bachon ki sehat in urdu hindi

6
BACHON KI SEHAT y pkurdutips.blogspot.c

Upload: health-tips

Post on 01-Jul-2015

1.985 views

Category:

Health & Medicine


14 download

DESCRIPTION

Bachon ki sehat kamzori ka ilaj. Child health care tips in Urdu and roman hindi.

TRANSCRIPT

Page 1: Bachon Ki Sehat in Urdu Hindi

BACHON KI SEHAT

By pkurdutips.blogspot.com

Page 2: Bachon Ki Sehat in Urdu Hindi

BACHE KO THANDA LAG JANA:

Bachey ke liye thand lag jana buhat khatarnak hai. Iss se chotay bachon mein bukhar, gale aur sine ke amraaz hone ka khatra hota hai. Khaas tor par namunia hone ke ziadah imkanaat hote hain. namunia kaafi muhlik marz hai iss se bachaao zaroori hai.

Page 3: Bachon Ki Sehat in Urdu Hindi

BABY KO THAND LAGNE KI WAJOOHAT: Bache ko thand lagne ki aham wajah

bache ka gila rahna. Iss ke elaawa bache ko sardion mein garam kapray na pahnana bhi aik wajah hai. Agar bache ke kapray kam hon gay to iss surat mein bhi bache ko thand lag sakti hai.

Page 4: Bachon Ki Sehat in Urdu Hindi

BABY KO THAND LAGNE SE BACHAIN: Baby ko thand lagne se mahfooz rakhne ke liye sab se

pehle to baby ka libas mukammal ho aur iss ko mukammal tor par dhanpa gia ho. Iss ke elawa baby gila na ho balkeh mukammal tor par khushk ho. Agar ise gilay pan se bachana ho to aisa lebas pehnain jis mein gila pan iss ke jism ke doosray hison tak na punhce. Iss ke elawa koshish yeh honi chahiye keh baby garam kapray pahne rahe au rise mukammal tor par dhanpa gia ho aur achi tarah pack kia gia ho. Baby ko ziadah tar thand raat mein lagti hai to zaroori hai keh raat mein baby ke lebaas ka khaas tor par kheyal rakha jaye. Sotay hoye yeh kheyal rakhain keh bacha kisi khuli hoyi khirki ya darwaze ke nazdeek na so raha ho jahan se hawa lagne ke baais ise thand lag sakti hai.

Page 5: Bachon Ki Sehat in Urdu Hindi

SARDIYON MEIN BABY KO BATH (NAHLANA):

Sardiyon mein baby ko nehlate waqt khaas ahtiaat ki zaroorat hoti hai takeh baby ko than na lag jaye. Apne baby ko bath dete waqt sab se pehle tasalli kar lain keh jis jagah aap bache ko nehla rahi hain wahan ka tempreture garam ho, paani halka garam karlain. Baby ko pani walay tub mein letane se pehle is ski eyes, ears ko bahir se aur nose ko andar se cotton se saaf kijye. Baby ke balon ke liye baby shampoo aur nehlane ke liye narm-o-mulaim sabun istemaal kijye. Iss ki Armpit , neck aur waist (kamar) ko ahtiaat se saaf karain. Aakhir mein fingers aur hands ko aaraam se saaf kijye. Bache ko nehlane ke baad achi tarah khushk karalen. Iss ke baad baby ko sardiyon ki munasbad se motay aur garam kapray pehnayain.