syed mohsin youth champion share your blessings motivational & success story

10
Facebook.com/syedmohsin.syb Email: [email protected] Share Your Blessings – SYB (FB Page: www.facebook.com/syb.khi & FB Group: www.facebook.com/groups/syb.khi/) Introduction Asalam o alaikum, mera naam Syed Mohsin hai aur meri stori ka title hai “Share Your Blessings”. Allah tallah ne humein beshumar blessings ata Karin hain, rehne ko ghar, achey kaprey, acha khana, gari/motorcycle, achi education wagehra.. Inhi blessings k zariey insan zindagi me agay barhta hai… Allah taalah farmata hai: “Aur tum apne parwardigar ki kaun kaun si naimaton ko jhutlao gey?” Magar har kisi k liey zindagi mein itni blessings nahi hotin.. thori azmayishen bhi hotin hain.. aese hi kuch mushqil halaat Rizwan k they: Rizwan aik kiraye k ghar me apni biwi aur chotey bachon k sath rehta tha, wo kayi mahinon se berozgar tha, uski biwi aik garment factory me 12 ghantey kharey hokey kaam karti, buson me dhakey khati aur soojey howe pairon k sath ghar me daakhil hoti to wahan gurbat aur andheron ko siwa kuch na hota.. Rizwan koshishon k bawajud nokri hasil nahi kar paraha tha, uski biwi ki salary kiraye aur bills ki nazer hojati aur ghar me faakey honey lagey, bachey bhook se bilakne lagey, … Kya aap apne ko aik minute k liey Rizwan ki jagha imagine kar saktey hain? Uski family ki takleefon ko mehsoos kar saktey hain? Baqol kisi Shayar k alfaaz mein: Ye bhook hi hoti hai jo insan ko ghalat rah per daal deti hai, khudkushi ya ghar chor k chaley janey per majboor kardeti hai. Insan hosla haar jata hai. Rizwan ka ghar bhi isi safaak bhook ka shikar honey laga tha. Rizwan ki zindagi me phir se blessings laney k liey kuch naujawaon ne unki madad karne ka socha, unke ghar me 2 mahiney ka ration dalwaya is azzam k sath k is dauran wo log milke inke liey nokri dhundein gey… aur Allah k karam se wo log aik towel factory k warehouse me Rizwan ko job dilaney me kaamyab hogaye. Rizwan ki mushqilat bilaakhir khatam howin aur uski zindagi track per agayi. Kaun log they ye jo Rizwan ki zindagi me phir se blessings laye? Usko pairon per khara kiya? Kya maqsad tha inka aur kahan se aye they ye?

Upload: share-your-blessings

Post on 13-Apr-2017

525 views

Category:

Leadership & Management


3 download

TRANSCRIPT

Facebook.com/syedmohsin.syb Email: [email protected]

Share Your Blessings – SYB (FB Page: www.facebook.com/syb.khi & FB Group: www.facebook.com/groups/syb.khi/)

Introduction Asalam o alaikum, mera naam Syed Mohsin hai aur meri stori ka title hai “Share Your Blessings”. Allah tallah ne humein beshumar blessings ata Karin hain, rehne ko ghar, achey kaprey, acha khana, gari/motorcycle, achi education wagehra.. Inhi blessings k zariey insan zindagi me agay barhta hai… Allah taalah farmata hai:

“Aur tum apne parwardigar ki kaun kaun si naimaton ko jhutlao gey?” Magar har kisi k liey zindagi mein itni blessings nahi hotin.. thori azmayishen bhi hotin hain.. aese hi kuch mushqil halaat Rizwan k they: Rizwan aik kiraye k ghar me apni biwi aur chotey bachon k sath rehta tha, wo kayi mahinon se berozgar tha, uski biwi aik garment factory me 12 ghantey kharey hokey kaam karti, buson me dhakey khati aur soojey howe pairon k sath ghar me daakhil hoti to wahan gurbat aur andheron ko siwa kuch na hota.. Rizwan koshishon k bawajud nokri hasil nahi kar paraha tha, uski biwi ki salary kiraye aur bills ki nazer hojati aur ghar me faakey honey lagey, bachey bhook se bilakne lagey, … Kya aap apne ko aik minute k liey Rizwan ki jagha imagine kar saktey hain? Uski family ki takleefon ko mehsoos kar saktey hain? Baqol kisi Shayar k alfaaz mein:

Ye bhook hi hoti hai jo insan ko ghalat rah per daal deti hai, khudkushi ya ghar chor k chaley janey per majboor kardeti hai. Insan hosla haar jata hai. Rizwan ka ghar bhi isi safaak bhook ka shikar honey laga tha. Rizwan ki zindagi me phir se blessings laney k liey kuch naujawaon ne unki madad karne ka socha, unke ghar me 2 mahiney ka ration dalwaya is azzam k sath k is dauran wo log milke inke liey nokri dhundein gey… aur Allah k karam se wo log aik towel factory k warehouse me Rizwan ko job dilaney me kaamyab hogaye. Rizwan ki mushqilat bilaakhir khatam howin aur uski zindagi track per agayi. Kaun log they ye jo Rizwan ki zindagi me phir se blessings laye? Usko pairon per khara kiya? Kya maqsad tha inka aur kahan se aye they ye?

Facebook.com/syedmohsin.syb Email: [email protected]

Share Your Blessings – SYB (FB Page: www.facebook.com/syb.khi & FB Group: www.facebook.com/groups/syb.khi/)

Early life Ye janney se pehley mein apko aj se 25 saal pehley le jata hun Libya mein, Meri family wahan settled thi aur Ammi, Abbu wahin kaam kartey hain achi jobs theen aur achi income thi aur zindagi me buhat sari blessings theen… Mera 1 bhai aur 1 behen wahan schools me parhtey they. Mein ghar me sabse chota tha aur abbu mujhse behad pyar kartey they. Wo jis taraf karwat leker leit`tey pehley mujhe us taraf litatey aur ammi ko kehtey k tum kese iski taraf peet kar ke sosakti ho . Abbu me sirf aik buri addat thi aur wo ye k wo buhat ziada cigratte peetey they. Kismet ne palta khaya, Mere abbu ko severe heart problem howa aur unke ilaaj, by-pass per buhat kharcha huwa aur 1990 mein jab mein 4 saal ka tha to mere abbu ka inteqal hogaya aur wo humsab ko is duniya me akela chor kar chaley gaye. Is Dauran Libya me mukeem aik Pakistani doctor family ne humara buhat saath diya aur Ammi jab bhi unka shukriya ada kartin to wo kehtey, “Behen tum mera shukriya mat karo, magar jis din aap ya apke bachey is qabil hojayen k wo kisi dusrey ki help kar sakein to zarur kisi ki mushqil asan karna”. Abbu ki death k baad sab kuch jese khatam hogaya tha. Meri Ammi akeli hum behen bhaiyon aur Abbu ki dead body leker wapis Karachi ayin aur hum Karachi k aik middle class area F.B Area me settled howe aur humne zindagi scratch se start kari. Allah ka shukar hai k Ammi Abbu ki savings ki wajah se atleast humarey pass apna ghar tha. Buhat mushqil aur challenging waqt tha ye hum sab k liey. Mein Abbu ko yaad kar kar k rota tha khas tor per jahaz ki awaz sunke aur mujhe dilasa diya jata k wo abhi airport se ayengey aur jab hosh sambhal liya to andaza hogaya k wo ab kabhi wapis nahi ayengey humari zindagi me. Meri ammi ne humari kul jama poonji ka mohtat andaza laga k ye faisla kiya k wo ghar per rahein gi humari upbringing k liey. Mein bhi chota tha us waqt aur Karachi k halaat bhi 90’s me achey nahi they. Mene aur mere behen bhai ne schools me admission lelia aur Zindagi ki aik nayi shuruaat kari. Father k bhageir zindagi guzarna asan kaam nahi, har challenge ka samna apko khud karna parta hai. Ammi ne humein maa aur baap dono ban k paala aur humari har jayez wish poori kari magar sath hi humein ye bhi bawar karaya k humarey resources mehdood hain aur inhi wasayil me rehker humne zindagi me kuch karna hai takey hum kisi mukaam per puhanch sakein. Matric Ghar me kuch na kuch parhne ka culture tha. Nonehaal se start kiya, umro ayar, phir Akhbaar-e-Jahan, newspapers sab parhtey rahey waqt k sath sath. Naqable- faramosh aur sachi kahaniyan parhney ka shoque mujhe bachpan se hai aur aj bhi I love reading them. Bhageir coaching ya tution k mene 2001 me Matric kiya achey numbers k sath aur hamesha class k top 10 students me shamil raha. Kabhi bhi mujhe coaching ya tution ki zarurat peish nahi ayi. Mere childhood ki favorite movie Terminator 2 hoti jisey mene countless times dekha. Cricket ka bhi buhat shoque tha aur khoob kheili. Bachpan se hi me gariyan khiloney khol k unke magnets, motors nikalta aur experiments karta. Computer ka behad shoque tha aur mera khuwab tha k mein aik Engineer banun aur apni family ki zindagi mein phir se blessings ko wapis la sakun. Inter Meri college life disaster saabit howi, wahan na parhai thi na class aur mujhe tution ya coaching ki addat nahi thi, mein adjust nahi hosaka, aur cricket, computer internet games etc mein lag

Facebook.com/syedmohsin.syb Email: [email protected]

Share Your Blessings – SYB (FB Page: www.facebook.com/syb.khi & FB Group: www.facebook.com/groups/syb.khi/)

ker mene do saal zaya kiye aur inter sirf 67% k sath clear kiya. Is % k sath kisi achi engineer university me admission? Namumkin! Mujhe laga mere sarey khuwab toot gaye, koi mediocre si degree lunga, average job karunga aur hamesha mediocre zindagi guzarunga. Na khud k liey kuch kar sakunga na apni family k liey aur muasharey k liey kuch karna to buhat door ki baat hai. Is dauran aik wakeya ne mere sochne ka dhang badla, mere pass aik used sports cycle thi jis per mein aik din college gaya, wapisi meinr Karimabad k muqaam per mera bus se accident huwa, mera road per gira howa tha aur bus ka tyre meri cycle k pichley tyre per tha mere jisem se chand foot door, mere bag mein cheezein aur kitabein phat gayin theen. Mujhe logon ne uthaya aur rickshaw me ghar bheja. Us accident se theek 15 minute pehley mene aik bhookey ko biryani khilayi thi. Aur usne mujhe buhat duauein di theen aur mera kamil yakeen hai k isi wajah se meri zindagi bachi. Thori si ye realization howi k kisi aur ki madad karne se apki apni mushqilat bhi kam hoti hain. Engineering & Job Inter mein kam % k bawajud mene himmat nahi hari, admission test k liey be-inteha mehnat kari, usko clear kiya. Humara aik chota sa plot aur Ammi ki gold ki chooriyan beich kar mein Sir Syed University se 4 saal mehnat karke Electronics Engineer bana scholarship k sath. Engineering k pehle saal me Ammi ne pessey jama karke mujhe aik 70cc motorcycle dilayi. Beech me aik waqt aesa bhi aya jab mein chapel pehen k university gaya, mere pass calculator aur mobile khareedne k pessey nahi they. Mera pehla mobile bhi mere behnoyi me mujhe dilaya aur uski sim bhi, aur phir bhi mere pass pehle mobile card k liey pessey nahi they. Mene tutions parhayin, freelance work kiya apna jaib kharcha pura karne k liey. Allah k karam se Convocation se pehle Job letter mere hath me tha jab dusrey logon ne job dhundna sahi se start bhi nahi kari thi, mein aik mashoor idarey me trainee engineer select hogaya tha. 19 March 2008 ko mene job shuru kari aur wahan bhi khoob mehnat se kaam kiya, aik saal baad mein confirm howa outstanding/exceeds expectations ki rating k sath. Mujhe aj bhi yaad hai mene apni pehli salary se ghar ka 25 saala purana TV change kiya. Apni family ki dawat kari aik restaurant me jakey. Meri ammi, meri behen aur mere behnoyi me mera har qadam per sath diya, mujhe encourage kiya aur kabhi hosla harne nahi diya. Kaafi mushqilat, ups and downs k baad me apne Engineer banney k khuwab ko sach karne me kamyab hogaya tha aur aik achi job bhi mil gayi thi. Ahista Ahista Zindagi mein blessings phir se wapis aney lagin. Chahey jitni hi mushqilat kyun na ayen zindagi me, Insan ko kabhi apna hosla nahi chorna chahiye. MBA 2009 mein jab mein 23 saal ka tha kisi ne shadi to kisi ne gari lene ka mashwara diya, uswaqt car leasing ka buhat trend tha, magar mene uske bajaye apne ooper invest karna ka faisla kiya aur apni jama poonji ikhhetey karke CBM ke MBA executive me daakhlia lelia, mein apne aapko mazeed groom karna chahta tha. 5 din mein job karta aur 2 din parhai karne Korangi Creek jata 45km ka faasla F.B Area se apni motorcycle per jahan majority Upper class aur Posh areas se parhne ati thi. 2.5 saal mene un logon k sath compete kiya aur 2012 mein 3.5 GPA k sath mein

Facebook.com/syedmohsin.syb Email: [email protected]

Share Your Blessings – SYB (FB Page: www.facebook.com/syb.khi & FB Group: www.facebook.com/groups/syb.khi/)

passout howa with scholarships. Usi university me jahan me motorcycle per jata tha, convocation k din purani magar apni zatti gari me gaya degree lene Ammi k sath. CBM se MBA ne mujhe further polish, groom aur confidence diya, meri presentation aur report writing skills ko buhat improve kiya. Sabse ziada maza mujhe parhne ka MBA me aya jab me mature hochuka tha aur fees meri jeib se jati thi to mujhe andaza tha k isko waste nahi karna. Mene IBA me admission is liey nahi liya kyunke meri job ki late timings ki wajah se me regularly evening class nahi le sakta tha. Mene ghar ko aur set kiya, zindagi me mazeed blessings agayin. Meri favorite kitaab Umera Ahmed ki Peer-e-Kaamil ne bhi meri zindagi me gehrey naksh chorey. Aap soch rahey hongey, Engineer ban gaya, MBA karlia, job set hogayi ab iski kahani khatam hojaye gi magar asal kahani abhi agay hai . Afghanistan MBA k baad meri taraki huwi, salary barhi, mene ghar ko mazeed set kiya, zindagi me aur ziada blessings agayin. Magar abhi bhi kisi cheez ki kami thi, mein puri tarah satisfied nahi tha… isi kami ko duur karne ki justaju me mein aik hospital project per Kabul, Afghanistan jesi khaternaak jagha chala gaya sab k mana karney k bawajud jahan mere Electrical department se koi aur janey ko tayar na tha. Jang se tabah haal mulk akey mujhe Azadi ki kadar o qeemat aur Gurbat ka andaza howa. Airport se bahir nikla to aik 6.5 foot k gulabi skin waley Amreeki fouji ko dekh k aik ajeeb se insecurity ka ehsas howa. Afghanistan k refugees ko humne kitne saal apne mulk me Panah di, rozgar aur aik identity di, magar wahan Pakistaniyo k khilaf unke zehenon me zeher bhara dekh k buhat dukh howa. India ka behad propaganda hai wahan. Aik dafa humari team humein aik Kabul k aik mashoor super store leker gayi aur andar le jaker bataya k yahan last year buhat khaternaak khudkash hamla howa tha, ye sunke humari jaan nikal gayi aur hum jaldi bhagey wahan se . Humarey mulk ki azadi kitni bari neimat hai ye mene realize kiya, yahan humein sab kuch karlene ki azadi hai phir bhi hum is mulk se wafa nahi kartey. Sath milke, aik hokey rehna kitna zaruri hai warna mulk isi tarah disintegrate hojata hai. Unki zindagi me koi blessings nahi thi aur unki badhaali dekh k mujhe apna mulk aur acha lagney laga. Humein ye mulk bethey bithaye mil gaya hai isliey hum Pakistan ki qadar nahi kartey, usko sahi karney ki zehmat nahi karte.

#Koi bhi Mulk perfect nahi hota usko banana parta hai. TCF RAHBAR Program Wapis Karachi akey 2013 mein mene aik aesa decision liya jisne meri zindagi ko totally change kardia. TCF jo ghareeb bachon ko taleem deta hai, mene uske Rahbar Program ko join kiya jahan class 8 k bachon ki board exam se pehle mentoring ki jati hai. Unko motivate kiya jata hai k wo bhi apni zindagi me buhat sari blessings hasil kar saktey hain. Wo bachey subah parhtey, dopher me koi kaam kartey carpentary ya stitching waghera ka, sham ko akey homework kartey aur subah phir se school atey. Hum unke sath apni Blessings Share karne Orangi se buhat agay, banaras se hote howe aik underprivileged area me jatey. Wahan ki gurbat aur logon k halat ne meri ankhein khol din aur mujhe yakeen nahi aya k Karachi me bhi aese ilaqey maujood hain. Koi berozgar tha to kisi k pass ilaaj karaney k pessey nahi they, kisi ki beti jahez na honey ki wajah se ghar bethi thi, to kisi k ghar khaney ko kuch nahi tha. Agar mere pass 500 ruppey hain

Facebook.com/syedmohsin.syb Email: [email protected]

Share Your Blessings – SYB (FB Page: www.facebook.com/syb.khi & FB Group: www.facebook.com/groups/syb.khi/)

to me us se kisi ki choti si madad karsakta hun, lekin agar yehi 500 ruppey 100 log aik sath kharch karein to un 50 hazar se aap buhat kuch karsaktey hain. Kisi ko thela ya dukan khulwa saktey hain, kisi ka ilaj ya beti ki shadi me madad bus shart ye hai k log milke kaam karein. Hum aik aesi qoum hain jo corruption me bhi sab se agay hain aur charity dene me bhi. Pakistanis har saal 650 billion rupees charity me dete hain. Magar iske bawajud humein koi revolution nahi nazer ata, Pata hai kyun? Kyunke humarey efforts buhat individualized hain, agar hum milke kaam karein to buhat kuch achieve karsaktey hain. Share Your Blessings Isi soch k sath mene 2014 mein aik social welfare group banaya jiska naam mene Share Your Blessings rakha, takey is platform k zariye log milke apni blessings unprivileged, needy aur deserving logon k sath share karsakein takey humari society me se inequalities khatam hosakein. Mera manna hai k duniya me jitne log hain, unki zaruriyat ki sab cheezein maujood hain, bus farq ye hai k kisi k pass ziada hai aur kisi k pass kam, agar hum dusron k sath apni naimaton ko bantein to ye inequalities khatam hosaktin hain. Mene like minded logon ko dhunda, unke sath team banayi, 5000 ruppey meri pehli donation thi, baqi group ne bhi donate kiya. Meri Kahani k shuru me mene jis berozgar bandey Rizwan ki family ka ziker kiya tha, ye humare hi group Share Your Blessings ka first project tha jisme humne Rizwan ki job aur ration ki help kari, aur us family ko pairon par khara kiya. Jis din us bandey ki job lagi aur humne usko ration diya, us waqt hum log beinteha khush aur exicited they. Hakeeki satisfaction aur khushi us din mujhe hasil huwi jo k lafzon me bayan nahi ki jasakti. Kisi aur ki takleef duur karke aap kis tarah se apni zindagi behtar banasaktey hain mene us din jana. SYB Core team mein shamil Basit, Vajiha, Shahzaib, Isha aur dusrey buhat se members k sath milke humne har field me kaam shuru kardia.

Rizwan ki family k baad us jesi kayi families ko unke pairon per khara kiya, ration aur rozgar k liey qarz-e-hasna faraham karke.

Aik mahiney baad humarey group ne Army k through Thar me 4 lakh ka 6 TON ration aur pani ki bottles provide Karin.

Waziristan IDPs ko bhi army k through ration puhanc waya aur unki mushqilat kam karne ki aik koshish kari. Mustahik families ko hum continuously ration provide kartey hain.

Humara aik bara samajhi masla ghareeb larkiyon ka shadi na ho pana hai, uske liey humne apna marriage assistance program start kiya aur Alhamdulilah hum buhat sari larkiyon k shadiyon ka kharcha utha chuke hain. Recently humne 2 behnon ki shadi per aney waley mukammal ikhrajat uthaye hain.

Logon me awareness k liey buhat se social events speical bachon, old age me maujood parents aur labours k liey kiya.

Unprivileged school children ko hum mukhtalif field trips per leker jatey hain, unki education ko support kartey hain. Thalassemia k bachon k sath events kiye.

Ramzan me ration aur eid k kaprey distribute kiye. Recent heat wave mein pani aur juices distribute kiye hospitals mein.

Aur haal hi mein Civil PICU mein 2 ton ka AC install karaye. Aj 1.5 saal me hum 1.5 million rupees se ziada k projects kar chukey hain aur logon ki zindagi behtar karne ma aik qirdar ada kar rahey hain.

Facebook.com/syedmohsin.syb Email: [email protected]

Share Your Blessings – SYB (FB Page: www.facebook.com/syb.khi & FB Group: www.facebook.com/groups/syb.khi/)

Hum har field me kaam kar rahey hain healthcare, education, poverty reduction etc kyunke humarey problems bhi har area mein hain. Aj Alhamdulilah Share Your Blessings K 2400 se ziada members hain. Humein log ankhein band karke apne donations dete hain aur hum aik aik ruppey ka hisab rakhtey hain pehle din se ajtak. Ye sab social media k through humne shuru kiya, log atey gaye aur karavaan banta gaya. Mein 9 ghantey job karta hun aur roz 5-6 ghantey apne group k liey kaam karta hun aur isi tarah baqi sab members bhi apna time aur pessa volunteer kartey hain. Aj meri zindagi me buhat sari blessings hain aur hum Share Your Blessings k through dusron k sath bhi blessings share kar rahey hain. Mere sath mere zaberdust members Shahid Ali, Asif Khan aur Tirmizis milker kaam kar rahey hain. Ye sab unpaid volunteers hain jo apna time nikaltey hain is cause k liey. Kisi bhi barey maqsad k liey aik achi team banana buhat zaruri hai. Social media ke positive use se humne ye sab hasil kiya. Aik Insan utna impact nahi lasakta jitna 10 log miker kaam karein to. Share Your Blessings k zariye humne jitna bhi kaam kiya, is success ka raaz humara team work hai. Agar meri puri team mera sath nahi deti to hum koi bhi projet nahi kar patey. Humarey group me buhat se invidiuals hain students, engineers, doctors, pharmacists, artists etc isliey ab log hum log Youth training program start karne jarahe hain aur uske liey ajkal koi suitable jagha dhund rahey hain. Wohi humara Social Entrepreneur center hoga jiske zariey hum apne muasharey k masley innovative tareekon se hal karne k liey bethein ge. Karachi me Welfare Clinics kholne k liey humara plan ready hai inshaAllah jald hi usko bhi implement karein gey. Karachi k liey massive plantation aur beautification campaign start kar rahey hain #CleanKarachi k naam se. Jab me koi bhi project nahi kar raha hota to me cold drinks ki used bottles ko achi tarah wash karke, peeney ka pani unme bhar k fridge me thanda karta hun aur agle din unko bahir nikaltey howe ghareeb logon ko dedeta hun. Aap kisi raah chaltey howe insan ko garmi me thanda pani deker uska reaction dekhein, apna din buhat zaberdust guzrey ka . Jab kisi ki help karke ap bister per soney leit`tey hain to buhat pursukoon neend ati hai. Humara mulk azad hai, humein kisi cheez ki rok tok nahi hai, magar iska matlab ye nahi k hum apne mulk ka bera garak karlein, kachra pehnkein, traffic rules ko follow na karein, naaptol me kami karein, mamooli baton per aik dusrey ko maarein aur bardasht na karein, Bijli, gas, pani chori karein. Ye sab kharabiyan humarey andar hain, iska zimedar America ya Yahoodi nahi hain. Humein khud apne aap ko andar se theek karna hoga. Khuda bhi un logon ki halat nahi badalta, jo apne halaat khud nahi badalte. Humein ab khud stand lena hoga, agay barhna hoga aur apne logon aur mulk ko behtar banana hoga. Is muasharey me khush rehne k liey behiss hona buhat zaruri hai, warna agar apke ird gird log bhookey hon, mar rahey hon, ilaaj ya shadi na kar pa rahey ho, education na hasil kar pa rahey ho aur itni mushqilat hon to aap kese apni life me khush rehsaktey hain? Uska bus aik hi tareeka hai k dusron ki bhi madad karein jis tarah bhi possible ho. Aj meri ammi buhat khush hain aur fakhar mehsoos kartin hain mujhpe. Aj me jo kuch hoon unhi ki wajah se hoon, unki mehnat aur efforts ki wajah se. Abhi recently unki 70th Birthday humne celebrate kari 31st August, 2015 ko, meri aap sab se request hain k unki lambi umar aur achi sehat k liey dua karein. Shayad Abbu ki wajah se mujhe cigeratte se nafrat hai. Jab mere pas kuch nahi hotey howe mene itna kuch achieve karlia to ye kaam aap bhi kar saktey hain. Kabhi bhi apne per se yakeen mat uthne dena. Tum kar saktey ho! Zindagi me buhat mushqilat

Facebook.com/syedmohsin.syb Email: [email protected]

Share Your Blessings – SYB (FB Page: www.facebook.com/syb.khi & FB Group: www.facebook.com/groups/syb.khi/)

hoti hain, buhat ziada azmayishen; magar shayad isi liey to humein duniya me bheja gaya hai? Haina.. kyunke ye aik examination hall hai, humein, humarey patience aur mushqil halaat me thankfulness se humein azmaya jata hai. Zindagi me kayi baar aesa lagta hai jese ab agay kuch nahi hosakta, dead end hai, magar har tareeki k aakhir me aik roshni hoti hai. Helen Keller ne kaha humari zindagi me jab khushi ka aik darwaza band hojata hai, to dusra khulta hai, magar hum aksar band darwazey ko itni dair tak dekhtey rehtey hain k hum realize nahi karpatey k konsa dusra naya darwaza humarey liey khula hai. Tum giro gey, thokar khao gey, dhoka khao gey, mayosi hogi, andhere mushqilat takleefein hongi magar himmat nahi haarna. Sona bhatti me jal jal kar hi Kundan banta hai. Mein apke sath aik article share karta hun jiski har line me ko me hamesha yaad rakhta hun jab bhi me down ya na-umeed hota hoon. Kya aapne Arthur Ashe ka naam suna hai? Wo aik waqt me duniya ka sabse bara tennis player tha. Wo African American tha. Isne bachpan me athlete baney ki koshish kari lekin jismani kamzori ki wajah se kamyab nahi hosaka. 6 saal ki umar me iski walda ka inteqal hogaya aur wo akela rehgaya. Jab tanhai sataney lagi to usne faisla kiya k duniya me koi aesa kaam karey ga jo is se pehley kisi kaaley ne na kiya ho, usne tennis khelna shuru kardi. Wo court me dakhil howa to usne kamal kardia. Wo 1963 me America ka tennis ka sabse bara player tha. Wo Davis cup ki team me shamil howa, wo American national team ka pehla kaala khilari tha, wo Davis cup jeet gaya, yeh aik herankun kamyabi thi. 1969 me sarey media ne usko itni coverage di k wo America me sabse machoor shaks tha. 1969 ne South Africa me tennis ka match tha, Ashe ne visa k liey apply kiya aur usko reject kardia gaya. South Africa me us waqt goron ki hukumat thi aur wo kisi kaaley ko visa jari nahi karte they. Arthus Ashe k liey ye zindagi ka dusra bara challenge tha. Isne tennis chordi aur America me kaalon k hukook ki jang shuru kardi. Wo famous tha, media aur awam uske sath they aur isi takat k zariye America aur uske haleef takateinn kaalon k hukook tasleem karne per majboor hogaye. South Africa ki embassy ne usko visa jari kardiya, ye uski buhat bari kamyabi thi. Magar asal kahani abhi agay ayegi, jab wou South Africa ka visa leker nikla to kisi ne kaha k Ashe ne visa to hasil karlia lekin ab wo tennis nahi kheil sakey ga, us shakhs ka khayal tha jo shakhs itne saal tennis court se bahir raha ho, uske liey dobara national champion banna asan nahi hoga. Magar Ashe dobara court me daakhil howa aur usne khelna shuru kiya aur 1975 me usne tennis ki duniya ka sabse bara aeizaz Wimbledon Cup jeet liya, wo ye cup leker bahir nikla to World Star tha. Asal Kahani magar abhi baqi hai, 1980 me usko heart attack howa aur usko heart surgery k liey Hospital le jaya gaya, wahan isey blood diya gaya jisme HIV tha, Arthus Ashe Hospital se nikla to Aids ka mareez banchuka tha, Hero Zero hogaya, wo 1993 tak poorey 13 sal is marz se larta raha, duniya k 34 karobari idaron, 55 barey hospitals aur duniya k 4 hazar docrors ne uski jaan bachane ki koshish ki lekin Duniya ka super star 6 February 1993 ko is duniya se rukhsat hogaya. Aap log socho gey ye kahani khatam hogayi magar asal kahani abhi baqi hai, jab Arthus Ashe Hospital me Akhiri Saansein leraha tha to uske aik fan ne isey aik khat likha, is letter me is ne Ashe se aik ajeeb sawal kiya, usne pucha is waqt duniya me 5 arab log hain, kudrat ne in 5

Facebook.com/syedmohsin.syb Email: [email protected]

Share Your Blessings – SYB (FB Page: www.facebook.com/syb.khi & FB Group: www.facebook.com/groups/syb.khi/)

billion logon me se sirf tumhein is mouzi marz k liey kyun muntakhib kiya? Why you? Arthur Ashe ne is Why you ka kamal jawab diya, ye jawab aik pura falsafa hai. Mein Zindagi me jab bhi mayoos hota hoon, kabhi bhi khud ko badnaseeb mehsoos karta hun to Ashe ki wo chand lines nikal k parh leta hun, Yakeen karein mein aik baar phir uth khara hota hun, mein khud ko duniya ka khush naseeb tareen shaks samjhne lagta hun. Arthur Ashe ne us shaks ko jawab diya, duniya me har saal 50 crore bachey tennis khelna shuru kartey hain, unme se sirf 5 crore bachey ye kheil seekh patey hain, in 5 crore bachon mein se sirf 5 salkh naujawan professional tennis player bantey hain aur unme se sirf 50 hazar kheil k circuit me daakhil hotey hain aur un 50 hazar me se sirf 5 hazar Grand Slam tak puhanchtey hain, in 5 hazar players me se sirf 50 Wimbledon khelne atey hain, in 50 mein se sirf 4 semi final kheltey hain, in 4 mein se sirf 2 final kheltey hain aur in 2 mein se sirf aik shaks ko Wimbledon Cup milta hai aur mein duniya k in 5 arab logon me ase aik hun jisey wimbledon cup mila tha, mein duniya ke 50 crore khilariyon me aik wahid shaks hun jisne tennis khelna shuru kiya aur wo wimbledon tak puhanch gaya. Mene zindagi me Tennis k 800 barey aeizaz haasil kiye, ye reocrd hai. Mein jab bhi trophy, cup ya Award lene gaya to mene kabhi Khuda se ye nahi pucha k aey Khuda tu ne puri duniya me sirf aeizaz k liey sirf mujhe hi kyun muntakhib kiya, why me? aj mein takleef me hun, jab mujhe dard hota hai aur mein Allah se ye puchney lagta hoon Why me? to mujhe apni zindagi ki sari blessings aur aeizaz yaad ajatey hain aur me sochta hun jab mene apni kamyabiyon per Khuda se ye nahi pucha tha k Why me God? to mujhe aj apni takleef per is se ye sawal karne ka koi haq hasil nahi, jab mene apni kamyabiyon per Us ka shukar ada nahi kiya to aj mujhe apni nakami per Us se koi shikwa nahi karna chahiye. Khuda ko kabhi ye na batao k tumhari mushqil kitni bari hai, tum apni mushqilon ko ye batao k tumhara Khuda kitna bara hai! Aaj me as a Project Engineer logon k liey nayi buildings design karta hun, faarigh waqt me fresh Engineers ki free CV review karta hun aur Share Your Blessings k zariye apni society, apne mulk aur uske logon ki mushqilaat ko kam kartey ki koshish karta hun takey hum behtar hosakein. Salman Khan ki movie Kick jisme wo sari zindagi oout patang kaam karta rehta hai magar usko asal Kick tab haasil howi jab usne aik masoom lekin behad beemar marti howi bachi ki jaan bachayi. Mujhe meri kick SYB se mili . Isi tarah humarey youth me bhi buhat energy hai, sabko apni apni kicks ki talash hai, bus is energy ko sahi tarah se channelize karney ki zarurat hai. Ye just pehla kadam hai aur abhi buhat sa safar baqi hai. Apne liey to har koi jeeta hai, kabhi dusron k liey bhi jeena chahiye. Aakhir mein Aap sab log aik ehed karein, ab aap bhi kisi Rizwan ki madad karein gey, kisi bachey ko parhayen gey, apne shehar ko saaf rakhein gey. Masti karein, Life enjoy karein magar saath sath apni society ki bhi fiker karein. Ye humara ghar hai, jese hum apne ghar k masle ko ignore nahi kar saktey isi tarah hum apne problems sirf government per nahi chor saktey. Is mulk ka kuch nahi hosakta kehna chorein, Kadam barhayen apna part play karein aur dusron k sath apni blessings ko share karein!

Shikwa-e-Zulmat-e-Shab se to Kahin Behtar tha

Apne Hissey ki koi Shama Jalatey Jaatey…

Facebook.com/syedmohsin.syb Email: [email protected]

Share Your Blessings – SYB (FB Page: www.facebook.com/syb.khi & FB Group: www.facebook.com/groups/syb.khi/)

Syed Mohsin – Founder & President of Share Your

Blessings - SYB receiving “Youth Champion 2015”

award by I am Karachi & School of Leadership.

Share Your Blessings Team (Shahid, Basit, Shahzaib, Mohsin, Isha, Vajeeha

from left most)

TCF Rahbar Program 2013

Family Picture 1989 Libya

CBM MBA Graduation 2012 with my sister, brother in law & Ammi

With my Ammi

Facebook.com/syedmohsin.syb Email: [email protected]

Share Your Blessings – SYB (FB Page: www.facebook.com/syb.khi & FB Group: www.facebook.com/groups/syb.khi/)

The top left picture is when we were buying ration for Rizwan.

JOIN US TODAY TO SHARE YOUR BLESSINGS WITH THE WORLD!