aqal or imamat

Upload: syed-jawad-ali-raza

Post on 12-Jul-2015

2.057 views

Category:

Documents


11 download

TRANSCRIPT

Attention: jin hazraat ko article main mojood hawala jaat k scan p[ages chaheayhon wo mujh se rabta karsaktey hain([email protected])

ZIKR-E-IMAMAT

TAMAM Traeefain uss Parwardigar-e-be niyaz kay leay jo khaliq hai her shey ka jiski tauheed haq or jiski koi misl nahi or na kisi pehle se mojood misl k tehet usney koi cheez banai wo ALLAH jo gher e-jism hai la makaan hai durood o salam ho usky Nabi Muhammad(saw) or unki Zuriyyat-e-tayyiba pe.Pehle haqeer ne mozoo-e-imamat per aik baqayeda kitab murattab karney ka socha magar waqt ki qilat or chand aik buniyaadi wajoohaat ki bina per iss tareeka-e-kaar ki taraf mutawajah hogaya imamat shia or sunni kay darmiyaan aik nihayet he ikhtilaafi mozoo hai sadion se iss mozoo per fareeqain ki jaanib se dalayel ka tabadla jari hai magar nateeja kuch hasil nhi aqal jo k deen k maamlaat main istemaal karna lazim hai batasdeeq quran surah e yousafpus issi k zareeay shia sunni nazariyaat per roshni daaltey hain k Imamat e Ahl-e-bait ki kya haqeeqat hai.

OLUL AMR.Quran ki uss ayat ki taraf aatey hain jo akser tarfain kay istidlaal se guzarti rehti hai Itaat karo Allah ki or itaat karo Rasool ki or olul amr ki jo tum main se hain (Surah e nisa ayat no 59) Iss ayat main lafz olul amr kay baray main shia sunni nazariyaat mukhtalif hain shia ka tou roz-e-awal se yahi aqeeda hai k olul amr se muraad Janab Risalat-e-Maab(saw) ki Ahl-e-bait-e-tahira hain magar Ahl-e-sunnat k haan ismey ikhtilaaf paya jata hai hum awal Ahl-e-sunnat k olul amr k baray main mukhtalif nazariyaat per roshni daaltey hain

MUKHTALIF NAZARIYAAT1-Daarmi ne apni sunan main atta ka ye qol naqal kiya hai kay olul amr se muraad mahireen-e-ilm-o-fiqah hain or Rasool(saw) ki itaat se muraad kitab o sunnat ki perwi karna hai

Hawala: Sunan Al Daarmi jild#1 safa no#127 hadis no#225(matboa shabbir brothers Lahore)2-sayyuti ne saddi ka qol naqal kiya hai k iss se murad Khalid ibn-e-waleed hai jisey aik sariyya main bheja gaya Hawala Tafseer-e-dur-e-mansoor jild# 2 safa no#484 (matboa lahore) 3-ibn-e-kaseer ne ibn-e-Abbas(ra) se biyaan kiya hai olul amr se murad Abdullah bin hazafa bin qais hain Hawala ibn e kaseer tafseer quran ul azeem jild 2 safa no#703(maktaba-e-qudoosia ghazni street urdu bazaar lahore)

Mahireen-e-ilm o fiqah per behes.Daarmi ne mahireen-e-ilm o fiqah ki tashree main koi tehreeri biyaan nhi diya ye kon log hain albata sayyuti ne zail ayat ki tafseer main biyan kiya hai ye log Huzoor(saw) k chand sahaba jin main umer bin khataab or Hazrat Abdullah ibn-e-Masood(ra) shaamil hain murad hain Ager sayyuti ki biyaan karda riwayet ko tasleem karlia jaey tou phir in dono afraad Abdullah o umer ki itaat laazim aati hai magar haqeeqat yeh hai ye dono hazraat iss ayat k misdaaq nhi kyunke ye dono hazraat apas main ikhtilaaf rakhtey hain Maslan umer bin khataab k nazdeek muttah haram hai or Ibn-e-Masood(ra) k nazdeek halal hai Bokhari ne ibn-e-Masood(ra) ka qol naqal kiya hai k Hum RasulAllah(saw) k sath jung ko jatey thay or humarey pas koi saman na tha tou hum ne kaha k kya hum apne Qawaey shehwani ko bekaar na bana dain?Hazrat(saw) ne iss se mana farmaya phir humko muttah karney ki ijazat di phir ibn-e-Masood(ra) ne iss ayat ki tilawat farmai aye ehl-e-eman na haram qarar dou un cheezon ko jinhain khuda ne tumharey leay halal qarar diya hai or had se barhney walon ko dost nhi rakhta

Hawala: Sahi bokhari jild#2 safa no#759(matboa dehli india)(matboa misr jild#3 safa no#146) Allama ibn-e-qaim ne likha hai ibn-e-masood(ra) muttah k jawaz k qayel rahe or iss ayat ki tilawat kiya kertey thay aye eman walo kyun haram qarar dete ho apne leay wo cheezain jinhain Allah ne halal qarar diya hai Hawala Zaad ul maaad safa no#343 jild#1 Iskey baad allama waheed uz zaman khan ne Muwatta malik bin anas main mutta ki aik riwayet k zail main likha hai k umer bin khataab ne mutta ko barsar-e-mimber haram qarar diya jub se logon ne mutta karna chor diya magar baaz sahaba iskey jawaz k qayel rahey jese Abdullah ibn e Masood(ra),Ibn-e-Abbas(ra),Jabir ibn e Abdullah ansari(ra) Abusaeed Khudri(ra),muawiyya,asma bint e abi bakar,umru bin huwairus,salma bin al kav or jamaat tabaeen main se bhi iskey jawaz ki qayel rahi. Muwatta Malik bin anas safa no#385 zail baab ul nikah hadis no#62(maktaba-erehmania Lahore) Yeh aik bohot ehem makaam hai jo iss baat ki nahhi kardeta hai k olul amr in main se koi nhi hai or ager ye dono hazraat olul amr hain tou jo log mutta k jawaz k qayel nhi hain kya wo olul amr ki nafarmani nhi kar rahey?jesa k ibn e masood(ra) bhi mahir e ilm o fiqah hain or aya olul amr ka apas main ikhtilaaf hona sazawar hai?kya iss barey quran ki koi ayat gawahi deti hai?ya koi hadis-e-Rasool(saw) aisi hai jo kehti ho k olul amr ka apas main ikhtilaaf hosakta hai olul amr ki itaat Allah or Rasool(saw) ki itaat k sath bilafasl hai bamutabik-e-Quranlehaza ye ikhtilaaf humain batlata hai k ye hazraat olul amr k misdaaq nahi hain or na he ayma-e-abraa (Ahl-e-sunnat k 4 imam) olul amr hain..kyunkey charon k alag alag masalik hain or charon k muqalideen k halkey aaj tak qayem hain jo hanfi nizam ki perwi kartey hain kya wo 3 olul amr ki nafarmani nhi kar rahe???ager ap kehte hain k alag alag shariyyatain honay k bawajood tamam ambiya(asws) Nabi hain or unki nabuwaton main shak nhi hota tou alag alag aqayed ki bina per ayma e arbaa k olul amr honay main kyunker shak? Jawab: Awal tou in chaar ulama ko Ambiya(asws) k sath tashbee dena mohaal nhi magar phir bhi arz ye hai tamam Ambiya(asws) apni apni ummaton ki taraf bhejey gaey or maboos keay gaey jubkey ayma e arbaa ka taaaluk aik ummat se hai aik Nabi(saw) ka kalma parhney waley or aik kitab k man,ney waley hain inka taaaluk shariyyat e Muhammadi(saw) se hai ummat e Muhammadiyya(saw) per doosrey kisi Nabi(as) ki shariyyat ko lazim nhi kiya gaya or ma siwaey Peghamber-e-islam k hum per kisi or Nabi(saw) ki itaat wajib nhi ki gai khulasa-e-behes ye k baki Ambiya ki shariyyatain mukhtalif hain ye chaar aik he shariyyat se taaaluk rakhtey hain magar ikhtilaaf per qayem hain lehaza batil hai inko olul amr ka misdaaq thehrana

AMEER-E-LASHKAR KI ITAAT.Atey hain sayyuti ki riwayet ki taraf jesa k oper darj ho chukka hai Khalid ibn e waleed ko aik sariyya k lashker k sath bheja gaya or Amar ibn e Yasir(raziallah) bhi is lashkar main mojood thay mukhtasar ye he Amar(ra) ne aik shakhs ko amaan di jisne kaha ya aba yaqtaan aye yaqtaan k baap(Amar ibn e yasir(ra) ki kuniyyat) main musalman ho chukka hun subha Khalid ne humla kiya or uss shakhs ko qatal karney laga jubkey Amar(ra) ne Khalid ko mana kardiyya k ye shakhs meri amaan main hai musalmaan ho chukka hai Khalid ne kaha tum isko kistarah amaan de saktey ho kher maamla RasoolAllah(saw) tak pohanch gaya tou RasoolAllah(saw) ne Amar(ra) k haq main fesla diya or Khalid ne Amar(ra) ko gaali di( MAAZALLAH humara emaan gawara nahi karta k wo lafz yahan tehreer karain) is per Hazrat(saw) ne farmaya jo amar ko gaali dega khuda usper lannat karega

Hawala: Dur-e-Mansoor jild#2 page#484,485(matboa Lahore)

Iss riwayet se Khalid ka olul amr na hona saabit hojata hai kyunke ager khalid olul amr hota tou Amar(ra) ne unki itaat kyun na ki?Quran ne itaat ko wajib kiya hai tou kya ap ye gumaan karsaktey hain k Amar(ra) ne Quran ki ayat ko jhutla diya?Quran kehta hai Allah ki ayaat ko jhutlaaney waley jahanumi hain tou kya ap Amar(ra) k baray main ye aqeeda rakhtey hain???ya kya Amar(ra) aisey hosaktey hain?Nahi bilkul bhi nahi Amar (ra) RasoolAllah(saw) k mukhlis or wafadar sahabi hain yahan tak k siffain main ap ne apni jaan Mola-e-Kainaat Ali ibn e Abi Talib(asws) wasi-eRasool(saw) per Qurban kar kay haq o batil main tafreeq kardi or Rasool(saw) ki peshan goi bhi pori hogai k Amar(ra) ko deen ka baaghi tola shaheed karega(akhraja bokhari,nisai) Khalid ne Rasool(saw) k saamney Amar(ra) ko gaali di kya olul amr gaaliyan bhi dete hain???Amar(ra) ka Khalid se ikhtilaaf Rasool(saw) ka Amar(ra) k haq main fesla karna neez Khalid ka Amar(ra) ko gaali dena saabit karta hai sariyya k ameer olul amr nahi hain bilkul isi tarah Abdullah bin hazafa bhi olul amr kay misdaaq nhi hosaktey jesa k ibn e kaseer ki riwayet k mutaabik aik dehaati ne Abdullah ki baat man,ney se inkar kardiya or jub baat Rasool(saw) tak phonchi tou Hazrat ne uss dehaati se kaha tum ne theek kiya ager uski baat maan letey tou jahanumi hojatey or baat ye thi k Abdullah ne kaha tum meri itaat main ho tou iss aag main kood parho SubhanAllah.

Ye riwayet dekheay tafseer ibn e kaseer jild 2 safa no,703,704(Lahore)

QURESH K 12 KHULUFAHadis-e-sahi jiskey shawahid ahl-e-sunnat k haan bohot mazboot hain k deen qayem rahega jub tak Quresh se 12 log khulufa na hojaenye riwayet mutaaddad turk or asaneed se riwayet hui baaz biradran-e-ahl-e-sunnat ne guma kiya kay khulufa-erashideen samait kuch khulufa jinkey akhri Mehdi(asws) hain yahi olul amr hain magar afsos kay All-e-Muhammad(asws) kay dushman aaj tak apne wo 12 khulufa saabit na karsakey!!!!aaj tak gin k unka shumaar na kar sakey or haroon rasheed or mamoon rasheed jese fasiq o fajir afraad ko olul amr keh diya haroon ne sub se pehle shatranj kheli(tareekh ul khulufa az sayyuti) issi kitab main mamoon kay baab e khilafat main iska kirdar or fask o fujoor wazey hai qarieen mutaalla kar saktey hainjin jin afraad ko humarey bhaion ne Imam Hassan(asws) k baad olul main shaamil kiya ma siwaey umer bin abdul aziz kay tamam logon ka kirdaar tareekh ul khulufa se mutaalla karlejeay or phir faisla kejeay kay kya sharabi zaani zalim jabir faasik o faajir bhi olul amr kay misdaaq hosaktey hain???Awal tou humarey bhai apne 12 olul amr aaj tak saabit bhi nahi kar paey saanian jin jin tarah kay baad kay khulufa kay kirdaar thay uss se wazey hojata hai ahl-e-sunnat Allah ko zalim mantey hain??kyunkey khuda kabhi bhi zaalim shakhs ki itaat ka hukm nhi detalehaza ye aftarra hai in logon ka olul amr se koi taalluk nahi phir kaha gaya kay nahi janab olul amr tou her zamaney kay hukmarran hain darasal!!!!SubhanAllah phir tou yazeed bhi olul amr hogaya jo musalmaan nasraani mumaalik main muqeem hain unkey leay tou nasraani hukmuraan bhi olul amr hogaey hindustaan ki misaal le lejeay kya hum per hukumat karney waley kufaar bhi humarey leay olul amr hain???apne mulk Pakistan ki awam apne president se tang aai hui hai tou Pakistan kay gher e shia batayen kya zardari sahib bhi olul amr hain???kya musharraf sahib bhi olul amr thay or ager thay tou lal masjid kay molvion ne olul amr ki itaat kyun na ki???pus saabit hua kay ahl-e-sunnat kay tamam istidlal batil hain or olul amr kay barey main tamam nazariyaat batil hain

Allama Fakharuddin Razi ki Raaye.

Fakhruddin Razi Sahib e Tafseer e kabeer mutawalid 1149 mutawaffi 1209 Surah e nisa ayat no 59 kay zail main tehreer kartey hain kay jese Nabi(saw) rijs se mehfooz shar se pak hai wese he olul amr bhi honay chaheeain (Tafseer-Kabeer)

Shia Aqeeda olul amr k mutallikJesa kay asool e kafi tafseer e noor us saqalain waghera main RasoolAllah(saw) or Ayma Masoomeen(asws) se ba asnaad e sahiha manqol hai Olul amr se murad Hazrat(saww) ki Ahl-e-Bait(asws) jinkay Pehle Ali(as) doosrey Hassan(as) teesrey Hussain(as) or in buzurgawaar kay baad Imam Hussain(as) ki olad se 9 Ayma(asws) hain.. Beherhaal mene un kutub se hawala diya jo ahl-e-sunnat kay nazdeek hujjat nahi hain jesa kay ahl-e-sunnat kay jin jin afraad kay baray main olul amr kay shubhaat huey wo na tou shar se khaali hain na he rijs se kya he behter ho kay humarey bhai olul amr un logon ko maanain jo quran ki nus k mutaabik her qism kay rijs se barri hain jinki itaat ka hukm Nabi(saw) ne diya hai jinka ilm sab se behter hai jo sab se ziyada muaamla fehem hainpus pata challa kay iss mansab kay leay chand aik khusoosiyaat ka hona lazim hai 1-Masoomiat 2-ilm 3-Nus-e-Rasool(saw)

MasoomiatAhl-e-bait e Nabi(saw) ki masoomiat quran se saabit hai or Ahl-e-bait kay afraad kon kon hain ye hum ahl-e-sunnat ki kutub se wazey kartey hain

Muslim ne sahi main saad bin abi waqas se riwayet ki hai Jub ayat-e-tatheer yani Khuda chahta hai Ahl-e-bait se her qism kay rijs ko door kardey or inko itna tahir kardey jitney kay ye mustahiq hain(Ehzaab ayat 33) Nazil hui tou Hazrat(saw) ne Ali,Fatima,Hassan,Hussain(saw) ko bulwaya or chaaron ko apni rida-e-mubaarik main chupa diya or phir asman ki taraf chehra buland kiya or bargah-e-Khaliq main arz ki Allah huma haa oola ahlulbayt aye Allah yeh hai meri Ahle-bait pus tu inse her qism kay rijs ko door kardey.

Sahi Muslim Kitaab fazail ul sahaba jild no#4 page 1871 hadis 2404.Aisi he riwayet mustadrak ul hakim main bhi mojood hai mukhtalif ravion se tafseer e dur e mansoor,ibn e kaseer,kanzul emaan or bohot si ahl-e-sunnat mohtaber kutub main sahi asnaad k sath mojood hai.iss ayat se qatan Ahl-e-bait(asws) ki taharrat o masoomiat ka jawaz peda hojata hai or quran ki ayaat ko rad nhi kiya jasakta

ILMIlm aik aisi cheez hai kay lazim hai jo koi itaat ka maalik ho jub mutee uss se kisi barey main sawal karey tou usky pas uska ilm mojood ho or wo usko hujjat o daleel kay sath jawab dey Quran o hadis or deegar tareekhi riwayaat se saabit hota hai kay Ahl-e-bait e Nabi(saw) se ziyada koi ilm o hikmat na rakhta tha

Sab logon pe Ahl-e-Bait(asws) ka ilm ghaalib hai Ibn-e-hijr ne tabrani k tareek se biyaan kiya hai or issey sahih qarar diya hai k RasoolAllah(saw) ne Sahaba(r.a) se farmaya k tum log Quran or meri Ahl-e-bait(asws) se aagey mat barhna or na he inkey baray main kotahi karna or tum inhain sikhaaney ki koshish mat karna wo tum se ziyada jaantey hain(1) Meri Ahl-e-bait(as) ki misaal tum main baab-e-hatta(gunahon ko bakhshney wala bani Israel ka darwaza tha) ki manand hai(2) 1,2-Sawaiq ul Muharikka safa no#364(shabbir brothers Lahore)

All-e-Muhammad(asws) ka ilm Quran k mutaabikIrshad e elahi..kya tum un logon se hasad rakhtay ho jinhain Allah ne apne fazl se atta kiya or All-e-ibrahim ko kitaab or hikmat sikhaai phir tum main se baaz ne isper

emaan laya or baaz ne inkar kiya or jinhon ne inkar kiya unkey leay dehakta hua jahanum he kaafi hai(Al surat un nisaa ayaat 54,55) Ibn-e-hijr al shaafi al makki mutawaffi 947 hijri jo kay ahl-e-sunnat kay mayanaaz ulama main se thay apni kitaab sawaiq ul muharikka main Abul Hassan maghazli kay tareek se Imam Muhammad Baqir(as) ka qol naqal kartey hain kay Khuda ki qasam hum hain alnaas All-e-ibrahim jinhain Khuda ne Kitab o hikmat sikhaai

Hawala: Al-sawaiq-ul-Muharikka safa no 368 urdu tarjuma alama akhter fatehpori matboa shabbir brothers urdu bazaar Lahore Pakistan. IMAM MUHAMMAD BAQIR(AS) K BAREY MAIN AHL-ESUNNAT KA AQEEDA.Kitaab masnad-e-abu hanifa kay mutarjim prof molana dost Muhammad shakir ne issi kitaab kay muqadimma main tareekh e baghdad k hawaley se darj kiya hai kay Imam Muhammad Baqir(as) apne zamaney k muhaddis faqih or bohot barey mutaqee sahabi thay(lafz sahabi istemaal hua halankey ap ne Nabi(saw) ka zamana nhi dekha) or abuhanifa aapky shaagird thay abuhanifa ne aapki sohbat se bohot bara zakheera-e-ilm haasil kiya

Masnad-e-Abuhanifa safa no 23 muqadimma matboa fareed book stall 38 urdu bazaar Lahore..

Hazrat-e-Imam(as) ko Nabi(saw) ka salaam

Ibn-e-Hijr al makki ne ibn ul madini k hawaley se Jabir ibn-e-Abdullah Ansari(r.a) se riwayet ki hai kay Jabir(ra) farmatey hain RasoolAllah(saw) Imam Muhammad Baqir(as) ko salam kaha kartey thay aap se poocha gaya ye baat kese hui ap(r.a) ne farmaya main Aanhazrat(saw) ki khidmat main betha hua tha kay Imam Hussain(asws) tashreef laey or Nabi(saw) ki goud main beth gaey or Hazrat(saw) apkey naaz uthaaney lagey phir Aap(saw) meri taraf mutawaju huey or farmaya Ya Jabir! Hussain(as) k haan aik larka peda hoga jiska naam Ali(as) hoga yani Imam Zain ul Abideen(as) jub qayamat k roz manadi nida karega kay zain ul abideen khara hojaey tab Ali bin ul Hussain(asws)

khara hojayega Ali(as) k haan aik larka peda hoga jiska naam Muhammad(as) hoga aye jabir(r.a) ager tu uska zamana paaey tou ussey mera salam keh dena.

Al-Sawaiq-ul-Muharikka safa no#463,464 shabbir brothers Lahore.Issi tarah ahl-e-sunnat ki mohtaber kutub main Imam(asws) se beshumaar ahadees riwayet hui hain or apky apne bhi both se qol daarmi waghera ne riwayet keay hain. Imam(as) ne farmaya kay wo log hum hain jo All-e-ibrahim hain jinhain khuda ne kitab o hikmat ki taleem di kya ap uss hasti k qol ko jhutla saktey hain jo apkey imam abuhanifa kay bhi ustaad hain inhain apkey ulama sahabiat tak ka darja detey hain jin per khud Rasool-e-Khuda(saw) salam bhejtey hain kya ap us hasti ki baat ko rad karsaktey hain????

Zubaan-e-Risalat(saw) se.Haakim-e-Neshabori ne ibn-e-Abbas(r.a) se riwayet kiya hai kay RasoolAllah(saw) ne farmaya main ilm ka sheher hun or Ali(as) uska darwaza hai or jisey ilm chaheeay usey chaheay kay darwazey k pas aey Neez aisi he riwayet Jabir ibn e Abdullah(r.a) se bhi hakim ne li hai

Al-Mustadrak Jild#3 Safa no#148 Hadis#4700,4703(Daarul Harmain Al Nashr wal tawazee makka mukarimma)Hakim ne iss hadis ko bokhari o muslim ki sharayet kay mutaabiq sahi qarar diya hai

Safina-e-Nooh ki manandHakim he ney Abuzar Ghafaari(r.a) se riwayet ki hai kay Nabi(saw) ne farmaya meri Ahl-e-Bait(asws) tum main safina-e-Nooh(as) ki manand hai jo ismey sawaar hogaya wo nijaat pa gaya or jo khara raha wo halaak hogaya

Mustadrak ul Hakim jild#3 safa no#177 hadis#4783(darul harmain makka mukarimma)

Sub se behtareen qaazi kon?Nabi(saw) ne farmaya Ali(as) sub se behter qazi hai or sub se sahi faisla dene wala hai

Al-Sawaiq ul Muharikka safa no# 212(shabbir brothers Lahore)

Ali(as) Farooque-e-azam.Nisai ne khud Ali ibn-e-Abi Talib(as) se basannad-e-sahih riwayet kiya hai k aik dafa Rasul(saw) ne mujhko nojawani main yemen ki taraf qazi muqarar farma kar bheja pus main Hazrat(saw) ki khidmat main hazir hua or arz ki Ya RasulAllah(saw) main nojawan hun or iss nojawani main faisley kese karunga isper Hazrat(saw) ne dua k leay hath uthaey or farmaya Allah tere dil ki humesha rehnumaai karta rahega or teri zubaan se jo niklega haq hoga

Al-nisai fi Sunun Al Kubra jild# 5 safa no # 116 Hadis# 8417(matboa beroot Lebanon)Iss hadis se saabit hojata hai Ali(as) se bara adil koi nahi hosakta kyunke apkey baarey main nus-e-Nabwi mojood hai

Sahaba(r.a) ki zubaan se.Sayyuti ne ibn-e-asakir k tareek se or Ibn-e-hijr ne Hakim k tareek se Abdullah ibn e Masood(r.a) se riwayet ki hai k Hazrat Ali(as) se ziyada sunnat ka jan,ney wala or muaamla fehem(adil) koi shakhs nahi

Al-Sawaiq ul Muharikka safa no#317(shabbir brothers Lahore)

Tareekh ul Khulufa az sayyuti safa no#212 (zawia publishers Lahore)

Ali(as) na hotey tou umer halaak hojataMolana Muhammad Ali Hussain apni kitab main tehreer kartey hain k hazrat umer k dor main aik orat pesh hui jisney 6 maah k hamal se bacha janna tha tou ap ne isky rajam yani sangsaar karney ka fatwa de diya isper Ali(as) ne farmaya kay yabna khataab aye khataab k bte kya tu ne Allah ka farman nahi suna muddat-e-hamal o razaaat 30 maah hai 6 maah hamal k or 2 saal razaaat k? isper umer ne kaha laoula Ali un luhalik ul umer ager Ali(as) na hote tou umer halaak hojata

Fazail e sahaba wa Ahl-e-Bait safa no#138 matboa shabbir brother urdu bazaar Lahore molana Muhammad Ali Hussain al bakri.Isky elawa bhi hazrat umer k dor main bohot se aise waqiyaat miltey hain jin main umer batil fatwa de dete thay magar jub khabar Ali(as) tak pohnchti tou ap forun apne ilm-ebehr-e-bekaraan se durust fatwa de dete or aisa umer baar baar kehte ager Ali(as) na hote tou umer halaak hojata ibn-e-saad waghera ne aisi kafi riwayaat ko tabaqaat main riwayet kiya hai.

Sayyuti or ibn-e-hijr ne ibn-e-saad k tareek se abuhuraira se riwayet ki hai khazrat umer kehte thay Hazrat Ali(as) hum main sab se behter faisla kuninda hain,ibn-emasood farmate hain Ali(as) hum sab main sab se ziyada faraiz k jaan,ney waley or sab se behter faisla karney waley hain,hazrat Ayesha farmati hain Ali(as) se ziyada sunnat ka jan,ney wala koi nahi hai,Abdullah bin ayash bin rabi kehte hain k Ali(as) k andr ilm ki pori pukhtagi thi or aap(as) Nabi(saw) ki qarabat,taqaddum,islam,damadi-eRasool(saw),ilm o fiqah,shujaat,jung sakhawat-e-maal ki wajha se afzal hain,ibn-eabbas(r.a) farmatey hain jub kisi muaamley main hum tak Ali(as) ka fatwa pohnch jata tou hum us se tajawaz nahi kartey thay balkey uski itibaa kartey thay

1-Tareekh ul khulufa safa no 212(zawia publishers Lahore) mutarjam Al ustad Tariq Ismail

2-Al-Sawaiq-ul-Muharikka safa no# 317 mutarjam alama akhter fateh pori shabbir brother urdu bazaar Lahore

Apni Zubaan se(dawa-e-salooni)IBN-E-HIJR he ne ibn-e-saad k tareek se riwayet ki hai asli ravi abu al tufail hain k Ali(as) farmatey thay jo kuch poochna ho mujh se pooch lo kitab e khuda k mutallik poocho khuda ki qasam mujhey her ayat ki tafseer pata hai k ye din main nazil hui ya raat main maidaan main nazil hui ya pahaar per Neez ibn e hijr or sayyuti ne ibn e saad k tareek se doosri riwayet khud janab-e-Ali(as) se ki hai Ap(as) ne farmaya wallah mujhey her aik ayat ka shan-e-nazool pata hai k kahan,kab or kisky haq main nazil hui kyunke mujhey mere Rub ne aqil dil or zuban-enaatiq ata ki hai

1-Tareekh ul khulufa safa no#228 (zawia publishers Lahore) mutarjam Al ustad Tariq Ismail

2-Al-Sawaiq-ul-Muharikka safa no#319 mutarjam alama akhter fateh pori shabbir brother urdu bazaar LahoreQuran,hadis,aqwal-e-sahaba se saabit hua k Ali(as) or RasoolAllah(saw) ki baaki Ahl-ebait(asws) RasulAllah(saw) k baad ilm main sab se ziyada afzal hai neez ye hastiyaan her aik ayat ka ilm rakhti hain beshuk Allah ne inko ilm o hikmat sikhaai tou koi or inse kese fazilat le sakta hai jesa kuch logon ko Ameer ul Momineen(asws) per foqiat di jati hai halankey wo khud kehte rahe Ali(as) na hote tou hum halaak hojatey.

Nus(Rasul(saw) ne Ahl-e-Bait(asws) ki itaat ka hukm diyaTabrani,Haizmi or ibn-e-asakir ne huzaifa bin aseed al ghaffari se riwayet ki hai k RasulAllah(saw) ne farmaya main tum main 2 hum pala cheezain chor kar ja raha hun ye dono

intehaai ehem tareen cheezain hain dekhne ki baat ye hai k tum mere baad insey kya sulook kartey ho aik Allah ki kitab quran or doosri meri itrat o Ahl-e-Bait(asws) tum jub tak inki perwi karogey kbhi gumrah nahi hogey pus inka daman thaam lena ye apas men se kbhi juda na hongey yahan tak mujhy hoz-e-kousar per milengey 1-Tabrani

fi mojam ul kabeer jild#3 safa no#180,181 hadis 3052,jild#3 safa no# 67 hadis# 2683,jild#5 safa no#166,167 hadis no# 4971(matboa moasal Iraq) 2-Haizmi Majma Al Zawaid jild#9 safa no# 164,165(Cairo Misr) 3-ibn-e-asakir tareekh damishq ul kabeer jild#45 safa no#166,167(beroot Lebanon) ibn e asakir ne jild 45 safa no#169 per ye riwayet saad bin abi waqas se bhi riwayet ki hai.. 4-Kanzul Amaal Hasamuddin hindi jild#1 188,189 hadis no#957,958(darul ulumia beroot Lebanon) 5-ibn-e-kaseer al bidaya wal nihaya jild#5 safa no#463(beroot Lebanon)Iskey elaway Bohot si ahl-e-sunnat ki kutub main ye hadis muttaadad sahaba se riwayet hai .olul amr ki itaat sirf ajkal k logon k leay he wajib nahi balkey uswaqt k sahaba(ra) per bhi wajib thi issi tarah Ahl-e-bait(asws) ki itaat sirf ajkal k logon k leay he wajib nahi balkey Sahaba e karam(ra) per bhi wajib hai Hazrat(saw) tou sahaba(ra) se he mukhaatib thay un he ko hukm de rahe thay Quran o Ahl-e-bait ki itaat kajub Hazrat (saw) ne khud Ahl e bait(saw) ki itibaa ka hukm de diya Bmutaabik e quran masoomiat bhi Ahl-e-bait he ki saabit horahi Quran o hadis se ilmi kamal bhi Ahl-ebait(asws) he ka saabit horaha hai tou aap insaaf kar k mustahikeen e itaat ko olul amr kehne se kyun itraatey hain???jese quran main olul Amr ki itaat Allah or Rasool(saw) ki itaat se bilafasl hai wese he Mola-e-kainaat Ali ibn e Abi Talib(asws) ki itaat bhi Allah or Rasool(saw) ki itaat k sath bilafasl hai

Ali(as) ki itaat bilafasl hai Allah or Rasool(saw) ki itaat se

Chunaanchey hakim ne Abuzar Ghaffari(r.a) se basannad-e-sahih riwayet kiya hai k Nabi(saw) ne farmayajo meri itaat karta hai wo Allah ki itaat karta hai jo meri nafarmani karta hai wo Allah ki nafarmaani karta hai or jo Ali(as) ki itaat karta hai wo meri itaat karta hai jo Ali(as) ki nafarmaani karta hai wo meri nafarmaani karta hai

1-Al Mustadrak jild#3 safa no#140 hadis#4780(darul harmain makka) 2-Kanzul Amaal jild#11 hadis#32973(matboa idara taleefaat-e-ashrafiyya beroon bohar keet multan Pakistan)Guzishta behes se saabit hua k jinhain Ahl-e-sunnat olul amr maantey hain wo qatan olul amr k misdaaq nahi hosaktey olul amr main jo khoobiaan honi chaheeain wo sab hum ne Ahl-e-bait(asws) k leay saabit kardienor ager aisi khusoosiyaat rijs o shar se mehfooz rehna waghera kisi or main hain tou saamney laayen..

Quran Main Imamat.Hum ne tumhain(Ibrahim(as) ko) logon ka imam banaya(irbahim a.s) ne arz ki parwardigar meri zuriyyat main se(Allah ne farmaya)mera ohda zalimeen tak nahi pohanchega (Surah-e-Baqra ayat no#124) Ye wo ayat hai jo tarfain kay darmiyaan tabadla-e-istidlal ka markaz hai Shia iss ayat ko bator-e-hujjat pesh kartey hain jubkey Sunni iskey jawab main issi ayat se sawalaat uthaatey hain jinkey jawabaat dena zaroori hain 1-Suna hai kay shia hazraat ayat inni jaalna.(yani)hum ne tumhain logon ka imam banaya se hujjat pakar kar apne 12 imamon ki imamat ko sabit kartey hain ager iss ayat se shion k imamon ki imamat ka koi taaluk hai tou iss aihtibaar se tou shion k 13 imam bantey hain kyunke Ibrahim(as) ko bhi tou imamat di gai hai shia unhain imam kyun nahi maantey?

JawaabBiradran-e-ahl-e-sunnat ko chaheeay k pehle ayat ko pori tarah samajh lain phir shion per aihtiraaz karain iss ayat k 3 hissey hain.

1-Hum ne tumhain logon ka imam banaya 2-Parwardigar meri zuriyyat main se 3-Allah ka ohda zalimeen tak nahi pohanchega Humaarey in bhaion se kis ne keh diya kay hum ayat k pehle hissey se apne Ayma(asws) ki imamat per istidlal kartey hain pehle hissey ko tou hum bator-e-hujjat wajood e imamat fil Quran k tor per pesh kartey hain k dekheay janab Imamat ka wujood Quran main mojood hai or baqol-e-Elahi Khudai mansab hai Khuda Imam bananey ka haqdaar hai na k bandey.phir jo ap ne sawal uthaya kay iss aihtibar se tou shion k 12 nahi 13 imam bantey hain shia 12 ko kyun maantey hain 13 ko kyun nahi maantey SubhanAllah ab ye bhi apko batana parhega k Ibrahim(as) apni shariyyat k Imam hain apne zamaney k logon k imam hain ummat-e-Muhammadiyya se Ibrahim(as) ki imamat ka kya taaaluk ager ap shariyyat-e-Nabi-e-akhir uz zaman ko chor kar Ibrahim(asws) k zamaney ki shariyyat ko apna lain tou kya koi apko musalmaan kahega?Sharab shariyyat-e-Ibrahimi main halal hai or shariyyat-e-Muhammadi main haram!ummat-e-Mustafa(saw) per Quran ki konsi ayat main shariyyat-e-ibrahimi ki perwi ka hukm hai???or AAP LOG PHIR Ibrahim(as) ka kalma kyun nahi parhtey Nabie-Akhir uz zaman ka kalma kyun parhtey hain?aziz biradran aisey fuzool sawalaat karney se ijtinaab kejeayjinhain hum Imam maantey hain Zuriyyat-e-ibrahim(as) hain na k Ap(as) ki shariyyat main imam hain shariyyat-e-Mustafa(saw) k imam hain jo Nabi(saw) k halal karda ko halal or Nabi(saw) k haram karda ko haram qarar detey hain

SawalJesa k Ibrahim(as) Allah k nabi thay phir apko Allah ne mukhtalif imtehano main dala jub ap ne un main sabar ka muzahira kiya tou Allah ne apko imamat k sharf se nawaza pus saabit hua k mansab-e-imamat k leay Nabuwat ki shart lazim hai jubkey Shion k Ayma(asws) Baqol Shion k na tou Nabi thay na Rasool(saw) lehaza shia istidlal batil hai

Jawab.. 1-Hum ne in main se imam banaey jo humaarey hukm ki hidayet kartey hain or jubunhon ne sabr kiya or humari ayaton per yaqeen kiya(surah e sajda ayat no#24) Issi ayat ka tarjuma muhammad shafee deobandi ne apni shohra afaq tafseer main yun kiya hai Hum ne bani Israel main se kuch logon ko imam or peshwa banaya jo apne

peghamber k naib honey ki hesiyyat se logon ko izn-e-rabani se hidayet kartey thay jub unho ne sabr kiya or humari ayaton per emaan laaey

Tafseer-e-Muaarif-ul-Quran jild#7 safa no#74 matboa dehli2-Jin logon ko zameen main kamzor bana diya gaya hum ye chahtey hain un per ehsaan karain or unhain logon k imam bana dain or un he ko zameen k waris qarar dain(Surah e Qasis ayat no #5) Issi tarah aisi bohot si ayaat quran main mojood hain jin main ye amar waazey hai k imamat k leay nabuwat ki shart lazim nahi aik or misaal quran he se milti hai or hum ne bani Israel se ehed lia or un main 12 imam muqarar keay Pus saabit hua k imamat k leay nabuwat ki shart laazim nahi albata Imam kisi peghamber k wasi hosaktey hain jesa deobandi ne apni tafseer main waazey kiya Lehaza shia istidlal nahi balkey sunni istidlal batil hai or bilkul Quran k ehkamaat k mukhaalif hai.saabit hua imamat Khudai mansab hai zalimeen tak nahi pohnchega Zuriyyat-e-ibrahimi main jari hai kyunke jub Ibrahim(as) ne khuwaish ki tou Allah ne sirf ye jawab diya k zalimeen ko nahi milega ye nahi kaha k bilkul he nahi milega phir Allah ne Ibrahim(as) ki khuwaish ko pora kiya or Quran main irshad farmaya:

All-e-ibrahim ko kitab or hikmat sikhaai(al nisa 55)Or jesa k oper Imam Muhammad Baqir(as) ki riwayet se saabit hai k ye log Ayma-e-Ahle-Bait(asws) hainAllah ne farmaya k Kitab or hikmat sikhai beshuk ye nahi farmaya k atta ki atta karney or sikhaane main farq hai sikhaane se muraad kisi ko taleem dena hai jesa k in hastion ko khuda ne khud sikhaya or jis se khuda bara-e-raast ho ya farishtey k zareeay usper wahi karey ya ilhaam karey or ussey uloom se aashnaa karey wohi hujjat-e-khuda kehlaata hai or Ayma(asws) k jinko Allah ne khud taleem di unkey hujjat honay main aaj logon ko kyun shak hai All-e-ibrahim(as) main imamat ka silsila jari hai or wohi log hain jinhon ne isska daawa kiya.unky baraks koi zalim imam nahi hosakta.

Ali(as) bhi Allah k banaey huey Imam HainHakim ne ye riwayet Abdullah bin asad bin zarara se biyan ki hai k unhon ne apne walid se riwayet ki k RasulAllah(saw) ne farmaya k Allah ne mujhey Ali(as) k teen(3) alqaab wahi(reveal) keay hain k wo Musalmano ka sardar Mutaqion ka imam imam ul mutaqeen or Roshan hath paoun walon ka quaid hai

Al-Mustadrak ul Sahihain Jild#3 Safa No#160 Hadis#4731(matboa darul harmain al nashr wal tawazee makka mukarimma)Hakim ne hadis k zail main likha hai k iss hadis ki asnaad sahi hainaisi he riwayet Jabir ibn-e-Abdullah ansari se bhi mustadrak main riwayet hai jisey hakim ne sahi qarar diya hai.ye hadis bhi wazey hujjat hai k Mansab-e-Imamat Allah(jj) ne Ali(as) ko bakhsha jesa k Allah ne apka ye laqab khud Apne Nabi(saw) ko wahi kiya jesa k saabit hai quran se k imamat khudai mansab hai or imam ka taeeun khud Khuda karta hai(khuda her aik ko hidayet de k imam ul mutaqeen ki imamat ka iqrar karey elahiameen)

Daraney waley or Hidayet karney waleyJesa ulama-e-Ahl-e-sunnat ne itna tou tasleem kar he lia k Imam qom ki hidayet karney wala hota hai or Peghamber ka wasi hota hai aaeay dekhte hain Humarey Peghamber(saw) ne apne baad kisey hadi muqarrar kiya Irshad-e-Elahi hai: Tum nahi ho magar daraney waley or pori qoum k hadi (Surah e Raad ayat no#7) 1-Sayyuti ne ibn-e-jareer k hawaley se akarima se biyaan kiya hai k RasoolAllah(saw) ne apne seeney per hath rakha or farmaya main Munzar hun yani daraney wala isky baad apne hath se Ali ibn e Abi Talib(asws) k kandhey ki taraf ishara kiya aye Ali(as) tu hadi hai mere baad hidayet paaney waley tujh se hidayet paayengey, 2-Sayyuti ne ibn-e-mardawiyya k hawaley se Abubarza aslami se riwayet ki hai isky alfaz wohi hain jo oper wali hadis k hain or akhir main ye lafz hai tu her qoum ka hadi hai, 3-Hakim ne Khud Ali(as) se riwayet ki hai k RasoolAllah(saw) daraney waley hain or main hadi hun,

1,2-Dur-e-Mansoor jild#4 safa no#129(matboa Lahore) 3-Hakim Al mustadrak ul sahihain jild#3 safa no#151 hadis#4709(matboa darul harmain makka mukarimma)Isky elawa ahl-e-sunnat k kaseer ulama jese Abdullah bin ahmed ne masnad ul zawaid,ibn e abi hatim ne tafseer quran ul azeem,tabrani ne ost,ibn-e-asakir ne tarikh main or ibn e mardawiyya ne bhi ye riwayet Ameer ul Momineen(asws) se biyaan ki hai neez hakim ne is hadis ko sahi ul sanad qarar diya hai.

Imam shaafi ki suneeay Ibn e hijr ne shaafi ka qol naqal kiya hai k Log mujhey Ali(as) ki muhabbat ki wajha se kehte hain tu raafzi hogaya hai mene kaha her giz nahi rafz tou mera deen o aitiqaad he nahi lekin mene bilashuba behtareen imam or hadi se dosti ki hai or ager wali se muhabbat karna rafz hai tou main duniya ka sab se bara raafzi hun Sawaiq ul muharikka safa no#329(Lahore)

Muhammad shafee deobandi ne kaha k imam peghamber ka wasi bhi hota hai phir dekhney ki baat tou ye hai k Nabi-e-akhir uz zaman ka wasi kon hai

Nisaai ne Hazrat Ayesha se biyan kiya hai ap kehti hain k log kehte hainRasulAllah(saw) ne Ali(as) ko wasiyyat farmai halankey aap ne peshab karney k leay pani ki tasht mangwaai phir apko hosh na raha phir pata nahi ap(saw) ne kisey wasiyyat farma di

Sunun nisaai jild#1 page#54 hadis#33 matboa maktaba tul ilm 18 urdu bazaar Lahore

mutarjam ne hadis k zail main likha hai k Aap(saw) ne Ali(as) ko wasi muqarar kiya yahi hasil-e-hadis hailekin ager hum hazrat Ayesha k alfaz per ghor karain tou aik tarah se onhon se mazak uraana chaha Nabi(saw),Ali(as) or uss khatoon ka jisne ye baat kahi k Aanhazrat(saw) ne Ali(as) ko wasiyyat farmai akhri waqt main kya aap jantey hain wo khatoon kon thi??? Umul Momineen Um-e-Salma(r.a) Nisaai he ne ap(r.a) se riwayet ki hai k Aap(ra) farmati hain qasam hai uss zaat ki k jiski qasam um-e-salma ne khaai hai Huzoor(saw) k wisaal k waqt jis shakhs ne Aap(saw) se guftugu ki wo Ali ibn-e-Abi Talib(asws) hain jub wo subha hui k jis main Hazrat(saw) ne wisaal farmaya tou aap(saw) ne kisi ko Ali(as) ki taraf bheja or wo masroof nazar aaey or main gumaan karti hun k Hazrat(saw) ne he Ali(as) ko kisi kaam k leay bheja tha tou 3 dafa Hazrat(saw) ne dar-e-aaft farmaya k Ali(as) agaya hai?Pus sooraj nikalney se qabl he Ali(as) aagaey jub Ali(as) aaey tou hum log samajh gaey k yaqeenun RasoolAllah(saw) ko Ali(as) se koi kaam hai lehaza hum sub bahir chaley gaey or hum usdin Hazrat(saw) ki khidmat main Ayesha k ghar main thay main sub se akhri thi jo us ghar se bahir nikli or darwazey k bilkul qareeb beth gai pus Ali(as) Hazrat(saw) per jhuk gaey or Nabi(saw) ne Ali(as) se khufiyya batain ki or Ali(as) he akhri shakhs thay jo Rasool(saw) se miley(yani isky baad Hazrat(saw) khaliq-e-haqeeqi se ja miley)(inna lila he wa inna ilai-he-raj-e-oon)

Anwar-e-Ali(sharah khasais-e-Ali(asws) safa no#254 hadis no#154 mutarjam o sharey Syed Ameer Shah Qadri Gillani matboa shah Muhammad ghous academy yaka toot Peshawar.Iski sharah main shaarey ne Aqeeli k tareek se Abutufail(r.a) se riwayet ki hai k main saqifa waley din darwazey per khara tha or mene Ali(as) ko farmatey huey suna Khuda ki qasam main khilafat main abuqaafa k bte yani hazrat abubakar se oola(afzal o bartar) hun kya tum main koi aisa hai jo RasulAllah(saw) ko sub se akhir main mila ho?kya koi hai mere elawa jisney RasulAllah(saw) ko qabr main utara ho?

Anwar-e-Ali(sharah khasais-e-Ali(asws) safa no#254 same edition

Iss riwayet ki sanad sahih hai or tamam ravi siqa hain mutalla kejeay lught ki kitabain al taqreeb or al tehzeeb or is hadis k asma-e-rijaal ki saqahat dekh lejeayKhuda he hafiz hai bhala bataeay k umul momineen um-e-salma(r.a) kabhi Allah ki jhooti qasam kha sakti hain Um-e-salma(r.a) ka tou Ali(as) ki kisi fitri aihtibar se tarafdari karna saabit nahi albata Hazrat Ayesha k barey main ye gumaan kiya jasakta hai kyunke jo shakhs RasoolAllah(saw) ki wafaat k waqt madina main mojood tak na tha or wapis akar Huzoor(saw) k kafan dafan ko chor kar banu sakifa main khilafat jamaney beth gaya wo Hazrat Ayesha ka walid he tha.(Al farooq shibli numani) kher ab hum biyaan kartey hain RasoolAllah(saw) ne wazey Alfaz main apna wasi kisey muqarar kiya?

Dawat-e-Zul AsheeraTabari ne tareekh main Ali(as) ki riwayet biyaan ki hai k jiski asnaad khasais-e-Ali(as) matboa Faisalabad main mojood hain or al taqreeb o tehzeeb k mutaabiq siqa hain kher riwayet mukhtasar yun hai dawat waley din Nabi(saw) ne poocha tum main se kon hai jo meri nusrat karega k wo tum main mera bhai mera wasi or mera janasheen ho?pus main khara hua or mene kaha goh k meri tangain choti hain meri kamar patli hai mera qad chota hai main umr main sub se chota hun magar main wada karta hun k humesha Aap(saw) ka sath dunga aye Allah k Nabi(saw) main apka wazeer banta hun!pus hazrat(saw) ne meri gardan thaam kar farmaya ye mera bhai hai yeh mera wasi hai tum main mera khaleefa hai or ye jo kahey tum iski itaat karna isper tamam ahl-e-jamaat hansney lagey or Janab-e-Muhaafiz-e-Risalat Hazrat AbuTalib(a.s) se kehne lagey suno tum per tumharey betey ki itaat o farmabardari wajib hogai hai

Tareekh-e-Tabari jild#2 safa no#71 hissa awal nafees academy Karachi

Ali(as) Mera wasi hai doosri riwayet

Ibn-e-hijr al makki mutawaffi 947 hijri k jinhain ulama-e-ahl-e-sunnat sheikh ul islam bhi maantey hain apni kitaab sawaiq ul muhariika main Delmi k tareek se Ayesha(r.a) or Tabrani o ibn-e-mardawiyya k tareek se ibn-e-Abbas(r.a) se riwayet kartey hain k RasoolAllah(saw) ne farmaya teen(3) admi sabqat(fazilat,foqiat,bartari) hasil karney waley hain (1) Hazrat Moosa(asws) k wasi yoosha bin noon (2) Essa(asws) k wasi Yaseen (3) Muhammad(saw) k wasi Ali(asws) hain

Sawaiq-ul-Muharikka safa no#312 tarjuma alama akhter fateh pori matboa shabbir brothers Lahore

Aqali DalayelChoonkey humari guftugu ki buniyaad aqal hai jese Allah ne farmaya wo jo deen main aqal ka istemal nahi kartey khuda unkey galey main kufr ki gandagi daal deta hai(Surah-e-Yusuf) Hadis-e-Manzillat jismey Nabi(saw) ne Ghazwa-e-Tabook per jatey waqt Ali(as) ko madina main bator-e-khalifa muqarar farmaya or farmaya k kya tum isper razi nahi k tum mujh se aise he ho jese haroon moosa se magar ye k mere baad koi nabi nahiiss hadis ka hawala dene ki mujhy zaroorat mehsoos nahi hoti kyunke Ahl-e-sunnat iss hadis ko jaantey hain or iski asnaad ki tasdeeq bhi kartey hain al mukhtasar k Muslim,ibn-e-maja,Nisaai,Hakim sub ne riwayet kiya hai Saad ibn e waqas ki sanad se is hadis k shawahid nihayet he mazboot hain nisaai ne khasais main iss riwayet ko saad bin abi waqas k beton neez Ayesha bint-e-saad se bhi riwayet kiya haishia iss hadis ko Ali(as) ka Nabi(saw) k wasi-e-barhaq saabit karney k leay ahl-e-sunnat k saamney bator-e-hujjat pesh kartey hain jabkey sunni hazraat ki taraf se istidlal main mukhtalif sawalaat hotey hain.

1-Shia kese iss hadis se hujjat pakar saktey hain kyunke Nabi(saw) tou akser doosrey sahaba(r.a) ko bhi madina se bahir logon per hakim muqarar farmatey thay tou Ali(as) ko aik dafa muqarar kardiya tou ismey konsi bari baat hogai ya iss se Ali(as) ka wasi-eRasool(saw) honey se kya taalluk hai?

Jawab

Awal tou bhaion ki aik ghalat fehmi door kardun k kabhi RasoolAllah(saw) ne Ali(as) k elawa kisi sahabi(r.a) ko bhi madina main khalifa muqarar nahi kiya or jinhain bahir muqarar kiya tou kisi ko bhi ye nahi kaha k tumhain aisey he muqarar kar raha hun jese Haroon(as) ko Moosa(as) ne muqarar kiya tha ye manzilat sirf Ali(as) k leay saabit hai or ismey koi doosra apka shareek nahi neez apko Rasool(saw) se wohi nisbat hasil hai jo Haroon(as) ko Moosa(as) se hasil thi Haroon(as) Moosa(as) k wasi thay lehaza iss aihtibar se Ali(as) Muhammad(saw) k wasi hain.

2-Haroon(as) jo quran k mutaabik wasi-e-Moosa(asws) thay magar Moosa(asws) ki zindagi main he wafaat paa gaey or Ali(as) tou RasoolAllah(saw) k baad bhi zinda rahey jub Haroon(as) ko khilafat mili he nahi tou Ali(as) kese Rasool(saw) k wasi hogaey?

JawabIss bat ki wazahat k leay aik misaal hazir haiAger koi khaleefa apne wazeer se kahe k zaid ka haq tum per yeh hai k jis din bhi wo tumse mulaqaat karey usey aik deenaar de dena or umroo k haq main bhi tumharey ooper yehi zimidari hai jo mene zaid k haq main biyaan kiya hai tou umroo k haq main bhi wohi wajib hogaya jo zaid k haq main laazim qarar paya tha pus zaid jub wazeer k pas 3 din tak ata raha tou usney 3 deenar haasil keay phir ana band kardia or iss wajha se wazeer ne usey deenar ata nahi keay or umroo wazeer k pas 3 din aya tou usney 3 deenar haasil keay ab umroo ko yeh haq haasil hai k wo chothey din,paanchvain din, or humesha humesha jub tak k umroo zinda hai ata rahey or iss wazeer per laazim hai k jub tak umroo baaki or zinda hai her usdin main jismey wo isky pas aya hai aik deenar ata karta rahey agerchey zaid ne 3 din tak deenar ko haasil nhi kiya tha or wazeer ko ye haq hasil nhi k umroo ko yun kahey main tumhain ata nahi karoonga siwaey utna jitna mene zaid ko atta kiya hai choonkey zaid k leay shart lagai gai thi k jub wo tumharey pas aaey ussey aik deenar dena tou ager zaid ata tou wo hasil karta or yehi shart umroo k leay bhi thi or wo yaqeenun aya tou lazim hai k wo deenaron ko hasil kareyPus issi tarah Haroon(as) k wasi honey k leay shart thi k wo Moosa(asws) k baad unki qoum main baaki rahey or issi tarah ki shart Ali(asws) k leay bhi thi tou Ali(as) apni qoum main RasoolAllah(saw) k baad zinda rahey tou issi tarah Ali(asws) k haq main ye laazim hogaya k Ap(as) Nabi(saw) ki qoum main Aap(saw) k khalifa qarar paayen ussi tarah se jese hum ne umroo or zaid ki misaal main biyaan kiya or ye bilkul laazmi cheezon main se hain.Jesa k Hadis se saabit hai k Hazrat(saw) ne Ali(as) ko apni qoum per bilkul wese he wasi muqarrar kiya jese Moosa(as) Haroon(as) ko muqarar farma kar gaey thay jis se saabit hota hai Ali(as) bilafasl wasi-e-Rasool(saw) hain. Or jesa k Hazrat(saw) ne nabuwat ki naffi farma di magar nisbat-e-Harooni se mehroom na rakha choonkey Quran main Nabuwat k baad doosra martaba imamat ka biyaan ho chukka hai or saabika chand dalayel ki taeed iss

hadis main lafz la nabuwata baadi karta hai k Ali(as) ko Allah ne mansab e imamat atta kiya koi kehne wala ye nahi keh sakta k Ali(as) ko tou Rasool(saw) ne zaati tor per imam muqarar kiya kisi ko ye jumla kehne ka haq hasil nahi kyunke Irshad-e-Elahi ye na kabhi bhoola hai na bhatka hai or wohi kuch kehta hai jo isey wahi kiya jata hai yani Hazrat(saw) ki her aik hadis darasal wahi he hoti hai or hukm-e-Elahi hota hai.

Man kunto moula fa Ali un MoullaIss hadis per ahl-e-sunnat ka ijma hai jese guzishta hadis k leay hawala jaat darj nahi keay gaey yun he is hadis k hawala jaat k indiraaj ki zaroorat mehsoos nahi hoti Ahl-esunnat ki 50 se zayed kutub main mojood hai or tamam ahl-e-sunnat ulama ka isper ijma hai yeh wo maqam hai jahan Rasool(saw) ne Ali(as) ki imamat o khilafat ka apni tamam jamaat k saamney baqayeda tor per elaan farma diya iss hadis k baarey main jo Ahl-e-sunnat ka aihtiraaz hai usper roshni daaltey hain

Moula k matlab main ahl-e-sunnat jo istidlal pesh kartey hain or saabit karney ki koshish kartey hain k iss se murad khilafat nahi thi

Jawab.Hum iss baat per k Nabi(saw) ne Ali(as) per nus qaim kardi hai or ap(as) ko apna khalifa namzad kardiya hai or apki itaat ko tamam makhlook per farz qarar diya hai isper hum sahih riwayeton ki maddad se istidlal pesh kartey hain-in riwayeton ko 2 qismain hain pehli qism un riwayeton k silsiley main hai jinko naqal karney k silsiley main tou Ahl-e-sunnat humarey sath mutaffiq hain magar inki taweel main unho ne humarey sath ikhtilaaf kiya hai or doosri qism jin main unho ne in riwayeton ko riwayet karney k silsiley main bhi hum se ikhtilaaf kiya hai in logo k silsiley main k jo hum se naqal main muwaafiq hain magar taweel main ikhtilaaf rakhtey hain hum per sazawar hai k hum inky leay kalam ki taqseem ko mashoor lughaat or mahroof o rayej istemaal ki taraf paltaaney k mutallik behes ko waazey karain taa k ye saabit hojaey k iss se wohi wala maani muraad o maqsood hai k jiskey hum nus k saharey qayel hain or iss se khilafat ka he maani muraad hai na k wo wala maani jo isky haqeeqi maani k khilaaf hai jesa k humare mukhalif bhaion k nazdeek hai..or in logon k silsiley main jo hum se naqal e riwayaat k silsiley main he ikhtilaaf kartey hain sazawar hai k hum waazey karain k ye riwayet itni ziyada waarid hui hai k jis se her qism ka uzr manqata hojata hai or ye riwayet in he riwayeton k jesi hai k jinko wo qabool kartey hain or jinsey unka uzr manqata hojata hai or in he riwayeton ki tarah hain k jin riwayeton ka sahara lekar wo

apne mukhalifeen per daleel qaim kartey hain jabkey wo riwayetain jinkey zareeay wo apne mukhalifeen per daleel qaim kartey hain inko naqal karney main wo Akeley hain jubkey inky mukhalifeen ne un riwayeton ko naqal he nahi kiya sirey se wo riwayet un tak pohanchi he nahin hainisky bawajood in riwayeton k uzr ko manqata karney k wali or apne mad-e-muqaabil logon per hujjat qaim kartey hain pus hum kahaingey or Allah he se hum maddad talab kartey hain Hum or humarey mukhalifeen ne yaqeenun hum se riwayet kiya hai k Nabi(saw) Ghadeer-e-khum k din kharey huey jabkey sarey musalmaan jama thay phir farmaya aye logo! Kya main momino se inky apne nafson se oola o buland nahi hun? Sub ne kaha Parwardigar gawah hai yaqeenun aisa he hai,Ap(saw) ne farmaya main jiska mola hun pus Ali(as) uska mola hai parwardigar tu dost rakh usko jo isko dost rakhey tu dushman rakh usko jo isko dushman rakhey tu maddad kar uski jo iski maddad karey tu be yar o maddad gar chor usey jo isey chor dey phir hum nigah karaingey k Nabi(saw) k qol kya main momineen se inkey apne nafson se oola nahin hun? Phir apky qol jiska main mola hun pus Ali(as) uska mola hai tou dekhengy k ye maani arbi lught main kai hisson main taqeseem hosaktey hain jinko lught main gher lught wala nahi jaanta -iska tazkira anqareeb honay wala hai- or hum nigah karaingey in baton k silsiley main k jiski wajah se Nabi(saw) ne logon ko ikatha kiya or inko khutba diya or wo konsa azeem maqsad tha pus yaqeenun wo koi aisi cheez hogi jisko log pehle se nahi jaantey hongey k inkey ooper iss baat ki takraar ki gai ho or na wo koi aisi cheez hogi k jisko biyaan karney ka koi faida na ho kyunke ye cheezain abs or fazool kam karney k ausaf hain or RasoolAllah(saw) se aisey kamon ki gunjaish nahi hai ap(saw) k barey main aisey gumaan karna sazawar nahi.pus pehle hum iss baat ki taraf ruju kartey hain k lafz Mola k silsiley main lught main kya kya ehtimalaat mojood hain aik ehtimaal hai k mola se muraad ghulam ka maalik jesa k mola apne ghulam ka aqa o malik hota hai or isko ghulam main bechney or tohfey main dene ka haq hasil hota hai doosra ehtimaal hai k mola se murad azad shuda ghulam ka maalik teesra ehtimaal mola se muraad azad shuda ghulam ye teenon maani her khas o aam k nazdeek mashoor hain--pus ye teenon maani Nabi(saw) k qol main saaqit hain kyunke ye mumkin nahi Nabi(saw) ne in teenon main se koi maani murad lia ho choonkey Aap(saw) musalmano ki khareed o farokht k maalik nahi thay,or na he Aap(saw) ne musalmano ko apni ghulaami se azad kiya hua tha or na he in logon ne Aap(saw) ko ghulam banaya tha chotha ehtimaal ye k mola se murad chacha ka beta ho jese shair ka qol hai muhallan bani amna muhallan muwaleena lima tazharoona lana makaana madfoona Tarjuma: Jald baazi na kar aye humarey chacha k bte jald baazi na kar aye humarey mola Or paanchwaan ehtimaal uqaab o saza ho Allah(jj) ka qol

maweekum un naar he mawalikum Tarjuma: Tum sab ki manzil jahanum ki aag hai or yahi tumhari saza hai (surah e hadeed ayat 15) Yahan per mola se murad ye hai k tumhari saza or wo cheez k jiski taraf tumhari halat ko pher diya jayega chatta ehtimaal hai k mola se murad wo k jo kisi cheez e mutassil ho kisi cheez k peechey hona ya aagey hona shair ka qol hai: faghadat kala farjeena tuhasiba ina hu moula al mukhafata khulfaha wa imama ha Tarjuma: pus is naaqey(sawari) ne subha ki jubkey fikr lagi hui thi ko dono taraf se aya ye khof se mutassil hosakey ga apne peechey se or apne aagey se Or hum nahi paatey in maani main se kisi bhi cheez ko Nabi(saw) k qol man kunto moula fa Ali un moula main kyunke ye mumkin nahi k Aap(saw) ne farmaya main jisky chacha ka beta hun pus Ali(as) bhi usky chacha ka beta hai choonkey ye baat tou mahroof or sabko maloom thi iski musalmano per takraar karna abs o bekaar or baghair faida wala kaam tha or ye bhi mumkin nahi k Aap(saw) ki murad inn k kaam ka ajaam o saza ya isky peechey hona ya agey hona wala maani murad ho choonkey iss maani ki koi gunjaish mojood nahi hai or na koi faida hai hum ne lught main ye maani bhi paya k jaiz hai koi shakhs kahey :falaan mera mola hai jub wo iski itaat ka maalik ho pus ye he wo maani hain Nabi(saw) ne apne qol man kunto moula hu fa Ali un moula se murad lia tha aam dosti ka muraad ager ap letey hain tou phir yaqeenun Nabi(saw) ki bhi koi fazeelat saabit nahi hoti phir apko Nabi(saw) ko bhi aam dost man,na parhega Khuda ko bhi aam dost maan,na parhega dost waley maani per hum jawab k akhir main roshni dalaingey..choonkey deegar maani ki wo qismain jiska lught ehtimaal deti hai wo waley maani jaiz lena nahi hain in he wujuhaat ki wajha se k jinka hum ne zikr kiya or is qism k elawa or koi qism baaki nahi bachti tou lazim o wajib hogaya k Nabi(saw) ne apne qol se itaat wala maani muraad lia ho or iss baat ki taqeed Aap(saw) ka yeh qol kya momineen per unky apne nafson se oola nahi hun?bhi kar raha hai kyunke ap(saw) ne ye farmaney k forun baad farma diya man kunto moula hu fa Ali un moula tou ye baat dalalat karti hai k mola k maani yahan per momino per unkey nafson se oola honay k murad hain choonkey lught or arf main mashoor ye hai k jub koi shakhs kisi doosrey ko kahey k beshuk tum mere leay apne nafs se oola ho tou iska matlab ye hota hai k wo apne leay iss shakhs ko qabil-e-itaat or apne ooper hakim qarar deta hai or uski nafarmani karna usky leay jaiz nahi hota or yaqeenun jub hum kisi shakhs se apne leay bayyat akhz karain or wo iqrar karey k beshuk hum isky leay isky apne nafs se oola hain tou phir isko ye haq hasil nahi k humarey main kisi cheez main se humari mukhalifat karey ager mukhalifat karega tou isky iqrar ka matlab batil hojaega k hum isky nafs se oola hain choonkey arbon main bhi jub koi insan doosrey insan ko kisi cheez ka hukm kardeta hai or isko injaam dene per majboor karta hai jubkey wo haq

rakhta ho iski mafarmani ka or phir wo iski nafarmani karta hai tou wo isko kehta hai aye shakhs main apne aap main tujh se oola hun beshuk mujhey ye haq hasil hai k main jo chahoon karoon or tujhey iss silsiley main koi haq hasil nahi hai.Tou us insan ka ye qol k main :Apne aap main tujh se oola hun-ye sabab banta hai k isko apni marzi k mutaabiq kam karney ka haq hasil hoajey-magar jub wo haqeeqat main apne nafs se doosron ko oola qarar dey tou phir isky oola shakhs ko haq hasil hai k iss shakhs se jisky oper ye oola hai jo chahey fehel talab karey or jub soorat-e-haal iss andaz se hogi tou isko apne mola ki mukhalifat o nafarmani ka haq nahi hoga. Phir Nabi(saw) ne irshad farmaya:kya main momineen se inkey apne nafson per oola nahi hun tou isky zareeay Nabi(saw) ne Ali(as) k haq main logon se iqrar lia or phir bilkul pehle qol se baghair faasley k irshad farmama man kunto mula hu fa Ali un moula tou saabit hogaya k yaqeenun Aap(saw) ne moulla se itaat waley maani murad leay k jinka logon ne iqrar kiya k beshuk ap(saw) unky nafson se oola hain pus jub aap(saw) ne oola wala maani murad lia tou yehi wala maani apne qol Fa Ali un moulla k zareeay se Ali ibn-e-Abi Talib(asws) k leay bhi qarar dia choonkey ye jumla salahiat nahi rakhta k Peghamber(saw) ne apne qol se koi or maani murad lia ho..

DostMola ka ye ehtimaal lught main sirrey se mojood nahi magar phir bhi humarey bhaion ne aam dosti waley maani muraad leay jesa k hum biyaan kar chukey hain k Hazrat(saw) ne apne qol kya main momino ki jaanon se oola nahi se bilafasl Ali(as) k haq main nisbat ka elaan farmaya tou saabit hua k Ali(as) bhi wese he momineen ki jaanon per oola hain jese Nabi(saw) oola hain beherhaal dost waley maani murad lene k aihtibar se apko Nabi(saw) k leay bhi yehi maani murad lene hongey Khuda k leay bhi yehi maani murad lene hongey jesa k qol-e-elahi hai inama wali-o-kum ullah ha warasoolohu Beshuk Allah or uska Rasool Tumhare dost hain or emaan waley k namaz qaim kartey hain or halat-e-ruku main zakaat detey hain (Surah e maida ayat no # 55) Iss ayat per hawala jaat se guftugu baad main hogi magar bohot si riwayaat main warid hua hai Halat e ruku main sirf Ali(as) ne zakaat di or ye ayat Aap(as) he k mutallik nazil hui ab humara sawal yeh hai k Aam dosti waley alfaz ki tabeer se Allah ki fazeelat kahan hai?In he alfaz ki tabeer se RasulAllah(saw) ki fazeelat kahan hai or jesa k bilafasl yahan per bhi teesra wali mojood hai tou lazim o malzoom hai k uss teesrey wali k leay bhi wohi maani muraad hon jo Allah or usky Rasool(saw) k leay muraad hain ab

faisla ap per hai aap jo maani Allah or usky Rasool(saw) k leay yahan per muraad letey hain hum aap se itteffaq karaingey.

Shan-e-Nazool .Ahl-e-sunnat k jaeeid ulama jese Tabrani,Ahmed,Hakim,Haizmi,Khateeb ne Amar yasir (r.a) se riwayet ki hai k ye ayat Hazrat Ali(as) k haq main nazil hui kyunke ap(as) ne halat e ruku main aik sail ko angothi ata ki phir iski khabar Hazrat(saw) ko di tou Aap(saw) ne ya ayat parh kar sunaai. 1-Tabrani mojam ul Ost jild#7 safa no#129,130 hadis 6228(matboa maktaba tul muaarif 1405 hijri riaz Saudi arab) 2-Masnad ahmed ibn e hambal jild#1 safa no#119(al maktaba tul islami 1398 hijri beroot Lebanon) 3-Ahmed ibn e hambal al masnad jild#4 safa no#376(al maktaba tul islami 1398 hijri beroot Lebanon) 4-Hakim,Al Mustadrak jild 3 safa no 119 hadis 4576 safa no 371 hadis 5594(darul kutub al ilmia 1411 hijri beroot Lebanon) 5-Tabrani,Mojam ul kabeer jild 4 safa no 174 hadis 4053(mutba tuz Zahra ul hadisia moasal Iraq) 6-Tabrani, Mojam ul Kabeer jild 5 safa 195,203,204 hadis 5068,5069,5092,5097(mutba tuz Zahra ul hadisia moasal Iraq) 7-Tabrani,Mojam ul sagheer jild 1 safa no 65(darul kutub al ilmia 1411 hijri beroot Lebanon) 8-Haizmi, Majma ul Zawaid jild 7 safa 17(daarul riyaan ul taraas cairo misr 1407 hijri) 9-Haizmi Muaarid uz zaman safa 544 hadis 2205(daarul kutub ul ilmia beroot Lebanon) Issky elawa bohot se mufasireen ne ye hadis mukhtalif ravion se bhi riwayet ki hai iss ayat ka shan e nazool choonkey her aik riwayet k mutaabik choonkey fard e wahid k mutallik hai tou phir kyun humarey bhai kehte hain yahan jama ka ehtimaal hai or beshuk Ali(as) in main shaamil hain magar or bhi shaamil kyunke jama ka ehtimaal hai.

Jawab

Jesa k riwayaat main ehtimaal sirf Ali(as) k leay hua or kisi doosrey ka ismey naam nahi aya lekin ager sirf jama k ehtimaal ki waja se humarey bhai pareshan hogaey hain or kehte hain k doosrey bhi shaamil hain tou hum apki khidmat main surah e All e imran ki ayat no#61 pesh karaingey jismey Rasool(saw) k ehel ki oraton k leay jama ka ehtimaal hai magar Ahl-e-sunnat ka ijma hai k iss se murad sirf Janab e Syeda Fatima(sa) hain jese yahan per Apky elawa koi doosri orat mojood nahi or iss fazillat main apki shareek nahi wese he ayat e wilayet yani maida 55 main ehtimaal tou jama hai magar Mojood sirf or sirf Ali(asws) hain or koi doosra ismey shareek nahi. Pus saabit hua k Hazrat(saw) ne Ali(as) k haq main itaat waley maani muraad leay or ab Ali(as) tamam logon per khalifa o imam e barhaq o bilafasl hogaey or aam dosti muraad lene ka matlab Allah or Rasool(saw) bhi aam dost hain phir unki bhi fazeelat saabit nahi hoti..

Man kunto moulla ka elaan Allah ki taraf se thaKoi shakhs uswaqt tak musalmaan nahi hosakta jub tak wo iss baat per emaan na laaey k Huzur(saw) jo baat bhi farmatey hain khud se nahi farmatey balkey wahi-e-jalli k izn se farmatey hain ain hukm-e-Elahi k mutaabiq farmatey hain hadis e ghadir e khum bhi Ain hukm-e-elahi k mutaabiq thi issper roshni daalney se qabl hum aik riwayet pesh kartey hain ye riwayet nisaai or hakim ne Zaid ibn-e-arkam (r.a) se basannad-e-sahih riwayet ki hai k RasoolAllah(saw) k baaz ashaab(ra) k darwazey masjid-e-nabwi ki jaanib khultey thay Hazrat(saw) ne farmaya tamam darwazey band kardeay jaayen siwaey Ali(as) k darwazey k issper logon ne chey migoiaan kien tou Hazrat(saw) member per tashreef le gaey baad az hamd-e-Elahi irshad farmaya mene tumse kaha tha k siwaey Ali(as) k sub darwazon ko band kardo issper tum ne kuch batain ki hain Khuda ki qasam mene na kisi ka darwaza khola hai or na band kiya pus Allah ne Ali(as) ka darwaza khuley rehney diya or ussi ne tum sab k darwazey band karwaey 1-Nisaai, Al Sunun Al Kubra Jild#5 safa no#118 hadis#8423(matboa beroot Lebanon) 2- Hakim,Al Mustadrak ul Sahihain jild#3 safa no#145 hadis#4693(matboa makka mukarimma) Pus saabit hua k Janab-e-Risalat-e-Maab(saw) her kaam main sirf Amr-e-Elahi ki perwi kartey hain tou yeh kyunker mumkin hai k Aap(saw) ne mankunto moulla fa Ali un moulla ka elaan apni marzi se kardiya aaeay uss ayat per roshni daaltey hain jo ghadir e khum per naazil hui Aye bargazeeda Rasool wo pegham de dou jo tumhey tumharey Rub ki taraf se pohancha ager aisa na ho tou tum ne Kaar-e-Risalat main se koi amal bhi anjaam na diya yaqeenun khuda logon k shar se tumko mehfooz rakhega

(Surah e Maida ayat no#67) Alama fakharuddin raazi issi ayat ki tafseer main likhtey hain k ye ayat Ali ibn-e-Abi Talib(asws) ki fazillat main nazil hui or issky nazool per Nabi(saw) ne apka hath pakar kar buland kiya or faramayaman kunto moulla hu fa Ali un Moulla issper hazrat umer ne Ali(as) se kaha mubarik ho aye Abutalib(as) k bte aaj se aap mere or her momin o momina k mola ban gaey or ye qol hai Abdullah ibn e Abbas,Bara ibn e Azib or Muhammad ibn e Ali (Rizwanullah alaihim ajmaeen) ka 1-Fakhruddin Razi,Tafseer-e-Kabeer Jild#12 safa no#49,50(darul kutub ul ilmia tehraan iran) 2-Ibn-e-Abi Hatim,Tafseer e Quran ul Azeem jild#4 safa no#172 hadis no#2209 per Abusaeed khudri(r.a) se bhi riwayet kiya hai(maktaba nazaar e Mustafa ul baaz makka mukarimma 1419 hijri) 3-Wahdi,Asbaab ul Nazool safa no#115(daar e nashr ul kutub Lahore Pakistan) 4-Sayyuti,Dur-e-Mansoor fi tafseer bil masoor jild#2 safa no#298(matboa beroot) jild#2 safa no#816(matboa Lahore)(sayyuti ne ibn e mardawiyya k hawaley se ye bhi likha hai Abdullah ibn e Masood(r.a) farmatey hain hum Rasool(saw) k zamaney main iss ayat ko yun parhtey thay ya ayu har rasool baligh maa unzila ilaika mun rabuka inna Ali un moulla ul momineena yani Ali(as) momino k mola hain. 5-Aloosi,Rooh al Maani jild#6 safa no#193(maktaba-e-imdadiya Multan Pakistan) 6-Shokaani, Fatah ul Qadeer jild#2 safa no#60(matboa misr 1383 hijri)

Kisi ko pareshan hone ki zaroorat nahi k yahan kya main momino ki jaanon se barh kar nahi k alfaz kyun nahin hain ab hum apky saamney apki deegar kutub se in alfaz k sath asnaad-e-Sahih se ye hadis pesh kartey hain kya main momino ki jaanon se afzal nahin k alfaaz k sath Baraa ibn-e-azib(r.a) se ye hadis darjazail kutub main mojood hai 1-Ibn-e-Maja Al Sunan jild#1 safa#88 hadis#116(daarul kutub ul ilmia beroot Lebanon 1419 hijri) 2-Ibn-e-Asakir,Tareekh Damishq ul Kbaeer jild#45 safa no#167,168(matboa daarul ahiya al taraas ul arabi 1421 hijri)(ibn e asakir ne isey sahih qarar diya hai) 3-Ibn-e-Kaseer,Al Bidaya wal Nihaya jild#4 safa no# 168(matboa daarul fikr beroot lebanon 1419 hijri)

4-Hasaamuddin Hindi,Kanzul Amaal jild#11 safa no#602 hadis#32904(matboa moasa tul risala beroot Lebanon 1399 hijri) 5-Ibn-e-Abi Asim,Al sunna jild#2 safa no#603 hadis#1362(matboa al maktab ul islami beroot lebanon 1419 hijri) 6-Ahmed ibn-e-Hambal, Al masnad jild#4 safa no#281 2 mukhtalif asnaad se biyaan ki hai( matboa maktaba tul islami beroot Lebanon 1398 hijri)

7-Ibn-e-Abi shaiba, Al musannaf jild#12 safa no#78 hadis#12167(idara Quran wa ulume-islamia Karachi pakistan 1406 hijri) 8-Muhib Tabari, Zakhair ul Uqba fi manaqib zuwi al qurba safa no#125(maktaba tul sahaba jadda Saudi arab 1415 hijri) 9-Muhib-e-Tabari , Riaz ul nazra fi manaqib ul ashra jild#3 safa no#126,127(daarul kutub ul ilmia beroot 1405 hijri) 10-Manawi, Faiz ul Qadeer jild#2 safa no#217(maktaba al tijaria tul kubra misr 1386 hijri) 11-Ahmed ibn e Hambal, Fazail ul Sahaba jild#2 safa no#610 hadis 1042( matboa moasa tul risala beroot Lebanon 1399 hijri) 12-Ibn-e-Aseer, Asad ul Ghaaba jild#4 safa no#103(daarul kutub ul ilmia beroot Lebanon) 13-Zahbi, Ailaam ul nibla jild#2 safa no#223,224(daarul fikr beroot Lebanon 1417 hijri)

Jesa k tafseer-e-kabeer waghera se saabit hai k ayat e baligh Ameer ul Momineen(asws) ki shan e wilayet main naazil hui ab dekheay k elaan-e-wilayet k baad konsi ayat naazil hui Khateeb,Tabrani,waghera ne Abuhuraira se riwayet ki hai k jisney 18 zilhaj ko roza rakha ussey 60 maa k rozon ka sawab milega or ye wo din hai jub Rasulallah(saw) ne Ali(as) ka hath ghadir e khum pe pakar kar buland kiya or farmaya kya main momino per unkey nafson se oola nahin? Sub ne jawab diya beshuk aye Allah k Rasool!farmaya jis jis ka mola main pus Ali(as) uska mola hai isper hazrat umer ne Ali(asws) ko mubarikbad di or kaha aaj se aap mere or tamam muslamaanon k mola ban gaey iss moqa per Allah ne ye ayat naazil kardi..Aaj mene tumharey leay deen mukammil

kardiyya apni nehmat tum per tamam kardi or aaj khuda deen e islam se raazi hogaya(surah e maida ayat no#3) 1-Khateeb-e-baghdadi, Tareekh-e-baghdad jild#8 safa no#290(matboa daarul kutub al arabi beroot Lebanon) 2-Tabrani, Mojam ul ost jild#3 safa no#324(maktaba tul muaarif riaz saudi arab) 3-Wahdi,Asbaab ul nazool safa no#108(daarul nashar ul kutub ul islamia Lahore pakistan) 4-Raazi,Al Tafseer ul Kabeer jild#11 safa no#139 (darul kutub ul ilmia tehraan iran) 5-Ibn-e-asakir,Tareekh Damishq ul Kabeer Jild#45 safa no#176,177 issi jild k 179 no safa per yehi hadis Abusaeed khudri(r.a) se bhi ibn-e-asakir ne riwayet ki hai(matboa daarul ahiya al taraas ul arabi 1421 hijri) 6-Ibn-e-Kaseer, Al bidaya wal nihaya jild#5 safa no#464(matboa daarul fikr beroot lebanon 1419 hijri) 7-Sayyuti, Dur-e-Mansoor fi tafseer bil masoor jild#2 safa no#259(beroot Lebanon)

Ayat e baligh main hukm k ager ye pagham na diya tou koi peghaam he na diya ager nazool k aihtibaar se dekha jaaey tou iss ayat ka shumara 6665 banta hai kul quran main 6666 ayaat hain goya iss se qabl 6664 ayaat nazil ho chuki hain jin main tauheed,risalat,hajj,zakat,roza,namaz,azan,jihad hatta k poori shatiyyat shaamil hai per iss pegham ko itna azeem qarar diya k ager ye na pohancha tou goya koi pegham he na pohancha Ali(as) ki wilayet ko Allah ne poori shariyyat ki buniyaad qarar de diya tum ye baat kese keh saktey ho k ye aik aam dosti muraad thi kya aam si dosti ko deen ki buniyaad qarar diya jata hai?phir elaan e wilayet k baad deen ki takmeel ki ayat nzail hui or irshad hua k apni nehmat tum per tamam kardi kya ye nehmat Ali(as) ki wilayet nahi jo pori ummat per khuda ne naazil ki?or aaj khuda tumharey deen e islam se razi hogaya ,khuda ko tou Ali(as) ki wilayet k baghair wala islam he pasand nahi

Munkir-e-Imamat ka badtareen AnjaamTalab karney waley ne apne leay wo azab talab kiya jo hum ne kufaar k leay makhsoos kiya hua tha (Surah-e-muaarij ayat no#1)

Iss ayat ki tafseer main Alama Aloosi apni shohra afaq tafseer Rooh ul Maani main riwayet kartey hain k Nabi(saw) ki khidmat main aik dehaati aya or usney Hazrat(saw) se gustaakhi ki or kaha k Ap ne humse kaha tauheed per emaan lao hum le aaey ap ne kaha meri nabuwat per emaan lao hum le aaey ap ne kaha namaz parho hum ne parhi ap ne kaha rozey rakho hum ne rakhey aap ne kaha zakaat dou hum ne di hum ne apki her aik baat maani k ab aap ne hum per apne chacha zaad ki wilayet o imamat ko musallat kardiya hai! Phir uss shakhs ne kaha ager Ali ibn e Abi Talib(asws) ki imamat o wilayet Allah ki taraf se hai tou khuda asman se mujh per azab naazil karey pus jese he wo shakhs baahir nikla usper asman se aik pathar naazil hogaya jis se wo halaak hogaya

Tafseer e Rooh ul Maani Alama Aloosi zail ayat surah e muaarij ayat no#1 matboa beroot or matboa multan bhi mojood hai

Allah ki Rassi Sub mil ker Allah ki rassi ko mazbooti se thaamey rakho or firqon main mat batt jana (Surah e All e imran)Saalbi ne apni tafseer main Imam Jaffar Sadiq(asws) se biyaan kiya hai k Aap(as) ne farmaya Hum(asws) wo rassi hain jinkey baray main Allah talla ne farmaya hai sub milker Allah ki rassi ko mazbooti se thamey rakhain or firqon main na batt jaayen or Apky dada Imam Zain ul Abideen(asws) jub ye ayat parhtey aye eman walo Allah se daro or sachon k saath hojao tou lambi dua kartey phir farmatey pus Ayma-e-Hudaa (yani hum) jo tareeki main roshan chiraagh hain or iblaagh-e-hujjat hain or taveel-ehukm k mutallik pukhta ehed lia gaya hai or in logon ko apne bandon per Allah ki hujjat qarar diya hai or makhlooq ko yun he baghair hujjat k nahi chor diya.. Saalbi jo k ahl-e-sunnat k azeem mufasireen main se hain unky hawaley se ye riwayet ibn e hijr al makki ne ki dekheay:

Sawaiq ul Mukarikka safa no#367,368(matboa shabbir brothers urdu bazaar lahore)

Aik sunni iss baat ka haq rakhta hai k wo ye sawal karey k kya usky leay Imam Jaffar Sadiq(asws) or Imam Sajjad yani Zain ul Abideen(asws) ka qol hujjat hosakta hai In hastion ko tou shia Hujjat e Khuda maantey hain humara inse kya taalluk hum in k qol ko kese hujjat maan lain or ager humarey nazdeek in hastion ka qol hujjat hosakta hai tou shia saabit karain

JawabG haan in hastion yani Ayma-e-Ahl-e-Bait(asws) ka qol apky leay ussi tarah hujjat hai jese humarey leay bator-e-hujjat hum apky saamney chand dalayel pesh kartey hain

Mujaddad Alaf saani ka Ayma isna Asher(asws) k baray main aqeedaMujaddad alaf saani jinhain Ahl-e-sunnat maqam e wilayet per faiz samajhtey hain or unky fatawa se tajawwuz nahi kartey wo farmatey hain Or aik wo raah hai jo Qurb-e-wilayet se taalluk rakhti hai Aqtaab o autaad badla or najba or aam auliya Allah issi raah se wasil hain or raah-e-salook issi raah se ibarat hai balkey mutaarif jazba bhi ismey shaamil hai or is raah main tuwast saabit hai or iss rah k wasileen k peshwa or unky sardar or unky buzurgon k mamba-e-faiz Hazrat-e-Ali ul Murtaza(asws) hain or ye azeem o shaan mansab unsey taalluk rakhta hai iss raah main goya Nabi(saw) k dono qadam mubaarik Hazrat Ali(as) k mubaarik sar per hain or Hazrat Fatima(sa) or Hazraat-e-Hasnain(asws) iss azeem o shaan manasb main unky shareek hain main ye samajhta hun k Hazrat Ameer ul Momineen Ali ibn e Abi Talib(asws) apni jasdi pedaish se pehle bhi iss maqaam k malja o maawa thay jesa k jasdi pedaish k baad hain or jisey bhi faiz o hidayet iss raah se pohanchi inkey zareeay se pohanchi kyunke wo iss raah k akhri nuqtey k nazdeek hain or iss raah ka markaz unse he taalluk rakhta hai or jub Hazrat-e-Ameer(asws) ka dor khatam hua tou ye azeem o shaan mansab Hazraat-e-Hasnain-e-Kareemain(asws) ko supurd hua or unky baad wohi mansab Ayma isna asher main her aik ko tarteeb war or tafseel se tafweez hua or in buzurgon k zamaney main or issi tarah inkey intiqaal k baad jis kisi ko bhi faiz o hidayet pohanchi hai in he buzurgon k zareeay pohanchi hai agerchey aqtaab o najba-e-waqt he kyun na hon or sab k malja o mawa yehi 12 imam hain kyunke atraaf ko apne markaz k sath ilhaaq k baghair chara nahin

Imam Rabbani Mujaddad Allaf Saani Al Maktoobaat Jild#3 safa no#251,252 maktoob no#123(matboa matba khaas murtazwi Dehli Bharat)

Hum Imam Jaffar Sadiq(asws) ka tazkira anqareeb karney waley hain or InshAllah apko majboorun unky qol ko hujjat maan,na parhega or Imam Sajjad(a.s) k qol ko bhi apko hujjat maan,na parhega ab hum Ahl-e-Bait(asws) k in 12 Ayma(asws) ka zikr ahl-esunnat ki mazeed mohtaber kutub se fazail o manaqib or mohjizaat o karamaat k hawaley se mukhtasarran karaingey k jinsey inkey hujjat e barhaq hone k mazeed shawahid manzar e aam per ayengey uss se pehle hum apki khidmat main apky imam ahmed ibn e hambal ka aik qol pesh kartey hain ibn e hijr al makki ahmed ibn e hambal ka qol yun naqal kartey hain Aik dafa Imam Ali Raza(asws) jo k Imam Jaffar Sadiq(asws) k potey hain unhon ne logon ki khuwaish per aik hadis biyaan ki jiski sannad kuch yun hai an Ali ibn e Moosa Raza qala hadasna abi Moosa ibn e Jaffar an Abi Jaffar ibn e Muhammad an abi Muhammad ibn e Ali an Abi Ali ibn ul Hussain an abi Hussain ibn e Ali an Abi Ali ibn e Abi Talib(asws) Yani Imam Ali Raza(as) se riwayet hai ap ne farmaya mujh se mere wald Imam Moosa Kazim(as) ne biyaan kiya unse unky walid Imam Jaffar Sadiq(as) ne biyaan kiya unse unkey walid Imam Muhammad Baqir(as) ne biyaan kiya unse unky walid Imam Zain ul Abideen(as) ne biyaan kiya unse unky walid Imam Hussain(as) ne biyaan kiya unse unky walid Imam Ali ibn e Abi Talib(asws) ne biyaan kiya jub ye silsila-e-sannad Ahmed ibn e hambal per biyaan kiya gaya tou Aap ne farmaya ye aisa silsila-e-sannad hai k ager isey kisi deewaney ya majnoo per parh kar main phoonk dun tou wo shifa yaab hojaega

Al Sawaiq ul Muharikka safa no#471(matboa shabbir brothers Lahore)Musalmaan honay k naatey koi shakhs iss baat se inkar nhi karsakta k Allah ki rassi Allah ki hujjat hai jo inkar karega hum per uska muslamaan hona mushtabha hojayega or yaqeenun koi musalmaan khuwa kisi bhi maslik se taalluk rakhta ho Allah ki rassi ko hujjat maan,ney se inkar nahi kar sakta or jubkey saabit hogaya k Allah ki rassi Ayma-eAhl-e-bait(asws) hain tou ye bhi saabit hogaya k Ayma-e-isna ashr hujjat e khuda bhi hain Imam Zain ul Abideen(as) ne jo apne hujjat honay ka daawa kiya ye ayat apky uss qol per hujjat bhi karti hai ye rassi Ahl-e-bait(as) hain isper Hazrat(saw) ki hadis inni taarika fi kum us saqalain kitabullah ha wa itrati ahlulbaiti main tum main 2 hum pala cheezain chorey jata hun aik Allah ki kitab quran or doosri meri itrat o Ahl-e-bait(asws) inse tamassuk karna jub tak inhain thaamey rakhogey kabhi gumrah nahi hogey isky hawalajaat ooper darj ho chukey hain jesa k Allah ne farmaya meri rassi ko thaamo firqon main mat bhatto hasil e ayat ye hai k ager Allah ki rassi se tamassuk hua tou firqa baazi khatam hojaegi phir Huzoor(saw) ne Quran k sath jis cheez ko thaamey rakhne ka hukm diya wo Apki ITRAT-E-TAHIR(ASWS) Hain or ye bhi farmaya k jub tak inhain thaamey rakhogey gumrah na hogey yaqeenun gumrahi se muraad tafarqa baazi he thi lehaza iss hadis se bhi saabit hota hai Allah ki Rassi Ahl-e-bait(asws) hain or hujjat-e-

khuda hain kyunke Allah ki rassi k hujjat honay se inkar sirf gher e muslim he karsakta hai wo jo Allah per emaan na rakhta ho.

Aqeeda-e-wahi ki tardeedKoi shia ye aqeeda nahi rakhta k Ayma(as) per wahi naazil hoti hai magar ye k Imam(as) ko ilhaam hota hai.ahl-e-sunnat bhaion k iss ilzaam ki tardeed main hum shia mohtaber kutub se iss baat ko waazey kartey hain 1-Sheikh toosi ne Ibn-e-Abbas(r.a) se riwayet ki hai Nabi(saw) ne farmaya Allah ne mujhey paanch cheezain atta ki hain or Ali(as) ko bhi paanch cheezain atta ki hain 1-Mujhey usney Nabi banaya or Ali(as) ko mera wasi banaya 2-Mujhey usney tamam jo-ama-ul-qalam atta farmaya or Ali(as) jo-ama-ul-ilm atta farmaya 3-Mujhey kausar Atta farmai or Ali(as) ko salsabeel atta ki 4-Mujhey usne wahi atta farmai or Ali(as) ko ilhaam atta farmaya 5-Mujhey usney mehraaj atta farmai or ussi Raat Ali(as) k leay asmanon k tamam darwazey khol deay. 2-Asool-e-kaafi main hasan abbas maroofi se riwayet hai k Imam Ali Raza(asws) ne farmaya Rasool wo hain jin per Jibrael(as) naazil hon or inka kalaam sunain or isper wahi naazil ho or kabhi khuwaab main bhi dekhey jese Ibrahim(as) ne khuwab main dekha or Imam(as) wo hai jo awaz ko sun sakey magar wujood ko nahi dekhta 3-Ehwal se riwayet hai k Imam Muhammad Baqir(as) ne aik taveel hadis k akhir main farmaya Imam wo hai jo farishtey k kalaam ko sunta hai magar usky wujood ko nahi dekhta

1-Amali Sheikh Toosi safa no 165,166(matboa idara minhaj us saliheen Lahore) 2-Asool-e-Kaafi Jild#2 Safa no#25 baab#3 hadis#2(zafar shameem publications karachi)

3--Asool-e-Kaafi Jild#2 Safa no#26 baab#3 hadis#4(zafar shameem publications karachi)

Mola Ali(as) Hujjat-e-Khuda hainYe daleel ahl-e-sunnat k un bhaion k leay bohot sakht or takleef deh hogi jinki ankon per taassub ka chashma laga hua hai hum apky saameny waazey kartey hain RasulAllah(saw) ne khud Bhi Ali(as) k hujjat honay ka elaan farmaya 1-Obaidullah amritsari ne Hafiz abubakar k tareek se Hazrat Anas ibn e Malik(r.a) se riwayet ki hai k RasulAllah(saw) ne farmaya main or Ali(as) khuda k bandon per khuda ki hujjat hain 2-In he janab ne delmi k tareek se Anas(r.a) he ki riwayet naqal ki hai k main RasoolAllah(saw) ki khidmat main hazir tha k Ali ibn e Abi Talib(as) Tashreef laaey pus Hazrat(saw) ne farmaya aye Anas Ali(as) khuda k bandon per uski hujjat hai 1,2 Arhaj-ulMatalib az Obaidullah Amritsari safa no#55,56(matboa haq brothers anarkali Lahore Pakistan) Ab hum Ayma-e-Ahl-e-bait (asws) ka ahl-e-sunnat ki kutub ki roshni main mukhtasar taaruf kartey hain.

Imam Ali ibn-e-Abi Talib(asws)Tareekh-e-wiladat: 13 rajab 30 aam-ul-fail wiladat-e-Nabwia k 30 baras baad Maqaam-e-wiladat: Khana e kabba baroz-e-juma Walid: imran ibn-e-Abdul m utlib Al maroof Abu Talib(as) Fatima bint-e-Asad bin hashim bin abd manaaf Maa or Baap dono ki taraf se hashmi Kuniyyat: Abul Hassan,Abu Turab

Alqabaat: Siddique-e-Akber,Farooque-e-Azam,Imam ul mutaqeen,Al Murtaza,Ameer ul Momineen,Asadullah waghera Siddique-e-Akber ki tasmeea: Ibn-e-maja,Nisaai ne Umroo bin abaad se riwayet ki hai Hazrat Ali(as) ne farmaya Khuda ki qasam main Allah ka banda RasoolAllah(saw) ka bhai or main siddique-eAkber hun or jo mere baad aisa daawa karega jhoota or muftari hojayega main logon se 7 saal pehle emaan laya hun 1- Sunan ibn-e-maja jild#1 safa no#67 hadis#135(matboa Lahore Pakistan) 2- Al nisaai, Khasais-e-Ali(a.s) safa no#23 hadis#6(matboa chishti kutub khana Faisalabad Pakistan) 3- Tareekh-e-Tabari Jild#2 safa no#65(matboa nafees academy Karachi Pakistan)

Farooque-e-Azam: Iss silsiley main oper hadis biyan ho chuki hai nisaai ki riwayet jismey Hazrat(saw) ne Ali(as) ko yemen ki taraf bheja or dua e kher k baad farmaya tu humesha haq kahega or doosri riwayaat bhi darj ho chuki hain jin main Hazrat(saw) or chand Sahaba(saw) k qol naqal huey k Ali(as) behtareen adil hain Imam ul Mutaqeen: Ye riwayet bhi oper hakim k hawaley se darj ho chuki hai Ameer-ul-Momineen: Sayyuti or ibn-e-hijr ne tabrani or ibn e abi hatim k tareek se ibn-e-Abbas(r.a) ka qol naqal kiya hai k ap(r.a) ne farmaya jis jagha Quran main Ya Ayuhalazeena amino k alfaaz aaey hain wahan samajhna chaeeay k Ali(as) he inkey Ameer or sardar hain beshuk baaz maqamaat per Allah ne ashaab e Rasool(saw) per ghusa farmaya hai magar Ali(as) ka zikr humesha kher k sath kiya hai

1-Tareekh ul khulufa safa no#213 (matboa zawia publishers lahore)

2-Sawaiq ul Muharikka safa no#317(shabbir brothers urdu bazaar Lahore) Issky elawa apky beshumaar alqabaat hain jinkey zikr ki gunjaish nahi

Sab se pehle emaan laaey: Umm-e-Risalat(saw) Janab Abbas ibn e Abdul Mutlib(r.a) ki riwayet hai k kainaat main 3 hastiyaan iswaqt deen-e-islam per qayem Hazrat Muhammad(saw),Hazrat Khadija(s.a),Hazart Ali(a.s) 1-Masnad-e-Abi Yaala jild 3 safa no#177 hadis#1547(beroot Lebanon) bohot taweel riwayet hai hum ne mukhtasar biyaan kardi hai 2-Tareekh-e-Tabari jild#2 safa no#65,66(nafees academy Karachi pakistan) 3-Nisaai, Khasais e Ali(as) safa no#21 hadis#5(chishti kutub khana Faisalabad Pakistan) Sayyuti ne likha hai k ap(as) islam main qadeem hain balkey ibn-e-Abbas,Anas,Zaid bin arkam,Amar ibn e yasir,suleman farsi(rizwanullah) or bohot se sahaba karaam iss baat per mutaffiq hain k Aap(as) sab se pehle islam laaey or baaz ne ijma likha hai(1) 1-Tareekh ul khulufa safa no#207(zawia publishers Lahore),Sawaiw ul muharikka safa no#303(shabbir brothers Lahore) Ibadat ka biyaan Hazrat Ali(as) farmatey hain main Nabi(saw) k sath namaz parhney wala pehla shakhs hun(1) Zaid bin arkam farmatey hain RasoolAllah(saw) k sath sab se pehle Hazrat Ali(as) ne namaz parhi(2) Zaid bin arkam farmatey hain RasoolAllah(saw) k sath sab se pehle Hazrat Ali(as) ne namaz parhi neez aap(as) he sab se pehle islam laaey(3)

1,2,3-Nisaai,Khasai e Ali(as) safa no19 hadis#1 safa no#20 hadis#2 safa no#20,21 hadis#4 Manaqib main aik riwayet Wallah Mola-e-kul k fazail pe ahaata na mumkin hai sirf aik he riwayet pesh karta hun Muslim,Nisaai,Hakim ne Amir Ibn-e-saad se riwayet ki hai k ammer muawiyya ne Saad bin Abi Waqas ko ameer banaya tha or Hazrat Saad se kaha too AbuTurab(as) ko gaaliyaan kyun nahi deta issper Saad ne jawab diya mujhey RasulAllah(saw) ki biyaan karda 3 batain yaad hain jinki wajha se meri ye jasarrat nahi hoti muawiyya ne poocha konsi 3 batain?Saad ne jawab diya pehli baat ghazwa-e-tabook k din mene sunni jub RasulAllah(saw) ne Ali(as) ko madina main chora or khud rawana hogaey Hazrat Ali(as) RasulAllah(saw) se ja miley or arz ki Ya RasulAllah(saw) aap mujhy yahan kyun chorey jatey hain?Farmaya kya tum iss baat per raazi nahi k tumhain aisey he chorey jata hun jese Moosa(as) Haroon(as) ko chor ker gaey tumhain nabuwat nahi pohanchegi albata tumhari mujh se wohi manzillat hai jo Haroon(as) ki Moosa(as) se thi.. 2-Doosri baat jub Surah e ehzaab ki 33 no ayat naazil hui tou RasulAllah(saw) ne Ali,Fatima,Hassan or Hussain(salwatullah alaihim ajmaeen) ko bula ker apni chadar main dala or asman ki taraf rukh e anwar kar k goya huey Allah huma haa oola ahlulbayt aye Parwardigar ye hai meri Ahl-e-bait.. 3-Or teesri baat mene Khyber k roz suni jub tamam log nakaam hoker wapis lot aaey tou RasulAllah(saw) ne farmaya beth jao ab kal uss shakhs ko alam dunga jo Allah or usky Rasool(saw) ka mehboob bhi hai or muhib bhi or wo wapis nahi ayega magar fateh hoker pus hum sab poori raat gardanain lambi kar kar k alam ki jaanib dekhtey rahey k dekhtey hain kal ye alam kisey milta hai jub subha hui tou Rasool(saw) ne farmaya Ali(as) kahan hai?kisi ne kaha wo ashoob-e-chashm main mubtila hain Aap(saw) ne Ali(as) ko bulwaya unki ankhon per luhaab-e-dhun lagaya phir Alam dekar rawana kardiyya abhi lashkar k pehle shakhs ko oong bhi nahi aai thi k akhri ne fatah ki naveed sun limuawiyya ne jub ye 3 batain sunni tou forun makka se bhaag gaya

1-Sahih Muslim Kitab Fazail ul Sahaba Jild#4 Safa no#1871 Hadis no#2404(cairo misr) 2-Hakim,Mustadrak ul Sahihain Jild#3 Safa no#125 Hadis no#4639(matboa makka mukarimma)

3-Nisaai, Khasais-e-Ali(as) Safa no#24 Hadis#9 (chishti kutub khana Faisalabad Pakistan) Qurani ayat jo apki shan main nazil hueen Ye mumkin nahin k Apki shaan main naazil honey wali ayaat ka hum yahan per tafseeli nuskha pesh karain mukhtsar ye Ibn-e-Asakir k tareek se Sayyuti o ibn e hiijr ne Ibn-eAbbas(r.a) tarjuman ul quran wa mufasir-e-quran ka ye qol naqal kiya hai k Hazrat Ali(as) ki shaan main Quran ki 300 ayaat naazil hueen neez in he ka qol hai k jo kuch quran main Ali(as) ki shan main naazil hua hai kisi doosrey ki shaan main naazil nahin hua(1) Ahl-e-sunnat k imam ahmed ibn e hambal ka qol hai k jitni ahadees se Ali(as) ki fazeelat saabit hoti hai utni kisi doosrey ki saabit nahin hoti(2) 1-Tareekh ul khulufa safa no#213(zawia publishers Lahore) Sawaiq ul Muharikka safa no#318(shabbir brothers Lahore) 2-Tareekh ul Khulufa Safa no#209 (zawia publishers Lahore) Sawaiq ul Muharikka safa no#305(shabbir brothers Lahore)

Badtareen shakhs Nisaai ne Amar ibn e yasir(r.a) se riwayet ki hai k RasoolAllah(saw) ne Ali(as) se mukhaatib hoker farmaya kya main tumhain badtareen admi se agah na karoon Amar(r.a) farmatey hain hum dono ne arz ki g haan Ya RasoolAllah(saw)! Farmaya: 1-Samood ka ehmeer jisney Hazrat Saleh(asws) ki onthni(she camel) ki koonchain kaat daali thien 2-Or doosra Aye Ali(a.s) jo tujhey shaheed karega or tere sar se khoon beh kar teri daari ko surkh kardega Nisaai, Khasais-e-Ali(as) safa no#142 hadis#159 (chishti kutub khana Faisalabad Pakistan)

Shahadat Issper shia sunni ijma hai k 19 ramzan ul mubaarik ko abdulrehman ibn e muljim naami shakhs ne khawarij k sath milker saazish k tehet 19 ramzan ul mubaarik 40 hijri ko masjid-e-koofa main fajar ki namaz ki sunnat ki pehli rakat k pehle sajdey main Ameerul-Momineen(asws) k sar k ussi hissey per talwar maari jahan RasoolAllah(saw) ne basharat di thi or shia riwayaat k mutaabiq iss jagha apko jang e khandaq main umru bin al abdood ki zarb se bhi zakhm aya thazarab k lagtey he Aap(as) ne fuztu bi rab il kabba ki sada buland ki Yani Rab e kabba ki qasam main kamyaab hogya or Jibrael(asws) ne zameen o asman k darmiyaan sada di Qad qatal ul ameer il momineen Ameer ul Momineen(asws) Qatal kardeay gaeyRiwayat-e-mutawatira main warid hua hai k 19 ko zarb lagi or 21 ramzan ko Aap(as) ki rooh khaliq-e-haqeeqi ki taraf parwaz kargai(inna lila hi wa inna elaihe raajioon) Allah ki lannat ho apky qaatil ibn e muljim badnasal pe

Imam Hassan-e-Mujtaba(asws) Hassan ibn-e-Ali ibn e Abu talib(as) al maroof Aba Muhammad(Muhammad k walid) Walid: Ali ibn e Abi Talib(as) Walida: Fatima bint e Nabi(saw) Kuniyyat: Abu Muhmmad Wiladat: 15 ramzan ul mubaarik 3 hijri masjid-e-Nabwi main hui Apky alqabaat shia sunni riwayaat k mutaabiq Al mujtaba,Al zaki,Tayyib,Taqi,sibt-eNabi(saw) or syed ziyada mashoor hain Mukhtasar Fazail o manaqib Ibn-e-maja ne abuhuraira se riwayet ki hai Rasool(saw) Imam Hassan(as) ko goud main leay huey thay or farma rahe thay Aye Allah main Hassan(as) se muhabbat karta hun pus tu bhi iss se muhabbat rakh neez jo iss se muhabbat karey tu uss se bhi muhabbat rakh(1) Abuhuraira he se riwayet hai Rasool(saw) ne farmaya jisney Hassan o Hussain(as) se muhabbat ki usney mujh se muhabbat ki jisney insey bughz rakha usney mujh se bughz rakha(2) Bokhari,Hakim ne riwayet ki hai Nabi(saw) ne farmaya Hassan(as) mera beta sardar hai anqareeb khuda isky zareeay musalmanon k 2 Grow main sulah karaeyga(3)

1,2- Ibn-e-maja Al sunan Jild#1 Safa#72 Hadis#147,148(matboaLahore) 3-Bokhari,Al Sahih Jild#2 Safa no#962 Hadis#2557(matboa misr),Hakim.Al Mustadrak ul shaihain jild#3 safa no#208 Hadis#4876(makka mukarimma)

Ibadat o zohd Imam(as) ki badat main itni riwayet he kaafi hai k Hakim ne ibn e umer se riwayet ki hai k Ap(as) ne 25 hajj paidal keay onthniaan apky saamney khench kar laai jaatien magar Aap(as) farmatey main Allah ki bargah main haazir honey k leay sawari se ziyada paidal chalney ko tarjeeh deta hun(1) Ibn-e-Hijr likhtey hain k Aap(as) ne Apne maal main se 2 dafa zakaat nikaali or Allah ne apky maal ko 3 dafa taqseem kiya yahan tak k aap aik joota rakh letey or aik de dete aik moza rakhtey or aik de detey(2)

1-Hakim,Al Mustadrak jild#3 safa no#208 hadis#4881(matboa makka mukarimma) 2-Sawaiq ul muhariika safa no#341(shabbier brothers Lahore), Tareekh ul kulufa safa no#235(zawia publishers Lahore)

Shahadat Sunni riwayaat ka khulaasa yun hai k yazeed ibn-e-muawiyya ne Imam Hassan(as) ki zoja joda bint e ashat ibn e qais ko 1 lakh darham or apne sath aqad ka lalach dekar Imam Hassan(as) ko zeher deney per amaada kiya or issi zeher se Imam Hassan(as) ki shahadat hoi ,Usky baraks shia riwayaat ka khulaasa yun hai k iss kaam k peechey sara hath yazeed k walid muawiyya pisr e hind ka tha or usi ne apne betey yazeed ki khilafat ka rasta saaf karney k leay joda ko yazeed k sath aqad ka lalach diya or kuch maal ki lalach dekar Imam (as) ko zeher se shaheed karwayabeherhaal iss baat per shia sunni ijma qayem hai k Ap(as) ko apki zoja joda ne he zeher diya or Ap(as)

martaba-e-shahadat per Fayez huey Apki shahadat k baad apka janaza Qabr-eNabi(saw) k pehlu main tadfeen k leay lejaya gaya magar marwan(Allah iss per lannat karey) ne rok diya or bosr ibn e artaad jo muawiyya ka guard tha usne kaha Masjid-eNabwi main ibn-e-affan ki tadfeen nahi hui thi isleay hum inhain bhi wahan dafan nahi karney daingey or marwan ne kaha k Hazrat Ayesha bhi iski ijazat nahi deti tou Imam Hussain(as) apko jannat ul baqi le gaey or wahan Apki walida Syeda-e-Konain Fatima Zahra(sa) or chacha Abbas ibn e Abdulmutlib (asws) ki qaboor-e-muqadissa k nazdeek dafna diya(Inna lila hi wa inna elaihi rajioon) Ameer e sham sajda-e-shukr main Ahl-e-sunnat k baaz moarikheen ne naqal kiya hai k jub Imam Hassan(asws) ki shahadat ki khabar muawiya pisr e hind ko mili tou wo sajda e shukr main chala gaya or uthney k baad khushiaan manani shuru kardeen Tareekh-e-khamees jild#2 safa no#328

Imam Hussain(asws) Hussain ibn e Ali(as) Al maroof Abu Abdullah Kuniyyat: Apki yehi aik kuniyyat thi yani Abu Abdullah Walid: Ali ibn e Abi Talib(asws) Walida: Fatima(sa) bint e Nabi(saw) Wiladat: Tareekh e wiladat main ikhtilaaf hai magar shia sunni ijma issi per qayem hai k 4 hijri main Apki wiladat hui or ziyada riwayaat main shabaan k mahiney ki nishaan dehi hui jaa-e-wiladat masjid-e-Nabwi Alqabaat: Syed,sibt-e-asgher,shaheed,syed ul shohada,shaheed e akber ziyada mashoor hain Allama Muhammad bin talha shaafi ka biyaan hai k Syed or sibt khud RasoolAllah(saw) k moaeean karda alqabaat hain(matalib ul soul safa 321)

Mukhtasar Manaqib:

Apky baray main RasoolAllah(saw) ki mashoor e zamana hadis hai jisey ibn e maja ne yahla bin marra se riwayet kiya hai k RasoolAllah(saw) ne Imam Hussain(as) k leay farmaya Hussain mujh se hai or main Hussain(as) se hun or Khuda uss se muhabbat rakhta hai jo Hussain(as) se muhabbat rakhta hai(1) Hakim ne ibn-e-Umer se riwayet ki hai RasoolAllah(saw) ne Farmaya Hassan o Hussain(asws) jannat k nojawanon k sardar hain(2) Umm-e-fazl(zoja Hazrat Abbas(r.a) Rasool(saw) k chacha) riwayet karti hain k main aik dafa RasoolAllah(saw) ki khidmat main hazir hui jub k ap ro rahey thay mene sabbab poocha tou Ap(saw) ne farmaya abhi abhi Jibrael(as) mujhy aik matti dekar gaey hain or bata gaey hain k ye uss sarzameen ki matti hai jahan apky bte Hussain(as) ko apki ummat piyasa shaheed karegi pus main bhi roney lagi(3) 1-Ibn-e-maja al sunan jild#1 safa no#72 hadis#149(matboa Lahore) 2-Hakim,Al Mustadrak ul sahihain Jild#3 safa no#198 hadis#4844(matboa makka mukarimma) 3-Hakim,Al Mustadrak ul sahihain Jild#3 safa no#210 hadis#4884(matboa makka mukarimma)

Shahadat 10 Muharram 61 hijri shimmer e khabees k khanjer se shaheed huey Apki shahadat per RasoolAllah(saw) ko sadma Salma farmati hain k mainUmul Momineen um e salma(r.a) k pas gai tou dekha k aap betahasha ro rhi hain jub mene roney ka sabbab poocha touUmul Momineen um-esalma(r.a) farmati hain k mene khuwab main RasoolAllah(saw) ko dekha k aap(saw) apne sar e mubarik main khaak daal rahey hain mene poocha Aye Allah k Rasool(saw) ye apko kya hogaya isper Hazrat(saw) ne farmaya abi abi Hussain(as) ki lash ko dafn kar k araha hun(1) Ibn-e-Abbas(r.a) farmatey hain k mene RasoolAllah(saw) ko khuwaab main dekha k Hazrat(saw) k hath main aik sheeshi pakri hui hai jismey khoon bhara hua hai mene kaha Mola mere maa baap ap per qurbaan hojayen ye kiska khoon hai or ap kyun ro rahey hain Farmaya ye Hussain(as) or usky sathion ka khoon hai aj sara din main isey jama karta raha(2)

1,2-Tareekh ul khulufa safa no#258(zawia publishers Lahore) Jinaat ka noha Umul Momineen um e salma(r.a) farmati hain mene jinaat ko Imam Hussain(as) per rotey or noha kartey huey suna hai(1) Kalbi kehte hain main aik roz karbala se guzra or wahan k aik moazziz shakhs se meri mulaqaat hui mene us se Imam Hussain(as) k baray main poocha k mene suna hai jinaat ne Imam Hussain(as) per noha kiya tou usney jawab diya tum ne mujh se wo baat poochi hai jo yahan per her aik admi ne khud apne kaanon se suni hai mene poocha kya ap mujhy jinaat k uss noha k kalimaat suna saktey hain usney kaha khuda ki qasam mene jinaat ko yun noha kartey hua suna hai

Inki peshaani per Rasool(saw) ne hath phera hai Inkey rukhsaron per nihayet chamak thi Inkey walid quresh k ahla khandaan main thay Or inkey dada tamam k dadaon se achy thay(2) 1,2-Tareekh ul khulufa safa no#259(zawia publishers Lahore) (Inna lila he wa inna elaihe rajioon) khuda yazeed or usky chelon per lannat karey

Imam Zain-ul-Abideen(asws) Ali ibn ul Hussain al maroof Zain ul Abideen Walid: Imam Hussain(as) Walida: Umm-e-wald shehenshah-e-faris ki beti thieen apko shah-e-zanaan bhi kaha jata hai Alqabaat o Kuniyyat: Abu al Hussain,Abu Muhammad,Abu Abdullah apki mashorr kuniyatain hain or Zain ul Abideen,Syed ul Saajideen,Sajjad,Zulnafasaat,zaki or ameen mashoor laqab hain Wiladat: 5 shabaan 38 hijri dor-e-khilafat Ameer ul Momineen(asws) Madina munawarra

Mukhtasar Manaqib: Aik riwayet hum ooper biyaan kar chukey hain Rasool(saw) ne farmaya roz e aqyamat manadi apko Zain ul Abideen(as) k naam se pukaarey ga chand mazeed manaqib per roshni daaltey hain or iss barey main ibn e jozi ne kaha hai k apka laqab Zain ul Abideen khud RasoolAllah(saw) ne rakh diya tha(Tazkira tul khawas safa 351) Dar zubaan-e-ulama-e-ahl-e-sunnat ibn e saad ne tabaqaat main likha hai k : Ali ibn ul Hussain(as) Nihayet siqa amanat daar bohot si hadeeson waley khuda se darney waley bohot abid or khaayef thay(1) Mashoor mahir-e-rijaal alama zahbi kehte hain Imam Zain ul Abideen(as) se ziyada afzal qureshi ko main nahi janta(2) Ibn-e-jozi ne biyaan kiya hai k Ibn-e-Abbas(r.a) jub bhi apko dekhte tou kehte Marhaba Marhaba Ya Habeeb ibn e Habeeb marhaba(3) Ibn-e-jozi ne ibn e abi ul dunia se riwayet ki hai aik dafa Ap(as) namaz parh rahe thay k achanak apky ghar main aag lag gai magar Aap(as) ne iski koi parwah na kartey huey masroof e ibadat rahey jub aap namaz se faarigh huey tou logon ne kaha Aye Farzande-Rasool(saw) apky ghar ko aag lag gai thi or ap ne koi parwah na ki kyun?Farmaya main akhirat ki aag ko bhujaaney main masroof tha(yani jahanum ki aag iss se sakht hai)(4) 1,2-Arhaj ul Matalib az Obaidullah amritsarri safa no#591 (matboa haq brothers lahore),Tabaqaat ibn-e-saad Jild#5 safa no#226(Matboa Karachi 3,4-Tazkira tul khawas safa no#351,352(Ali publications Lahore pakistan)

Shahadat 25 muharram ul haraam 90 hijri zeher e jaffa se Apki shahadat hui bohot si sunni riwayaat se saabit hai k waleed bin abdul mulk ne apko zeher diya jaa-e-dafn jannat ul baqi.

Imam Muhammad Baqir(as)

Muhammad ibn e Ali(as) al maroof abi jaffar Kuniyyat: Abu Jaffar