archive.org´ب...2020/03/14  · [1] chand kitabo mein ye waqiya dekhne ko milta hai ke shabe meraj...

25

Upload: others

Post on 20-Apr-2021

1 views

Category:

Documents


1 download

TRANSCRIPT

Page 1: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To
Page 2: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To
Page 3: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To
Page 4: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[1]

Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe

Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To Wahan Huzoor Ghause Paak Ki Rooh Haazire Khidmat Huyi Aur Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Huzoor Ghause Paak Ke Kandho Par Apna Qadam Rakha Aur Irshad Farmaya : Beta! Mere Ye Qadam Tumhari Gardan Par Hain Aur Tumhare Qadam Tamam Waliyo Ki Gardano Par Honge Ye Waqiya Mukhtalif Tariqo Se Bayaan Kiya Jaata Hai

Tafreehul Khatir Naami Kitab Mein Is Tarah Bhi Likha Hua Hai Ke Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Ke Qareeb Pahunche To Us Ko Bahut Uncha Paaya Jis Par Baghair Seedhi Ke Chadhna Mumkin Na Tha To Allah Ta'ala Ne Huzoor Ghause Paak Ki Rooh Ko Bheja Aur Aap Ki Rooh Ne Seedhi Ki Jagah Apne Kandhe Rakh Diye, Phir Aap Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Kandho Par Apne Paaon Mubarak Rakhne Ka Irada Farmaya To Allah Ta'ala Se Is Ke Baare Mein Poochha, Allah Ta'ala Ne Farmaya Ke Ye Aap Ki Awlaad Mein Se Hai Aur Is Ka Naam Abdul Qadir Hai (Aur) Aye Mahboob! Agar Aap Aakhiri Nabi Na Hote to Aap Ke Baad Ohda-e-Nuboowat Ise Ata Kiya Jaata Is Par Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Allah Ta'ala Ka Shukr Ada Kiya Phir Farmaya Ke Aye Mere Bete! Tujhe Mubarak Ho Ke Tune Mujhe Dekha Aur Meri Neamat Se Sarfaraz Hua Phir Use Bhi Mubarak Ho Jo Tujhe Dekhe Aur Tere Dekhne Waale Ko Dekhe, Phir Jo Use Dekhe Phir... Is Tarah Aap Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Sattayis (27 Baar) Tak Farmaya Phir Farmaya Ke Maine Apna Qadam Teri Gardan Par Rakha Hai Aur Tera Qadam Tamam Waliyo Ki Gardano Par Hoga, Agar Mere Baad Nuboowat Hoti To Tum Nabi Hote Lekin Mere Baad Koi Nabi Nahin

( ب الشیخ عبد القادر، اردو، ص

، قادری رضوی کتب خانہ لاہور47دیکھیں: تفریح الخاطر فی مناق )

Page 5: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[2]

Is Kitab Mein Ye Waqiya Mukhtalif Alfaaz Aur Andaz Ke Saath Darj Hai Ye Waqiya Jinhone Kabhi Nahin Suna Un Ke Liye To Faqat Ye Waqiya Hi Kaafi Hairat Angez Hai Lekin Baaz Muqarrireen Jab Is Mein Namak Mirch Laga Kar Bayaan Karte Hain To Sunne Waale Hairan Hone Ke Saath Saath Pareshan Bhi Ho Jaate Hain Hum Pehle Is Waqiye Ke utalliq Baaz Ulama -e- Ahle Sunnat Ke Aqwaal Pesh Karte Hain Phir Mazeed Kuchh Arz Karenge

Imam-e-Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullahu Ta'ala Likhte Hain Ke Matalib Chand Qism Hain, Har Qism Ka Martaba Juda Aur Har Martabe Ka Paaya -e- Suboot Alahida (Yaani Har Tarah Ki Baat Ko Saabit Karne Ke Liye Ek Jaise Ya Ek Paaye Ka Suboot Zaroori Nahin Hai Balki Jaisi Baat Hoti Hai Usi Tarah Ki Daleel Zaroori Hoti Hai) Is Qism Matalib (Yaani Mazkoora Shabe Meraj Waala Waqiya) Ahadees Mein Zuhoor Na Hona Mudar Nahin Balki Kalimaat-e- Ulama Mashaikh Mein In Ka Zikr Kaafi Imam Jalaluddin Suyooti Ne Is Riwayat Ki Nisbat Ke Hazrate Umar Faruque Radiallaho Ta'ala Anho Ne Huzoor Pur Noor Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ke Wisal Ke Baad Kalaam-e-Taweel Mein Huzoor Alaihissalam Ko Har Jumla Par Ba Kalimaye "Ya Rasoolallah Aap Par Mere Maa Baap Qurban Ho" Nida Kar Ke Fazail-e-Jaleela Wa Khasais-e-Jameela Bayaan Kiye, Tehreer Farmaya :

کراہ ف ضمن بن الحاج ف مدخلہ ذ ر وا لم اجدہ ف شیئ من کتب الاثرلکن صاحب اقباس الانوالاحکام نہ لیس ممایتعلق با فی بذلك سندا لمثلہ فا یل وک حدیث طو

یاض بحوالہ مناہل الصفا فی تخریج احادیث ال ( 824/1شفاء، الفصل السابع، )نسیم الر

"Yaani Maine Ye Riwayat Kisi Kitab -e- Hadees Mein Na Paayi Magar Saahib -e- Iqtebasul Anwaar Aur Imam Ibnul Haaj Ne Apni Mudkhal Mein Ise Ek Hadeese Taweel Ke Ziman Mein Zikr Kiya Aur Aisi Riwayat Ko Isi Qadar Sanad Kifayat Karti Hai Ke Inhein Kuchh Baab -e- Ahkaam Se Talluq Nahin"

Page 6: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[3]

Biljumla Roohe Muqaddas Ka Shabe Meraj Ko Haazir Hona Aur

Huzoore Aqdas Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ka Hazrate Ghausiyat Ki Gardan Mubarak Par Qadam -e- Akram Rakh Kar Buraaq Ya Arsh Par Jalwa Farmana Aur Sarkaar -e- Abad Qaraar Se Farzande Arjumand Ko Is Khidmat Ke Sila Mein Ye Inaam -e- Azeem Ata Hona (Ke Tumhara Qadam Waliyo Ki Gardano Par Hoga) In Mein Koi Amr Na Aqlan Aur Shar'an Mehjoor Aur Kalimaat -e- Mashaikh Mein Mastooro Masoor, Kutub -e- Hadees Mein Zikr Madoom Na Ke Adam Mazkoor, Na Riwayaat -e- Mashaikh Is Tarah Sanad -e- Zahiri Mein Mahsoor Aur Qudrate Qadir Wasee Wa Maufoor Aur Qadre Qadri Ki Bulandi Mash'hoor Phir Raddo Inkar Kya Muqtadaye Adabo Sha'oor

( 412و 411، ص28فتاوی رضویہ، ج )

Is Waqiye Mein Ye Jumla Ke "Mere Baad Agar Nuboowat Hoti To Tum Nabi Hote" Par Aala Hazrat Likhte Hain Ke Agarche (Ye) Apne Mafhoom -e- Sharti Par Sahih Wa Jaayezul Itlaaq Hai Ke Beshak Martaba -e- Aliya Rafiya Huzoor Pur Noor Radiallaho Ta'ala Anho Tulu Martaba -e- Nuboowat Hai (Yaani Martaba -e- Ghausiyat, Martaba -e- Nuboowat Ke Pichhe Hai), Khud Huzoor-e-Mualla Radiallaho Ta'ala Anho Farmate Hain : Jo Qadam Mere Jadde Akram Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Uthaya Maine Wahin Qadam Rakha Siwa Aqdaam-e-Nuboowat Ke, Ki Un Mein Ghaire Nabi Ka Hissa Nahin

ادن قدم

ہ

برداشتن گام از تو ب از نبی بب

اا

ت

ہ

خل

بو ۃ سد مشاھا اب

ہ

لن غیر اقدام ا

(Nabi Ka Kaam Qadam Uthana Aur Aap Ka Kaam Qadam Rakhna Hai Ilawa Aqdaam-e-Nuboowat Ke, Ki Wahan Khatme Nuboowat Ne Rasta Band Kar Diya Hai) Aur Jawaz-e-Itlaaq (Is Jumle Ka) Yun Ke Khud Hadees Mein Ameerul Momineen, Umar Faruque Radiallaho Ta'ala Anho Ke Liye Warid:

Page 7: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[4]

مر والطبرانی فی کم عن عقبۃ بن عا بی لکان عمر بن الخطاب رواہ احمد و الترمذی والحا لوكان بعدی نلک رضی اللہ تعالی عنھما الکبیر عن عصمۃ بن ما

"Mere Baad Nabi Hota To Umar Hota" (Is Ko Imam Ahmad, Tirmizi Aur Hakim Ne Uqba Bin Aamir Se Jabki Tabrani Ne Moajame Kabeer Asma Bin Malik Radiallaho Ta'ala Anhuma Se Riwayat Kiya)

بواب المناقب مناقب عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ، ) کم ، المستد2/ 209جامع الترمذی ا رك للحارالفکر بیروت، بی لکان عمر، دا ، المعجم الکبیر، 3/ 85کتاب معرفۃ الصحابۃ، لوكان بعدی ن

، مسند امام احمد بن حنبل، حدیث عقبہ بن 17/ 180، المکتبۃ الفیصلیۃ بیروت، 475حدیثمر، المکتب الاسلامی بیروت، ( 4/ 154عا

Dusri Hadees Mein Hazrate Ibrahim Saahibzada -e- Huzoore Aqdas Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ke Liye Warid:

بن عباس و عن کر عن جابر بن عبداللہ و عن ا بن عسا براھیم لکان صدیقا نبیا۔ رواہ ا لو عاش الك رضی اللہ تعالی عنھ نس بن ما بن ابی اوفی والباوردی عن ا ا

"Agar Ibrahim Jeete To Siddique Wa Paighambar Hote" (Is Ko Ibne Asakar Ne Jabir Bin Abdullah Aur Ibne Abbas Aur Ibne Abi Aufa Se Jabki Al Bawardi Ne Hazrate Anas Bin Malik Se Riwayat Kiya, Allah Ta'ala Un Se Raazi Ho)

راحیاء ) زواجہ، دا کر بنیہ وبناتہ علیہ الصلوۃ والسلام وا خ دمشق الکبیر باب ذ التراث العربی تاریبن 75/3بیروت، کر عن جابر بن عبداللہ، ا بن عسا نس وا ، کنزالعمال بحوالہ الباوردی عن ا

، بن ابی اوفیی (32204، حدیث11/ 469عباس وا Ulama Ne Imam Abu Muhammad Juweni Rahimahullahu Ta'ala Ki Nisbat Kaha Hai Ke Agar Ab Koi Nabi Ho Sakta To Wo Hote. Imam Ibne Hajar Makki Apne Fatawa Hadeesiya Mein Farmate Hain:

Page 8: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[5]

ینی متہ ابی محمد الجو لی جلالتہ وصلاحہ واما خ الامام المجمع ع ح المہذب" نقلا عن الشی قال فی "شرینی با محمد الجو الذی قیل فی ترجمتہ لو جاز ان یبعث اللہ فی ھذہ الامۃ نبیا لکان ا

"Sharah Muhazzab Mein Kaha Naqal Karte Huye Us Shaykh Wa Imam Se Jin Ki Jalalat Wa Salahiyat Wa Imamat Par Ijma Hai Yaani Abu Muhammad Juweni Alaihir Rahma Jin Ke Taaruf Mein Kaha Gaya Hai Ke Agar Ab Allah Ta'ala Ki Taraf Se Is Ummat Mein Kisi Nabi Ko Bhejna Jaayez Hota To Wo Abu Muhammad Juweni Hote"

راحیاء التراث العربی ) الفتاوی الحدیثیہ، مطلب قیل لو جاز ان یبعث اللہ فی ھیذہ الامۃ نبیا الخ، دا(325، 324بیروت، ص

Magar Har Hadees Haque Hai, Har Haque Hadees Nahin Hadees Manne Aur Huzoore Akram, Syed -e- Alam Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ki Taraf Nisbat Karne Ke Liye Suboot Chahiye, Be Suboot Nisbat Jaayez Nahin Aur Qaul -e- Mazkoor Saabit Nahin, Wallahu Ta'ala Aalam

( 416، 415ایضا، ص )

Ek Aur Sawal Ke Jawab Mein Likhte Hain Ke Raha Shabe Meraj Mein Rooh Pur Futooh Hazrate Ghausus Saqalain Radiallaho Ta'ala Anho Ka Haazir Ho Kar Paaye Aqdas Huzoor Pur Noor Syed -e- Aalam Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ke Niche Gardan Rakhna Aur Waqte Rukoob -e- Buraaq Ya Su'ood -e- Arsh Zeena Banna, Shar'an Wa Aqlan Is Mein Koi Bhi Istehala Nahin Sidratul Muntaha Agar Muntahaye Urooj Hai To Ba Aitbar -e- Ajsaam Na Ba Nazre Arwaah Urooj -e- Roohani Hazaaro Akabir Auliya Ko Arsh Balki Mafauqul Arsh Tak Saabit Wa Waaqe Jis Ka Inkar Na Karega Magar Uloom -e- Auliya Ka Munkar Balki Ba Wuzu Sone Waale Ke Liye Hadees Mein Warid Ke : "Us Ki Rooh Arsh Tak Buland Ki Jaati Hai" Na Is Qissa Mein Maaz Allah Booye

Page 9: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[6]

Tafzeel Ya Hamsari Huzoor Sayyiduna Ghause Aazam Radiallaho Ta'ala Anho Ke Liye Nikalti Hai, Na Is Ki Ibarat Ya Isharat Se Koi Zahne Saleem Is Taraf Ja Sakta Hai. Kya Ajab Sawari Buraaq Se Bhi Yahi Maana Tarashe Jaayein Ke Upar Jaane Ka Kaam Hazrate Jibreel Alaihissalam Aur Rasool -e- Kareem Alaihissalato Wattasleem Se Anjaam Ko Na Pahuncha Buraaq Ne Ye Muhim Sar Anjaam Ko Pahunchayi (Yaani Jo Ye Kahe Ke Kya Huzoor Ghause Paak Ke Kandho Ke Baghair Huzoore Akram Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Buraaq Ya Arsh Par Jalwa Farma Hone Se Qasir The Ya Muhtaji Ke Maana Tarashe To Phir Ye Bhi Dekhna Chahiye Ke Zameen Se Aasmano Ka Safar Buraaq Par Hua To Kya Hazrate Jibreel Aur Aaqa -e- Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Is Se Qasir The Ke Az Khud Tashreef Le Ja Sakein) Darparda Is Mein Buraaq Ko Fazeelat Dena Laazim Aata Hai Ke Huzoore Aqdas Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ba Nafse Nafees To Na Pahunch Sake Aur Buraaq Pahunch Gaya, Is Ke Zariye Se Huzoor Ki Rasayi Huyi Ya Haaza (Ye) Khidmat Ke Af'aal Jo Ba Nazre Tazeem Wa Ijlaal -e- Salateen Baja Laate Hain Kya In Ke Ye Maana Hote Hain Ke Badshah In Umoor Mein Aajiz Aur Humara Muhtaj Hai?... Ilawa Baree Kisi Bulandi Par Jaane Ke Liye Zeena Banne Se Ye Kyun Kar Mafhoom Ke Zeena Banne Waala Khud Be Zeena Wusool Par Qadir...Seedhi Hi Ko Dekhein Ke Zeena -e- Su'ood Hai Aur Khud Aslan Su'ood Par Qadir Nahin Farz Kijiye Ke Hungam-e-But Shikni Hazrate Ameereul Momineen Maula Ali Karramallahu Wajhahu Ki Arz Qabool Farmayi Jaati Aur Huzoor Pur Noor Afzalus Salawaatullahi Wa Akmalut Tasleematihi Alaihi Wa Ala Aalihi Un Ke Doshe Mubarak Par Qadam Rakh Kar But Girate To Kya Is Ka Ye Mafaad Hota Ke Huzoore Aqdas Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam To Maaz Allah Is Kaam Mein Aajiz Aur Hazrate Ali Karramallahu Ta'ala Wajhahu Qadir The, Gharz Aisi Maane Muhaal, Na Hargiz Ibarat -e- Qissa Se Mustafaad, Na In Ke Qayileen Becharo Ko Muraad؛

Page 10: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[7]

واللہ الہادی الی سبیل الرشاد

(Aur Allah Ta'ala Hi Durust Raaste Ki Taraf Hidayat Ata Farmane Waala Hai) Ye Bayaan Ibtaal -e- Istehaala Wa Isbaat -e- Sihhat Ba Maana Imkaan Ke Mutalliq Tha Khulasa Maqsad Is Ka Ma Ziyadaat -e- Jadeeda Ye Ke Is Ki Asal Kalimaat Baaz Mashaikh Mein Mastoor, Is Mein Aqli Wa Sharayi Koi Istehala Nahin, Balki Ahadees Wa Aqwaal -e- Auliya Wa Ulama Mein Muta'addid Bandgaan -e- Khuda Ke Liye Aisa Huzoor -e- Roohani Warid (Yaani Ahadees Wa Aqwaal Mein Kayi Logon Ka Roohani Taur Par Haazir Hona Mazkoor Hai, Jin Mein Baaz Ka Zikr Darje Zel Hai) Muslim Apni Sahih Aur Abu Dawood Teyalisi Musnad Mein Jabir Bin Abdullah Ansari Aur Abd Bin Hameed Ba Sanade Hasan Anas Bin Malik Radiallaho Ta'ala Anhum Se Rawi, Huzoor Syed -e- Alam Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Farmate Hain :

لجنۃ فسمعت خشفۃ فقلت لواھذا بلال ثم دخلت ا ودخلت الجنۃ فسمعت خشفۃ فقلت ماھذہ قالوا ھذہ الغمیصاء بنت ملحان ماھذہ قا

"Main Jab Jannat Mein Dakhil Hua To Ek Pehchal Suni, Maine Puchha: Ye Kya Hai? Malaika Ne Arz Ki: Ye Bilal Hain Phir Tashreef Le Gaya, Pehchal Suni, Maine Puchha: Ye Kya Hai? Arz Kiya: Ghamisa Binte Malhaan, Yaani Umme Sulem Maadar -e- Anas Radiallaho Ta'ala Anhuma"

لسی عن جابر، حدیث) نس والطیا لہ 33161کنزالعمال بحوالہ عبد بن حمید عن ا ، موسسۃ الرسالسی، عن جابر حدیث، 653/11وت، بیر رالمعرفۃ بیروت، الجزء 1719، مسندابی داودالطیا ، دا

Page 11: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[8]

نہ 238السابع، ص ح مسلم، کتاب الفضائل باب من فضائل ام سلیم الخ، قدیمی کتب خا ، صحی( 2/ 292کراچی،

Imam Ahmad Wa Abu Yaala Ba Sanad -e- Sahih Hazrate Abdullah Bin Abbas Aur Tabrani Kabeer Aur Ibne Adi Kamil Ba Sanade Hasan Abu Imama Bahili Radiallaho Ta'ala Anho Se Raawi, Huzoore Aqdas Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Farmate Hain :

نبھا وجسافقلت یا جبرئیل ماھذا قال ھذا بلال المؤذن دخلت الجنۃ فسمعت فی جا "Main Shabe Meraj Jannat Mein Tashreef Le Gaya Us Ke Goshe Mein Ek Aawaz -e- Narm Suni, Puchha: Aye Jibreel! Ye Kya Hai? Arz Ki: Ye Bilal Moazzin Hain Radiallaho Ta'ala Anho"

لہ بیروت، 33163، 33162کنزالعمال، حدیث) ، الکامل لابن عدی ترجمہ 653/11، مؤسسۃ الرسابن ییی بن ابی حبۃ ا رالفکر بیروت، یح ( 2670/7جناب الکلبی، دا

Imam Ahmad Wa Muslim Wa Nisayi Anas Radiallaho Ta'ala Anho Se Raawi, Huzoor Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Farmate Hain:

دخلت الجنۃ فسمعت خشفۃ بین یدی، فقلت ماھذہ الخشفۃ، فقیل الغمیصاء بنت ملحان "Main Bihisht (Jannat) Mein Raunaq Afroz Hua, Apne Aage Ek Khatka Suna, Puchha: Aye Jibreel! Ye Kya Hai? Arz Ki Gayi: Ghamisa Binte Malhaan"

نہ کراچی، ) ح مسلم، کتاب الفضائل، باب من ام سلیم الخ، قدیمی کتب خا ، مسند 292/2صحینس رضی اللہ تعالی عنہ، ( 99/3المکتب الاسلامی بیروت، احمد بن حنبل عن ا

Imam Ahmad Wa Nisayi Wa Hakim Ba Asnaade Sahiha Ummul Momineen Siddiqa Radiallaho Ta'ala Anha Se Raawi, Huzoor Syedul Mursaleen Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya :

Page 12: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[9]

لکم البردخلت الجنۃ فسمعت فیہا قراءۃ، فقلت من ھذا؟ قا لکم البر کذی لواحارثۃ بن نعمان کذی "Main Bihisht Mein Jalwa Farma Hua, Wahan Quran -e- Kareem Padhne Ki Aawaz Aayi, Puchha : Ye Kaun Hai? Arz Ki Gayi : Harisa Bin Nomaan, Neki Aisi Hoti Hai, Neki Aisi Hoti Hai"

، المستدرک 36/6اللہ عنھا، المکتب الاسلامی بیروت، مسند احمد بن حنبل عن عائشہ رضی )رالفکر بیروت، کم، کتاب معرفۃ الصحابۃ، مناقب حارثہ بن نعمان، دا ، الاصابۃ فی 208/3للحا

رصادر بیروت، ( 298/1تمییزالصحابۃ بحوالہ النسائی، حارثہ بن نعمان، دا Ibne Saad Tabqaat Mein Abu Bakar Udwi Se Mursalan Raawi, Huzoor Syedul Mursaleen Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Farmate Hain:

دخلت الجنۃ فمسعت نحمۃ من نعیم "Main Jannat Mein Tashreef Farma Hua To Nuyaim Ki Khankar Suni"

ین والانصار، ترجمہ نعیم بن عبداللہ ) نیۃ من المہاجر الطبقات الکبری لابن سعدالطبقۃ الثارصادر بیروت، ف النحام، دا ( 4/ 138المعرو

Ye Nuyaim Bin Abdullah Udwi Maroof Ba Nahaam (Ke Isi Hadees Ki Wajah Se In Ka Ye Urf Qaraar Paaya) Khilafat -e- Ameereul Momineen Faruque -e- Aazam Radiallaho Ta'ala Anho Mein Junge Ajnadain Mein Shaheed Huye

کر ق ومصعب الزبیری وایخرون کما کما ذ بن اسحی لہ ا ہ موسی بن عقبۃ فی المغازی عن الزھری وکذا قا فی الاصابۃ

Page 13: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[10]

Jaisa Ke Moosa Bin Uqba Ne Maghazi Mein Zahri Ke Hawale Se Is Ko Zikr Kiya Yun Hi Kaha Ibne Is'haaq Aur Musab Zubairi Aur Deegar Ulama Ne Jaisa Ke Asaba Mein Hai

( رصادر بیروت، 3/ 568الاصابۃ فی تمییزالصحابۃ، ترجمہ نعیم بن عبداللہ، دا ) Subhan Allah! Jab Ahadees -e- Sahiha Se Ihya -e- Aalam Shahadat Ka Huzoor Saabit To Aalam -e- Arwaah Se Baaz Arwaah -e- Qudsiya Ka Huzoor Kya Door Imam Abu Bakar Bin Abiddunya, Abul Makhariq Se Mursalan Raawi, Huzoor Pur Noor Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Farmate Hain :

بی؟ قیل: لا۔ مررت لیلۃ اسریی بی برجل مغیب نورالعرش ، قلت : من ھذا، املک؟ قیل: لا۔ قلت: نکر لمساجد قلت : من ھذا؟ قال: ھذا رجل كان فی الدنیا لسانہ رطب من ذ اللہ تعالی وقلبہ معلق با

لم یستسب لوالدیہ قط و "Yaani Shabe Asra Mera Guzar Ek Mard Par Hua Ke Arsh Ke Noor Mein Ghaayib Tha, Maine Farmaya : Ye Kaun Hai? Koi Firishta Hai? Arz Ki Gayi : Nahin Maine Farmaya: Nabi Hai? Arz Ki Gayi: Nahin Maine Farmaya: Kaun Hai? Arz Ki Gayi : Ye Ek Mard Hai, Dunya Mein Is Ki Zubaan Yaade Ilahi Se Tar Thi Aur Dil Masjido Se Laga Hua Aur (Is Ne Kisi Ke Maa Baap Ko Bura Keh Kar) Kabhi Apne Maa Baap Ko Bura Na Kehalwaya

بن ابی الدنیا تحت ) یران، 152/2الایۃ الدرالمنثور بحوالہ ا ، 1/ 149، مکتبہ ایۃ اللہ العظمی قم اکراللہ الخ کثارمن ذ بن ابی الدنیا کتاب الذکروالدعاء، الترغیب فی الا الترغیب والترھیب بحوالہ ا

فی، البابی مصر، ( 2/ 395مصط

Page 14: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[11]

للہ التوفیق ثم اقول وبا (Phir Main Kehta Hoon Aur Toufiq Allah Hi Ki Taraf Se Hai) Kyun Raahe Door Se Maqsade Qurb Nishan Dijiye, Faize Qadriyat Josh Par Hai, Behre Hadees Se Khaas Gohar Muraad Haasil Kijiye Hadeese Marfoo Marwi Kutub -e- Mash'hoora Ayimma -e- Muhaddiseen Se Saabit Ke Huzoor Sayyiduna Ghause Aazam Radiallaho Ta'ala Anho Ma (Saath Mein) Apne Tamam Murideen Wa Ashaab Wa Ghulamaan Bargahe Aasman Qabbab Ke Shabe Asra Apne Meherban Baap Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ki Khidmat Mein Haazir Huye Aur Huzoore Aqdas Ke Hamraah Baitul Mamoor Mein Gaye, Huzoor Pur Noor Ke Pichhe Namaz Padhi, Huzoor Ke Saath Baahar Tashreef Laaye

لمین والحمدللہ رب العا Ab Naazir Ghair Waseeun Nazar Muta'ajjibana Puchhega Ke Ye Kyun Kar? ... Haan Hum Se Sune: Ibne Jareer Wa Ibne Abi Haatim Wa Abu Yaala Wa Ibne Murdwiya Wa Bayhaqi Wa Ibne Asakar Hazrate Abu Sayeed Khudri Radiallaho Ta'ala Anho Se Hadeese Taweel Meraj Mein Raawi, Huzoore Aqdas Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Farmate Hain:

نا بابراھیم الخلیل مسندا لظھرہ الی البیت بعۃ فاذاا ثم صعدت الی السماء الساین شطرعلیھم ثیاب بیض كانھاالقراطیس المعمور)فذکرالحدیث الی ان ق متی شطر با ال( واذا

عی الذین علیھم الثیاب البیض وحجب وشطرعلیھم ثیاب رمد فدخلت البیت المعمور ودخل منا ومن معی من المومنین فی البیت لی خیر فصلیت ا الاخرون الذین علیھم ثیاب رمد وھم ع

عی )الحدیث نا ومن م ( المعمورثم خرجت ا "Phir Main Saatwein Aasman Par Tashreef Le Gaya, Nagaah Wahan Hazrate Ibrahim Khaleelullah Mile Ke Baitul Mamoor Se Peeth Lagaye

Page 15: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[12]

Tashreef Farma Hain Aur Nagaah Apni Ummat Do Qism Paayi, Ek Qism Ke Safed Kapde Hain Kaghaz Ki Tarah Aur Dusri Qism Ka Khakistar Libaas Main Baitul Mamoor Ke Andar Tashreef Le Gaya Aur Mere Saath Safed Posh Bhi Gaye, Maile Kapde Waale Roke Gaye Magar Hain Wo Bhi Khairo Khoobi Par Phir Maine Aur Mere Saath Ke Musalmano Ne Baitul Mamoor Mein Namaz Padhi Phir Main Aur Mere Saath Waale Baahar Aaye

راحیاء التراث العربی بیروت، ) کر عروجہ الی السماء الخ، دا خ دمشق الکبیر، باب ذ ، 3/ 294تاریرالکتب ج بہ الی السماء، دا لی اللہ علیہ وسلم عر بی ص لی ان الن قی، باب الدلیل ع دلائل النبوۃ للبیہ

بن حاتم وغیرہ الخ، 2/ 94العلمیۃ بیروت، یروا بن جر راحیاء ، الدرالمنثور بحوالہ ا تحت الایۃ، دا( 172/5التراث العربی بیروت،

Zaahir Hai Ke Jab Saari Ummate Marhooma Bifazlihi Azzawajal Shareef Baryaab Se Musharraf Huyi Yahan Tak Ke Maile Libas Waale Bhi To Huzoor Ghausul Wara Aur Huzoor Ke Muntasibaan -e- Ba Safa To Bila Shubha Un Ujli Poshak Waalo Mein Hain, Jinhone Huzoor Rahmat -e- Aalam Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ke Saath Baitul Mamoor Mein Ja Kar Namaz Padhi

لمین والحمدللہ رب العا Ab Kahan Gaye Wo Jahilana Istebaad Ke Aaj Kal Ke Kam Ilm Muftiyo Ke Sadde Raah Huye, Aur Jab Yahan Tak Bihamdillah Saabit To Mamla -e- Qadam Mein Kya Wajhe Injar Hai Ke Qaule Mashaikh Ko Khwahi Nakhwahi Radd Kiya Jaaye Haan Sanad Muhaddisana Nahin... Phir Na Ho... Is Jagah Isi Qadar Bas Hai Sanad -e- Muanan (An Fulaan An Fulaan Waali Sanad) Ki Haajat Nahin

کوان فی الفئی عن سیدالا لتنا "ھدی الحیران فی ن کما بیناہ فی رسا

Page 16: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[13]

(Jaisa Ke Hum Ne Apne Risale Mein Ise Bayaan Kiya Hai)

( ا 420ایضا، ص

426ت )

Ek Aur Sawal Ke Jawab Mein Likhte Hain: Kutub -e- Ahadees Wa Siyar Mein Is Riwayat Ka Nishan Nahin, Risala Ghulam Imam Shaheed Mahaz Na Motabar, Balki Sareeh Abateel Wa Mauzuaat Par Mushtamil Hai Manzile Asna Ashriya Koi Kitab Faqeer Ki Nazar Se Na Guzri Na Kahin Is Ka Tazkira Dekha Tohfa -e- Qadriya Shareef Aala Darje Ki Mustanad Kitab Hai, Is Ke Mutale Bil Istiyaab Se Baaraha Musharraf Hua, Jo Nuskha Mere Paas Hai Ya Aur Jo Meri Nazar Se Guzra Un Mein Ye Riwayaat Aslan Nahin (a) Tohfa -e- Qadriya, Hazrat Shah Abul Muaali Qadri (1114H) Ki Farsi Taleef Hai Jis Mein Huzoor Ghause Aazam Radiallaho Ta'ala Anho Ke Halaat Aur Karamaat Ka Tazkira Hai Aap Apne Waqt Ke Mashaikh Mein Shumar Hote Hain Hazrate Shaykh Abdul Haque Muhaddise Dehelvi Rahimahullah Ne Aap Ke Irshad Par Ash'atul Lam'aat Aur Sharah Futoohul Ghaib Mukammal Farmayi Aap Ka Mazaar Lahore Mein Waaqe Hai Tohfa -e- Qadriya Ke Qalami Nuskhe Aksar Kutub Khano Mein Maujood Hain, Asal Farsi Nuskha Ta Haal Taba Na Hua, Albatta Is Ka Urdu Tarjuma Seeratul Ghaus Moallifa Muhammad Baqir Naqshbandi (1323H) Aur Tohfa -e- Qadriya (Urdu) Moallifa Maulana Abdul Hakeem (1324H) Malak Fazluddin Tajir Kutub Lahore Ke Naamo Se Shaaya Ho Chuke Hain (Aala Hazrat Mazeed Likhte Hain Ke) Ba'yee Hama Is Zamane Ke Muftiyaan -e- Juhool, Mukhtiyaan -e- Ghufool (Ghafil Aur Khatakaar

Page 17: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[14]

Mufti) Ne Jo Is Ka Batlaan Yun Saabit Karna Chaha Ke Sidratul Muntaha Se Baala Urooj Kiya Aur Is Mein Maaz Allah Huzoore Aqdas Wa Anwar Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Par Huzoor Pur Noor Ghause Aazam Radiallaho Ta'ala Anho Ki Tafzeel Nikalti Hai(b) Ye Mahaz Tassub Wa Jahalat Hai Jis Ka Rad Faqeer Ne Ek Mufassal Fatwe Mein Kiya Hai (b) Deobandiyo Ke Hakeemul Ummat Molvi Ashraf Ali Thanvi, Madrasa Deoband Ke Asateen Molvi Khaleel Ahmad Aur Molvi Rasheed Ahmad Ambethwi Ke Fatawa Ki Tardeed Ho Rahi Hai Jis Mein Is Riwayat Ko Le Kar Ghalat Fatwa Diya Gaya Tha (Aala Hazrat Mazeed Likhte Hain Ke) Fazil Abdul Qadir Qadri Ibne Shaykh Muhiyuddin Arbali Ne Kitab "Tafreehul Khatir" Mein Ye Riwayat Likhi Hai Aur Ise Jaame Shariat Wa Haqeeqat Shaykh Rasheed Bin Muhammad Junaidi Rahimahullah Ki Kitab Harazul Aashiqeen Se Naqal Kiya Hai Aur Aise Umoor Mein Itni Hi Sanad Bas Hai Is Ka Bayaan Faqeer Ke Dusre Fatwe Mein Hai (Jise Hum Naqal Kar Chuke)

( ا 428ایضا، ص

430ت )

Allama Mufti Shariful Haq Amjadi Rahimahullahu Ta'ala Is Waqiye Ke Mutalliq Likhte Hain : Mujaddid -e- Aazam, Aala Hazrat, Imam Ahmad Raza Rahimahullahu Ta'ala Farmate Hain Ke Kutub -e- Ahadees Wa Siyar Mein Is Riwayat Ka Nishan Nahin, Risala Ghulam Imam Shaheed Mahaz Na Motabar, Balki Sareeh Abateel Wa Mauzuaat Par Mushtamil Hai Manzile Asna Ashriya Koi Kitab Faqeer Ki Nazar Se Na Guzri Na Kahin Is Ka Tazkira Dekha Tohfa -e- Qadriya Shareef Aala Darje Ki Mustanad Kitab Hai, Is Ke Mutale Bil Istiyaab Se Baaraha Musharraf Hua, Jo

Page 18: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[15]

Nuskha Mere Paas Hai Ya Aur Jo Meri Nazar Se Guzra Un Mein Ye Riwayaat Aslan Nahin Fazil Abdul Qadir Qadri Ibne Shaykh Muhiyuddin Arbali Ne Kitab "Tafreehul Khatir" Mein Ye Riwayat Likhi Hai Aur Ise Jaame Shariat Wa Haqeeqat Shaykh Rasheed Bin Muhammad Junaidi Rahimahullah Ki Kitab Harazul Aashiqeen Se Naqal Kiya Hai Aur Aise Umoor Mein Itni Hi Sanad Bas Hai Is Ka Bayaan Faqeer Ke Dusre Fatwe Mein Hai (Jise Hum Naqal Kar Chuke) Lekin Is Kitab Mein Ye Waqiya Buraq Par Sawar Hote Waqt Ka Likha Hai Waise Baaz Kitabo Mein Arsh Jaane Ke Baare Mein Bhi Likha Hai Is Riwayat Mein Aqlan Ya Shar'an Koi Istebaad Nahin Albatta Is Jahil (Sawal Mein Saayil Ne Jis Ka Zikr Kiya, Us) Ne Jin Kalimaat Ke Saath Is Ko Bayaan Kiya Hai, Ye Us Ki Jahalat Hai, Is Se Use Tauba Karna Farz Hai Kyunki Us Ne Huzoor -e- Aqdas Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Par Jhoot Bandha Hai, Jin Kitabo Mein Ye Riwayat Hai Un Mein Ye Kalimaat Nahin, Riwayat Mein Sirf Itna Hai Ke Huzoor Ghause Paak Radiallaho Ta'ala Anho Ki Roohe Paak Haazir Huyi Aur Apna Kandha Pesh Kiya, Huzoore Aqdas Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Kandhe Par Qadam Rakha Aur Buraaq Se Arsh Par Tashreef Le Gaye, Is Par Huzoor Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Khush Ho Kar Farmaya Ke Mera Qadam Teri Gardan Par Aur Tumhara Qadam Saare Auliyaullah Ki Gardan Par, Wallahu Ta'ala Aalam

( ارح بخاری، جفتاوی

312، ص1ش )

Allama Mufti Shariful Haq Amjadi Rahimahullahu Ta'ala Se Ek Aur Sawal Kiya Gaya Ke Shabe Meraj Sayyiduna Ghause Paak Ne Paaye Aqdas Huzoor Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ko Apne Kandhe Ka Sahara Diya Jabki Wo Maujood Nahin The?

Page 19: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[16]

Saayil Ko Laga Ke Us Waqt To Aap Paida Nahin Huye The To Ye Kaise Mumkin Hai? Aap Rahimahullah Jawab Mein Likhte Hain Ke Yahan (Is Waqiye Mein) Muraad Roohe Mubarak Hai

( 312ایضا، ص )

Imam -e- Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullahu Ta'ala Se In Ash'aar Ke Baare Mein Sawal Kiya Gaya Ke Kya Ye Durust Hain :

Roobaru-e-Ahmad Ke Hum Ko

Khush Wasila Aaj Tum Ho

Khadimo Mein Hum Ko Samjho

Al Madad Ya Abdal Qadir

Tum Shabe Meraj Aa Kar

Dosh Bar Paaye Payambar

Le Chadhe Arshe Baree Par

Al Madad Ya Abdal Qadir

Imam -e- Ahle Sunnat Jawab Mein Likhte Hain Ke Pehle Do Sher Bahut Achhe Hain Aur Pichhle Shero Mein Ghalati Hai Tafreehul Khatir Waghaira Mein Ye Mazkoor Hai Ke Huzoore Aqdas Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Shabe Meraj Huzoor Ghause Paak Radiallaho Ta'ala Anho Ke Doshe Mubarak Par Paaye Anwar Rakh Kar Buraaq Par Tashreef Farma Huye Aur Baaz Ke Kalaam Mein Hai Ke Arsh Par Huzoore Aqdas Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ke Tashreef Le Jaate Waqt Aisa Hua Na Ye Ke Huzoor Ghausiyat Paaye Aqdas Kandhe Par Le Kar Shabe Meraj Khud Arsh Par Gaye Shayar Agar Yun Kehta Mutabiq -e- Riwayate Mazkoor Hota :

Page 20: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[17]

Tha Tumhara Doshe Athar

Zeena -e- Paaye Payambar

Jab Gaye Arshe Baree Par

Al Madad Ya Abdal Qadir

Ye Dono Surato Ko Shamil Hai Jab Gaye Yaani Jis Waqt Ya Jis Shab Ke Is Mein Pehli Surat Bhi Dakhil Aur Agar Tarjee Ka Misra Yun Hota To Aur Behtar Tha "Al Madad Ya Ghause Aazam" Ke Khaali Naame Paak Ke Saath Nida Bhi Na Hoti Aur Taqtee Se Laam Bhi Na Girta Wallahu Ta'ala Aalam

( ریقہ

ہ

57، 56، صفتاوی اف صاا

ہ

خمل

، )

Allama Mufti Faiz Ahmad Owaisi Rahimahullahu Ta'ala Is Waqiye Ke Mutalliq Likhte Hain : Jo Hadees Huzoor Ghause Paak Radiallaho Ta'ala Anho Ke Mutalliq Bayaan Ki Jaati Hai Wo Kashf Hai, Istelahan Ise Hadees Nahin Kaha Jaata Agarche Is Kashf Ki Tayeed Isharatan Hadees -e- Meraj Se Hoti Hai Lekin Wo Bhi Khabre Wahid Hai Apne Kashfiyaat Wa Khabre Wahid Se Aqaid Saabit Nahin Hote Haan Albatta Fazail Saabit Hote Hain Aur Huzoor Ghause Paak Ki Fazeelat Ka Koi Munkar Nahin Huzoor Ghause Aazam Radiallaho Ta'ala Anho Ka Qadam Mubarak Auliya -e- Hazireen, Mutaqaddimeen Wa Mutakhireen Sab Par Hai Hazireen Par Zaahir Aur Mutaqaddimeen Wa Mutakhireen Par Batinan Aur Roohani Taur Par Lekin Mutaqaddimeen Mein Se Muraad Sahaba Wa Ahle Bait Ko Mustasna Karenge, Aise Hi Mutakhireen Mein Imam Mahdi Ko Mustasna Kiya Jayega Yun Hi Tabayeen Mein Se Baaz Hazraat, Tafseelan Faqeer Ki Tasneef "Qadamul Ghausil Jali Ala Raqbati Kullil Wali" Mein Hai

Page 21: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[18]

Huzoor Mujaddide Alfe Saani Radiallaho Ta'ala Anho Bhi Is Qadami Ke Hukm Mein Dakhil Hain Aap Ke Maktoob Jild Awwal Ki Ibarat Se Jismani Qadam Ki Nafi Muraad Hai Aur Qadam Se Buzurgi Aur Ghalba -e- Silsila Bhi Muraad Liya Gaya Hai Aur Huzoor Ghause Aazam Radiallaho Ta'ala Anho Ki Fazeelat Ke Huzoor Mujaddide Alfe Saani Radiallaho Ta'ala Anho Bhi Munkar Nahin Jaisa Ke Maktoobat Ghause Aazam...

( ست ہ، صی قطاا: فتاوی او

400، 399ملب )

Allama Mufti Abdul Mannan Aazmi Rahimahullah Is Waqiye Ke Mutalliq Likhte Hain : Tafreehul Khatir Waghaira Mein Is Qism Ki Riwayato Ka Zikr Hai Aur Aqle Sharayi Mein Is Ka Istebad Bhi Nahin Ke Huzoor Ghause Paak Ki Roohe Mubarak Us Waqt Aap Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ki Bargaah Mein Haazir Huyi Ho Aur Koi Khidmat Baja Laayi Ho Is Riwayat Ki Sanad Humare Saamne Nahin Ke Is Ki Koi Tanqeed Karein Wallahu Ta'ala Aalam

( 178، ص6فتاوی بحر العلوم، ج )

Allama Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi Rahimahullahu Ta'ala Is Riwayat Ke Mutalliq Likhte Hain : Fatawa Africa Mein Hai Ke Tafreehul Khatir Waghaira Mein Hai Ke Huzoore Aqdas Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Shabe Meraj Huzoor Ghause Paak Radiallaho Ta'ala Anho Ke Doshe Mubarak Par Paaye Anwar Rakh Kar Buraaq Par Tashreef Farma Huye Aur Baaz Ke Kalaam Mein Hai Ke Arsh Par Huzoor Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ke Tashreef Le Jaate Waqt Aisa Hua Wallahu Ta'ala Aalam

Page 22: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[19]

( 153، ص1فتاوی فیض الرسول، ج )

Allama Mufti Noorullah Nayeemi Qadri Rahimahullahu Ta'ala Ne Bhi Fatawa Africa Ke Hawale Se Likha Hai Ke Tafreehul Khatir Waghaira Mein Hai Ke Huzoore Aqdas Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Shabe Meraj Huzoor Ghause Paak Radiallaho Ta'ala Anho Ke Doshe Mubarak Par Paaye Anwar Rakh Kar Buraaq Par Tashreef Farma Huye Aur Baaz Ke Kalaam Mein Hai Ke Arsh Par Huzoor Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ke Tashreef Le Jaate Waqt Aisa Hua

( 169، ص5نوریہ، ج فتاوی )

Irfaan -e- Shariat Mein Bhi Is Waqiye Ke Hawale Se Tehreer Hai Jise Hum Upar Fatawa Razviya Ke Hawale Se Naqal Kar Chuke Hain

( 55عرفان شریعت، ص )

Allama Mufti Ajmal Qadri Rahimahullahu Ta'ala Is Riwayat Ke Baare Mein Likhte Hain: Shabe Meraj Huzoore Akram Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ke Buraaq Par Sawar Hote Waqt Ya Arsh Par Tashreef Le Jaate Waqt Huzoor Ghause Paak Radiallaho Ta'ala Anho Ki Roohe Mubarak Ka Sarkar Ke Paaye Aqdas Ke Niche Apne Dosh Mubarak Ko Zeena Banana, Is Ko Tafreehul Khatir Waghaira Kutub, Manaqib Mein Likha Hai Agar Mujhe Kitab Dastyaab Ho Jaati To Ibarat Bhi Naqal Kar Di Jaati Haan Mere Murshide Bar Haque, Imam -e- Ahle Sunnat, Mujaddide Deeno Millat, Muftiye Shariat, Shaykhul Islam Wal Muslimeen, Sanadul Muhaqqiqeen Wa Muftiyeen, Aala Hazrat, Maulana Molvi Al Haafiz Shah Imam Ahmad Raza Rahimahullahu Ta'ala Fatawa Africa Mein Ek Sawal Ke Jawab Mein Farmate Hain : Tafreehul Khatir Waghaira Mein Hai Ke Huzoore Aqdas Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Shabe Meraj Huzoor Ghause Paak Radiallaho

Page 23: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[20]

Ta'ala Anho Ke Doshe Mubarak Par Paaye Anwar Rakh Kar Buraaq Par Tashreef Farma Huye Aur Baaz Ke Kalaam Mein Hai Ke Arsh Par Huzoor Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ke Tashreef Le Jaate Waqt Aisa Hua Na Ye Ke Huzoor Ghausiyat Paaye Aqdas Kandhe Par Le Kar Shabe Meraj Khud Arsh Par Gaye (Fatawa Africa) Aur Majmua -e- Fatawa Irfan -e- Shariat Hissa Siwum Mein Is Sawal Ka Jawab Paanch Safahaat Mein Nihayat Sharah Wa Bast Ke Saath Likha (Jise Hum Naqal Kar Chuke Hain) Aur Ye Saabit Kiya Ke Is Riwayat Ke Maan Lene Mein Koi Sharayi Wa Aqli Istehala Laazim Nahin Aata Aur Is Par Ahadees Se Istedlal Kiya Aur Is Mabsoot Fatwe Ko In Alfaaz Par Khatm Farmaya : Biljumla Roohe Muqaddas Ka Shabe Meraj Ko Haazir Hona Aur Huzoore Aqdas Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ka Hazrate Ghausiyat Ki Gardan Mubarak Par Qadam -e- Akram Rakh Kar Buraaq Ya Arsh Par Jalwa Farmana Aur Sarkaar -e- Abad Qaraar Se Farzande Arjumand Ko Is Khidmat Ke Sila Mein Ye Inaam -e- Azeem Ata Hona (Ke Tumhara Qadam Waliyo Ki Gardano Par Hoga) In Mein Koi Amr Na Aqlan Aur Shar'an Mehjoor Aur Kalimaat -e- Mashaikh Mein Mastooro Masoor, Kutub -e- Hadees Mein Zikr Madoom Na Ke Adam Mazkoor, Na Riwayaat -e- Mashaikh Is Tarah Sanad -e- Zahiri Mein Mahsoor Aur Qudrate Qadir Wasee Wa Maufoor Aur Qadre Qadri Ki Bulandi Mash'hoor Phir Raddo Inkar Kya Muqtadaye Adabo Sha'oor (Irfan -e- Shariat)

( ملت ہ، ججب

112، ص1فتاوی ا )

Mazkoora Tamam Fatawa Wa Aqwaal Ki Raushni Mein Yahi Kaha Ja Sakta Hai Ke Is Waqiye Ka Inkar Karna, Ise Mauzu Wa Manghadat Qarar Dena Ya Is Ke Bayaan Karne Waale Ko Tanqeed Ka Nishana Banana Hargiz Durust Nahin Hai Agarche Ye Waqiya Kisi Hadees Ki

Page 24: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To

[21]

Kitab Mein Mazkoor Nahin Hai Lekin Is Ki Tayeed Ahadees Se Hoti Hai Aur Is Ke Suboot Ke Liye Jitni Sanad Honi Chahiye Utni Maujood Hai Kyunki Baabe Ahkaam Se Is Ka Koi Talluq Nahin Jin Muhaqqiq Ulama Ke Fatawa Se Ye Risala Sajaya Gaya Hai, Unhone Kayi Mauzu Riwayaat Aur Manghadat Waqiyaat Ki Nishan Dehi Apni Kutub Aur Fatawa Mein Farmayi Hai Aur Sakhti Se Radd Farmaya Hai Lihaza Agar Is Riwayat Mein Aisa Kuchh Hota To Wo Zaroor Is Ka Bhi Radd Farmate Lekin Unhone Aisa Nahin Kiya Aur Is Ki Taweel Ki Jo Aqlan Wa Shar'an Qabile Qabool Hai Jab Muhaqqiq Ulama Ne Ise Baaqi Rakha Hai To Is Ke Inkar Ki Koi Wajah Nahin Hai Aakhir Mein Muqarrireen Se Ye Guzarish Zaroor Karte Hain Ke Ise Bayaan Karne Mein Alfaaz Ka Khayal Rakhein Aur Mukammal Wazahat Ke Saath Bayaan Karein Taaki Awaamun Naas Ghalat Fahmi Ka Shikar Na Ho Dekha Gaya Hai Ke Muqarrireen Ki Ghalati Ka Fayeda Badmazhabo Ko Khoob Pahunchta Hai Lihaza Ehtiyat Laazim Hai

Page 25: archive.org´ب...2020/03/14  · [1] Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Arsh Par Tashreef Le Gaye To