez Kijiye

Jo Shayed Humare Nazdeek Mamooli Ho Magar

Wahi Gunah-E-Azeem Me Shumaar Hojaye