transcript - formatted

54
FOCUS GROUP ONE K1 Assalamu alaikum mera naam hay Kaman aziz aur mein aap ka co-moderator hun. Aur doosray meray saathi hain avais babar. Hamarea discussion ho ga cooking oil kar upper. Ham log baat kerain gay cooking oil kay upper jo wo app iste’maal kertay hain aur aap ka past mein kis tirha ka experience raha hay acha raha hay [ya] bura raha hay. Us kay liye… sab say pehlay to chahiye kay app sab log apna ta\aarf kerwain, takeh ham logo ko samajh aap jaye keh app ka kis terha ka experience raha hay.To pehlay kia say…. Ap say shuru kertay hain [pointing towards respondent 1] R1 Mera naam ghazaala hay, aur mein Soya Supreme iste’maal kerti hun. K1 App jo hain, app housewife hain… acha ! …aur aap kay ghar mein kitnay afraad hain taqreeban? R1 teen afraad hain. K1 acha… cooking ziada tar aap kerti hain? R1 jee K1 aur app [pointing towards R2] mera naam noor jahan hay aur mein IBA mein student hun. Aur hamaray ghar mein 8 log hain aur generallyh meri ammi cook kerti hain. Aur mein apni ammi kay sath help kerti hun. Genrally vergetable ya conola oil istemall kerti hun. K1 Acha abhi aap oil ki bat rehnay dain aur apna general introduction day dein. Aur aap kay ghar mein 8 afraad hain aur aap kabhi kabhar cooing kerti hain. Aur ziada tar app ki ammi kerti hain. R2 jee K1 aur app [pointig towards third respondent] R3 Wajeeha…… aur meri family main 6 members hain us kay ilawa do teen nokar hain. That makes us 8 to nine people. And I am a dentist. I like cooking but I don’t cook all the time. K1 aur aap kabsay cook kerti aa rahi hain, app ko kitna time ho gaya hay cook kertay huay? R3 four years K1 acha 4 years… to generally app kay ghar mein kon cook kerta hay? R3 the cook K1 acha aur app…..? [pointing towards R4] R4 mera naam shagufta hay, housewife hun… aur cook bhee khudi kerti hun K1 acha……

Upload: api-3696157

Post on 11-Apr-2015

268 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: Transcript - Formatted

FOCUS GROUP ONE

K1 Assalamu alaikum mera naam hay Kaman aziz aur mein aap ka co-moderator hun. Aur doosray meray saathi hain avais babar. Hamarea discussion ho ga cooking oil kar upper. Ham log baat kerain gay cooking oil kay upper jo wo app iste’maal kertay hain aur aap ka past mein kis tirha ka experience raha hay acha raha hay [ya] bura raha hay. Us kay liye… sab say pehlay to chahiye kay app sab log apna ta\aarf kerwain, takeh ham logo ko samajh aap jaye keh app ka kis terha ka experience raha hay.To pehlay kia say…. Ap say shuru kertay hain [pointing towards respondent 1]

R1 Mera naam ghazaala hay, aur mein Soya Supreme iste’maal kerti hun.

K1 App jo hain, app housewife hain… acha ! …aur aap kay ghar mein kitnay afraad hain taqreeban?

R1 teen afraad hain.

K1 acha… cooking ziada tar aap kerti hain?

R1 jee

K1 aur app [pointing towards R2] mera naam noor jahan hay aur mein IBA mein student hun. Aur hamaray ghar mein 8 log hain aur generallyh meri ammi cook kerti hain. Aur mein apni ammi kay sath help kerti hun. Genrally vergetable ya conola oil istemall kerti hun.

K1 Acha abhi aap oil ki bat rehnay dain aur apna general introduction day dein. Aur aap kay ghar mein 8 afraad hain aur aap kabhi kabhar cooing kerti hain. Aur ziada tar app ki ammi kerti hain.

R2 jee

K1 aur app [pointig towards third respondent]

R3 Wajeeha…… aur meri family main 6 members hain us kay ilawa do teen nokar hain. That makes us 8 to nine people. And I am a dentist. I like cooking but I don’t cook all the time.

K1 aur aap kabsay cook kerti aa rahi hain, app ko kitna time ho gaya hay cook kertay huay?

R3 four years

K1 acha 4 years… to generally app kay ghar mein kon cook kerta hay?

R3 the cook

K1 acha aur app…..? [pointing towards R4]

R4 mera naam shagufta hay, housewife hun… aur cook bhee khudi kerti hun

K1 acha……

R5 mera naam shahida hay, housewife hun, 5 members hain meray ghar mein.. aur mein roz cook kerti hun

K1 acha… aur app? [pointing towards R6]

R6 mera naam mrs. Kiran abid hay aur mein APWA mein kaam kerti hun APWA ki member hun, All Pakistan Women’s Association. Aur Meray ghar main 4 members hain aur cooking bhee mein khudi kerti hun ziada aur aik bohat lamba arsa guzar gaya hay cooking kertay huay.

Page 2: Transcript - Formatted

K1 acha….. ab aap aias kerain keh apni kuch masroofiyaat hamain bata dain. Keh Aik typical din mein aapp log kia …. Kistaraha apnay app kis terha apnay app ko manage kertay hain? Kis time cooking keray hain aur time nikal paata hain cooking kay liye? Ya app log apnay kaam mein ziada

R5 Mein to normally satudays aur Sundays ko cooking kerti aur normally aj kal to itany ziada cooking shows aa rahay hain TV per jis ki waja say har roz aik naye dish hotee hay. Satudray Sundays ko cooking hoti hain werana normally to itna time nahi hota

K1 Acha normally ko time nahi hota. Aur waiay app ki kia masrrfoiat hotee hain perhai kay ilawa.

R3 Kuch khaas nahi Subha college hota hay aur shaam main we get off us kay baad ghar us kay bad ghar kay saaray kaamon main but that does mean cooking.

K1 acha to cooking nahi …. Aur koi batana chahey ga ghar ki masrrofiat… kia app logon ki daily routine hay

R5 Cooking is the main…. Yani keh kaha jaye ga keh aap jab subha utain to sab say main kaam yeh hay keh aaj cook kia ho ga. Pooray din ka … yani keh hamain opeher ko aik derh bajay lunch dena hay to to that means sochtay hain keh dopeher ko kia pakay ga. To sab say pehla kaam subha uthtay hee… kay keh aaj kia pakay ga.

Aur faisala kon kerta hay keh aaj kia pakay ga.

R5 I am the one

K1 app bolti hain … kabhai yeh nahi hota keh koi aur keh day…?

R5 nahi nahi bas yeh kh mein bas pooch laytee hoon Sundays walay din keh kisi ko koi special cheez khani hay kiun keh baqi din to sab bahar hee hotay hain. Apni Perhaiyon per hotay hain lunch per atay hain to bas yeh hota hay keh kia paka hay aisi cheez zaroor pakati hun keh sab kha lein.

Acha.. Aapp kay khayaal say… ziada tar app log khudi cook kertay haun ziada tar log jab khud cooking kertay hain to ziada tar apni merzi say pakatay hain ya ghar walon ki merzi shamil hoti hi.

R1 nahi apni merzi hoti hay lakin lakin kabhi kabhi bachon say bhee pooch laytay hain keh kia khana chaa rahay hain … [interrupted]

R4 lakin yeh hota hay [inturrupted]

R5 bacho keh liye hota hai keh deyhaan rakhna perta hay keh bachay kia khana pasand kertay hain. Jo bachay khatay hain bas wohi banta hay

R6 hamaray ghar mein to sirf aur sirf bachon ki fermaish per banta hay. Kuch nahi bana saktay apni merzi ka. Teen choti baytian hain meri un ki jo fermaish hotti hay aur sibha hoti hay to jo fermaish hoti hay to wohi banta hay. Aur wo who nahi khaatay jo ham khana chahtay hain. Sab say bara masla hee yahi hay

R4 jeee…[nodding]

R5 haan masla hay yeh aik

R6 Agar mein kahon ge keh gosht bana loon to wo nahi khaen gay.

K1 aur kis kisam ka khana aap log banatay hay.. kis kisam ka khana aap log pasand kertay hain yani… pehlay to hamain to yeh kaha jaata thaa keh sabzi khain aur yeh khain

R5 nahi aisa nahi hota

Page 3: Transcript - Formatted

K1 inaudible

R6 hamaray ghar mein ziada tar biryani burger banta hay

R4 ab salan aur [] jo bachay nahi khana chahtay fry cheezain aur khushk cheezain ziada hoti hain… fast food ziada khana chahain gay.

A1 Aap kay khayal main aik sehat-mand khanay ka kia raaz hay? Khanay mein gosht hona chahiye ya phir vegetable

R4 nahi… thora thora sab kuch hona chahiye sabzi aur gosht waghaira to zaroori hay

R6 Cholesterol to waisay hee bohay kam ho gaya hay ham log to khud hee bohay conscious ho gaye hain. Oily cheezain to koi bhee nahi khata aur even khana wagghira mein agar oil ziada hay to tissue say saaf ker daytay hain. Broast waghaira hee aj kal chal raha hay[intuerpted]

R4 fry cheezon ko bhee itna ziada tisuue mein daba daba ker press kertay hain phir khatay hain….. Aaj kal yeh bohay ziada … fry cheezain koi nahi khana chahta

K1 oil nahi khana .. lakin jo aj kal bazaar kay khanay chal rahay hain us main tar ziada ar oil chal raha hay aur logon ko [int]

R4 Oil say murad yeh hay keh jaisay [int]

R2 bahar ka fast food to waisay bhee chalta hay lakin app kuch bhee ker lain lakin ghar key kahanay mein tayl nahi hona chahiye. Lekin bahar aap kuch bhi ja kar kha lainjab (int)

K1 lekin mujhey jo ab samajh aa rahi hai keh zaida lag jo keh rahey hai keh culture jo ho gaya hai keh tail nahin cha raha koi (int)

R3,R4&R6 spoke simultaneously ……………

R6 Yeh nahin kaha hum ne keh tail nahin cha rahey, hum ney kaha keh ziadah tail nahin cha rahey tail keh baghair tu koi khana ban hi nahin sakta tail tu cha rahey hai lekin acha tail use kartey hain hum yeh keh mayari.... ab yeh hai keh kam use kartey hain.. yeh nahin keh khana tail main tair raha ho aisa nahin hain… tail zaroori hai is keh baghair koi khana ban nahin sakta…(Int)

R4 pehley zamaney main jo qaurma waghaira hai us main itna itna tail huwa karta tha (using hands to define quantity), who cheez ab koi bhi pasand nahin karta.. ab ager qaurma waghaira banta bhi hai tu halki si layer hotti hai.

R3 lekin sirf ghar ka qaurma , bahar dekhain qaurma main tail hi hotta hai aur taste bhi ussi ka hotta hai (chuckles)

R4 & R2 agree and smile

K1 main aana ussi taraf cha raha hoon keh bahar abhi jo culture mujhey nazar aa raha hai who y;eh keh itney restaurant khul rahey hian har banda bahar kha raha haihum khud iba main rehtey hain kitney loog bahar khatey hain tu aik taraf jab hum bahar khatey hain.. koi masla hi nahin hai keh bahar ka khana kharab hai aur sab bahar khana cha rahey hain tu kiya aap loog waqai yeh soochtey hai keh apna khana khaney sey pehley keh yeh nuqsaan dey hai

R3 normally jo parental vali side hai na who log ziada kartey hain,, kissi ko cholestol hai kissi ko heart problem hai , kissi ko diabtes hotti hai tu har jaga lipid down lipid own karain toh, un ki wajah sey hotta hai warna bachoon main itna ziada concept nahin hai keh ji tail hai aur tail nahin khana .. yeh broast hai tu yeh nahin khana.. aisa nahin hai

K1 acha yeh bachoon ki kitni umar hai.

R3 20-25 saal kit u aaram sey hai (Int)

Page 4: Transcript - Formatted

R2 humhi loog hum hi logoon ki age keh (int)

R3 mujhey nahin lagta keh hum buhat ziadah …

K1 oil conscious nahin hai?

R3 bilkul bhi nahin (open mouth)

R6 oil conscious tu main keh rahi hoon.. keh koi bhi nahin.. oil conscious ka matlab yeh nahin keh oil na hoo.. bachey ko bhi pata lekin who concept nahin hai keh mainey koi cheez di keh is main oil nazar aa raha ho tu who kha lain gey.. bachey bhi ussey tissue sey saaf kartey hai .. kamaz kam mera bacha.. bahar bhi humain pata hai keh bachey ko kiya khilana hai .. hum har jaga leja kar har cheez nahin khilatey.. jo jaga aisi hotti hain jahan maqsoos bachoon ko le jaya jata hai….lekin buhat ziadah yeh nahin keh nihari khilla rahey hain.. payey khilla rahey hain… is cheez ko bachey aajkal pasand nahin kartey .. hum hoon tu phir bhi kha lain lekin who tu jaana bhi nahin pasand kartey who sirf fast food jana pasand kartey hian. Tu oil tu zarori hai oil keh baghair tu kuch bhi nahin ho sakta…aisa tu koi concept hi naihn hai keh aap oil keh baghair kuch kar lain… broast hai tu who oil main hi talla jaye ga… yeh hai keh oil tu zaroori hai…

K1 is ka matlab hai keh ager aap ko boola jaye keh aap oil keh ander keh jo nutrients hain who achey hain, lekin ziadah nuqsaandeh nahin hai ager koi ad aap loog dekhtey hain tv par.. tu aap keh khayal sey aap who ley lain gey…

R5 bilkul nahin kharedain gey (int)

K1 nahin kharadain gey?

R5 ,R4 and R3 speaks simeltanously like: nahin aisa tu nahin.. hum loog ..

R6 (in loud voice) aik martaba tu hum try zaroor karain gey…

K1 Try zaroor karoon gi ?

R6 Haan try zaroor karoon gi.. beshak yeh zaroor hotta hai keh insaan dobarah na ley

R3 aajkal itna nahin hotta.. aajkal loog ads sey impress hotey hain…

R2 haan han..(nodding) yeh nahin keh ager who sahi sey dekha rahey hain keh us keh ander yeh nutrients ha yeh faidah hai.. aur is sey compare karain keh is keh ander itna nahin hai aur is keh ander ziadah hai… tu phir keh haan…. Acha theek hai keh is ke ander kuch ho ga..

R6 yeh tu who baat hai mainey aaj tak safeguard use nahin kiya .. safeguard ke ad ke baad mujehy yaad nahin parta keh mera bacha kabhi utility store gaya ho aur usney safeguard na uthaya ho.. us ney safeguard hi use karma hai… ager baqaul un keh poora gana suna ke batatain hain keh ammi ager aap safeguard use nahin karain gi tu aap jaraseem sey duur nahin rahey … yeh tu itna attract karta hai bachey ko .. keh bacha safeguard liye baghair wapas aata hai hi nahin…

R3 very right meri aik cousin hai.. 2 saal ki .. safeguard ka ad aata hai ussey pata hai keh tik tik tik tik kiya hotta hai (motion of hand) tu yeh cheez impress karti hain aur yeh bachoon ko aur baroon ko bhi impress karti hai…

K1 Baroon ko bhi impress karti hain .. tu ghee ya oil zahiri baat hai jo aap loog letey hain… tu acha aap ko koi ad dikhaya jaye keh falan cheez hai.. us main yeh cheez hai .. theek hai (int)

R3 ager aap ko pata hai keh yeh kiya cheez hai..

K1 acha issi sey yeh sawal hai keh kiya aap ko waqai yeh pata hai keh oil keh ander kiya cheez hai jo..

(everytone is thinking 4 sec pause)

Page 5: Transcript - Formatted

R4 nahin itna tu nahin pata hoota ..jaisey desi ghee hai .. tu hamain pata hai keh who jamta hai tu who sehat keh liye acha nahin hai…m agar jab hum oil vegetableoil use karttey hain tu.. jaisey tv main ad aatey hai… hum yeh samajahtey hain keh yeh ziadah behtar hain

R3 sab sey best word hai yeh oil ki publicity keh liye… low cholestoral. … aur yeh normally har aik oil walley aajkal apney ad main dey rahey hain (int)

R6 lekin humain pata chal jaata hai jab hum khana pakatey hain… taste kartey hain tu khaney main pata chal jata hai keh is main kitna cholestorl hai…thorri dair aap khana rakhain gey aap ko khud andaaza ho jaye ga keh cholesterol kitna hai aur oil ka standard kitna hia… is liye hum dobara phir use nahin karti …

K1 acha tu pehli dafa main hi pata chal jaata hai…

R6 haan pehli dafa main hi p.. mujhey tu andaaza ho jata hai… (int)

R5 haan taste sey hi pata chal jaata hai ..(everyone agrees) pata chal jata hai bas. Beshak ghar Walloon ko itna na patta chalta ho hum tu un keh saamney bilkul tayar cheezain rakhtey hain.. hum cookin kar rahey hottey hai tu humain process ki hi smell aa rahi hotti hai.. heek .. ussi sey humain pata chal jata hai…

K1 yani ussi time cooking sey pata chal jata hai…

(Everybdoy nods).. bilkul..

R5 itney saloon sey hum cookin gkar rahey hain.. koi naya banda ho tu shayad ussey samajh na aaye… cookin gkartey huwe mujhey 25-30 years ho gaye hain…

K1 Aap loog filhal bata saktey hain.. keh aap loog kaun kaunsa oil use kartey hain…

R5 main rafhan corn oil…

R6 main Dalda.. ajkal.. use kar rahi hoon. Kabhi dalda karti hoon kabhi sooya supreme…

K1 aap change karti rehti hain…

R6 haan main change karti rehti hoon… mainey eva bhi use kiya mujhey itna pasand nahin aaya… dalda mujhey pasand hai… bas jab koi acha ad chalta hai tu main le leti hoon.. warna arsey sey tu dalda hi le rahi hoon…

R5 mera tu corn oil hi hai..

R6 acha jab mujhey kuch aur use karma hotta hai tu main soya supreme le aati hoon…

K1 acha tu aissa huwa hai aap ke saath..

R6 haan ho jata hai kabhi kabhar… jahan sey hum sauda letey hain wahan sey nahin milta tu hum soya supreme le aatey hain… warna hum dalda hi use kartey hain…soya aur dalda main mujhey ziadah farq mesoos nahin hotta..

K1 aur aap (point to R4)

R4 Rafhan corn oil

R3 Seasons canolla..

R2 seasons canola

R1 soya supreme … K1 Acha tu (pointing to R6) aap tu change karti rehti hain (pointing towards other)

kiya aap loog bhi kabhi chang ekarti hain . tu aap loog shuroo sey hi yeh istamaal karti hain..

Page 6: Transcript - Formatted

R1 haan hum shurro sey hi use kartey hain.. ager nahin milta tu hum change karney ke barey main soochtey hian.. kabhi dlda , tullo…

K1 kabhi ager na milley..

R1 haan ager nahin milta tu…

K1 tu aap logoon ka kiya khayal hai…

R3 hum loggonn keh tu pehley habib aata tha .. lekin aik zamaney main habib hi oilo use hotta tha .. habib aur dalda do tail hottey they… phir wohi cholestoral aur vegetable oil aa gaya.. taste acha laga .. balkeh ab tu aur hum olive oil ki taraf move ho rahey hain… variations hian par normally jo khana banta hai who seasons canolla main banta hai…

A1 is variations ki wajah ads hain ya campaigns hain….

R3 main keh rahi hoon Advertisements sey buhat affect parta hai…

Page 7: Transcript - Formatted

K1 app logon me se kuan itna zada exercise waghaira kerat ahai…ya aap ki family koi hai jo exercise kerta ho?

[Everyone speaks at the same time…]

R6 walk bhee kertay hain..exercise bhee kertay hain…

R4 mager din bher mein ager aik ghant aker bhe kiya tou woh din bher kii ..woh…requirement hai usko pura nahi kerta…[pause]..uske ilava hamain khany mein bhe bohat ahtiyat kerni perti hai…oil kam kerna perhta hai…iss cheez ko dekhna perta hai ke yah hamaraay liye nuksandeh tou nahi hai

R6 mein yeh kehti hoon ke sari bemariyan na oil se hain ne khanay se hain…tension bohat zada hai…agar hum ahtiyat ker bhe lain tou tension itni hai ke uska koi faida nahi hota…insane ke ooper burden bohat zada berh gaye hain…her koi her waqt tension mein hai…meri teen saal ki bachi bhee school ke kaam se tension mein hoti hai…meray kayal mein tou sari bemarian tension se hoti hai…[interrupted]

R5 neend bhe logon kii ab kam ho gai hai…

R6 haan neend bhe proper nahi hoti…subha subha uthna hota hai bachon ko school bhejo…masail bohat barh gai hain…asal masla oil nahi hai [smiles looking at other respondents…all respondents smile back in approval]

K1 aap logon me sai…meray khayal aap dono mein se [pointing towards R2 and R3] kissi ne kaha tha ke app ke gher mein kissi zamanay mein habib ya dalda istimaal hota tha…app logon ka sab ka yahi khayal hai ke …mein app logon kii parents kii baat keronga ke ghee se switch kerke app sab ne kuansa…[interrupted]

R5 Dalda…

R6 Dalda aur Tullo se shru kia

R3 hum ne tou sab se pehlay dalda he suna tha

R4 hum tou abhee bhe meetha ya kuch halwa ya iss type ki cheez banatay hain tou ghee lamahala use kerna perhta hai..tail mein ye cheezain achi nahi banti…usska taste nahi aata…hamain maza nahi aata

K1 acha tou ghee mein maza aata hai

R4 haan ghee mein maza aata hai aur hamain ghee banani perhti hain…jaisay kissi cheez ka halwa banana hai ya mithai banani hai..iss type ki cheezon ke leye ghee use kerna perhta hai

K1 aur tail mein wo maza nahi aataR6 haan typical maza logon ko ussi se aata hai…

K1 acha aap log jo batein ker rahay hain woh dalda ghee kii batain ker rahay hain?

R3 jee dalda

R5 ya tullo…pehlay tou tullo hi shru kiya tha …mein ne jab cooking shru ki to tub tak ghee wasn’t there

R6 mein ne cooking shru kii to dalda..dalda se he start kya…

A1 Dalda ghee se?

R6 dalda tail se…ghee nahi cooking oil se…ghee us zamanay mein mujhay yaad perhta hai meri mother sarson ke tail mein khana banay kerti thee…kuch khas salon aisay thay jo sarson ke tail mein hi banay jatay thay…laikin ye ke ab tou woh bhe bohat kam hogya hai. Abtou koi itni mehnat nahi kerni perhti kyunke pehlay ussko [sarson ke tail ko] garam bohat kerna perhta tha…

R4 aur woh itna mehnga ho gya hai

Page 8: Transcript - Formatted

R6 haan

R4 aur itni assani se milta nahi hai … tou woh bhee aik masla hai

R6 sahi keh rahi hain..[nodding]

K1 aur app mein se dalda cooking oil kissi ne istimal kiya hai?

R1 mein ne tou nahi kya

R6 dalda cooking oil bohat use kya hai shru se wohi use…

K1 haan aap ne tou bataya ke aane start ussi se kya

A1 kya qualities hain jisske waja se app kertti rehti hain?

R6 quality tou yeh ke mujhay ye bohat acha kagta hai dalda ka ke uss mein see kissi qism ki heek nahi aati…dosra yeh ke khana bananay ke baad ussko ager aap bahar bhe rakhain tou usspe kissi qism kii jo layer aajati hai woh mujhay dalda mein nazar nahi aye…aur khana usske ander poora mix ho jat ahai…baaz cooking oil aisay hotay hain ke app use jarain tou woh khanay ke ooper tairna shru hojatay hain…dalda jo mein shru se iss leye zada use kerti hoon kyunke mujhay nahi lagta ka dalda main ne kabhi use kya ho..ya uskki quality mein mujhya koi farq nazar nahi aaya…soya supreme bhe mein use kerti hoon…eva bhee use kerti hoon magar dalda ki quality mujhay sab se achi nazar aati hai.

K1 aap mein se koi aur dalda use kerta hai?

A1 ya aap kissi ko jantay hon jo pehaly dalda use kerta ho aur ussne phir chorr diya ho dalda use kern ya koi much matlab [interrupted]

R3 ghee ka mein ne sunna hai dalda ke dalda ghee use hota hai pehlay hamary gher main laikin yeh ke uss ke baad cholesterol ke issue ke baad woh habib pe shift huay ke oil use kerna hia…I don’t know ke usska [dalda] oil kyun use nahi kya…laikin jab habib kya tou bohat saal tak habib chalta raha…phir usske baad seasons canola use kya

A1 acha aap log yeh samjhtay hain ke dalda pehlay as a ghee aaya tha tou usski aik image ban gayi hai??

R3 haan image…

A1 usske image aaisi ban gai hai ke aik high cholesterol wala ghee hai aur ussko cooking oil ke tor pe log accept he nahi ker rahay hain ke cookin oil bhe hosakta hai dalda??

R3 dalda walon kii itni achi promotional campaign bhee nahi hai jaisay colgate bhee bohat purana toothpaste hai ..har kissi ko pata hai..nana aur dada ko pata hai colgate kuansa toothpaste hai tou woh unhon ne aik maintain rakha hai, woh har waqt contact mein hain apne customers ke saath, labhi koi campaign ho rahi hai kabhi koi…tou woh in touch hain tou jo colgate customers hain woh aajtak pachis pachis saal se colgate he use kerahay hain …laikin woh jo dalda wala tha aik break agya beach mein..aur jab break aajata hai tou obviously koi bhe cheez ho koi bhee product ho tou woh neechay chala jata hai…olpers ke baad haleeb aur nestle bilkul thap hogya because olpers walon ne campaign shru kii tou inlogon [haleeb and nestle] apni campaign achi kerni chahye thee ke log impress hotay laikin nahi woh nahi aaye cheez..woh chup hokay beth gai ke bas…jab wohi [haleeb and nestle] chah rahay hain ke olpers berh jaye tou wo tou barhe ga he. Aaj her kissi ko pata hai olpers ky hai. Her gher mein I guess olpers use ho raha hai aur aisa bhe nahi ke olpers bura hai taste mein ya hamain bura laga…aik dafa use kya hamain acha laga phir her waqt olpers kii baat ho rahi hai

K1 laikin yahan pe experience kii baat nahi hai jaisa ke aap logon ne kaha ke aap log cooking oil dekhtay he pata chal jata hai ke kis cooking oil mein kya baat hai…agar woh dekhtay he samajh jatay hain tou aap logon ko lagta hai ke agar aik product

Page 9: Transcript - Formatted

ke ander aik khasiyat hai ke woh acha product hai usske quality achi hai aur doosri taraf aap keh rahi hai ke agar woh ad nahi dengay hamain pata nahi chalay ga?

R6 haan jaisay mein ne kaha ne ke …[interrupted]

K1 yeh tou ulti baat nahi ho gia???

R6 nahi ager hum use [interrupted]

R3 aap ko mein bataoon ke mein ne aapko pehlay bhe ye bola ke jo cheez bohat zada tv pe aarahi hai ya jo aik brand name bun gya hai for the time being usska standard kuch bhee ho woh maintain karengay..becuase unhain uss cheez ko promote kerna hai..lets say for twenty years ya ten years ya fifteen years ya jab tak laikin woh kertay rahangay. Tou uss say kya hota hai ke demagh pa banday ko…aap kahin bhee jayengay aap ko kahin bhee olpers short nahi milayga…issi terha jo tail in hota hai woh tail aap ko kissi store pe short nahi milayga..baqi tail herjaga short hojayengay…iss leye nahi ke log utha ke le jatay hain aur hai he nahi…iss leye kedokan walay he nahi rakh rahay ussko kyunke usski koi woh he nahi hai demand..jab demand he nahi hai tou woh rakhay kyun? Rakh rakh ke dabbay jama keye jain??

R6 market mein bohat sari cheezain hoti hain baaz companyan apni cheezain aisay nahi bachtein demand ko kissi aur terha berhatay hain woh to khair aik alag topic chala jaeyga...[interrupted]

R3 phir ye hota hai ke demand bilkul khatam ho jati hai

R6 yeh tou aap keh rahi hain ke haleeb bilkul down ho gya hai…laikin hum to haleeb shru se use ketay hain aur olpers aye ya koi bhee aye , yeh nesvita wagaira sab aye laikin humne sab try kerke dekha phir bhee halleb he us kya hamesha iss leye ka haleeb phir haleeb he hai na sirf ham yeh kehtay balkay meri poori family he halleb istimal kerti hai.Yahan bohat si aisiproducts hain jinka mein samajhti hoon ke koi publicity nahi hai koi kuch nahi hai laikin woh bohat bik rahi hain aur bihat chal rahi hain,.. mein ne kabhi tv pe ad nahi dekha unka kabhi akhbar mein add nahi dekha laikin woh aisi product hain aisi sale hotein hain ke hud nahi…aur woh khud kehtay hain hamain zaroorat he nahi ke ham isske publicity karain [interrupted]

R3 suppose lets se example???

R6 example yeh ke kuch chai aapne aisi dekhein hongi ..yeh Tetley chai tou ab aap dekhrahi hain..ye itni purani chai hai main aksar dookan pe dekhti thee aur dookan walay se poochti thee ke yah kaunsi chai hai dookan wala kehta tha ke baji yeh to boaht poorani chai hai barson se chali aarahi hai

R3 laikin ager yahan pe ten log betahy hain tou ten mein se shayed aik [interrupted]

R6 hamaray pas nesvita walon ne itni publicity kii..itna free nesvita bata laikin ba kitna chal raha hai woh?

R1 woh haleeb walay bje jo do saal ka free doodh de rahay hain woh bhee tou yahee ker rahay hain???

R6 ab tou khair woh bhe ker rahay hain laikin shru mein tou woh bhe nahi ker rahay thay[everyone is smiling]

R1 tou woh kyun ker rahay hainR3 haan ab tou halleeb bhee

R6 mein ye nahi kehti ke jiski zada publicity ho woh sb se acha hai

K1 aap ko kya lagta hai ke in mein se kuan sahi baat ker raha hai?? [pointing towards R4]

Page 10: Transcript - Formatted

R4 [smiles and thinks] baat dono ki sahi hai … inka tajurba [pointing towards R6] zada hai ye abhe [pointing towards R3] nai hain

K1 yani yeh [pointing towards R3] tv zada dekhti hain aur yeh [pointing towards R6] kitchen mein zada hoti hain??

R3 hum log aaj wali generation hain na [interrupted]

R6 publicity kii wajah se aik customer aik dafa change kersakta hai bar bar nahi

R4 agar aap kissi ko naya woh karana chahtay hain tou aap ko ussko batana tou paraga

R2 aapko ad to dena parayga

R4 agar unko pata chalayga tou wo change karangay

R3 ad ke baghair tou chay ga hi nahi…pahlay jo log thay nani aur dadi…unhon ne kabhi ad he nahi dekha chai ka…tou I totally agree with that point kyunke unhain nahi tha concept ke advertisement kya hai aya market kya hai ya brand kya hai…ab aap log perh rahay ho hum perh rahay hain…ab hum logong ko brand ka issue hai…bashak woh cheez panch das rupay mehngi ho laikin hum tou yahi lengay kyunke usska brand hai quality hai…ajj kal ke main baat ker rahi hoon

R4 yeh aajkal ke bachay hain…hum log puranay log hain ads se itna nahi laikin aik dafa try zaroor kertay hain[everyone agrees and starts speaking at the sametime]

R6 aaj kal market mein itni cheezain hain ke ager koi nai cheez market mein aati hai tou market mein pehaly he itna saman hai ke publicity tou zaroori hai

R2 jaisay olpers aaya tha for example tou usse tou bohat kuch kerna para tha … unka tou millions ka budget tha

R6 haan millions ka budget tha aur woh aaj tak recover ker rahay hain baicharay

R3 nahi nahi aapko pata hai olpers ke launch honay ke baad do teen mahinay mein unki saray recovery ho gai thee advertisement ka paisa her cheez ka paisa cover ho gya tha

R6 yeh tou aap keh rahi hain liakin hamaray bhe bohat survey hotay hain ye olpers ho ya koi bhe hamain pata hai ke aik derh saal lag jata hai recover kerne main

R3 mein ne olpers try kya…mein ne goodmilk bhe try kya laikin mujhay olpers acha laga tou mein ne olpers he use kya

K1 yani mein yeh ke sakta hoon ke mujhay jo samajh aaraha hai ke advertisement jo hai woh aapko aik dafa tou dookan bhej dega laikin aik dafa try kerne ke baad[interrupted]

R3 woh phir try kerne ke baad he pata chalta hai

K1 phir experience se influence hota hai?

R3 woh aik dafa use kerne ke baad quality achi hogi tou mein zaroor jaongi chahay woh das rupay mehnga he ho…jaisay jab olpers aaya tha tou haleeb aur nestle se low price tha laikin ab woh price zada hai ,…taqreeban das rupay ooper hai laikin ham use kerarhay hain kyunke hamain pasand[everyone speaks at the same time]

R4 kuch logon ke pas itne paisay nahi hotay..woh log ye bhe dekhtay hain ke paisa kitna hai quality kya hai…phir compromise kerna perhta hai

R6 isspe logon kii awareness pe bhe hota hai…hum logon ko ye pata hai…kabhi aisa bhe hota hai aap uss se halleb mang rahay hain laikin woh apnay profit ko dekh ker aapko doosra pakola milk deta hai ke ye naya haibaji acha hai…woh paisay kam kerke bazid ho kay woh aapko daydeta hai aur aap layjatay hain…iss terha

Page 11: Transcript - Formatted

shopkeeper ka bohat influence hota ke aap ko uusko kya advantage datay hain ke woh customers ko bataye…

R2 logon se pooch ke bhee ham influence hotay hain

K1 aap bohat chup hain aapka kya khayal hai?[pointing towards R1]

R1 pata nahi

K1 aap ke khayal mein ye sab log sahi bol rahay hain?

R1 kuch unki batein sahi hain kuch unki batein sahi hai.

A1 laikin kya ye batain sahe hain ke kissi bee product kii aik dafa saakh bana lain tou dobara usski advertising kii zaroorat nahi perhti?

R3 nahi nahi…perhti tou hai…baat yeh hai ka aap apne customers se intouch raho..aap batatay rahain unko…chahay aap kuch bhee na kerain laikin aap bas aik ad daydein. Ad se bohat farq parhta hai

R6 aajkal intouch rehna tou zaroori hai

R2 laikin doosray factors bhee hotay hain…aik bulb hai aur olpers hai donon kii advertising mein farq hai donon kii market different hai…aik personal use ki cheezhai aik gher ke use kii cheez hai…donon ke different factors…aik bulb kitni dafa kharab hota hota ke aap purchase kerain aur olpers aap kitni dafa purchase kerangay??

R6 haan sahi keh rahi hain…bulb ka ad tou kum hi nazar aata hai laikin olpers ka ad tou din mein do teen ber dekh laytay hain

K1 kissi koi abhhe cookibg oil ka ad yaad hai jo abhe bata sakein?

R4 aik to wo hai ke amma tullo mein pakao hamain sehat mand banao

R5 yeh jingle to mind mein beth gya hai

R4 haan hum ne bohat zada suna hai tou hamain tou yaad hogya hai

R6 haan jaisay habib ka hai ke naam he kafi hai…dalda ka ad badakta rehta hai…bahu aur saas ke ad zada hotay hain dalda ke

K1 acha aap [pointing towards R3] tou bataaein aap ko koi ad yaad hai?

R3 kafi ad hain jo aajkal aarahay hain…yeh dil ka mamla hai..yeh shayed soya supreme ka hai [smile] [everyone speaks at the same time]

R6 issi leye nojawan zada dekhtay hain kyunke ye dil ka mamla hai [smile][everyone shares the laugh]

R6 humlog puranay log hain tou hamain amma tullo mein pakao yaad hai ya phir dalda ka hai bahoo dalda mein pakalo…dalda ka aap jab he dekhain ge tou saas bahoo ka zada hoga

A1 aap bataaein [pointing towards R4 and R5] jaisay aap rafhan he use kerti aarahi hai tou rafhan mein aisi kuansi cheez hogi jo aap rafhan use kerna chorr dengi?? Ya aap [pointing towards R6] dalda mein koi aisi baat dekhengi ke dalda chorr dengi??/

R5 ager koi mujhay ye kehday ke ye sehat ke leye sahi nahi hai ya ess mein koi ingredient sahi nahi hai tou phir mein zahir hai ke mein nahi use karoongi.

R2 kya aisi he koi bhee kehde??

Page 12: Transcript - Formatted

R3 nahi aisi he koi bhee nahi…pehlay mein khud dekhoongi phir ager koi kehde ya phir koi doctor mujhay mana kerde tou…if I really feel then I stop it ager nahi tou shayed mein suni unsuni kerdoon.

Page 13: Transcript - Formatted

K1 app logon me se kuan itna zada exercise waghaira kerat ahai…ya aap ki family koi hai jo exercise kerta ho?

[Everyone speaks at the same time…]

R6 walk bhee kertay hain..exercise bhee kertay hain…

R4 mager din bher mein ager aik ghant aker bhe kiya tou woh din bher kii ..woh…requirement hai usko pura nahi kerta…[pause]..uske ilava hamain khany mein bhe bohat ahtiyat kerni perti hai…oil kam kerna perhta hai…iss cheez ko dekhna perta hai ke yah hamaraay liye nuksandeh tou nahi hai

R6 mein yeh kehti hoon ke sari bemariyan na oil se hain ne khanay se hain…tension bohat zada hai…agar hum ahtiyat ker bhe lain tou tension itni hai ke uska koi faida nahi hota…insane ke ooper burden bohat zada berh gaye hain…her koi her waqt tension mein hai…meri teen saal ki bachi bhee school ke kaam se tension mein hoti hai…meray kayal mein tou sari bemarian tension se hoti hai…[interrupted]

R5 neend bhe logon kii ab kam ho gai hai…

R6 haan neend bhe proper nahi hoti…subha subha uthna hota hai bachon ko school bhejo…masail bohat barh gai hain…asal masla oil nahi hai [smiles looking at other respondents…all respondents smile back in approval]

K1 aap logon me sai…meray khayal aap dono mein se [pointing towards R2 and R3] kissi ne kaha tha ke app ke gher mein kissi zamanay mein habib ya dalda istimaal hota tha…app logon ka sab ka yahi khayal hai ke …mein app logon kii parents kii baat keronga ke ghee se switch kerke app sab ne kuansa…[interrupted]

R5 Dalda…

R6 Dalda aur Tullo se shru kia

R3 hum ne tou sab se pehlay dalda he suna tha

R4 hum tou abhee bhe meetha ya kuch halwa ya iss type ki cheez banatay hain tou ghee lamahala use kerna perhta hai..tail mein ye cheezain achi nahi banti…usska taste nahi aata…hamain maza nahi aata

K1 acha tou ghee mein maza aata hai

R4 haan ghee mein maza aata hai aur hamain ghee banani perhti hain…jaisay kissi cheez ka halwa banana hai ya mithai banani hai..iss type ki cheezon ke leye ghee use kerna perhta hai

K1 aur tail mein wo maza nahi aataR6 haan typical maza logon ko ussi se aata hai…

K1 acha aap log jo batein ker rahay hain woh dalda ghee kii batain ker rahay hain?

R3 jee dalda

R5 ya tullo…pehlay tou tullo hi shru kiya tha …mein ne jab cooking shru ki to tub tak ghee wasn’t there

R6 mein ne cooking shru kii to dalda..dalda se he start kya…

A1 Dalda ghee se?

R6 dalda tail se…ghee nahi cooking oil se…ghee us zamanay mein mujhay yaad perhta hai meri mother sarson ke tail mein khana banay kerti thee…kuch khas salon aisay thay jo sarson ke tail mein hi banay jatay thay…laikin ye ke ab tou woh bhe bohat kam hogya hai. Abtou koi itni mehnat nahi kerni perhti kyunke pehlay ussko [sarson ke tail ko] garam bohat kerna perhta tha…

R4 aur woh itna mehnga ho gya hai

Page 14: Transcript - Formatted

R6 haan

R4 aur itni assani se milta nahi hai … tou woh bhee aik masla hai

R6 sahi keh rahi hain..[nodding]

K1 aur app mein se dalda cooking oil kissi ne istimal kiya hai?

R1 mein ne tou nahi kya

R6 dalda cooking oil bohat use kya hai shru se wohi use…

K1 haan aap ne tou bataya ke aane start ussi se kya

A1 kya qualities hain jisske waja se app kertti rehti hain?

R6 quality tou yeh ke mujhay ye bohat acha kagta hai dalda ka ke uss mein see kissi qism ki heek nahi aati…dosra yeh ke khana bananay ke baad ussko ager aap bahar bhe rakhain tou usspe kissi qism kii jo layer aajati hai woh mujhay dalda mein nazar nahi aye…aur khana usske ander poora mix ho jat ahai…baaz cooking oil aisay hotay hain ke app use jarain tou woh khanay ke ooper tairna shru hojatay hain…dalda jo mein shru se iss leye zada use kerti hoon kyunke mujhay nahi lagta ka dalda main ne kabhi use kya ho..ya uskki quality mein mujhya koi farq nazar nahi aaya…soya supreme bhe mein use kerti hoon…eva bhee use kerti hoon magar dalda ki quality mujhay sab se achi nazar aati hai.

K1 aap mein se koi aur dalda use kerta hai?

A1 ya aap kissi ko jantay hon jo pehaly dalda use kerta ho aur ussne phir chorr diya ho dalda use kern ya koi much matlab [interrupted]

R3 ghee ka mein ne sunna hai dalda ke dalda ghee use hota hai pehlay hamary gher main laikin yeh ke uss ke baad cholesterol ke issue ke baad woh habib pe shift huay ke oil use kerna hia…I don’t know ke usska [dalda] oil kyun use nahi kya…laikin jab habib kya tou bohat saal tak habib chalta raha…phir usske baad seasons canola use kya

A1 acha aap log yeh samjhtay hain ke dalda pehlay as a ghee aaya tha tou usski aik image ban gayi hai??

R3 haan image…

A1 usske image aaisi ban gai hai ke aik high cholesterol wala ghee hai aur ussko cooking oil ke tor pe log accept he nahi ker rahay hain ke cookin oil bhe hosakta hai dalda??

R3 dalda walon kii itni achi promotional campaign bhee nahi hai jaisay colgate bhee bohat purana toothpaste hai ..har kissi ko pata hai..nana aur dada ko pata hai colgate kuansa toothpaste hai tou woh unhon ne aik maintain rakha hai, woh har waqt contact mein hain apne customers ke saath, labhi koi campaign ho rahi hai kabhi koi…tou woh in touch hain tou jo colgate customers hain woh aajtak pachis pachis saal se colgate he use kerahay hain …laikin woh jo dalda wala tha aik break agya beach mein..aur jab break aajata hai tou obviously koi bhe cheez ho koi bhee product ho tou woh neechay chala jata hai…olpers ke baad haleeb aur nestle bilkul thap hogya because olpers walon ne campaign shru kii tou inlogon [haleeb and nestle] apni campaign achi kerni chahye thee ke log impress hotay laikin nahi woh nahi aaye cheez..woh chup hokay beth gai ke bas…jab wohi [haleeb and nestle] chah rahay hain ke olpers berh jaye tou wo tou barhe ga he. Aaj her kissi ko pata hai olpers ky hai. Her gher mein I guess olpers use ho raha hai aur aisa bhe nahi ke olpers bura hai taste mein ya hamain bura laga…aik dafa use kya hamain acha laga phir her waqt olpers kii baat ho rahi hai

K1 laikin yahan pe experience kii baat nahi hai jaisa ke aap logon ne kaha ke aap log cooking oil dekhtay he pata chal jata hai ke kis cooking oil mein kya baat hai…agar woh dekhtay he samajh jatay hain tou aap logon ko lagta hai ke agar aik product

Page 15: Transcript - Formatted

ke ander aik khasiyat hai ke woh acha product hai usske quality achi hai aur doosri taraf aap keh rahi hai ke agar woh ad nahi dengay hamain pata nahi chalay ga?

R6 haan jaisay mein ne kaha ne ke …[interrupted]

K1 yeh tou ulti baat nahi ho gia???

R6 nahi ager hum use [interrupted]

R3 aap ko mein bataoon ke mein ne aapko pehlay bhe ye bola ke jo cheez bohat zada tv pe aarahi hai ya jo aik brand name bun gya hai for the time being usska standard kuch bhee ho woh maintain karengay..becuase unhain uss cheez ko promote kerna hai..lets say for twenty years ya ten years ya fifteen years ya jab tak laikin woh kertay rahangay. Tou uss say kya hota hai ke demagh pa banday ko…aap kahin bhee jayengay aap ko kahin bhee olpers short nahi milayga…issi terha jo tail in hota hai woh tail aap ko kissi store pe short nahi milayga..baqi tail herjaga short hojayengay…iss leye nahi ke log utha ke le jatay hain aur hai he nahi…iss leye kedokan walay he nahi rakh rahay ussko kyunke usski koi woh he nahi hai demand..jab demand he nahi hai tou woh rakhay kyun? Rakh rakh ke dabbay jama keye jain??

R6 market mein bohat sari cheezain hoti hain baaz companyan apni cheezain aisay nahi bachtein demand ko kissi aur terha berhatay hain woh to khair aik alag topic chala jaeyga...[interrupted]

R3 phir ye hota hai ke demand bilkul khatam ho jati hai

R6 yeh tou aap keh rahi hain ke haleeb bilkul down ho gya hai…laikin hum to haleeb shru se use ketay hain aur olpers aye ya koi bhee aye , yeh nesvita wagaira sab aye laikin humne sab try kerke dekha phir bhee halleb he us kya hamesha iss leye ka haleeb phir haleeb he hai na sirf ham yeh kehtay balkay meri poori family he halleb istimal kerti hai. Yahan bohat si aisiproducts hain jinka mein samajhti hoon ke koi publicity nahi hai koi kuch nahi hai laikin woh bohat bik rahi hain aur bihat chal rahi hain,.. mein ne kabhi tv pe ad nahi dekha unka kabhi akhbar mein add nahi dekha laikin woh aisi product hain aisi sale hotein hain ke hud nahi…aur woh khud kehtay hain hamain zaroorat he nahi ke ham isske publicity karain [interrupted]

R3 suppose lets se example???

R6 example yeh ke kuch chai aapne aisi dekhein hongi ..yeh Tetley chai tou ab aap dekhrahi hain..ye itni purani chai hai main aksar dookan pe dekhti thee aur dookan walay se poochti thee ke yah kaunsi chai hai dookan wala kehta tha ke baji yeh to boaht poorani chai hai barson se chali aarahi hai

R3 laikin ager yahan pe ten log betahy hain tou ten mein se shayed aik [interrupted]

R6 hamaray pas nesvita walon ne itni publicity kii..itna free nesvita bata laikin ba kitna chal raha hai woh?

R1 woh haleeb walay bje jo do saal ka free doodh de rahay hain woh bhee tou yahee ker rahay hain???

R6 ab tou khair woh bhe ker rahay hain laikin shru mein tou woh bhe nahi ker rahay thay[everyone is smiling]

R1 tou woh kyun ker rahay hain

R3 haan ab tou halleeb bhee

R6 mein ye nahi kehti ke jiski zada publicity ho woh sb se acha hai

K1 aap ko kya lagta hai ke in mein se kuan sahi baat ker raha hai?? [pointing towards R4]

Page 16: Transcript - Formatted

R4 [smiles and thinks] baat dono ki sahi hai … inka tajurba [pointing towards R6] zada hai ye abhe [pointing towards R3] nai hain

K1 yani yeh [pointing towards R3] tv zada dekhti hain aur yeh [pointing towards R6] kitchen mein zada hoti hain??

R3 hum log aaj wali generation hain na [interrupted]

R6 publicity kii wajah se aik customer aik dafa change kersakta hai bar bar nahi

R4 agar aap kissi ko naya woh karana chahtay hain tou aap ko ussko batana tou paraga

R2 aapko ad to dena parayga

R4 agar unko pata chalayga tou wo change karangay

R3 ad ke baghair tou chay ga hi nahi…pahlay jo log thay nani aur dadi…unhon ne kabhi ad he nahi dekha chai ka…tou I totally agree with that point kyunke unhain nahi tha concept ke advertisement kya hai aya market kya hai ya brand kya hai…ab aap log perh rahay ho hum perh rahay hain…ab hum logong ko brand ka issue hai…bashak woh cheez panch das rupay mehngi ho laikin hum tou yahi lengay kyunke usska brand hai quality hai…ajj kal ke main baat ker rahi hoon

R4 yeh aajkal ke bachay hain…hum log puranay log hain ads se itna nahi laikin aik dafa try zaroor kertay hain[everyone agrees and starts speaking at the sametime]

R6 aaj kal market mein itni cheezain hain ke ager koi nai cheez market mein aati hai tou market mein pehaly he itna saman hai ke publicity tou zaroori hai

R2 jaisay olpers aaya tha for example tou usse tou bohat kuch kerna para tha … unka tou millions ka budget tha

R6 haan millions ka budget tha aur woh aaj tak recover ker rahay hain baicharay

R3 nahi nahi aapko pata hai olpers ke launch honay ke baad do teen mahinay mein unki saray recovery ho gai thee advertisement ka paisa her cheez ka paisa cover ho gya tha

R6 yeh tou aap keh rahi hain liakin hamaray bhe bohat survey hotay hain ye olpers ho ya koi bhe hamain pata hai ke aik derh saal lag jata hai recover kerne main

R3 mein ne olpers try kya…mein ne goodmilk bhe try kya laikin mujhay olpers acha laga tou mein ne olpers he use kya

K1 yani mein yeh ke sakta hoon ke mujhay jo samajh aaraha hai ke advertisement jo hai woh aapko aik dafa tou dookan bhej dega laikin aik dafa try kerne ke baad[interrupted]

R3 woh phir try kerne ke baad he pata chalta hai

K1 phir experience se influence hota hai?

R3 woh aik dafa use kerne ke baad quality achi hogi tou mein zaroor jaongi chahay woh das rupay mehnga he ho…jaisay jab olpers aaya tha tou haleeb aur nestle se low price tha laikin ab woh price zada hai ,…taqreeban das rupay ooper hai laikin ham use kerarhay hain kyunke hamain pasand[everyone speaks at the same time]

R4 kuch logon ke pas itne paisay nahi hotay..woh log ye bhe dekhtay hain ke paisa kitna hai quality kya hai…phir compromise kerna perhta hai

R6 isspe logon kii awareness pe bhe hota hai…hum logon ko ye pata hai…kabhi aisa bhe hota hai aap uss se halleb mang rahay hain laikin woh apnay profit ko dekh ker aapko doosra pakola milk deta hai ke ye naya haibaji acha hai…woh paisay kam kerke bazid ho kay woh aapko daydeta hai aur aap layjatay hain…iss terha

Page 17: Transcript - Formatted

shopkeeper ka bohat influence hota ke aap ko uusko kya advantage datay hain ke woh customers ko bataye…

R2 logon se pooch ke bhee ham influence hotay hain

K1 aap bohat chup hain aapka kya khayal hai? [pointing towards R1]

R1 pata nahi

K1 aap ke khayal mein ye sab log sahi bol rahay hain?

R1 kuch unki batein sahi hain kuch unki batein sahi hai.

A1 laikin kya ye batain sahe hain ke kissi bee product kii aik dafa saakh bana lain tou dobara usski advertising kii zaroorat nahi perhti?

R3 nahi nahi…perhti tou hai…baat yeh hai ka aap apne customers se intouch raho..aap batatay rahain unko…chahay aap kuch bhee na kerain laikin aap bas aik ad daydein. Ad se bohat farq parhta hai

R6 aajkal intouch rehna tou zaroori hai

R2 laikin doosray factors bhee hotay hain…aik bulb hai aur olpers hai donon kii advertising mein farq hai donon kii market different hai…aik personal use ki cheezhai aik gher ke use kii cheez hai…donon ke different factors…aik bulb kitni dafa kharab hota hota ke aap purchase kerain aur olpers aap kitni dafa purchase kerangay??

R6 haan sahi keh rahi hain…bulb ka ad tou kum hi nazar aata hai laikin olpers ka ad tou din mein do teen ber dekh laytay hain

K1 kissi koi abhhe cookibg oil ka ad yaad hai jo abhe bata sakein?

R4 aik to wo hai ke amma tullo mein pakao hamain sehat mand banao

R5 yeh jingle to mind mein beth gya hai

R4 haan hum ne bohat zada suna hai tou hamain tou yaad hogya hai

R6 haan jaisay habib ka hai ke naam he kafi hai…dalda ka ad badakta rehta hai…bahu aur saas ke ad zada hotay hain dalda ke

K1 acha aap [pointing towards R3] tou bataaein aap ko koi ad yaad hai?

R3 kafi ad hain jo aajkal aarahay hain…yeh dil ka mamla hai..yeh shayed soya supreme ka hai [smile] [everyone speaks at the same time]

R6 issi leye nojawan zada dekhtay hain kyunke ye dil ka mamla hai [smile][everyone shares the laugh]

R6 humlog puranay log hain tou hamain amma tullo mein pakao yaad hai ya phir dalda ka hai bahoo dalda mein pakalo…dalda ka aap jab he dekhain ge tou saas bahoo ka zada hoga

A1 aap bataaein [pointing towards R4 and R5] jaisay aap rafhan he use kerti aarahi hai tou rafhan mein aisi kuansi cheez hogi jo aap rafhan use kerna chorr dengi?? Ya aap [pointing towards R6] dalda mein koi aisi baat dekhengi ke dalda chorr dengi??/

R5 ager koi mujhay ye kehday ke ye sehat ke leye sahi nahi hai ya ess mein koi ingredient sahi nahi hai tou phir mein zahir hai ke mein nahi use karoongi.

R2 kya aisi he koi bhee kehde??

Page 18: Transcript - Formatted

R3 nahi aisi he koi bhee nahi…pehlay mein khud dekhoongi phir ager koi kehde ya phir koi doctor mujhay mana kerde tou…if I really feel then I stop it ager nahi tou shayed mein suni unsuni kerdoon.

Page 19: Transcript - Formatted

R3 Smell say pata chall jata hay keh … [int]

R4 kis terha ka hay aur… chipak rahi hay kia hay !

R5 matlab wo itna mehenga perta hay. Bohat mehenga !

R4 aik litre ki botal hay na, sarhay teen so ki

K1 acha

R4 wo bohat ziada hay wo. har koi toi use nahi ker sakta na siwai es kay keh wo mareezon ko use kerwaya jaye

R6 Wo mareezon ka hi hay. Un [logon] ko mareez bana dein app

[everybody laughs and everybody speaks]

R5 nahi app kay kahayal say bohat say log afford ker sakte hain un logon nay olive oil per switch kia hay. Mein nay apni family mein dekha hay keh jo log kam oil use kertay hain es waja say unhon nay ahista ahista olive oil per switch kiya hay.

R6 Aik special tum nay yahan rakha hay na. ab aik special tum rakho aik deyhaat ki taraf. Phir tumhain pata chalay ga kay oil kia, cheez kia hay. Yeh bhi thora sa idea ho ga na. kisi chotay ilaaqay mein ja ker wahan tum logon say poocho.

R4 Wahan kohlu hota hay. Wahan tayl jo wo log nikalwaatay hain kabhi til ka tayl estmaal kertay hain, kabhi sarson ka tayl ziada istemal kertay hain

R4 choti jagon pey…

R6 khula tayl estemaal hota hay ziada

R3 Jo sasta paray ga

R4 jo sasta hota hay wo ziada use kertay hain

R3 chahe wo use … use hua wa tayl ho… jo yeh KFC …

R6 Dekho jo saashay hain, wo chalay hi un logon kay liye hain. Es liye ham chotay dayhaat waghaira mein to jaatay hain, even yeh keh ham … app orangi chalay jain, usi peh korangi, wahan dabbay aap ko bohat kam miltay hain, ap ko sirf saashay nazar aatay hain. Yeh un ka daily ka hisaab kitaab hota hay keh kitni chaye layne hay.. es ka saashay layna hay.

R2 har cheez ka daily ka hisab kitab hota hay chaye ka, doodh ka

R5 [inaudible] say aap poochain to wo daily hamain ata tha aur wo daily dayta tha. Aik chaye ka saashay hota thaa

R2 daily haan… har cheez daily haan.

R6 Aur yeh ka app Publicity mein jo saashay lagain hain wo bohat achay hain. Mein to kahun gi keh logon ko bara faida hua.

A1 Acha aap kay khayal say log pouches ziada use kertay hain ya dabbay jo…

R3 depend kerta hay keh aap kis area ki baat ker rahay hain. Jis area ki baat hay us area ki…

A1 nahi aap log…

R5 ham to canes use kertay hain

Page 20: Transcript - Formatted

A1 cane use kertay hain !

R5 Cane !

A1 aur pouches matlab keh jo hain wo ziada ter middle log…

R6 Han baycharay jo hain roz kay roz

R2 Wo phir chotay chotay say log hon gay phir…

R5 Matlab aap ko kam quantity main mil jati hain us mein cheezainhar size main jaisay… half litre hayyy.. har size mil jaye gaa ja keh ham jatey hain to hum to maheenay ka stock latay hain.

R6 maheenay ka stock lay ker atey hain….

R5 wo to stock ker nahi saktay. To hum to aik saath cane… litre wala can, us terha say lay aayen gay puray puray hamaray use kay liye.

A1 acha app quality ko define kaisay kerain gee? Matlab yeh low cholestrol quality hai ya purity quality hay… ya kam paison mein aik achi cheez milti hay wo quality hai..?

R4 Yeh bhee aik bohat bara hay keh kam paison mein aik achi cheez mil jaye. Jitna ziada wo hota hay keh ye behtar hay. itne paison mein yahi sab say behtar hay.

R6 Lakin paisay bhee ham dekhtay hain keh aaya itnay paison mein yeh aa sakta hay? Yeh nahi keh itnay kam paison mein itni achi cheez hay wo jo aaj kal possible nahi, keh aap ko pachees rupay mein aik kilo tayl mil jaye aisa agar koi company keh raha hay to ham nahi khareedain gay kabhi. Hamain pata hay keh wo kia ho ga. Lakin aik limit hay keh agar es limit main agar itna acha tayl mil raha hay to phir try zaroor kerun gi aik dafa.

K1 lakin agar pachees rupay mein aik kilo tayl waqai mil jaye to keh khareed layna chahiye? Aur acha company ka ho aur wo bhee [inaudible]

R2 Doosray yeh nahi batatay keh us ki quality un ko kaisi lag rahi hay.

R3 Pachees rupay ka tayl… jo baychay ga.. wo kitna ad banai ga? Kitna bara ad bana sakta hay? … nahi karay ga !

R6 ya to tum karobar khatam ker do.. [everybody laughs] ya phir koi guzar raha ho ga [Inaudible] raha ho ga werna to koi otherwise nahi ker sakta. [everybody laughs again]

R1 Nahi ya us kay tayl mein kuch gir gaya hay ! [everybody laughs]

R6 Gir gaya hayyyy! [agreeing]

A1 acha yeh batain keh app logon kay khayal mein aik achay tayl ki per kg price kia ho ge? Ap batain [poiting towards R1]

R6 [promptly speaks] eighty… seventy five say eighty… bas !

R1 [nodding] seventy, seventy five yeh honi chahiye.

R6 eighty say ander ander honi chahiye, bas !

A1 meray kahyal mein Rafhan cooking oil to eighty ka…

R4 yehi [inaudible] ka hay, lakin agar kam ho to zahir hay keh acha hay !

R5 nahi daam lakin …. Daam…. Barha… barh bhee jata hay lakin ham…

R4 Majboori hay keh layna hi hay.

Page 21: Transcript - Formatted

R5 per ham laynay jaatay thay to acha barh gaya! Uff allah ! Matlab yeh keh yani keh app kay budget mein [inaudible] hoti hay .. lakin you don’t leave it keh nahi yeh pachees ruay barh gaya…

R6 Han yeh sahi keh rahi hain …. lakin yeh keh….. ham chor nahi saktay. wo dsas rupay barhay ga to ham yeh sochain gay keh ham chor dain

K1 chahay agar misaal kay taur per agar rafhan kay agar das rupay barh gaye aur koi aur cooking oil utnay hi per mil raha hay

R4 Das was rupay mein to koi bhee nahi keray ga

R5 pachees pachaas berh jaen to mein to nahi kerun gi.

R4 han agar pachass hon to phir bheee kuch log sochain gay

R6 Nahi bhaye agar pachees pachaas barh jaye to main to shaid change ker loon bhaye !

[everybody giggles]

R5 Pehlay to jo tayl tha use kertay thay wo ham apnay , pehlay kuch kam tha, kam ker diya thaa mein nay apnay asal mein… Jaisay mein jahan do chamach daalti thee to ahista ahista derh dala… koi because keh oil mujhay kam use kerna hay to phir main jab kam use ker rahi hun to I might compromise on that.

K1 acha !

R5 es liye ! main nay aik cheez mujhe pata hay achi hay… and I am satisfied with that tau I’ll not change.

R3 but this is the ten percent !

R5 yeah

R3 Ten percent people would’nt compromise on fifty rupees… rest ninety percent would ! Even on ten rupees they would compromise [inaudible]

R6 Nahi bhaye… Das rupay mein tau log kabhi kabhi … matlab… pachees tees rupay to bohay hay… mein sochon gi keh aisa kia nazar aa raha tha jo pachees tees rupay us nay berha diye ! hain to choro ! kuch ajeeb hi bana raha ho ga. [A1

giggles] [everybody laughs] pachees rupay barha raha hay to kuch ajeeb hi bana raha ho ga. Phir ham nahi lain gay.

A1 Tau… aap kay khayal say aik ideal cooking oil jo ho ga… best cooking oil.. us kay ander kon si qualities honi chahiyain? Jaisay low cholestrol ki baat ki… aur purity ki baat ki.. kiun keh… ham nay aik survey kia tha us mein pata chala thaa keh dalda kay ander say impurities impurities theen… jo dalda keh neechay nahi reh jaati… layer ! khulay oil mein tau khair hoti heen hay.. lakin dalda kay ander say jo es terha… cholestrol ho ga… low cholestrol… aur price peh aap logon nay kaha keh… eighty rupees per kg aik ideal price hay… us kay ilawa?

R3 taste ! I guess sab say ziada important ho jata hay… jab aap bana keh khila rahay hotay hain kisi ko…tau… [int]

R4 achay say acha khana jo hay.. wo aap ko acha nahi lagay ga… [int]

R3 chahay bohat low cholestrol hay.. aur taste hi nahi hay khanay mein… tau wo koi bhee nahi khaye gaa… [int]

A1 taste … Taste kis terha define kerti hain.. kiun keh, pehli baat yeh keh har bande ka, har ghar ka different … different hota hay.. aur secondly yeh keh… taste aur jo smell … jo aik saath hi jaati hay… tau kehtay hain keh …wo oil sab say best hay jis ki koi khusboo na ho… odour hee na ho. Theek hay naa,

Page 22: Transcript - Formatted

Miaaaoon miaaaoooon miaaaaooon miaaaaooooon [cat crying in background loudly]

A1 Heek aaye hi nahi… aur yeh tayl ki tau apni to bilkul hi nahi aani chahiye… albatta jab khana paka rahay ho tau wo! … wo samajhtee hain app? Keh Wo hona chahiye ya phir… ya wo ziada tar sahi rehta hay keh jaisay desi ghee ko jasay kehtay hain keh jaisay hamaray yahan

R3 nahi nahi… nahi ! ab khanay ki smell ho per tayl yeh hota hay keh khana pakatay huay vary kertay hain tau app….ab app tau cooking nahi kertay lakin taste alag hay har uska…yeh nahi … khanay ka to taste wohi hay lakin wo aik ajeeb si different aata hay, taste main… jab aap switch kertay hain koi oil

R6 dekhain normal yeh jo cooking oil hain na … soya supreme lay lain aap, dalda lay lain, tallo lay lain, in ko app agar try kerain tau itna ziada app ko es main farq nahi milta en main bhi. un kay standard mein aap ko itna farq nahi milay ga keh.. kuch aur meezan aur yeh kisaan waighira to chalain phir bhee yeh hay keh, aik aap ko yeh pata chal jata hay keh… aik ….app.. farz kerain keh aadha kilo gosht agar do chammach mein banaya hay… tau aap daily routine mein bana rahay hain…dekahin kuch aisay … aaaaa… cooking oil app use kerain app nay do chammach dala…aap ko pata hi nahi keh tayl kia hay…

R5 keh kahan gaya !

R6 tayl kahan gaya.. pata hi nahi chalta. Phir wahan say hamain andaaza ho jata hay keh yeh tayl jo hay sahi nahi hay keh es liye keh normally ham itnay hi tayl main ham itna acha khana banatay hain lakin ab yeh jo hay tayl… pata hi nahi chal raha es main. Wahan say phir ham es ko use nahi kertay.

A1 acha aap [pointing towards R4]…. Itnay arsay say rafhan use kerti hain… app bhee kerti hain [pointing towards R5].. ab farz kerain keh market main say rafhan cooking oil short ho jata hay… second option kia rakhain gi aap?

[people remain silent for almost 5 seconds]

A1 ya phir dalda cooking oil?... … … matlab koi bhee jo app

R5 I’ll try something nearest us say jo ho ga

A1 acha !

R5 aaa … like soya supreme… jo meray.. suna hua ho us ko zahir hay ja keh mein pehlay try kerun gi…

[everybody starts to speak… bzzzzmmmmmuuummmmm]

R3 [louder than others] jo suna hua ho ga… jo suna hua ho ga.

R5 I won’t just go and buy anything I like, I just the people around.. keh bhaye tum nay yeh estemaal kia hay kaisa hay? Aaj kal yeh mil nahi raha to kia kerain. We’ll talk about it keh kia kerain…

A1 acha

R5 phir ham kahain gay keh aur dusron logon say poochtay hain phir ham jaisay.. yeh estemaal kertay hain, yeh acha hay, tum bhee yeh ker lo estemaal, phir ham zaroor.

R6 yani keh agar hamara yeh keh… set hay.. jaisay bohat say logon ka karachi mein…jaisay ham jaisay logon.. hamari aik jaga makhsoos bani gai hui hoti hay keh ham nay kahan say… samaan layna hay tau hamara es main us ka bhi bohat amal dakhal hota hay… shop keeper ka. Jo hamain batata hay keh baaji yeh acha hay… yeh lay lain… tau ham aik dafa us ko trust zaroor kertay hain… us ko ignore ker daytay hain. Us say poochtay hain keh us ka turnour kaisa hay, kaisa jaa raha hay, kia hay, batata hai, to hum lay kay zaroor atay hain. Phir yeh hamaray upper hay

Page 23: Transcript - Formatted

keh ham nay us ko istemaal kia aur wo kaisa raha. Lakin apni salesman hon, mashwara dain tau wo cheez zaroor khareedtay hain.

A1 salesman

Apas main bhee aur ba’az auqaat nahi moqa milta

R5 dukan mein jatay hain wo cheez nahi mili na to kehtay hain keh baaji aap yeh lay jain.. yeh try ker lain, agar aap ko nahi acha lagay to khulla wapis lay aaiye ga. Wo Yeh keh yeh dayte hain hamain phir. Tau zahir hay keh agar lay ker jatay hain aur agar unnis bees bota hay tau ham chala laytay hain keh chalo koi baat nahi next time nahi lain gay.

R6 nahi lain gay

R5 bas yeh hota hay.

R6 khulla to wapis nahi kernay jatay.

R5 khulla to wapis nahi karain gay. Lakin ab wo jo zahir hay keh kis terha bechtay hain. Aap lay jain. Nahi acha lagay to wapis lay aaye. Ham lay ker zaroor aa jatay hain…

R2 bara wala to shaid na lay ker aaen [int]

R5 chota zaroor lay aatay hain

A1 acha ghar kay ander wo buying decision wo ap log hi kertay hain?... house wives hi kerti hain? Ya phir ho jo hay [smiling] amma tallo main pakao to wo bachay bhee boltay hain keh amma app tallo lay ker aao

Hamaray bachay bhe jaatay hain, bachay bhee daal laytay hain bachon ko jo cheez ziada achee lagti hai.. wo cheez, zaroor wo use kertay hain, ab jaisay kurkuray hain… pehli dafa bachon nay bhar ker lay aaye, taste pasand nahi aya, utha utha kay phaink diye,

Hamari ami nay aaj tak ham say nahi poocha tha keh kia pakain ya kis main ham khana paka lain. Lakin ab hamara bacha yeh chahta hay keh wo yahi lay pasand nahi aya tau unhon nay chor diya. Lakin yeh kay aaj kal kay bachon main, jo new generation hain un pay to ad ka bohat asar hota hay. To jo TV main dekain gay, wo zaroor lay ker aain gay.

K1 acha aao logon kay ghar main, aap logo kay ghar main ziada tar TV dekha jaata hai…ya akhbar waghara, magazine hay

R4 Hamaray yahan dono cheezain.. magazine bhee bohat atay hain aur TV bhee bohat dekha jaata hay.

K1 Acha

R3 Lakin normally jo hay wo promotional campaigns TV pe hi chalti hain jingles charh jaatay hain mun peh koi ganay hain TV star aa gaya,

R6 TV say ziada hota hay. Har bacha to nahi dekhta hay

Wohi istehaar TV per bhi ata hay aur FM per bhi aata hay

R3 Wo sunnay kay hain wo dekhnay kay hain.

Jitnay ad aa rahay hotay hain wo sab un ko yaad hotay hain.. music say pata hota hay keh yeh kia ho raha hay. So yeh keh bachon ko TV bohat attract kerta hay.

K1 aur pakistani channel dekhna pasasnd kertay hain ap log yaa…. Indian channel?

R5 Kiun keh mein dramay jo dekhti thee, unhain follow ker rahi hun

Page 24: Transcript - Formatted

K1 acha !

R5 aur es kay ilawa main GEO News kay newspaper mera main hi hota hay. Agar mein subha uthti hun

R3 sabhi chalta hay.. normally music channel hi chal rahay hotay hain. I am not interested in dramas [smiling]

A1 acha ham logon nay aik in-depth interview kia thaa. Us kay ander yeh baat bataya keh ye mayonise hota us say pata chalta hay keh oil ki quality kitni hay? Mayonise agar app logon nay banaya ho to… ?

A1 rafhan say, dalda say,

Mujhe to nahi, mein to wohi use kerti hun

Aur aisi koi dish hay jis say pata chalta ho keh oil ki quality ka oil ki strength ka jaisay aap keh rahi hain

Deep fry pata chal jata hai oil wo oil itni jaldi khatam ho raha hay

R6 Yeh bhi hota hay keh oil dala aap nay kuch oil aisay bhe hotay hain keh wo taizi say kharch ho jatay hain quantity rehti hay us say bhee idea ho jata hay

A1 acha main aik sentence kahun ga app first word jo aap kay zehen mein ata ho… log dalda istemall kertay hain kiun keh…?

R3 kiun unkay dil ka maamla hay

Wo hay dalda ka….. dhak dhak, dhak dhak ata hay

Kiun keh yeh hamaray liye hi hay

R5 I don’t really recall anything

Iska taste acha hay

A1 iska taste acha hay

R2

R5 I don’t use dalda

R6 kiun keh na-samajh hain…

R3 people go for brands

A1 people go for brands… es liye log dalda estemaal nahi kertay?

R3 It is now supposed to be out dated.

A1 out dated !

R3 yeah ! kiun keh you don’t see dalda’s ads.

Asal main pehlay jab dalda ata thaa to jama hua hota thaa abhi bhee sab keh zehno mein hay keh

A1 to app log sab log yeh kehtay hain keh dalda ko re-position kernay ki zaroorat hay

R3 bilkul, bohat buri tarha say…

R3 agar unhain desi ghee banana hay tau unhain aaj bhee log hain jo prefer kertay hain desi ghee . ramzan main jab hamaray yahan perathay paktay hain to unko desi ghee mein hi pakana hay. Chahe cholestol ho raha hay, chahe dil mein dard ho raha hay [smiling] [K1 giggling] lakin parathay desi ghee main hee pakain

Page 25: Transcript - Formatted

gay.tau wo phir agar aap nay wohi rakhna hay, wohi image banani hay keh je desi ghee hay to sab desi ghee hee banain us ka.

A1 sahi hay.

Hamaray bhee dalda oil mein parathay bante hain.

Bante kab hain parathay… yeh acha sawal hay.

R3 ramzan main

Ramzanon mein he bante hain

Ramzan mein hee bante hain

A1 acha aur kuch ap log kehna chahain? Dalda kay baray mein?

R5 why dalda?

A1 because we are researching on dalda

You are researching on dalda?

K1 yeah !

R5 nahi waisay mujhe to yaad hay keh dalda dalda laytay thay to us kay ander ghee jab dabba kholtay thay to ghee acha nahi hay because dalda ka aik image jo hay keh khulay khulay say daanay . Lakin jaisay mein nay use hi nahi kiya. Oil hee.. har cheez kay liye oil he use kiya hay. Lakin jaisay yeh keh halwa banatay hain naa

R6 keh app us mein ad mein kia kia cheezain daalain ab yeh jo aya thaa NesVita, es ka bhi yehi tha keh jee yeh exercise kernay wali khawateen kay liye hay unhon nay bohat baycharon nay free distribution ke thee

K1 Chalain yeh hamara session thaa aaj ka. Aur kafi acha laga aap logo say baat ker kay aur kaafi hamain maloomaat hui. Bohat shukriya aap logo kay anay ka

K1 Aur bas bohat shukriya aap logon kay anay ka

Page 26: Transcript - Formatted

FOCUS GROUP TWO

K1 Assalamu alaikum everyone. My name is kamran aziz, this is avais babar. He’ll be… he and I will be asking several questions anout cooking oil aur jo sawal hon gay wo hon gay aap logon kay experience kay upper. You don’t have to know anything from before. We don’t need your knowledge what all we need is your experience tau app log jo bhee baat kerain gay tau please feel free to say anything that you, your expeirience about the cooking oil. Tau we’ll begin by your introduction first. Starting with you… [pointing towards R1]

R1 I am Mahjabeen Zubairi. I teach at foundation public school plus aaaaa…. Of course I am a housewife who cooks and scoldes their [her] servents [laughing]

K1 alright !!

R1 and..aaaa…. as far as cooking oil is concerned, I have found habib… should I go [on]?

K1 no no, its just fine

R1 acha bas itna hee kafi hay !

K1 aao batain [pointing towards R2]

R5 bas kerain ap [smiling]

R1 [laughing]

R5 baakion ko moqa dain

R1 [laughing]

R2 Ishrat Rizviiii …. House wife !

K1 ok

R2 and cooking oil estemaal kerti hun ghee nahi estemaal kerti hun.

K1 acha !

R2 jee

K1 aur aaaaa. Aap yeh bhee bata dain keh app logon ki family mein kitnay members hain? Takeh [in-audible]

R2 do ! [mentioning by two fingers]

K1 alright! do members hain !

R2 do… husband and wife.

K1 alright.. app batain [pointing towards r3]R3 I am Meher Yahya… I work at a school, and I use cooking oil….. veeery vvveery

rarely I use ..aaaa… ghee ! for very special things. Vary rarely !

K1 alright !

R3 but I am all for the cooking

K1 and how many members

R3 I…right now I have two! Three may be because a servent …

Page 27: Transcript - Formatted

K1 alright !

R3 but I used to have four in the house… ‘bout two years back.

K1 alright ! app bata deejiyay[pointing towards r4]

R4 I am doctor Shagufta. I am working in Landhi social security hospital… … … I use cooking oil… I prefer to do it and we are only two house members… at present

K1 alright ! acha !

R5 I am Shehla Zubairi

K1 acha !

R5 an’ Iiii, … used to teach… I was a teacher, right now I am at home !, relaxing ! and aaaa we have about 8 house members

K1 ok .. that’s it?

R5 that’s it !

K1 Masha-Allah

R5 haan Masha-Allah ! [smiling] that’s it?

K1 acha !

R3 and you use cooking oil?

R5 yeees ! we all do !

K1 acha app logon mein say cooking saray regularly kertay hain ya phir like on and off?

R2 regularly

K1 app regular kerti hain !

R1 on and off !

R3 on and off !

R4 on and off !

R5 haaan on and off ! jab say servent agar ghar mein hay to on and off werna shuru say tau ham nay pakaaya hay.

R3 I have taught my servent !

R5 We know each and everything about cooking

R3 yess ! I have taught my servent so I know what he is doing and what is an oil, what is ghee

R1 so you basically supervise !

R3 han

R5 that is the main thing, supervision is the main thing. I mean you can make out that

R1 brand is decided by us

R5 definitely !

Page 28: Transcript - Formatted

K1 alright

R1 not by the servents !

R4 nana ! servents are not independent, to zahir hay ham hee ko batana hota hay

[everybody says haaan]

R5 laa ker ham

R3 dein gay tau zahir hay

A1 acha jee family members bhee influence nahi kertay kay matlab… koi aur wo lay lein.. yeh hay keh…

R5 family members kertay hain hamaray ghar bhee… ham say baray baray bhee hain family members [laughs] bohat hee influential kisam kay family members hain to wo to kertay hain…[everybody chuckles] … lakin yeh keh mostly yeh hota hay keh aj kal log health concious hain to app healthy point of view say dekhtay hain na! keh kon see cheez, low cholestrol wali hai, kon si cheez aisi hay , ya ghee nahi estemaal kertay because of the health… aaa… reasons, to wohi main , to yeh reason hota hay health ka. Isi liye aap switch kertay hain oils ki taraf say.

R4 Lakin media itna woh hay keh zahir hay keh us say kaafi influence hay…

A1 Yeah exactly…

R5 media ka bohat influence hay…

R3 not on me !

R5 per generally…

R4 general matlab !

R3 nahi generally to hota hay !

R3 I can tell you something else also if you think its ok

K1 han han ! definitely !

R3 is it my turn?

K1 nahi you can !

[everybody starts to speak]

R1 Ap bhee bolain Ishrat !

[everybody laughs]

R2 sun rahi hun !

R3 no its been the change in medium that I have started. Pehlay to wo ghee hi hota tha ! right ! ghee bhee ghar mein use hua auuuur… mustard oil mein khana pakta thaa. Kerwa tayl [term] agar app log samajhtay hain ….sarson ka tayl !

R5 sarson ka tayl ! haan koi koi khana us main

R4 ab bhee bohat log …

R3 naa ! koi koi khana nahi !

R5 haan chalta hay !

Page 29: Transcript - Formatted

R3 gosht bhee, meat vegetable, vegetable to bohat achi lagti thee, phir gradually us ka milna thora mushkil hua hay to phir ham log cooking oil peh hee aaye… … tau es terha switch over hua hay, but I would still say keh wo sarson ka tayl bohat acha hota hay

K1 acha !

R3 haan !

R3 kuch logo ko khushboo wo boo aati hay lakin acha hota hay…

R2 nahi abhi bhee use kertay hain… pakoray aur fries kay liye.

R3 haan ! laanay ka actually ziada us ki wo … ab acha nahi milta !

R4 pure nahi milta

R3 pure nahi milta… es liye kahan kaheen milta hay pohonch jaatey hain

K1 chalain cooking oil to aap log sab keh rahay hain keh app log apni merzi say brand ko decide kertay hain irrespective to kon cook ker raha hay

R5 haan !

K1 but khana jo ghar mein ban raha hay, jo mainly banana hota hai, decide kerna hota hay, who does that? Is that also your decision

R5 nahi how… our decision

K1 ya ziada…? [int]

R5 our decision, according to the… jo bhi sab ki merzi hoti hay

R5 Khana to unhon hnay hai na, ham nay unhi ko khilana hay. Agar ham apni merzi say pakain gay tao koi bhee nahi kahye ga [everybody laughs]

R4 aur kia !

R5 aur ham subtle…

r1 keeping everone’s taste…

R5 subtle tareeqay say yeh hota hay …

K1 nahi ziada tar kia? Ziada tar kia hota hay? Childeren ka influence ziada hota hay ya phir kay… ?

R1 Han matlab, we keep a balance. Not that we try to please someone.

R5 It depends kay ap kay ghar mein kis kisam kay household members hain na, us kay hisab say. Bachay ziada hain to bachon ka hota hay, baray ziada hain to baron ka hota hay, agar donon ziada hain to ham balance rakhtay hain, aur agar husband and wife hotay hain [pointing towards R2] tau wo pata nahi kia kertay hain? [everybody laughs]

R2 nahi to woo.. jo cook ker raha hota hay usi ka ziada …. Kiun kay muft kay mashwaray kabhi qubool hotay hain, kabhi kabil-e-qubool nahi hotay.

R5 sahi keh rahi hain aap.

R3 lakin as beautiful wives ham hoon han ker kay kha hi laytay hain… un ki merzi ka bhi ho to [R5 laughing]… isn’t it?

R5 Hann…

Page 30: Transcript - Formatted

R4 mostly bachon ka hee ziada tar aaj kal hota hay …

R5 bachay aur budhay to…. hamaray yahan to bachay bhi aur budhay bhi.. tau wo hamaray yahan… equal population hay

[everybody is speaking]

R5 bachon say murad app ki age kay [pointing towards a1 and k1]

R4 han bachon say murad aap ki age kay …

R1 [laughing]

A1 ham bachay hain? … … … acha aap logon kay khayal mein sehat mand khanay ka jo hay, wo kia raaz hota hay, sehat mand khana kisay kehtay hain?

R5 kam khana

A1 aur app kia kahain gi?

R2 nahi wo sehat mand khana pooch raha hay [talking to r5 while pointing towards a1] kam khana nahi pooch raha [everybody is laughing]

R5 [while laughing] kam khana makes you happy.

[group continues to laugh]

K1 dekhain I think habit ki yahan baat ker rahain hain

R5 aap habits ki bat ker rahay hain ya menu ki baat ker rahay hain?

K1 menu ki ..

R5 menu ki

A1 keh kis terha ka hona chahiye?

R5 khana hona chahiye jis mein saari cheezain thori thori protein bhi ho sabzi bhi ho, fruit bhe ho salad bhe ho. Aur roti… chawal bhe hon. Carbohydrates bhi !

R4 balanced diet ho….

R5 kiun keh aaj kal to har cheez hi pata hay na wo purana zamana to raha nahi ab sab ko pata hay keh kon kon say fruit groups hotay hain chawal roti bhi honi chahiye, sabzi bhi honi chahiye, daal bhi honi chahiye…. gosht bhi hona chahiye, fruit bhi hona chahiye… ab hamaray yahan to meetha bhi hona chahiye

R1 jee !

A1 nahi.. aik wo zamana tha naa wo desi ghee bhe log pee jaatay thay…

R5 abhi bhi pee jaatay hain log desi ghee.

[everybody says hmmm hmmm…. Hmm hmm]

A1 lakin un ki sehat abhi bhee achi hay.

R4 lakin wo depend kerta hay na keh lakin us waqt thay log, wo different log thay, Un ka jo kaam tha wo different thaa.

R3 Way of life faraq thaa

R4 yeah! … way of life, the way of living, har cheez different thee. aj kal kay log nahi hazam kerain gay. I am sure !

R5 lakin yeh keh desi ghee kabhi bhi nuqsan deh nahi hota.

Page 31: Transcript - Formatted

A1 nuqsan deh nahi ho ga?

R3 No! .. but the latest trend is that

R5 nahi nuqsan nahi day ga…

R3 … its coming back.

R5 han its coming back. Abhi abhi hamaray gha raya tha desi ghee. To Sab bachon nay itnay shauq say khaya lag raha tha keh us kay baghair aapp khatay hi nahi thay kabhi aap khana. Wo hi ho ga tau khana….

R4 haan magar depend kerta hay… kuch logo ko uski smell nahi achi …. Hamaray ghar mein kam az kam us ki smell nahi hoti

R5 per wo yeh hota hay keh wo nuqsan deh kabhi nahi hota. Its not harmful at all !

A1 nahi.. what, what abour heart patients?

R5 heart patients kay liye bhee sahi hay ! yeh aap kay es dalday walday say…. [r4laughing] I am sorry to say… ghee wee say behtar hay. Matlab dalday ka

matlab ghee tau ghee say behtar hay.

R2 hamaray yahan jo khana pakta thaa wo cooking oil… albatta jab meetha waghara hota to desi ghee

R5 desi ghee mein hi pakta hay…. Exactly !

R2 aur kabhi kabhi zaiqa badalta hay tau us mein bhi desi ghee ka tarqa..

R5 tarqay kay liye… halway kay liyee desi ghee. [giggling] aur agar app nay sarson ka saag banana ho tau…

R1 pata hay keh dalda ki.. the reason why we say dalda… because that is the first … aaaa. brand hay

R5 haan brand hay

R4 kiun yeh dalda ghee !

R5 banaspati nahi … usko ghee kehtay tay usay… banaspati ghee jo aya thaa na.

R1 ap ko asli ghee kiun keh… so we are aware of that dalda… that’s the reason!

R5 haan exactly !

A1 acha to aap log waqai mein yeh samakhtay hain keh dalda ka jo image hay. Wo abi bhee as a desi ghee hee hay … woo… !

[nahi nahi nahi, nahi nahi nahi …. Everybody promptly negates]

R5 Jab desi ghee pehlay hota thaa naa to us kay baad yeh hua thaa na banaspati ghee aya.

A1 banaspati ghee aya !

R5 To banaspati ghee dalda walon nay pehlay nikaala. To log banaspati ghee ki bajaye dalda heee kehtay tha us ko. When you refer to artificial… yeh jo banaya hua ghee hota hay.. to kehtay hain usko keh wo dalda hay !

R3 Artifical ghee. You would always say that dalday ki baat ho rahi hay. because dalda hi kahan jaata hay.

R4 jaisay SURF hay. Ariel bhi surf hay. To wo bhi surf hay… [R5 haan.. surf hi rehta hay..] to surf to kehtay sabhi hain keh wo surf hai. Es terha !

Page 32: Transcript - Formatted

R1 Per yahan sab say pehlay unilever ka hi wohi hua tau us chakkar mein … [] jaisay keh aap dekhain keh unilever main…

R4 LUX !

R1 lux hay, saabun haysab mein wohi cheez hai

R5 haan !

R4 tao wohi unhon na ki unhon hay aik naam bola hai naa.. !

R1 ab specific … aaaa.. tooth paste main keh aap ka alag aik colgate ka wo hay werna… werna tau unilever kay taqreeban saray hi brands… I think all house wives… know this already.

[everybody says hmmm hhmmm hhmmm]

K1 acha yeh abi aap log keh rahey hain keh… puranay jo log thay , un ka lifestyle differrent thaa wo log tau hazam ker saktay thay asli ghee ko. Ab kay life style main aap kay khayal say kia aisa nahi hay jo nahi ker saktay…

R4 exercise to beth kay …

R3 Bethay huay TV dekh rahay hain

R4 indoor matlab ziada hay.. indoor games bachon kay liye hain

R5 ab bohat [inaudible] nahi kertay. Pehlay log paydal bohat chaltay thay… milon chaltey thay peydal

R3 har aik kay pass apni gari hoti hay

K1 lakin ab jo itnay saray cluba khul gaye hain mess waghira khul gaye hain app log us mein nahi jatay?

R5 Wo tau phir bhi aik certain hay na

R4 Everbody can’t go there.

R5 Ab har aik admi nahi jata na paydal pehlay to [] tha keh chalna hay logon nay paydal

R4 kitni percentage aati ho gi logon ki.. aap nay dekha… percentage nikaalain

R1 One, two percent

K1 Ap log jatay hain walk per?

R4 han, ham log…

R3 nahi ham sirf walk kay liye jatay hain

R2 Mein walk kay liye jaatee hun.

R5 hamain mat dekahin es taraf

[everbody laughs]

R5 Mera tau waisay hee pata chal jaata hay keh mein kia kerti hun kia nahi kerti.

R2 Asal mein ab to itni… Pehlay tau baray baray ghar hotay thay.. baray baray faaslay hotay thay… aap walk ker kay jaa rahay hain ab app kay ghar hee itnay hotay hain keh aap yahan say whan beth jaatay ho. [inaudible] yeh bhee to hai na baat.

R5 nahi ghar bayshak baray bhee hain ab… [int]

Page 33: Transcript - Formatted

R2 Us zamanay mein Aurtain bhi her kaam haath say kerti thee apna. Ab aap kahan kertay hain… ap machinon ka sahaara laytay ho. Halankay merya khayal mein aaj kal aaj kal ki auratain pehlay ki auraton say ziada kaam kerti hain.

R5 ziada kaam kerti hain… ziada stress mein rehti hain.

R3 number of chores jo hain wo increase ho jatay hain

R3 number of chores have increased.

[everybody is speaking]

R4 stress to ziada hay magar kaam tau bohat [inaudible] kay nahi hay.

R5 [inaudible] because of the pace of life

R3 number of chores have increased. Yeh kero, Wo kero, wo kero

R2 pehlay zamany ki auratain dekhain na ghar mein sirf un ka khana pakaana hota thaa.

R5 [pointing towards A1] ham track say hat gaye, kuch aur bolna hay …

A1 haan !

R2 aur na koi TV na kuch, aath bajay aap log so chukay hotay tha.

R2 Aaj ki aurat bil bhee bhar rahi hay, khana bhi paka rahi hay, itwar bazar main bhi khari hui hay. [inaudible] kaam ker rehi hoti hay. pehlay to yeh aurton ka yeh tasawwur hi nahi hota thaa keh bachon ko school chornay ja rahi hain.

Page 34: Transcript - Formatted

A1 Acha aap logoon ke khayal main tail ka kaunsa aisafeature hai jo sab sey ziadah important hai… us ki price ho gi us ka cholesterol level ho ga…

R5 Us ki price bhi ho gi aur us ki lightness bhi ho gi… takeh who sehat keh liye acha ho…(Int)

R2 Brand…

A1 acha Brand…

R2 yeh tu dkehna ho ga na keh nayi company ka hai…(R1,R3) nods… haan yeh hai…

A1 Acha kuch oils main heek si bhiaati hai..

R2 who ho gi tu foran choor dain gey

R2 quality bhi hai.. unless we use it we wont know the quality…. Us sey yeh pata challey ga keh yeh sahi company ka hai ya nahin…(int)

R5 Haan quality ho gi tu we are ready to pay the price…

A1 Acha then how would you define quality?

R1 aap ki testing aur aap ke experience (int)

R5 aur branding of the company..

R1 haan yeh hai… becoz even experienced housewives do get carried away by these ads and everything… for example this word of mouth jo loog baain kartey hain.. aur jo aajkal chal raha hai introducing bumper prizes that is a very good attraction.. so this affects the firs purchase… and the first purchase is of a small size…Chotta pack letey hain (everybody says haan)…And if you then have good experience then you can go on…and purchase the bigger version..and tell to friends… etc?

A1 Acha aap kiya kahian gi quality keh barey main(referring to other respondents) quality kiya ho gi… kam cholestoral quality hai.. yak am price mian achi cheez aik quality hai? What is quality?

R2 haan who bhi aik quality hai..(int)

R5 Lekin kam price koi itna important factor nahin hia… kyunkeh back of the mind aapke yeh cheez hoti hai keh kaam price main achi cheez nahin mil sakti …(everybody nods and ssays haan)…

R4 haan yeh tu aap ka hotta hai keh sasti hai tu achi nahin ho gi…

R5 haan tu price bhi hai aur qualiy bhi… keh wohi walli baat keh aapney experience kiya ho..kissi ne recommend kiya ho .. kabhi doctor aap ko recommend kar detti hain…aap ney yani yeh nahin khana aur yeh oil lena hai.. tu who bhi aapki choice affect karta hai.. aur brand name bhi hai.. achi company ho gi tu aap zaroor lain gey…(int)

R2 Still if I dunt have a good experience I will never use it…ager mujhey pasand nahin aaya tu nahin (int)

R5 haan yeh personal raye tu hai hi..

R6 enters the room says salam tu everybody…….everybody…Wallaikumasalam…

A1 acha tu yeh baat humain bata dain… (Int)

R2 isko yahan betha dian na…

A1 acha ab aap hamain yeh batain keh aap kaunsa cooking oil istamal kartey hain

R5 Bata dain…

Page 35: Transcript - Formatted

A1 haan kyun….

R5 hmmm…. Hum use kartey hain soya supreme…

A1 aur kyun kartey hain…

R5 main isliye use karti hoon kyunkeh aik doctor ne mujhey recommend kiya tha…Aur who low cholestoral hai isliye bhi… acha waisey hum pehley use kartey they Dalda cooking oil…

A1 acha..

R5 haan.. aur phir humney switch kar liya … kyunkeh yeh sunflower hai aur yeh acha hai is liye…and its good for heart and weight..

A1 Pointing to R4, acha aap batayeh…

R4 Soya Supreme, and sometimes Canola..

A1 sometimes canola..

R5 haan humne bhi beach main canola use kiya tha…

A1 acha tu aap shuroo sey Soya supreme use kartey they…

R4 haan main tu shuroo sey hi soya supreme..matlab jab sey we switched from ghee to oil.. main soya supreme hi use kar rahi hoon….

A1 acha tu kiya is main quality kiya hai…

R4 Matlab as such, acha experience hai, mashallahsey theek thak hai…

A1 low cholestoral?

R4 haan low choletoral hai..

A1 acha aap (Pointng to R3)

R3 I use Habib oil.. I dunt know the exact reason (laughing) , but I use Habib oil.. and basically I started initially with it… matlab I never initiated with ghee.. and I am comfortable with it… and after that I never switched kyunkeh.. I become so busy with my own household problems, that I never thought about changing the brand…. Nad I am very satisfied .. and no body complains… although there is a constant complain of the quanitity of salt (laughing)..

R2 I use rafhan..and sometimes canolla..

A1 acha..tu yeh cholestoral ki wajah sey ya smell ya taste etc…

R2 haan… taste to nahin hai.. and there is no smell.. I dunt find any taste nothing.no odor .. aur sometimes I try Dalda cooking oil ..sometimes we use sunflower….

R5 we also sometimes use sunflower cooking oil….

R2 and there is one other thing… that…. Sarsoon ka tail..(Int)

R5 Sarsoon ka tail kabhi kabhi wohsabzi waghiara keh liye…

R1 ,R3 haan sabzi ya aur thorri dishes…

A1 turning to R1… aur aap…

R1 Soya supreme…

A1 Aur who kyun…

Page 36: Transcript - Formatted

R1 quality k iwajah sey…

A1 achaa… aur ap..(pointingto R6)

R6 soya supreme…kyukeh who acha hai.. aur wuality..

K1 acha… aap loog sab ne… ziyadah tar ney.. soya supreme ki baat ki…tu shuroo sey aap loog yeh oils use kartey huwe aa rahey hain.. ya switch kiya..

R4 mainey tu kabhi switch nahin kiya(int)K1 Kabhi switch nahin kiya.. jaisey on and off…

R4 nahin buhat kam… lekin hamesha sey soya supreme hi use kar rhai hoon

R5 hum ney tu.. mainey jab sey cooking shurroo ki tu .. us wart tu desi ghee bhi tha..aur yeh hai keh.. dalda cooking oil bhi tha… I dunt remember as such.. tu mainey yahan aa kar jo use kia tu..sunflower cooking oil… aur who bhi health reasons ki wajah sey …keh sunflower achi cheez hai..tu khanna chahiyeh… phir humney beach main Canola bhi istamal kiya … who bhi inhi health reasons ki wajha sey.. keh ziadah chlestoral na ho.. weight na ho…lekin phir jab sey mujhey doctor ney recommend kiya hai keh… yeh sooya supreme ziadah acha hai.. keh yeh light hai.. and its good for chlestoral.. tu then we switched tu Soya…ab hum wohi khattey hain.. and its been years….

A1 acha tu sunflower.. isliye keh who cholesterol control karta hai…

R5 haan cholestoral waghiara..

K1 Aap ney baat kit hi keh aapney (pointing to R2) , beah main change kiya tha rafan sey…(Int)

R2 Ab nahin karti…ab sirf rafan hi use hotta hai

K1 Acha ab sirf rafanhi use hotta hai….

R2 haan ab bas rafhan..

K1 Lekin beach main aapney change kiya hai…

R2 change as such nahin kiya lekin.. saath saath kabhi kabhar sarsoon ka bhi …thorri thorri dafa…Kyunkeh pehley tu wohi use hotta tha… phir mainey rafhan par shift kiya… abhi bhi ager kahin acha tail rafhan ka milta haitu ley aati hoon… sabzioob keh liye.. lekin yeh nahin keh itna aam ho…

K1 acha acha.. alright..

R2 but basically its rafhan. .for everything…

K1 alright…

R2 Even meetha and waghaira. Matlab sab keh liye…

R5 Meethey keh liye tu sahi nahin rehta hoo ga?

R2 sab keh liye..

A1 (Pointing to R4) Acha aap ney tu shurro sey hi canola use kiya…

R4 haan bilkul… buhat pehley..woh aslighee main pakatey hain.. .lekin ab ghar waloon ko nahin pasand kyunkeh unko asli ghee main sey smell aati hai…tu ab tu phir oil hi…

A1 aur aap (to R3 )

R3 haan hum bhi oil hi.. pehley kabhi who mustard oil…

Page 37: Transcript - Formatted

R1 Acha mainey shuroo kiya tha pehley rafhan sey..

A1 acha ..phir…

R1 phir aik dafa mujhey yeh lga keh is ki quality kuch kam ho gayi hai..phir main habib oil par aa gayi…

A1 yeh quality down sye kiya maqsaad…(int)

R1 matlab who aik hotta hai na keh… who jo taste hotta than a.. makai ka jo taste hotta tha who mujhey…sahi nahin laga… mujhey laga keh who badal gaya hai.. kyunkeh jo use karta rehta haiussey lagta hai na…(everybody nods)… phir mainey us ko badal dia…phir main habib oil le aai… phir uske baad mujhey kissi ney kaha keh soya supreme buhat acha hai… phir main soya supreme le aayi…

A1 aap shurroo sey hi soya supreme use kar rahi hain (Turning to R6)

R6 haan mian jab sey shaadi kar keh aayi… tu jab sey hi… kyunkeh saas who use kar rhai thi..

A1 acha aap loog yeh suppose karain keh market main jo oil aap use karti hain who khatam ho jaye tu second best alternative aap ka kiya ho ga?

R5 ,R2.hmmm…. good question… is ke liye tu soochna parey ga…

R5 I will think about it..(laughin)

R5 phir koi imported oil use karoon gi.. apney kia kaha tha..(pointing to R4 ) haan tu phir canolla…

Waisey kabhi mainey soocha hi nahin hai…

R3 (agrees)

R5 Logoon ke view par hain.. who kiy akehtey hain…

R2 (loud) Ager mera Rafhan band ho gaya tu main soya supreme use karoon gi, becoz everyone seems to be using it…(everybody laughs)

R3 lekin kyun?

A1 nahin jaisey.. aap kissi utility store par gayi hain.. ya qareebi shop par.. tu uss waqt

aap ko use koi aur karna ho gan na…

R5 haan tu phir main habib cooking oil..

R2 nahin nahin I will go for soya seupreme… becoz it is more like u know… or Dalda cooking oil..

A1 acha aur ager aapka habib cooking oil….

R3 mahin I wouldn’t mind trying others, whichever is available…. Huney tu ghee main bhi cooking ke huwi hai..(int)

R2 I was going to say that tumney tu ghee main bhi pakaya huwa hai…

R3 haan… hum tu is main bhi khana paka chukeh hain…tu I will adjust myself according to the situation..

R2 adjust tu kar lain gey lekin at the back of our minds yehi ho ga keh apna cooking oil hona chahiyeh…

R6 haan… aur jaisey hi apna cooking oil aye ga then we will switch…

Page 38: Transcript - Formatted

K1 acha advertisement oil ki buhat aati rehti hian.. aur especially aajkal jitni oil ki marketing ho rahi hai ziadah tar us mian us ki nutrients value jaisey, uht vhf aur low cholestorl ki baat kartey hain… so do u people actually understand all these terms…(int)

R5 kyun nahin…

K1 ya aap loog… aap ney apna decision le liya hai and these wont…(int)…

R2 humney apna decision le liya hai kayi saloon pehley aura b khatam…

R5 humain samajah tu who aati hai … zahar hai keh who kiya dikha rahey hain… aur ads main bhi kayi cheezain hotti hain jo aapko hit karti hain..aik tu models hi hotti hain sab sey ziadah..

R1 haan ma.. kuch ads main tu aap un ko hi dkehtey raho(int)

R5 lekin ager koi cheap kism ka ad ho gat u phir nahin

R3 nahin I think…

R5 aur doosra naam main hoona chahiyeh… yeh jo market mian umda aur pata nahin kaun kaun sey oil hain…. Sultan jaisey(laughing)… who itn acheap ad hai…

R2 mainey kyun nahin dkeha who…

R2 on phone:….

R5 tu it depends keh us ka naam kaisa hai… nam sey bhi bara farq parta hai…

A1 acha achey naam sey matlab aapka (int)

R5 acha naam.. jaisey sooya supreme hai….malab jo thorra sa tameez sa lagey…

A1 acha tu naam ka bara influence hotta hai…

R5 haan naam ka bara influence hotta hai… aur ad ka buhat influence hotta hai…acha bana huwa ad…

A1 acha word of mouth ka kitna influence hotta hai..?

R5 mian bata rhai hoon na.. keh doctor ney recommend kar dia… kissi aur ney keh dia.. lekin yeh bhi depend karta hia keh kaun recommend karta hai

R3 haan jaisey meri beti cooking nahin karti but she is aware of the fact keh kaunsa acha hai…

R2 my cook is on the line and I am asking him that kaunsa oil acha hai (laughin )…..

[Yahan sab loog yehi discussion kar rahey hain…]

R5 to R6 aap kaunsa use karti hain.. apk o soya sahi lagta hai…

R6 soya hi..sahi hia kabhi problems nahin huwi…

R2 who apney ghar us ki bewi dalda cooking oil use karti hai…

R5 lekin yeh dekh lain aap.. keh itney loog soya supreme use kartey hain.. and she I ready to change (pointing to R2)..

R2 no no no…. and I will try…to see.. ager koi small pack ho g.a… then I will try…

R1 oil ka main aapko batati hoon na … jaisey kehtey hain keh tail jamta nahin…ager aap ney oil main khana pakaya hai… tu aap us ko fridge main tu rrakh nahin saktey….tu jo pure oil ho ga who kabhi bhi nahin Jamey ga…tu jo pure oil ho ga who kabhi bhi nahin Jamey ga…

Page 39: Transcript - Formatted

R5 kabhi nahin Jamey ga haan…

R1 Dalda lekin jam jaata hai…

R [2and R5] haan lekin dalda jam jata hai…

R5 challo ab aur pooch…

R2 [to R1] dalda mainey try kiya that u who tu jam jaata hai..

R1 habib oil try karo.. soya supreme bhi buaht acha hai…

A1 acha yeh bhibaat hai, humney jo pehley surverys kiy they…jo cookin oil ki quality hai who vary karti hai… jaisey ahbi joi acha chal raha hai tu us ki quality achi hai.. phir neechey aa gayi… tu koi aisa experience huwa hai aap logoon keh saath keh quality is tarah…

R5 nahin merey saath tu nahin…

R1 mainey rafhan ka kaha tha keh mujhey down lagi tu mainey…

R2 mashhoor huwa th lekin…I didn’t experience anything…

K1 even dalda ka humney sunna tha keh us ke ander who black black sa..

A1 haan who wik layer si aa jati that the bottom… aik black layer

R5 haan who aati thi bilkul…lekin for a short period of time…

A1 nahin tu aapney Dalda chora wohi Doctor ki wajah sey….

R5 haan Dalda chorra aik tu wohi Doctor ki wajah sey…sunflower cooking oil… is sey behtar aa gaya tha is liye… that’s it…

A1 sahi hai… acha ab Dalda ki baat kartey hain…kyunkeh humarah focus dalda par hi hai….Tu aap logoon mian sey sirf aapney Dalda istamal kiya hai…(pointing to R5)…aur kissi ney nahin istamal kiya…

R2 nahin kiya tu hai…

A1 lekin experience kuch itna nahin rha?

R2 experience.. bura nahin kahoon gi… not bad..second choice mian hai… who second choice tu hai…aura b asli ghee tu bilkul hi use nahin karti..kyunkeh ager ghee lena hotta hai tu Dalda oil hi letti hoon..

R5 haan sunflower theek tha Dalda ka…

R2 haan its not bad…

R5 yeh soya supreme kis ka hai…

A1 humney pehley baat kit hi…(int)

R5 yeh soya supreme kis ka hai…

A1 soya supreme… soya waloon ka hai…(laughing)

A1 acha nahin… humney pehley focus group conduct kiya tha…tu aik baat samney aayi keh Dalda waloon ka jo Brand image hai who abhi bhi banaspati ka hi hai…

R2 R3 hmmm.. sahi sahi…

Page 40: Transcript - Formatted

A1 kyunkeh Dalda keh saath loog banaspati ka naam hi lettey hain… as a cooking oil logoon ney identify nahin kiya hai is ko ab tak,,.,

R2 haan hannR5 nahin.. merey mind mian tu cookin oil bhi hai abhi..abhi

R5 acha.. who jo hai na.. it depends… keh kaunsey age group sey aap pooch rahey hian…ager aap zara young age group sey poochain gey tu Dalda cookin oil kahe gain who…

R4 tu ghee ka u tasawar hi bara purana ho gaya hai…

R5 haan.. kyunkeh jab sey humney bana shuroo kiya tha.. tu cooking oil tu aa gaye they saarey…

R4 who tu saloon sey aaye huwe hain…

R5 haan tu who Dala ka zamana nahin tha…

A1 tu aisi as such baat nahin hai keh… jahan Dalda ka naam aye ga… wahan banspati ka naam aaye ga…

R5 haan ab new generation sey pooch gey tu nahin ho ga itna…

R2 har generation main cooing oil….rafhan ka yeh tha keh this is the cooking oil… like I was under the impression

A1 acha let me tell you one thing… keh aik survery conduct huwa tha… us mian rafhan cooking oil ka lowest market share tha…

R2 lowest??

A1 haan lowest..

R2 may be because it is expensive…kyunkeh its expensive than the others…na[Everybody nods..]

A1 iss baat ki taraf aana cha rahey they keh…aapkeh khayal mina jo aik good oil hotta hai… us ki most appropriate price kiya ho gi…matlab best achi quality ka oil

R5 jitni hamhari khayal mian honi chahiyeh… Rs20…(Laughing)

R2 waisey hotti kitni hai…

A1 Aik jo litel hotta hai…aam cooking oil who 50 kg hotta hia…aur baqi jo dalda, rafhan waghira 80per kg…

R2 80 Rs per kg aata hai… nahin yaar…

A1 tu u dunt buy it yourself…

R2 nahin I buy it but u know… who bara walla jo in hotta hai who..

A1 haan who use karney sey tu dbulk discount bhi hotta hia na…main tu un 1kg pouches ki baat kar raha than a…

R5 nahin tu soya supreme kitney ka ho ga…

A1 yehi price mina…

K1 pricerange yehi hai… 70 to 80… R2 yes it is acceptable to us because we are… health conscious..hum waisyebhi

borhey ho raheyhain…cholestorl waisey bhi hotta hai… therefore, we will not risk it… if we can afford it…then we will use oil that is best for us…

Page 41: Transcript - Formatted

A1 acha ager price kafi barh jaye.. jaisey 20 per kg price increase.. tu phir…

R2 haan ager price budget sey bahar ho jaye gi tu I will see for the enxt best alternative…

R3 haan we will see for oher oils as well…

R5 tum loog pasiey barha rahey ho kiya(laughing)

R2 nahin tu Dalda aur rafhan waghiara main kiya buhat difference hai

K1 nahin nahin we…(int)

R2 haan it cant be so different…

K1 nahin its not so different lekin ager aik ki prie barh jaye tu…

R5 nahin mujhey tu buhat bura lagey ga ager price increase kar di jaye…(laughing)

R2 nahin tu itna tu difference nahin hai na cooking oils ki price main…

R5 waisey paisey tu kissi bhi cheez ke barhain buhat bura lagta hai…(lagughs)

[Everybody haan bilkul….[

A1 acha phir kis range mian rahey tu sahi rehta hai…

R2 bas jab tak budget main hia..

A1 Acha ab hum aap logoon ko aik sentence bataye gain … aur aap ney us ko poora karma hai..

K1 aik sentence aap ko batain gey us ke baad aap keh dimaagh main jo first word aa jaye ya sentence… who aap keh dain..

R2 yeh brain storming hia…

K1 nahin yeh bas iak technique hia we use..

A1 Thematic techniques kehtey hain inhain..

A1 jaisey mian kahoon.. keh shahrukh khan iak…. Ageh aap kuch bhi keh sakti hain… acha actor hai… bakwas actor hia etc..

R2 R5… chaplain theek hai theek hai…

A1 Loog Dalda istamal kartey hain kyunkeh….

R6 umda hai…

R5 kyunkeh un ke paas koi aur nahin hai…

R2 saloon sey use ho raha hia… fgenrations sey…

R5 kyunkeh un keh paas soya supreme nahin hai…(laughs)

A1 hmm. Brand loyal…..

R2 third generation is using Dalda…

R3 nahin who unilivers ki bhi baat hai na….

R2 nahin unilever nahin Dalda..

R3 nahin Unileversne waisey bhi barey brands introduce kiye hain na Pakistan main, tu us wajah sey kiya hai keh Daldajo hai na unilever ke saath chipka huwa hia…

Page 42: Transcript - Formatted

R2 household name ban gaya hai na…

[Everybody says haan haan]

R3 tu aik reliability hai..keh jo unilever sey cheez aaye gi who achi hi ho gi…

R2 haan reliability hai…

K1 acha waisey u do know … keh dalda unilever ka hissa nahin hai ab..

R2 haan bat u alag ho gya hai..

R6 lekin abhi bhi unilever ke saath attatch karteyhain us ko

K1 acha abhi bhi kartey hain..

R2 challo next next next..(int)

R3 jaisey aap ke IBA ka hi hai….ab jaisey merey mian jo hainapnibetti ko bhi wahin bhaija hai jaiseymainey udher sey parha tu meri beti bhi.. tu aik naam hai..

R2 merey bhi dono betey IBA sey hi parhey huwe hain…

R3 arey inhoon ney apney bachoon ko CFa kara dia hai(laughs)

A1 chalian ji next

A1 next hai keh aapna oil sirf is soorat mian chorain gi ager…

R5 ager market main na mille..

R2 buhat mehnga ho jaye…budget sey bahar ho jaye ya na milley…

R4 ager na milley…

R5 bana band ho jaye…

A1 kiya baat hai ji…(laughs)…

R5 loyalty aap dekhain zara ….

A1 Zabardast… aapko tu allowances milney chahiyeh (laughs)..

A1 ab next peh move kartey hain…Loog Dalda istamal nahin kartey kyunkeh…

R5 kyunkeh who sooya Supreme use kartey hain..(laughs)

R2 maybe they have better choices.. .

R5 loog Dalda istamal nahin kartey kyunkeh who aqalmand ho gaye hian…(laughs)..yeh likho..

R1 Ager unko Dalda ka gift pack dena ho ga tu who aapko nahin dain gey…(laughs)

R2 nahin is ko tu zaroor dain gey…(laughs)

R5 nahin who kahian gey keh soya supreme keh paas jao.. (laughs)

A1 acha aap keh khayal main aik buhat hi acha cooking oil… best quality…. Us ki kiya qualities honi chahiyeh… price, cholesterol, sarey fators…

R5 who muft milna chahiyeh (Laughs)

A1 nahin issi duniyah mian rehtey huwe…(laughs)…

Page 43: Transcript - Formatted

R5 us ki smell na ho, who light ho, aur health wise sahi ho

R2 4 points important hain…. Light ho …boo nahin hoo..within the budget ho jaye…. Easily available ho… that is very important.. consistent quality ho(everybody nods….)

R6 hana yehi batain hian…

R1 aur polybag main honna chahiyeh… packing matter karti hia…

R5 haan who tin ko kholna bara mushkil kaam hai…

R3 who tu aik musibat hai…

R5 ab tu tin nahin hottey…

R3 nahin abhi bhi hottey hain.. barey walley…

A1 nahin ab trend.. who bottles ki taraf hia.. of 5 to 10 kg… acha tu who ziadah convenient rehta hai…

R1 lekin bottle ke 35 rupee le lettey hain tu mehnga par gaya na…

A1 acha tuus ki price phir ziadah ho jati hai… sahi

R3 aur bottle walla hi sahi rehta hai..

R6 lekin packing ka influence hia..

A1 aur kuch kehna chahain aap cooking oils keh barey mian.. khaas taur par Dalda keh barey mian…

R6 …leaves the discussion…

A1 Dalda ko ager aap kuch advise dena chahihann… in terms of positioning…

R2 they should definitely come up to the level … they should improve their quality..

A1 acha quality…in terms of…

R2 in terms of smell..

A1 aati hai…R3, Dalda main sey aati hai…

R2 haan Dalda mian sey aati hai…aur jam bhi jaata hai…

R5 sunflower main sey tu nahin aati…

R2 haan sunflower main sey nahin aati…

R5 haan lekin… aik large circle of people hai…who loog use kartey hain…aur who barey loyal bhi hai towards Dalda…

R2 Aur aik cheez main aapko bataoon… I will tell you who…kuch tha keh I couldn’t ifnd my oil… and I brought Dalda… and if you keep it for certain period… tu who jo rakhney walli aik smell aa jati hai na…who aa jati hai…

A1 pare pare…

R2 haan wohi parey parey…who cheez nahin honi chahiyeh…

R5 aur in ko chahiyeh keh yeh loog ziadah Doctors ko approach karian… takeh who recommend karma shuroo karain…

K1 acha aap keh khayal main ziadah acha persuation method yeh hai keh Doctor keh paas jayain

Page 44: Transcript - Formatted

R5 … kyunkeh Loog Trust kartey hian Doctors par…

R1 waisey who kam laut rahey hain… aagey tum us par laga rahey ho…(laughs)

R5 pointing to R4 bhai yeh bethihai na.. is ko batao ja kar..(Laughs)

R2 haan who doctors jo cheezain rakhain gey…

R5 in ko quality control rkahna chahiyeh.. in terms of health conciousness.

R2 haan aur Glamour sey ziadah health ki taraf concentrate karain… Glamour walla itna nahin lain..

A1 Dalda Glamour lata hai…

R2 Pata nahin kiyia kiya.. phool wool… us ke health reasons ziadah hain…

R3 haan who jo ads hottey hain na who bhi kuch shokh sey hottey hian…

R5 who jo ganney waghaira sey aatey hain..(laughs)…

K1 chlain aap logoon ka buhat shukaria… humahari discussion main participate karney a (int)

R5 koi baat nahin…

K1 aap logoon ki batain kafi useful rahi aur hmain kafi kuch maloom para… buhat shukaria..

R2 good luck…

END OF DISCUSSION